Originally posted by: sunflower21
2 days ago:
Siddharth- Joh apne ma baap ka nahi hai woh kissi ka ho nahi sakta.
Today:
Mahira: joh dost ke saath loyal nahi hai woh kisi ke saath loyal nahi hosakta.
Zariwala: joh siddhart ke saath loyal nahi hai, woh kiske saath loyal hosakata hai?
🤣🤣🤣🤣
Mahira beta ke liye to dost maa baap se upar hai, lagta hai Paras ka infection gehra ho gaya. Aaj Sid agar Paras ko kuch bol de to naagin ki tarah lipat jaayegi. Are gadhi, jo apni 3 saal ki girlfriend ke saath loyal nahi raha, woh 4 mahine waali ke saath kya khaak rahega. Doosron ko jhooth bolti hai, pehle Paras se jaakar pooche, kyunki Paras ne ek baar kaha tha ki Sana uske paas aayi to usne apna Tatoo dikha diya akanksha wala yeh kehkar ki meri to bahar girlfriend hai, isliye Sana peeche hat gayi. Sana ke mooh se bhi suna hai ki Paras ne aisa usko kaha tha, to last weekend yeh Tunda Paras kyun bol raha tha ki uska koi relation nahi hai Akanksha ke saath? Kisi ne is baat par sawaal kyun nahi uthaaya.