Originally posted by: NoeticLife
A HYPOTHETICAL DIARY ENTRY FROM KARAN'S DIARY AFTER THE SCENE WHERE MONAMI FREES HIM FROM HER LOVE:
Monami ne mujhe azaad kiya, apne pyaar se. Yahi toh chahta tha main. Humaare beech kabhi kuch nahi ho sakta hai. Meri zindagi mein pyaar ki koi jagah nahi hai. Phir kyun uske jaane se bura lag raha hai mujhe?
Param Bhaiya ke baare mein bataaya use. Kitne saal ho gaye uss mission ke baad, par aaj pehli baar, uss raat ki feelings share kari hain kisi ke saath. Kyun Monami ke saath hi mann kiya yeh sab kuch share karne ka? Aisa kya hai us mein jo mujhe uski har baat se farak padta hai?
Kyun khush nahi hoon main uske jaane se? Ek cadet ke alaawa humaara kya hi rishta tha? Uske izhaar se pehle bhi cadet thi, aur ab bhi, toh kyun yeh azaadi achhi nahi lag rahi hai?
Jab usne mujhe hug kara aur maine use, toh kyun duniya maano ek minute ke liye tham gayi thi, aur sirf hum the us ek pal mein? Naa academy thi, naa yeh mission. Naa wo thi, naa main. Sirf hum the. Uss ek pal mein aisa laga jaise zindagi mil gayi ho, jeene ki wajah mil gayi ho. Kyun? Aisa kya hai Monami mein, jo mujhe uski taraf kheenchta hai?
Kal, hum bas ek cadet-trainer dobara ban jayenge. Yahi toh rishta hai, na, humaara? Trainer Karan Shergill, aur Cadet Monami Mahajan. Bas. Toh phir kyun yeh achha nahi lag raha hai mujhe? Jis raat usne apne pyaar ka izhaar kiya, wahi sab kyun sun raha hai mujhe? Kyun sirf wahi yaad aa raha hai?
Kya ho gaya hai mujhe? What's wrong with me?