Originally posted by: tanya_91
"GOVINDA KA JHOOT"
(From December 1988 issue of Shama : ORIGINAL LINK in the above stated post)
"Govinda nay humesha inn khabron ki tardeed (rejected the news/called the news false) ki hai keh woh shaadi-shuda hai, aur jub chandd(few) akhbar-naweeso(journalists) nay AIK LADKI SUNITA kay baaray may iss say maloom kiya keh iss say kya chakkar chall raha hai, toh uss nay humesha iss muaamlay(mudda) may khamooshi ikhteyaar(chosen/kept) ki, balkay(infect) apnay kanwaaray-pann ki image ko qaayam(kept in place) rakhnay kay liye Neelum say dosti badhaai, khoob afwaahain(rumors) udaaeen. Lekin pichhlay dino iss kay jhoot ka parda uss waqt faash(exposed) ho gaya jub iss ki biwi Sunita (jisko Govinda nay kabhi apni biwi tasleem/accept nahi kiya) nay aik nursing home may aik bachchi ko janam deya.
Baap bunn-nay kay aik ghantay baad jub Govinda film "jaisi karni waisi bharni" (zara film kay naam par ghor karain) kay mandir kay set par pohuncha, toh producer Vimal Kumar nay apne hero kay intehai(extremely) raazdaari kay saath baap bunn jaanay ki khushi may mithaai baanti, aur taaza taaza baap bunn-nay waalay Govinda nay mandir may asli bhagwan krishan ki murti kay saamnay khaday ho kar pooja ki. Shayad Govinda nay bhagwan say kayi saal takk musalsal(continuously) jhoot bolnay par maafi maangi ho".
10