Wahhh
Meri bullet Rani
Ek aur update
Love you for this đ
Loved the way transition happens
2021 k kalma se 1948 kalma
You are writing it wonderfully
Bigg Boss 19- Daily Discussion Thread - 7th October 2025
5 MONTHS LEAP 7.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct. 7, 2025 Episode Discussion Thread
Kyunki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi 2: EDT # 3
HIGHER COURSE 8.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 8, 2025 Episode Discussion Thread
Katrina already welcomed a child via surrogacy?
Bring her in Gen 5
Abhimaan Edition: New Chapter Discussions
Naya safar college ka
Anupamaa 05 - 06 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Round 1 Slot 1 (Oct 7 6:30 PM IST / Oct 7 9 AM EST)
Now that's what I call a Wildcard
Round 1 Slot 2 (Oct 7 10:30 PM IST / Oct 7 1 PM EST)
Ananya Pandey - Chanel girl
ArIya/ETF OS: Rain, Coffee aur Thoda Pyaar
Like/Dislike/Neutral Week 6
🏏Cricket Forum Banner Contest Results Announcement🏏
Songs on All Tranportation
Wahhh
Meri bullet Rani
Ek aur update
Love you for this đ
Loved the way transition happens
2021 k kalma se 1948 kalma
You are writing it wonderfully
Originally posted by: Priyapriyu
Wahhh
Meri bullet Rani
Ek aur update
Love you for this đ
Loved the way transition happens
2021 k kalma se 1948 kalma
You are writing it wonderfully
Thanks a lot Priya.
Chapter-5
Us din Kalyani office nahi gayi thi. Use tez bukhar tha fir bhi jaise hi raat ke nau baje, kisi tarah girte parte usne radio on kiya. Radio par thi vahi jaani pehchani awaz jo na jaane kyon har baar kuch nayi si lagti thi jaise ek din me naa jaane kitni sadiyon ka dard Bator layi ho.
"Jab deep ki thartharati, nirdosh lau ko bujha jati hai poos ki kathor pawan, kya veh bhi kuch kshan ke liye lau ki us ushn Prabha se alokit nahi hoti hogi.
Hello listeners, main hoon RJ Malhar, aur aaj hamari kahaani ke kirdaar ek aise mod pe ane wale hain jahan se vo kabhi wapas nahin ja sakenge.
"Kalyani, tumne kabhi kisi se pyar kiya hai?" Aj Kalyani aur Prabha maulsiri ke ped ke neeche apne apne chehron par apni sari ke pallu ko Dale Yun hi idhar udhar ki baatein kar rahi thi.
"Mujhe to pata bhi nahi ki pyar hua hai ya nahi kaise pata chalta hai," Kalyani badi masumiyat se boli.
"Are, jab jisse ham pyar karte hain vo na dikhe to man me kuch khincha khincha sa lagta hai, koyal ki kuhoo kuhoo ho ya gangaji par lehron ka shor, har jagah man usi ki awaz ko talashta hai. Tumhe kabhi hua hai aisa?"
"Nahi to," Kalyani muh ghumakar boli.
Jab Kalyani ghar pahunchi, to uske ghar ke aage ek motor pehle se khadi thi. Kamre ke beech rakhe takhat par Malhar baitha tha aur usse satkar ek sundar si, kuch rochak dikhne vali ek ladki. Uske haath me ek kitab thi.
"Us laal gulaab se keh do apne roop par itna na itraye, akhir aj nahi to kal use bhi murjhana hi hai, Kalyani, main hoon Sampada. Malhar tumhare baare me bahut baatein karta hai."
Malhar Kalyani se bola, "Baitho Kalyani."
"Malhar bata raha tha ki tum kavitayein likhti ho. Koi kavita sunao to sahi, Kalyani."
Kalyani ne Sampada ko dekha aur kavita kehna shuru kiya, "Samay ki parton..." Fir usne Malhar ki drishti apne oopar dekhin.
Kalyani ne apna gala saaf kiya, "Chhaya ke chhal...nahi, samay ki parton...nahin Os ki boond...m..mujhse nahin hoga." Aur andar bhag gayi.
"Maine kaha na chale jaiye yahan se Malhar ji," Kalyani ne apne kandhe par se hatate huye kaha. Par vahan to Sampada thi.
"Maaf kijiyega," Kalyani boli, par uski awaz me apradhbodh ki chaya matr bhi na thi, "mujhe laga Malhar Ji hain."
"Pyar karti ho usse?"
"Kisse?"
"Dr. Malhar se,"
"Nahin to. Chi...apko Sharm nahin aati aisa bolte huye."
Sampada chupchap uthkar chali gayi.
"Kalyani," Malhar ne use awaz di, "Sampada ke paas se aise kyun bhaag gayi? Kitna bura laga hoga use?"
"Aur apne jo Sampada ke saamne mera mazak banaya uska kya?"
"Maine tumhara mazaak banaya?"
"Aur kya, main kavita likhti hoon, ye baat maine sirf aapko batai thi, yahaan tak baba ko bhi nahi. Jo hamare beech hai, us par kisi aur ka koi hak nahin hai."
"Mujhe laga ki Sampada itni badi shayra hai, usse tumhe patrikaon aur sampadakon ke naam janne me madad mil jayegi. Chhodo aur apni jootiyon pehno."
"Kyon?"
"Ham kahin jaa rahe hain."
Kalyani ko cycle pe baithne ka abhyaas nahin tha par naa jaane kyon use Malhar ke peeche baithkar Yun jaana apne baba ki badi motor se bhi accha lag raha tha.
Malhar ne cycle ghat par roki. Aasman ek jaali ki tarah lag raha tha jisne sitaron Ko kaid kar liya ho aur sitare neeche girkar gangaji me samaane ko tadap rahe hon.
Malhar ne ek naav ko roka. Vo pehle khud naav par chadha fir Kalyaani ko apna haath diya. Naav chalne lagi.
Naav nadi ke beech thi. Pawan kuch is tarah salike se beh rahi thi Mano Dabe paanv apne premi se milne jaa rahi ho. Naavik ne gaana shuru kiya, " Jaane kaun des ke darad ke ayi ye pawan churake..."
Naav kuch ajib dhang se hilne lagi. Malhar aur Kalyani ne foran ek doosre ko sambhane ke liye ek doosre ko pakde.
Naavik abhi bhi gaata jaa raha tha, "jane kon des ke darad le ai pawan churake.
Isi ke saath main chor jata hoon ye khoobsurat nagma: https://youtu.be/Wv-VlQMD0VY
Chapter 6
Jaise hi Kalyani office me aai, receptionist use ek file dete hue boli, "Kalyaani, please ye file RJ Atharv ko de aao."
Kalyani file dene ke liye jaise hi Atharv ke cabin me gayi, vahan Sampada pehle se thi.
Vo chilla rahi thi, "Atharv, how can you ask me to be chill? Hamare bacche ko naam dene ke liye maine Malhar se shaadi ki and ye jaante hue ki vo baccha tumhara hai, vo bewakoof usse attach ho gaya. Us bade director ke TV show me lead role ke audition ke liye kaise kaise us Malhar ko bina bataye main abortion kara ke aai. Tab bhi main us role ke liye select nahin hui. Oopar se frustrate hokar maine us Malhar ko divorce bhi de diya. Vaise uska mujhekoi afsos nahi h. Na to banda rich h. But itna sab karne ke bad bhi mujhe lead role nahi mila."
"Chill Sampu..."
Kalyaani ke andar ab aur kuch sunne ki himmat nahi bachi thi. Jaise hi vo Malhar ke cabin me gayi, usse nazar milane se bachne ke liye ek chair ke oopar khade hokar bookshelf ke oopar rakhi magazines arrange karne lagi.
"Are ye magazines...ho sakta hai inme koi acchi kahani ho."
Magazines ke beech ek bhaari si book ko vo utha hi rahi thi, ki uska balance bigad gaya aur tabhi Malhar ne use pakad liya.
"To chaliye ab ham badh rahe hain kahaani ke ant ki taraf. Us raat Kalyani aur Malhar ko ghat se aane me der ho gayi thi.
"Malhar zara idhar aana. Kalyani tum apne kamre me jao." Atul ne is baar Kalyani bola tha, Kallu nahin.
"Aj to pakka daant paregi," Malhar ne socha.
"Baitho," Atul bole aur ek photo Malhar ko de di.
"Ye kaun hai?" Malhar ne vo chehra kahin dekha to tha magar use yaad nahi aa raha tha.
"Ye hai Atharv Bapat. Bapat Industries ke maalik ka iklauta beta. Cambridge se Law me degree li hai aur hamari Kalyani ke liye inka rishta aya h."
Malhar ke man ki jheel me kisi ne patthar dala aur kab vo patthar bada hote hote poori jheel ko nigal gaya use pata hi na chala.
Atul bole hi jaa rahe the, "Main chahta hoon is rishte ke liye tum Kalyani ko manao."
Kalyani ke kamre me aakar Malhar ne haule se uska naam liya.
"Kya hua Malhar ji. Baba ne daanta kya? Main abhi jakar baba ko bolti hoon ki ghat par der meri vajah se hui. Aur ye photo kiski hai, dikhana zara."
Malhar ne photo Kalyani ke haath me dete hue kaha, "Ye Atharv Bapat hain. Baba ne..." Malhar se aage bola nahin jaa raha tha. "Baba ne inhe tumhare liye pasand kiya hai."
"Aur aap kya chahte hain?" Kalyani ki awaz me ek ajeeb dridhta thi.
"Main...main chahta hoon ki tum is rishte ke liye haan keh do."
Kalyani ka tamacha Malhar ke gaal par para.
"Himmat kaise hui apki? Apne soch bhi kaise liya ki main apke alawa..."
"Kalyani, Atharv bahut accha ladka hai, Atul Kaka ne khud kaha hai. Vo tumhe vo saari khushiyan dega jo main tumhe nahi de sakta. Aur apne baba ke bare me to socho? Aau saheb mujh jaise bina maa baap ke ladke ko kabhi sweekar nahi karengi aur Atul Kaka ko apni maa aur beti me kisi ek ko chunne ke liye majboor hona hoga. Kya beetegi un par."
"Magar hamara kya?"
"Hamara rishta pati patni, premi premika se kahi oopar hai. Kisi naam ka mohtaaj nahi hai hamara rishta. Agar tumhare man me mere liye zara bhi izzat hai to is rishte ko haan keh do."
Baarat ka samay ho chala tha. Shaadi ki taiyyariyon me Atul ke liye Maheena kaise beet gaya use pata hi na chala.
"Kaka, Kalyani tai ko bukhar h aur vo dawa bhi nahi kha rahi."
"Malhar beta, zara Kalyani ko samjhao, main baratiyon ko dekhkar aata hoo."
Saare gehne aur shringar ke baavjood Kalyani ka chehra peela para tha. Malhar ne dawai mangai, aur Kalyani ki nath ko oopar karke dawai uske munh me dali.
Malhar ne shaadi ki har rasm dekhi fir chhat par jakar so gaya. Beech me use laga, sindoor aur mangalsootra pehne Kalyani ne uske pair chuye par use ye nahi pata tha vo sach tha ya sapna.
Aur ye dard bhara geet hamari Kalyani aur Malhar ke liye: https://youtu.be/EhDCAmXKBBs
Wow...girl, you are too fast đ beautiful update...
It was like reading sheer poetry đâ¤ď¸ loved every minute of it đ
Thank you so much for writing such an amazing concept đ
Eagerly waiting for your next update đ¤
Wow...girl, you are too fast đ beautiful update...
It was like reading sheer poetry đâ¤ď¸ loved every minute of it đ
Thank you so much for writing such an amazing concept đ
Eagerly waiting for your next update đ¤
Thank you so very much. I got inspiration from Gunahon ka Devta by Dharmveer Bharti Ji. There was also a TV show on Life OK based on it with title Ek tha Chander ek thi Sudha.
Originally posted by: Autumn09
Thank you so very much. I got inspiration from Gunahon ka Devta by Dharmveer Bharti Ji. There was also a TV show on Life OK based on it with title Ek tha Chander ek thi Sudha.
Wow I had no idea about it...thanks for the suggestion...
It's truly a captivating story
Wow
Pragya
Your update are too awesome and pretty fast
Loved it
And the songs you choose are mine favourite too
You are rocking it
đđđđ
Originally posted by: Priyapriyu
Wow
Pragya
Your update are too awesome and pretty fast
Loved it
And the songs you choose are mine favourite too
You are rocking itđđđđ
Thank you so much Priya.
Agle din fir Kalyani ne office se chutti li thi.
"Kalyani ke bina Malhar ka samay ek kabhi na rukne vali rail ki tarah beetne laga. Usne apna poora samay padhai ko de diya tha. Ye uske M.S. ka akhiri saal tha. Tabhi ek din use Kalyani ki chitthi mile. Shaadi ke poore ek saal teen mahine baad Kalyani vapis Banaras aa rahi thi. Fir to ek ek din Malhar ko kabhi na rukne vali jheengur ki awaz ki tarah kaatne laga. Akhir vo ghadi bhi aa gayi jab Kalyani ko apne maayke lautna tha. Jaise hi Deshmukh Niwas ke aage Motor ruki, Malhar ki jaise saans atak gayi ho. Kanchivaram ki bhaari Resham ki saari me gehno se ladi us dubli patli ladki ko koi dekhkar keh hi nahi sakta tha ki ye vahi Kalyani hai. Pathrayi si uski aakhein na jaane kis Kshitij par gadi huyi thi.
"Hahaha!" Atharv ka atthaas kamre me goonja, "Baba jaldi hi apko meri aur Kalyani ki taraf se ek khushkhabri milne vali hai."
Malhar ko ek pal ke liye aise laga jaise use kisi ne use paatal lok si andheri khaai me dhakel diya ho. Jaise hi vo kamre se bahar ki or gaya, Kalyani ki jaise neend si tooti. "Malharji!" kehte hue vo darvaze ki or dauri lekin tab tak Malhar usse bahut door ja chuka tha.
Sampada ke ghar ki ghanti dopahar ko jaise hi baji, use laga ki jaise vo ek bhram ho. Fir bhi jab vo darwaza kholne gayi, usne kaha, "Malhar? Yahan kaise vo bhi ek saal baad."
Malhar bina kuch kahe Sampada ke ghar me aa gaya aur use apni or kheench liya.
Ghanti ki awaz se jaise hi Malhar ki neend tooti, ek pal ke liye Sampada ko apne bagal me dekhkar vo chaunk gaya. Sampada abhi bhi soi hui thi. Usne jaise hi darwaza khola, vahaan Kalyani khadi thi. Ek chitthi usne Malhar ko bina kuch kahe hath me pakda di aur vahaan se chali gayi.
Agle din Sampada ne Malhar se kaha, "Kalyani Sangam express se hi Dilli gayi thi na?"
"Haan. Kyon?" Malhar ne angdai lete hue kaha.
"Bahut bura accident ho gaya hai uska."
Deshmukh niwas mein ek ajib si shaanti thi. Sab Atharv ke Kalyani ke mrit sharir ko lane ka intezaar kar rahe the. Vahin Malhar ke man me Kalyani ki chitthi ka ek ek shabd goonj raha tha:
Malharji, maine to apne aapko apke aadarshwad ke liye balidan kar diya par aap mujh par vishwaas tak na rakh sake. Alvida, ab apse mulakat maut ke baad hi hogi.
Aur... kahaani ke ant me ye gaana...https://youtu.be/yZ_UkMJHEAk"
Lekin Malhar apna show khatm karke bahar nikla, to koi uska intezaar kar raha tha.
"Kalyani!"
"Bahut der kar di aapne laut ke aane me."
"Haan der to ho gayi. Magar main aaya to sahi," kehkar Malhar ne Kalyani ko apne gale se laga liya.
So the FF ends with that. I hope you enjoyed it. Please let me know of your feedback.