Originally posted by: surabhi01
Chalu dikhane ke baad apple kaat Jo maalti devi ko diya ?
Us point pe at current situation pe jiub anupama already Dari hui thi us accident ki wajah se us point us situation pe anupama pe truth bomb phodhe ka kya matalab tha
Anupama choti ko sahi salamat le kar aa gayi ek kharooch nahi aane de choti woh anuj ko nahi dikha but us crucial point pe Gade murde ukhadana jyaada jaroori thi anuj ke liye
Agar ek baar cheej ho gayi to uske liye anuj kya zindagi bhar Sunata rahe kya, anupama ko
Aur jaise anuj umeed lagata hai anupama waise to practically possible hai nahi
Kya MD ne Apple maanga tha?🤔 Apple aise diya jaata hai dara dhamka ke aur bad salooki karke?
Wo dialogue kya tha main chahe ye karu wo karu aapko kya, agar Dimpy ye sab Maa ke saath karegi to chalega right, last mein apple kaat kar de degi, this is not even a justification of Anupamaa’s atrocious behavior. Fir to Anupama ki har bahu ko ye hi karna chahiye Anupamaa ke saath.
Wo murde kabhi gadhe hue the hi nahi, har kisi ka sabr ka baandh hota hai aur Paap ka ghada hota hai, uss din Anupamaa ke paap ka ghada bhar gaya aur Anuj ke sabr ka baandh toot gaya, kabhi na kabhi to hona hi tha roz ex sasural jana hai din bhar wahi pade rehna hai naukrani bankar to kabhi na kabhi to wo ye sab kehta hi jaise hamesha kehta aaya tha.
Ek bar ek cheez hoti hai to log maaf kar dete hain, Suri Suri bolkar bar bar same cheez hoti hai to koi kab tak sehen karega?
Anupama ke liye Suri ka matlab I will do it next time again, she abuses the word and has a habit of saying it 100 times a day, that gives her license to repeat the same mistake again. She is irredeemable.
11