Happy sat under the tree outside the Temple View hotel. The same tree she had once decorated with Rocky for the first party they ever hosted in the hotel. She was looking at the stars above and reflecting about the changes her life had seen in these past 3 years. The incident today in the hotel, when the Sardarji saved her from falling rattled something within her. She felt like she knew that Sardarji. In fact he reminded her of someone. Someone whom she had not remembered in these past three years. Not because she didn't want to remember, but because she had never forgotten him.
Rocky. Pata nahi aaj teri itni yaad kyu aa rahi hai? Pata nahi kyu, un Sardarji ko dekh ke mujhe teri yaad kyu aayi? Us Rocky ki, jo mera sabse accha dost tha, us Rocky ki nahi jisne meri behen ke sath asault kiya... Aaj teen saal ho gaye Rocky, tuze saja hoke... par pata nahi kyu, mujhe ab bhi kahi na kahi lagta hai ki jo maine kiya wo galat kiya...
Maine tere khilaaf gawahi to de di, kyuki meri behen ki zindagi ka sawal tha aur saare saboot tere khilaaf the... Par phir bhi Rocky, pata nahi kyun kahi na kahi mera dil ab bhi ye manne ko taiyaar nahi hai, ki tu aisa kar sakta hai... Jab bhi Mammi ji aur Biji ki aankhon me apne liye nafrat aur tere upar bharosa dekhti hu, toh lagta hai jaise mujhse sachme bohot badi galati ho gayi... Shayad wo dono sahi hai aur main galat...
Jab tu jail me ja raha tha, tab teri aankhon me maine kuch dekha tha... Jaise mujhse keh rahi ho, ki tune mujhe maaf kiya... jaise tere khilaaf bayaan dekar maine galati ki, par tune uske liye mujhe maaf kar diya... meri aankhon me tere liye nafrat thi, aur teri aankon me sirf khamoshi... Ab bhi teri wo aankhen kachotati hai mujhe Rocky... Kahi na kahi ab bhi wo mujhe ye ehsaas dilane ki koshish karti hai ki main galat thi... Maine jo kiya sahi nahi kiya... Kyu Rocky kyu??? Kyu ab bhi mujhe tujh par bharosa hai? Kyu ab bhi mujhe lagta hai ki maine jo kiya galat kiya??
Aur tujhe pata hai sabse buri baat kya hai Rocky? Ki jis behen ko insaaf dilane ke liye, meri jis bacchi ke liye, meri jis smiley ke liye maine ye sab kiya... wo Smiley mujhse nafrat karti hai...sirf isliye kyunki main uski baat nahi par tujhe sahi maanti thi... isliye kunki maine tujh par bharosa kiya tha... Wo mujhse nafrat karti hai kyunki maine uski daleelon ko galatfehemi aur teri daleelon ko sahi maana... Tujh par kiye hue us bharose ki wajah se mujhse meri khushiya chhin gayi...
Par kyu? Kyu kiya maine tujh par bharosa... aur kyu ab bhi mujhe tujh pe wo thoda vishwas baki hai?... kyu tu meri life ka wo hissa ban gaya hai jise main chah kar bhi bhula nahi sakti?
"KYU ROCKY? KYU???", she cried out loud and tears started rolling out her eyes.
In another part of the city...
Rocky sat on the bench in front of Chintu's tea stall. He looked at the bandage Chintu wrapped on his palm and recalled the morning's event. He got that wound while saving her. He smiled lightly as he remembered her scared face while she was falling. Her beautiful face ,with eyes tight shut, and the innocent fear on it. She looked gorgeous. Wo hamesha se hi khubsurat thi. He reminded himself and smiled.
But his smile soon faded as he remembered her hugging RV. He had felt a pain when he saw her in RV's arms. Why he didn't know. But it felt wrong to see her with him. Was he her best friend now? Did RV replace him in her life? Did she really forget about him? All these questions were clouding his mind. Kya tu sach me mujhse nafrat karti hai Happy?
"Nahi", he said to no one in particular.
"Kya hua Bhaiyya?", chintu asked him, but he didn't seem to hear him and looked up at the stars lost in his own thoughts.
Nahi Happy. Main janta hu ki tu mujhse nafrat nahi karti. I know ki kahi na kahi tujhe mujh par bharosa hai. Jab main sabko chilla chilla kar bol raha tha ki maine kuch nahi kiya hai, tab kisine meri baat nahi maani sivaay tere. Maine teri aankhon me dekha tha Happy, ki tu samajh rahi hai main kya kehna chahta tha... Ki tujhe dikh gaya tha ki main begunaah hu...
Tune us din court me jo gawahi di, uske liye main tujhe bilkul dosh nahi de sakta Happy. Kyunki main janta hu ki sach ko chhupakar tere saamne jhuth rakha gaya... Mere khilaaf jhuthi gawahi di gayi... ab saare saboot mere khilaaf the to tu bhi kya karti Happy!
Us din jab main jail ja raha tha, tab teri aankhon me maine nafrat nahi gussa dekha. Guss aur kuch aur bhi... Unme maine sawal nahi dekha ki maine tera bharosa kyu toda, balki wo thodasa bharosa dekha jo shayad tujhe tab bhi mujh par tha... Aur tere usi vishwas ne shayad mujhe himmat di, apne aap ko begunah sabit karke dikhane ki... Isiliye main vapas aaya hu Happy.. Aur chahe jo bhi ho jaye, main apni begunaahi ka saboot haasil karke rahunga. Main apne aapko begunaah jarur sabit karunga... Tere bharose ko is baar tootne nahi dunga main Happy.
Afsos to bas is baat ka hai, ki wo jo ratti bhar vishwas tujhe mujh par hai, kash tune us par vishwas kar liya hota.
He closed his fist determinedly. He knew his mission now. He had to get the proof of his innocence. He had to prove himself innocent, so that he could gain everyone and Happy's trust again. He had to get her trust back. He had to return her smile to her. But why? He could not understand. Why was it so necessary for him that she trusted him? Why does he want her to be by his side again? Why was it that her trust only gave him the power to fight for justice? Why does he want her to be always happy? Why?
Main nahi janta Happy ki tera sath, tera bharosa, teri dosti mere liye itni jaruri kyu hai? Main nahi janta ki aaj tujhe RV ke sath dekh kar mujhe takleef kyu hui? Main nahi janta ki main tujhe apne sath kyu chahta hu? Main nahi janta ki teri muskurahat mere liye jaruri kyu hai?
Bas itna janta hu ki hai! Teri khushi, teri hasi, teri dosti aur tera sath mere liye sabse jyada jaruri hai... Ab ye kya hai aur aisa kyu hai, main nahi janta. Aur na hi janna chahta hu. Main bas itna janta hu ki tu meri life ka sabse important hissa hai. He smiled and closed his eyes to feel the cool breeze calm his mind.