Originally posted by: merryyura
Maine tumhe yeh waada kiya tha ki tumhe iss ghar mei jagah dunga. Jo mai tumhe de raha hun. Yeh nahi kaha tha ki apni zindagi mei jagah dunga.
Vansh ne Ahana ko iss natak ki muh mangi keemat di hai. Basket ho nahi raha and vansh hit his hand on the wall. Bleeding ho rahi hai.
Dadi aayi vansh ke paas.
Jab jab mai riddhima ko apni zindagi se bahar nikalne ki koshish karta hun woh baar baar meri zindagi mei wapas aa jati hai. Kyun mai riddhima ko apni zindagi se bahar nahi nikal pa raha hun? Kyun?
We all want to know too Vansh, what is going on here ๐