N ko khate dekh Sam confused toh N offered chakli, Bela ne salah di thi bole. ( aur bhi bahot kuchh salah di thi Naina jo humne toh nahi suna tha par tumne toh suna tha na SR ke baare mein, woh bhi impliment karo toh jaanen)
Sam ka angry avatar, tumhara koi standard hai bhi ya nahi, dressing sense, shoes yeh woh ( standard hai isliye toh MMS sahi salaamat hai beta warna aaj hospital mein hote aur ab tu bhi)
Sach mein Naina main tumhen Ahmedabad se toh bahar le aaya par tumhare andar se Ahmedabad nahi nikaal paaya. ( waise kaam toh easy ho gaya na Sam babu kyunki wapas jaa ke phir Ooty bahar nikaalna padta aur Ahmedabad andar daalna padta, pata nahi Naina devi yeh karne deti bhi ya nahi)
N ke ek aankh mein aansu ( pata nahi hamesha kaise kar leti hai aisa)
N VO affair kitna bhi lamba kyun na ho shaadi ke baad yeh sawal ki maine iss Lallu se shaadi karke galti toh nahi ki ( pehle club walon ko gaali, ab Sam ke liye Lallu aur elder Naina pakka IF walon ke liye bolti hogi saalo kaam dhande chhod ke mujh pe research karte ho)
Itna sunne ke baad bhi N ka aansuon ke saath chakli khana was hilarious ( poori baap aur Tai pe gayi hai)
Sam ka aadhi raat ko uth ke five star hotel ke king size bed pe chakli khana was hilarious.
Sam VO ka meri Naina toh banta hai ( aakhir SK3M ko SCKM ( Sameer Chakli Kumar Maheshwari jo bana diya tha)
Aur ab return gift milega N ko.
Morning mein romantic breakfast as a return gift. Sam ne rose dete huye shayeri boli N ke liye
Aayi ho zindagi mein meri ho koi khwaab jaise
Yun na sharmao ho rahe hain gaal laal iss gulab jaise
( Ooty aa toh gaye hain HM pe jaise taise
TP kar ke chubhayenge CVs kaante iss gulab jaise)
Sam ne N ko gulab diya ( aur N ne ghonsle mein lagaya toh andar chala gaya aur poore 15 minutes lage khojne mein)
BG aye kaash ke hum hosh mein ab aane na paayen pe Samaina ka romantic breakfast ( kabhi haan kabhi na ka song choose karke CVs ne bata diya diya jab inka haan hoga tab hamara na hoga)
Ab Aashiqui jacket wala pose copy karenge and failed attempts. ( waise Sam ko jacket daalne ke baad utha ke kyun dekhna hai? Agar andar sahi kaam karta toh pic bhi milta aur khwahish bhi poori hoti, aam ke aam guthliyon ke bhi daam aur jaan chhutti hamari)
N VO ne bata diya reel khatam ho gayi par sahi pose na mila par woh atrangi yaaden sahi hain. ( zara Sam se bhi puchh ke batana Naina kya uska bhi yahi khayal hai?)
N ne kas ke back hug kiya aur Sam relaxed, phir cheek kiss kiya toh Sam happy.
PreeNa phone call aur N boli do din se book ko haat tak nahi lagaya hai (do din nahi Naina, do mahine bolo)
Preeti darling ko sab pata karna hai kya kya kiya ( jaan ke kya karogi Preeti yahaan french kiss toh duur ki baat ek bhojpuri kiss bhi nahi hua)
Bela ne jab kaha ki HM pe ladkiyon ko ek kaam karna padta hai aadmiyon ko khush karne ke liye ( toh mann mein laddoo phuta)
Bela toh Bela hai, gande kapde dhone ki salah
( chachi ki salah ke sahaare hum huye na tumhare, ab Bela ko kya pata shaadi ke baad 5 nights aur Ooty mein bhi kismat phooti)
N VO ka abhi tak aap ne dekha Samaina ka sundar sapna aur ab dekhiye uss sundar sapne ka tootna( waise abhi tak bhi hum ne sundar sapne ka tootna hi dekha hai).N ne kapde dho daale.
Sam ne dress select karke diya toh N ka jo hukum mere aaqa, phir N boli HM se jaate hi T. Y ke final exams hain thoda padh len toh Sam bola jo hukum mere aaqa ( head of CVs ka french kiss/lipkiss ko delay karke thoda TP karen toh baaki CVs bole jo hukum mere aaqa)
Sam ki lipkiss ki koshish on BG dil karta hai tere paas aaun
End mein N ka sardi aur zukaam kiss ke beech mein aa gaya.
Precap: N sneezing every now and then. ( aur lagta hai title ki movie ki tarah jab tak 12 ke 12 CVs iss baat pe nahi maan jaate ki ab kiss hona chahiye tab tak yeh faisla ruka hi rahega)
P. S... After a long time made posts for all 5 epis in a week.