Can it ever happen that
Shruti tells Anuj,
"Main toh kismet ke haathon majboor hui thi, kismat ke haathon apni family se door hui thi, tumne apne haathon se apni kismet kharab ki hain, apne Anupama Obsession me khud sab ko door kar diya hain aur maze ki baat toh yeh hain ki Anupama bhi tumhari sirf "conditions applied" ke saath hi hain, nahin toh tumhare saath hain kaun family ke naam par?
Tumhe woh Mata-Pita yaad tak nahin jinhone tumhe pariwaar, ek nayi zindagi, nayi pehchaan di par tum hnlogon ki chaaploosi kar rahe ho jinse tumhara koi lena dena nahin hain. Tum unhe support kar rahe ho jinhone tumhari behan ka fayada uthaya, tumhare pyaar ke pagalpan ne apni hi behan ki zindagi barbaad kar di. Woh toh ehsaan maano ki usne tumhe apne haal par chod diya. Tumtoh us insaan ke bhi apne na ban sake jinhone tumhe paalposkar bada kiya. Jab unhe samajh aaya ki ab tumhara pyaar tumhara obsession ban chuka hain, woh bhi indefinite teerthyatra par chodkar chale gaye.
Tumhare Maa samaan Bhabhi aur Bhai, unki majboori ka fayda uthaya, apne pyaar ke liye loyalty me unhe zaleel kiya.
Arrey jo ek baar tumne apne pariwaar ke liye awaaz uthayi toh tumhare so-called pyaar ne tumhe chod diya, apni bachchi ko itne nazuk moad paar, ek baar jaana bhi nahin ki 5 saal kaha the, kaise the, aisa tha tumhara pyaar?
Jab 5 saal baad mile bhi toh usi pyaar ne tumhe sirf tab yaad kiya jab woh musibat me thi baki yoh tumhe attitude hi deti rahi ki 'tum donon ki khusi ki khatir nikal di', 'ristin me nahin ulajhna' peecha chudati rahi.
Tumhe mere kiye bura lag raha hain, tumpar toh kisiko taras bhi nahin aata, Anuj. Tum khud hi dekhlo tumne apne haathon se apni zindagi kaha se kaha lakar rakh di."
Edited by Bodhianveshika - 1 years ago
21