Anyway. Mera to agenda ekdam clear hai. Rape ka aise joke banana to ITV par band hone wala nahi hai.
Isliye mai to kisi Brar brother ki side nahi le sakti.
Halanki, mai Kerry se utna disturb nahi hu kyonki I stopped taking things seriously that is beyond my control and is not going to change in my lifetime. So my motive is clear.. Audience ke taur par khud ko disturb kiye bina cheezo ko dekho ya reject karo aur kabhi ise kisi rup me endorse na karo. Ek Individual yahi to kar sakta hai bas.
Ab ye debate wagairah me part nahi lena kyonki I know very well.. so women too don't feel for other women and they justify/encourage rape as a tool to reinforce their superiority. And this goes beyond one's ideology. Kyonki public me to progressive stand lena "cool" bhi hai.
Rahi baat narrative ki... To Mai shuru se kahti aa rhi hu Garry (uski mother bhi) ke character me sabse jyada potential hai. Planned tareeke se likha gya hota to writer Garry ko uske "bad boy" phase me bhi line cross karte nahi dikhate. Ya fir use Jail bheja ja sakta tha, aur leap ke baad ka dikha sakte the.
Log kah rahe hain ki Garry ko sahi dikhane ke liye Angad aur Veer ko degrade kiya gya hai. Mai kahungi nahi. Angad shuru se degraded tha. Aur Veer ko pahle BG me ajeeb se faces banane, Ji haan Sahiba Bhabhi bolne aur pahlwan ji ko dekhkar muskurane se jyada role diya nahi gya. Uski personality ya uske conflicts ko dikhaya hi nahi to fir aise Paper thin character ka degradation kaisa?
Garry ko redeem karne ki bajay uska Whitewash kiya gya hai taki Brar Oldies ko sahi dikhaya ja sake aur Sara kachra Yash ke matthe madha ja sake.
But it's clear, Brar Oldies are toxic. Aur unhone discriminate to kiya hi hai.
Real degradation Garry ke character ka hua hai. Kyonki keval Garry ke sahare hi family me discrimination, Jassi ka pain, uski misguided parenting aur Siblings rivalry ke impact ko dikha sakte the!
Angad aur Veer dono hi to Brars ke Poster boys banakar dikhaye gaye ki Brar family ke sanskari me koi problem nahi hai. Sari problem keval Jassi ki parenting me hai.
Garry ke sahare hi Angad ke trauma ko touch kar sakte the ki kis tarah se ek dysfunctional family me golden child ko personal level par suffer karna padta hai. People pleasing ke chakkar me uska khud ki emotional health par kitna bura impact padta hai.
Aur Angad aur Sahiba ke bitch yahi factor common bhi hai, jise wo spiritual way me depict kar sakte the.
Rahi baat Veer ki...to Veer aur Veer ke parents tak ko paper thin characters ki tarah dikhaya gya hai, jaha Audience ko nahi pata ki unka apna conflict kaha hai..
Positive character ka matlab ye nahi hota ki usme depth hi na ho ya wo surface level ho.
Wo ye show kar sakte the ki kaise Gurleen aur uske pati (jiska naam hi mere ko yaad nahi rahta) ne ghar ke mahol ke prati conscious rahkar mindful parenting ki hai. Aur is tarah se Veer ko family tradition ko todte hue pahle aise member ke taur par dikha sakte the, jo real life me bhi khush hai aur professionally bhi apne hisaab life ko jee raha hai.
But ye sari cheezo ko talented se talented writer bhi bina pre-planning aur freedom ke nahi dikha sakta.
Ye to Managerial position par baithe log decide karte hain ki story ko kaise move karna hai.
Edited by nivi26 - 1 years ago