Ankhen jhuka, phir bhool ja
jaise ki kuch bhi na hua
kal main rahoon, ya na rahoon
tu rahe sada muskurata hua
Ankhon mein teri, sapne hai mere
apna bhi ek fasana bana
Pal mein woh hasna, pal mein manana
Khushiyon se mera daaman bhara
Dil hai dhadakte, ankhen kabhi nam
Lagta hai din ab dhalta hua
arzoo is dil ki, armaan humare
Hai ab chaman kanton se bhara
Na hosle buland, na iraada banaya
duniya se phir bhi shikva kiya
Kuch na kho kar bahut hai paaya
Ummeed mein jeene ka bahana mila
Ankhen jhuka, phir bhool ja
jaise ki kuch bhi na hua
kal main rahoon, ya na rahoon
tu rahe sada muskurata hua