" Sahi kaha aapne pyaar karna koi paap nahi hai lekin Abir Ji shayad aap yeh bhool gaye hai main aapki bhai ki biwi hoon. Yuhin mere tasveer paint karna aur yeh kehne aapko mujhse pyaar hogaye hai yeh galat nahi hai? Aur aaj toh apne hadd par kardi hai Mr. Abir singhania. Itna sab kuch karne ke Bawajood aap mujhse keh rahe hai ke maine kya kiya? Hosh mein toh hai aap? Main aapki Bhai ke biwi hoon. Aur pyaar karna hi chahte hai toh Aditi se kijiye. Jisse aapki pyaar ki sabse zyada zarurat hai. Lekin nahi aapke toh alag hi usool chal rahe hai. Pagal ho gaye aap. Pagal.... I vented out my frustration.
CONTINUATION…
It's already 10. It's raining heavily and the way isn't cleared yet. The screams of people are still creating havoc on the site. The wind is blowing with the same speed. The people are shivering, screaming and trembling in rain all wet and panic.
" Yeh khamoshi ka natak karke kya sabeet karna chahte hai aap? Uthayen na phone, kyun himmat nahi ho rahi? Yeh shabd nahi bache aapke paas? Zaraa unneh bhi pata chale ke unn ka gurur unka laadla kitna besharam hai"... I taunted him.
" Yeh duniya bahut badnaam and Beraham hai. Mere aur aapki rishta ki ek maryaada hai Abir ji. Agar aap uss maryaada ko paar karna chahenge na toh Ungliyaan uthane mein der nahi lagayegi yeh duniya hum par. Ek ladka aur ladki main bahut fark hai. Duniya ke hisaab se ladkon ko sab jaayaz hai. Unn ki har galti maaf lekin ladkiyon ko bina kuch kiye hi gaaliyaan dete hai log. Unn ke daaman mein daag laga dete hai. Maine apni iss choti si zindagi mein bahut kuch saha hai. Mere daaman mein pehle se hi bahut kalank hai ab ek aur ilzaam main nahi bardaasht kar paungi. Nahi saamna kar paungi logon ki gandey taano ko. Toot jaungi main. Aur takleef sehne ki himmat nahi hai mujh mein. Sab kuch cheen liya iss duniya ne mujhse siwaye meri aatmasamaan aur izzat ke. Agar woh mujhse cheen liya gaya toh shayad jee nahi paungi. Bhagwaan ke liye meri iss baat ko samajhiye. Hamaare iss rishte main bahut maryaada aur izzat hai jisse main bana ke rakhna chahti hoon. Aapke parivaar ke liye aur aapki beti ke liye. Warna mujhe ek second nahi lagega aapko jawab dene mein. Samjhe aap. Samajh gaye toh behtar hai aapke liye bhi aur shayad mere liye bhi.".....
It is raining heavily and wind blowing tremendously. I went and sat on the huge rock nearby under the tree covering myself with saree as it too cold out there.…