Waise to jyadatar Indian women Laws ko lekar unaware hain. Lekin isse koi fark nahi padta. Hamare yaha koi law se nahi chalta, usme vishwas nahi karta. Chalti to mard ki hai.
Anyway... To ye jo Angad ne mahan karke do parivaro ko bikharane se bachaya hai, Seerat ka uddhar kiya hai, wo basically ek rapist se victim ki shadi karwai hai. Victim ko bhi yahi dikhaya hai ki use rape ka pata nahi, wo khud rapist se shadi ke liye Mari padi hai.
Kam se Kam ek character to aisa dikhate jo ye kahta ki ye jo hai wo rape hai, isse kisi ki life nahi sudharti. Baki ambiguous way me bas Sahiba bolti rahi, "Seerat Di, Teri life kharab ho jayegi!"
To batao to audience ko ki kyo kharab hogi ya abhi kya Kam hai? Sahiba ke hisab se bhi uski Seerat Di ki life kharab hogi kyonki Garry Affair chalayega bahar. Are EMA me divorce ka option to hai hi? Lekin rapist se shadi?
Ye to Garry aur Seerat ki baat hue. Agar Garry ki harkat pure rape hai, section 375 lagega.. to Angad ne attempt to rape kya hai. Ise molestation/assault kahenge, aur is par Section 376 lagega.
Na kisi ladki ke laalchi hone se kisi ko ye haq mil jata ki uske sath rape kare.. (jaisa Seerat ke sath hua) aur na hi rape me ye bahana chalega ki "bhai ham dukhi the, sharab peeye hue the, kisi ne bhadkaya tha." (Angad ke mamle me)
Logo ko EMA se nahi Rape se kahi jyada problem honi chaiye. EMA criminal offence nahi, morally wrong hai. Lekin jab show me domestic violence, rape aur women ke kaam karne ke adhikar ko cheenana dikha rahe ho, use property me share na de rahe ho to EMA ko etna issue nahi banana chahiye. Main focus in crimes par dena chahiye.
Bataiye.. Brar Mansion me sab log "parivar ko jodkar rakhne", "tradition" aur "sanskar" ki baate karte hain par har koi waha dusro par taunt karke khush hota, schemes karta hai, aur basically regressive Ghar se vidroh karke apni koi identity nahi banata. Etne rich hokar living room drama karte hain. Inke paas dusra koi kaam nahi hai.. Usually Rice and Orthodox families me women ko regular jobs nahi karne dete par waha bhi women koi NGO chalati hain as a trustee.. par yaha to Manbeer aur Jasleen ek dusre ki paravarish skill par taunt karti hain..
Let me very honest!!! Veer ko chodkar baat kare to Mujhe Brar Mansion me sab bure lagte hain sivay Jasleen ke. Mujhe Daarji, Bebe, Inder, Manbeer, Jaspal, Gurleen, Prabyot aur Hansraj koi nahi theek lagta. Jasleen is interesting but plot hi etna kharab hai, direction, acting sab khrab hai. Also, Gauri Tonk is really a seasoned actor. Wo Punjabi nahi hai to jaan bujhkar galat shalat Punjabi bolna nahi try karti, aur na hi bahut jyada Urdu bolti hai. Manbeer (ye actress bhi seasoned hai) ke expression wagairah to sab top notch hain (beta obsessed with no personality wali maa ke character me perfect hai) lekin uski dialogue dilevery badi kharab hai. Galat Punjabi bolti hai. Fir kuch jyada Urdu bolne lagti hai. Uske pronunciation kahi se bhi kisi North Indian ke nahi lagte. North Indians galat shalat Hindi bolte hain, galat Urdu bolte hain, unka grammar bhi galat hota hai. Par Manbeer ki jo actress hai wo aise bolti hai jaise koi academically correct language me baat kare! North Indians aise baat nahi karte.