Atharv ne Banduk Tani
Khadi thi samane Kallu Rani
Atharv ne dabaya baduk trigger
chali goli Kalyani par
lekin achank koi bich mein koi Aaya
Goli ko apane upar lekar Kallu ko bachaya
sunake goli ki awaz sabaka ki ki ghabaraya
socha kisaka ab aakhari time Aaya??
woh koi aur Nahi Apani Sampu thi
Kallu ko bachane usane apane upar goli ki thi
jakhmi Dekh Kar sampu Kallu bohot ghabarayi
Halat usaki dekhakar Kallu ki aakh Bhar aayi.
kyo liya khatara mod aisa tune
kyo kud PADI bich me muze Tu bachan
Dekho kitana Khun baha Raha hein tera
Tuze aise dekhakar jin ghabara Raha hein Mera.
Kallu ko dekhakar Sampu has padi
Tum Kitani bholi ho Kallu mere liye ro padi
Zindagi Bhar tumhe etana Sataya
fir BHI aaj tumko muzapar Taras Aaya??
Mere Papon ki Saza muze Millen hi thi
Meine Zindagi mein Jo badi galati Jo ki thi..
Khudake pati aur bachhe ko apane swarth ke liye chhod diya
mere bhagya be muzase aisa badala liya...
Atharv ke pyar me Andhi hokar
Apana basa basaya sansar chhodakar
es Rakshas ke sath mein thi Bhagi
mein hi sachhayi Jaan na payi usaki thi abhagi.
kya Mila muze Zindagi mein
jisake liye chhod diya tha sansar meine
yeh to Zindagi mein kisaka nah tha Kabhi saga
to muze BHI de diya usane pyar mein Thaga..
lekin mein Khush Hun ke Malhar ki Zindagi mein Tu aayi
Aur mere Moksh ki ban gayi aai
Mein to Kabhi aayi baneki layak hi Nahi thi
meine janam diya Moksh ko tune Zindagi di thi..
Usaka sath ab Kabhi Nahi chhodana
Usako Zindagi Bhar bohot pyar dena
Yeh hein Meri aakhari tamanna
muze vachan yeh MERI pyari behena..
Snakar batein Sampu ki ro padi Kallu
etane bhag Kar aaya vaha Mallu
Sampu ki Halat dekhakar woh ro pada
Kuch na Bola kisise aisa hi rehe Gaya khada
Haton ko jodakar Sampu fir usako boli
pyar me Atharv ke tere jivan ke meine Kar Di holi
ho sake to muze maf Kar do
bada Dil dikha Kar muze mulkti dedo
Mere bad mere Mokshaka khayal rakhana
tumhare Hawale Kar rahi usako MERI pyari behena
Usako aise hi hamesha pyar karana
Tum aur Malhar hamesha Khush rehena
Sunake sampu ki bate Malhar Bola use
Ab naraz Nahi hun Sampu mein tuzase
Tune mere Kalyani ki Jan Bachayi
tumhari aakhon me dikh rahi hein aaj tumhari sachhayi
Sunake batein Malhar Sampu trupt ho gayi
Aakha ban Kar Woh sada ke liye so gayi
Jate Jaye ham sabako yeh Sikh de gayi
Jo dusaron ke liye khadda khodate hein Woh khudake liye khodate hein khayi..
Esaliye swarth ko apane upar havi na hone do
khudake liye dusaron ko takalif na do
Apane Jivan ko achhi dedo disha
Sampu ke jivanse sabak lenge karate hein ham aisi aasha
Edited by Jsmp21 - 4 years ago