TV serials me pahle se story decide nahi hoti isliye writers ka bhi fault nahi hota. Wo to sabse jyada helpless hote hain.
Bahut sare factors ki wajah se narrative change ho jata hai, aur script to day by day basis par likha jata hai, Jisme TRP ka factor sabse strong hai.
Writers are not that stupid, they struggling to making it big in their field and they earn less.
Wo jo screen par jinko credit dete hain, audience ko lagta hai ki wahi log likhte hain. Ghost Writers se sara kaam karwaya jata hai aur usi se help leker ye decorated log Episode by Episode script edit karke ready karte hain.
Ek outline bata di jati hai bas.
TRP ke baad dusra main factor Agenda hota hai. Aur agenda ye hai ki tum jo chahe dikhao par kuch bhi disruptive nahi dikhana hai. Aur disruptive ka matlab real progressive storyline se hai.
Isliye "socially acceptable" jitna hai utna hi dikhana hai aur "Indian Culture" ko promote karna hai.
TV production houses ko iske liye fund diya jata hai ki wo apne shows ke jariye Indian Culture ko promote kare.
Isliye bhi Sindoor, Churi, Aalta, Mangalsutra etc ke chamatkarik prabhav ko ab serious aur emotional way me dikhaya jata hai, na Ki Balaji style me jo har cheez ko joke ki tarah dikhata rha hai.
Now, everything related to Marriage or its ritual is supremely important.
Kyonki Marriage ke mamle me Indian women to khaskar black and white thinking rakhti hain, unki morality ki understanding bhi ekdam ajeeb hi hai. To in shows me "marriage ke religious/spiritual importance" ke naam par "forced marriage" ko sachha pyar aur bappa ki marji bhi dikha hi rahe hain aur jiske saath actual me galat hua hai, use Vamp bana dete hain.
They now pit women's DDP against another women's DDP. Kyonki iska real life se strong connection bhi hai.
Anyway.
Informative.