Originally posted by: hellodona
Yeh kaunse society main bhabi aakar ema, I love you propose karti hai aur ek 30 saal ke aadmi ko kuchh samajh nahi aata. Matlab aisi bhabiyaan milti kidhar hai aur kaunsa society accept karta hai.
Society along with Rab should sue makers for defamation.
Mujhe aapse is tarah ke comments ki to umeed nahi thi.
Waise to society to kya kya kaand hote hain ye to jyadatar Indians ko pata hai jo directly us cheez ke beech me hain.
Dusra PR ka matlab seedhe koi bhassan Dena nahi hota. Aaj har field me PR ka element hai. Aur Entertainment me PR ko subtle rakha jata hai.
Kyonki baki sab "drama" ka part hai. Real life me jab log utpatang tareeke se gossip karte hain, rojana ka sport hai ye sab to TV me kyon nahi? Cringe content Puri duniya me sabse jyada dekha jata hai.
Koi aisa desh nahi, koi aisi language nahi jaaha aise dramatic content consume nahi kiye jate.
Anyway. Rahi baat promotion ki... kisi perticular region ke tyohaar ko national level ki cheez banane jaisi cheeze to 90s me already ki ja chuki hain.
Log kya babies hain? Film ki heroine kya karti hai, wo koi kare ya na kare par uske costume/hairstyle aur aisi dusri cheez kya follow nahi hoti?
I am amazed ki mujhe ye sab explain karna pad rha.