Hello everyone 😊
So somebody asked me to write an OS about Virat apologizing to Sai, and I thought that I should give it a try... I tried to make it as light hearted as possible... hopefully it is somewhat relatable
Enjoy
There was a knock on the door of Usha Mavshi's room. Sai opened the door only to find Virat standing there. She sighed and turned around clearly indicating that she has no interest in talking to him.
'Sai, mujhe tumse kuch baat karni hai', Virat said politely but she just went further inside the room.
'Mavshi inse keh do ki mujhe inse koi baat nahi karni aur na hi inki koi baat sunni hai…', Sai said looking at Usha Mavshi. 'Inse keh do ki yaha se chale jaye aur mujhe akela chhod de'. Usha mavshi looked at him helplessly.
'Sai… main janta hu ki mujhse galati hui hai… par tum mujhe samjhane ka mauka toh do!', Virat said more gently stepping inside the room.
'Usha Mavshi, inse keh do ki inhone kabhi mujhe samajhne ki koshish ki hai.. Jo main inhe khud ko samjhane ka mauka du?', Sai asked him indirectly and he realized that she was right. He didn't try to understand her, and became even more embarrassed after hearing this.
'Sai.. Bas ek bar meri baat sun lo…uske baad tum jo kahogi main maan lunga', Virat said trying to pacify her anger and looked at Usha mavshi for some help.
'Mavshi inse keh do.. '
'Sai, mujhe na kal subah ke nashte ke liye matki (sprouts) bhigo kar rakhni hai', Usha mavshi said before Sai could say anything else. 'Main bas abhi ati hu.. Haan!', she said and quickly left the room leaving the husband and wife alone. Sai sighed and sat down on the mattress not looking at Virat. He went and sat beside her.
'Sai.. Aaj tumne jo bhi mere liye kiya uske liye..', Virat tried but before he could continue she spoke up.
'Aapko thanks kehne ki jarurat nahi hai Virat sir.. maine sirf wahi kiya jo sahi tha.. sach samne lana jaruri tha… agar aapki jagah koi aur bhi hota toh bhi main yahi karti', she replied without looking at him. He felt a bit hurt at that but also felt proud of her this trait, to think about others before herself. Because of her this quality only, she had been ready to risk her life to save a little girl, and he admired her for that.
‘I know… fir bhi main kehna chahta hu… Thank you Sai’, he said with a small smile. She looked at him with a blank face.
‘Yahi baat karni thi aapko? Agar aapki baat ho gayi ho toh aap ja sakte hai’, she said sternly and his smile faded due to her indifference.
‘Nahi…. actually main tumse ye kehna chahta tha ki… aaj jis tarah tum bina hichkichaye, bekhauf hoke DIG sir se milne gayi…wo kabil-e-tarif hai…. Tum bohot bahadur ho Sai, bilkul Kamal sir ki xerox copy ho’, he said truly praising her. She looked in his eyes and he hoped she could see how proud he was of her.
‘Thanks’, she said and looked away again.
‘Par tum mujhe bata kar bhi toh ja sakti thi?’, he asked.
‘Agar bata deti toh kya aap mujhe jane dete?’, she asked back looking at him sternly. ‘Aapke liye toh main ek nasamajh, immature bacchi hu… jo kabhi kisi situation ki seriousness ko samajh hi nahi sakti… to situation ko solve karna toh dur ki baat hai, hai na?’, she asked in direct words.
‘Aisa nahi hai Sai, main..’
‘Aisa hi hai Virat sir… mujhse shadi karna aapki zindagi ki ek galati hai, aur main sirf ek bojh hu aapke upar… aapki sari problems ki wajah hu… isiliye aap mujhse apni koi pareshani share nahi kar sakte, sirf mujh par gussa ho sakte hai’, Sai let out all the things that had hurt her, and he sensed her getting sad with every word she uttered. It stung him too. He didn’t want to see her sad and he was ready to do anything to make her feel better. He held her shoulders and turned her to face him completely.
‘Nahi Sai yeh sach nahi hai… main janta hu mujhse galati hui hai… mujhe apna gussa tum par nahi utarna chahiye tha… us waqt main pareshan tha aur mera dimag kam nahi kar raha tha, aur is wajah se sara frustration tum par nikal gaya….Lekin iska matlab yeh bilkul nahi hai, ki tum mere liye bojh ho…. Main bas bohot gussa tha us Vitthal Mane ke upar aur us gusse me tumhe bohot kuch ulta sidha bol gaya… I am sorry’, he said gently, but she didn’t respond to him. ‘Accha kan pakad ke sorry’, he said holding both his ears, and it made her smile lightly. He smiled back at that.
‘Aur tum sahi keh rahi ho, mujhe tumse baat karni chahiye thi…. Us waqt main kuch samajh nahi paa raha tha… par mujhe tumse apni pareshani share karni chahiye thi…. Tum Kamal sir ki beti ho, aur in sab mamlo me bilkul un par hi gayi ho… mujhe samajhna chahiye tha ki tum is baat ko bhi samajh jaogi…’, Virat said being honest with her.
‘Yahi toh baat hai na Virat sir… aap mujhe kabhi samajhna hi nahi chahte’, she complained but now in a more light hearted manner. ‘Aapko lagta hai ki aap mujhe acchi tarah jante hai, aapko lagta hai ki aap mere bare me sab kuch jante hai….. par sach yeh hai, ki aap mujhe nahi jante, aur na hi samajhte hai’, she as always spoke the truth bluntly, but this time he didn’t feel bad.
‘Accha! Toh tum hi bata do...kya kya janna chahiye mujhe tumhare bare me?’, he asked with genuine curiosity.
‘Aapko bhi sabki tarah sirf yahi pata hai ki main muhfat hu, aur jo dil me aye bol deti hu… aur isi wajah se aapko ye bhi lagta hai ki main bado se badtameezi karti hu…. Par ye sach nahi hai Virat sir’, she said and looked directly in his eyes. ‘Sach yeh ki meri baate logo ko kadvi lagti hai, kyunki wo sach hoti hai… sach yeh hai ki main kisi galat baat ya nainsaafi ko dekh kar chup nahi reh sakti, fir chahe wo bado se ya aap se hi kyun na hui ho… ab log ise badtameezi samjhe toh samjhe… lekin kisi ke kuch sochne se, main apne Aaba ke diye hue sanskaron ko bhul nahi sakti’, she said making him smile in appreciation.
‘Kamal sir thik kehte the… tumhari zabaan tikhi jarur hai, lekin dil bilkul saaf hai’, he said smiling at her.
‘Abhi toh bohot kuch hai mere bare me jo aapko janna baki hai Virat sir… lekin uske liye baate karni padti hai.. Pareshaniya baantni padti hai, bina wajah gussa hone se kuch nahi hota’, she said taunting him with a smirk.
‘Accha baba maan liya galati ho gayi...aage se aisa nahi hoga’, he said and she smiled. ‘Actually mere pass ek idea hai… hum ek kam karte hai,.... aaj se hum tay karte hai ki agar hume koi bhi pareshani ho, ya takleef ho..toh hum use ek dusre ke sath share karenge, done?’, he asked forwarding a hand towards her. She acted as if thinking about it and then placed her hand in his.
‘Done’, she replied with a smile.
‘Good.. ab apna takiya uthao, aur chalo mere sath… main tumhe vapas apne kamre me le jane aaya hu’, he said and she looked at him unbelievably. ‘Aise kya dekh rahi ho? Wo tumhara hi kamra hai… chalo’, he said and got up from the bed.
‘Aye Aye...ACP sir’, she said in a lighthearted way and he just shook his head at that. She then picked up her pillow and stood up to go with him.
‘Aur Sai… tumhe nahi lagta ab tumhe mujhe sir bolna band kar dena chahiye?’, he asked looking at her seriously and she got shocked to hear it from him. ‘Tumhare muh se Gabbar hi accha lagta hai’, Virat said with a smirk. They both burst out laughing at that and left for their room laughing together.
_______________________________________________________________________________________________________
How was it? Please leave your valuable comments, I really love to read all your opinions
Thanks for reading
Love,🤗
Niki