INDEX
PAGE 1: MADHURI'S INTERVIEW ON HER AFFAIR WITH SUNJAY DUTT
PAGE 5 (post:4 & 6) : ITS-BITS FROM OCTOBER 1990'S EDITION
PAGE 6 (post 3): GOVINDA KA JHOOT (dec 1988)
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Hi friends
So here we go...!!!
the OPENING of Shama exclusives is here for all of you.
I am starting it from Madhuri's exclusive interview about her affair with Sunjay Dutt. (took me almost 2 hours to translate & type :0) ..I have translated the pure urdu words into English in brackets for your ease to understand)
This is taken & translated into roman by me, from the June 1993 edition of Monthly Shama from New Dehli.
ENJOYYYYY !!! :0)
-------------------------------------
"Chatpataa masala chhapnay waalay filmi magazines may Sunjay Dutt aur Madhuri kay romaanvi- lagaao(romantic-bonding) ka zikr pichhlay do teen saal say aa raha hai. Kuch logon ka khayaal hai kay balaa-khaiz (intense) ishq nay dono ko apni lapait may lay rakhha hai, aur Madhuri such may Sunjay dutt ki shaadi shuda zindagi ko ujaadnay par tulee hui hai.
Madhuri kay paas aisay bohut say khat aatay hain jin may ussay dussray ka ghar ujaadnay wali hurkaton say baaz rehnay ko kahaa jaata hai. Bay-rah-ravee(boldness) choddnay kay mashwaray(advices) diye jaatay hain, ikhlaaqi pastee (unethical things) par malaamat (condemn) ki jaati hai, aur sub say badh kay yeh mutaalba (demand) kiya jaata hai keh woh apnay pyar ki khabron ki tasdeeq(confession) yaa tardeed (deny) karnay ki himmat dikhhaey, lekin Madhuri hai keh iss muaamlay may labb(lips) kholtee hee nahi, aur log hain keh andha dhundh qayaasi-ghoday(assumptions) daudaatay rehtay hain.
kuch din pehlay Sunjay Dutt Mauritius may shooting karnay kay baad Bombay waapis aaya. Bombay ki police nay airport par hee ussay dharr liya(arrested). Ussay picchlay dino giriftaar kiya gaya hai, aur police nay pooch gachh kay liye ussay do haftay takk apni hiraasat(custody) may rakhnay ki adaalati ijaazat haasil kar lee hai, issi liye aaj kal Sanju kay saaray producers aur distributors ka pareshaani kay maaray bura haal ho rahaa hai, lekin khud Madhuri Dixit ka kya haal hai?
Sanju aur Madhuri ka choli waala geet aajkal unkay fans kay honto par rehta hai, kehnay waala issay bhonda(absurd/ugly) aur bazaari kehtay rahain, lekin bohut say sangeet kay rassiyya iss geet ko pasand kar rahay hain. Iss geet kay baaray may khud Madhuri ki kya raay hai? yeh maloom karnay kay liye hum NUTRAAJ STUDIO pohunchay, wahaan woh Rajshree films ki "HUM AAPKE HAIN KAUN" kay liye shooting kar rahee thi. Uss kay chehray say udaasi jhalak rahee thi, lekin yeh kaifyat(situation) uss udaas scene ki wajah say thee jo ussay karna thaa. Gham ka paykar(picture) bani hui woh bistar(bed) par nadhhaal laytee hui thee. Uss kay chaaron taraf khilonay phaailay huway thhay jo Rajshree ki filmon may yaadon ki alaamat(indication) hee ho saktay hain, lekin maine Madhuri say iss film ki hadd takk kuch nahi poochha.
Lunch kay waqfay(break) may Madhuri ko kuch minutes kay liye qareeb hee Araadhna dubbing theater bhi jaana thaa, wahaan ussay aik aur film ki dubbing karaana thee aur Rahul Rawail wahaan uskay intezaar may baithha thaa.
Maang(demand) kay muaamlay may Madhuri abb Sridevi ko bohut peechay chodd chuki hai. Aik adakaara(actress) aik shakheeyat(personality) kay toar par woh zyada baa-shaoor(sensible), zyada manjhi hui(polished) nazar aati hai. Iss kay saath woh khud-parasti(self-admiration) kay nashay say bhi duur rehti hai. Aaj bhi woh asmaan ki nahi, dharti ki hee makhlooq(creation) maloom hotee hai. Uss waqt bhi uss ka andaaz yehi thaa jub film industry nay uss par nakaami(failure) ka thappa(stamp) lagaa rakkha thaa, aur abb kamyaabi(success) ki choti(height) par pohunchnay par bhi iss ka yehi rang hai.
Jub woh Nutraaj studio say Hum aapke hain kaun kay set say nikal kar napay-tulay(calculated) tezz qadamon say dubbing theater ki taraf rawaana(started going) hui toh aisi lagg rahee thi jaisay koi college ki ladki apnay ghar waapis jaa rahee ho, yaa koi bank may kaam karnay waali ladki kaam par pohunchnay ki dhun may ho. Baharhaal(anyways) lunch break may hee Madhuri nay mujh say baat-cheet kay liye waqt nikaala.
SAWAAL: Abb tum number one bann chukee ho, kya aaj bhi kisi qisam ka andesha(worry) yaa darr tumhay ghairay rehta hai?
MADHURI: Daikheeyay(see), numbers kay khel ko toh may naa pehlay maanti thee, naa abb maanti hoon, sirf itna keh saktee hoon keh aaj may such-much bohut kamyaab hoon, bohut see achchi filmain meray haath may hain, bohut say achchay banners mujhe milay hain aur bohut say achchay directors kay saath kaam karr rahee hoon. Shaayad itni kaamyaabi bohut zyaada hai aur bohut jaldd(soon) milee hai. Log mujh say bohut zyada ummedain baandhay huway hain. Mujhe agar koi darr hai toh yehi hai keh kaheen may unko maayuus(disappoint) naa karr doon. Apni taraf say may poori koshish kar rahee hoon keh behtareen kaam paish karoon, jiss hadd takk mumkin(possible) ho ranga-rang roles karoon, apni capabilities say bharpoor kaam loon.
SAWAAL: Aur iss kamyabi say zimni(secondary) faaeyday(benefits) kon kon say huway hain?
MADHURI: Aik fayedaa toh yehi hai keh abb may apnay roles chunn kar lay saktee hoon, aisi filmain kar saktee hoon jo may karna chahtee hoon, kamm taadaad(quantity) may filmain lay saktee hoon, kiyun keh zyada filmain leynay say aksay quality par kharaaab assar padtaa hai.
SAWAAL: Film "ZAMEEN" toh adhoori padee hai. Randhir kapoor bhi apni nayi film may tumhay aur Sridevi ko yakk-jaa(united) karna chaahta hai, aakhir tum dono ko aik saath kaam karna qubool kiyun nahi?
MADHURI: Aitraaz(objection) toh hum may say kisi ko bhi nahi, magar achchay roles honay chahiyen, agar mera role......(kehtay kehtay rukk jaati hai) .....mera matlab hai, role qubool karnay kay liye meray paas bhi maaqul(proper) wajah honi chahiye, aur unn (Sridevi) kay paas bhi. Roles aisay hon keh dono ko munasib(proper) aur qubool karnay kay qaabil lagain.
SAWAAL: Kya "Zameen" iss kasuti par poori utartee hai?
MADHURI: Yeh film uss waqt shuru hui thee jub maine adaakari(acting) shuru hee ki thee. Lekin kisi naa kisi wajah say iss ki shooting rukee rahi, aur abb toh iskay sub hee artist masroof(busy) aur apne apne career may kisi naa kisi maqaam(position) par hain.
SAWAAL: Randhir Kapoor kay paas aik aisa project hai jiss may dono ki yaani tumhari aur Sridevi ki zaroorat hai, aur mujhe pata chalaa hai keh tum dono hee aik saath kaam karnay par amaada(agree) nahi ho.
MADHURI: Aapko yeh khabar kahaan say mili? mujh say toh Randhir ji nai iss silsilay may abhi takk koi baat nahi kee hai.
SAWAAL: Number one bann jaanay par, balkay sirf kamyaabi haasil krnay par bhi filmstars ka point of view aur rawaiyya(attitude) badal jaata hai, aik hadd tak zindagi hee ghair-haqeeqi(unrealistic) bann jaati hai, kya tumharay saath bhi aisa huwa hai?
MADHURI: Jub irdgird(surroundings) ki fiza hee banavati(artificial) ho jaye, jub log kisi artist ko star ka darja daey baithain, aur issi baat ko zehen may rakhhtay huway apna rawaiyya badal laeyn, jub iskay saath aisa sulook ho jaisay woh bohut khaas hai, toh uss artist ki zindagi may unrealistic rangg aa hee jaata hai, lekin meray ghar aur meray khandaan may mere saath stars jaisa sulook nahi hota, aur issi wajah say ghar kay logon ki aur bhi qadar(value) karti hoon, inn kay liye mera pyar aur bhi bhadtaa hai. Inn kay saath may khud ko normal mehsoos kartee hoon, aik aam si beti, aik aam si behen, meray ehsasaat(feelings) wohi hotay hain jo aik aam si ladki kay hotay hain, issi liye meray qadam haqeeqat ki dharti say nahi ukhadtaay, mera mizaaj(behavior) naaz nakhron kay asmaan par nahi pohunchtaa.
SAWAAL: Lekin baahar kay bohut say logon ka rawaiyya toh tumhay ehsaas dilaata hoga keh tum bohut bohut khaas(important) ho?
MADHURI: Iss ka daromadaad(dependence) bhi insaan kay apnay mizaaj aur apni tabiyat par hai. May jaanti hoon keh haqeeqat kya hai, asliyat kya hai, roshni aur andhera, utaar aur chadhaao, bulandi(rise) aur pastee(fall) sub zindagi ka hissa hain. Insaan ko kamyaabiyon kay saath nakaamiyaan bhi qubool karni chahiyen. Apnay career kay shuru may mujhe kaafi nakaamiyon ko jhailna padaa. Jub un nakaamiyon(failures) nay mujhe gham say nadhaal nahi kiya toh abb kaamiyaabiyon par may kiyun khud ko satwaen asmaan par samjhoon?
Sawaal: Tumhaaray aur Sunjay Dutt kay romaanvi lagaao (romantic bonding) ka charcha kaafi arsay say ho raha hai, iss may kis hadd tak suchchaai hai? Chaaho toh journalist kay tor par mujhe bataa do, yaa phir dost ki haseeyat say bataa do, magar bataao zaroor.
MADHURI: Sanjeedgi (seriousness) say, "Asliyat yeh hai keh iss kahani may zarra-bharr(even an iota) bhi suchchaai nahi.
(Maine tape-recorder ko off kar kay phir israar kiya keh woh raazdaari ki shart par hee mujhe haqeeqat bataa daey, magar uska jawaab yehi thaa keh koi chakkar hai hee nahi).
SAWAAL: Lekin logon ko toh yaqeen hai keh tum dono kay darmiyaan romaanvi-lagaao(romantic-bonding) hai.
MADHURI: Huaa karay, may aik aik insaan ko toh yaqeen nahi dilaa saktee keh yeh sub hawaiyaan(rumors) hain...yeh sun sun kar toh may tangg aa chuki hoon.
SAWAAL: Khalnayak ki party may jub tum aur Sanju iss film kay music cassettes hum logon ko daey rahay thay, toh tum dono hee alag thhalag say nazar aa rahay thay. Aakhir tum dono achchay dost toh zaroor ho, issi liye sub kay saamnay doston jaisa rawaiyya bhi hona chahiye.
MADHURI: Yeh lijiye, aap nay aik nayi baat nikaal lee. May phir yehi kahoon gee keh pyar viyaar ka koi muaamla nahi hai, log yunhi andaazay(assumptions) lagatay phirtay hain, aur humari hur baat say anokhay(strange) matlab nikaaltay rehtay hain.
SAWAAL: Sunjay par ilzaam hai keh Mumbai bomb dhamaakon may woh bhi mullawwiss(involved) thaa, iss silsilay may tumhara kya khayaal hai?
MADHURI: Bilkul baytukka(senseless) aur bay-bunyaad(baseless) ilzaam hai. Woh aik artist hai, aisay kaamon say uska kya vaasta? waisay may iss muaamlay may kuch nahi kehna chaahti, kiyun keh may kuch jaanti hee nahi, aur jub mujhe ilm hee nahi toh kuch kehnay ka mujhe bhalaa kya haqq hai?
SAWAAL: Achcha maan lo keh Sanju waqaeei(really) mullawiss(involved) nikla toh kya tumhay dukh naa hoga?
MADHURI: (awaaz oonchi kar kay) Kiyun maan loon? Mujhe iss par zara bhi yaqeen nahi hai, iss kay siwa may kuch nahi kahoon gi.
(Interview by: Mohan deep)
----------------------------------------






10