"Rudra aa mere saath tu apne bhai ke saath aaj so ja, Om bhi hoga hum poori raat masti karenge"
"Om kya kar raha hai bhai, sara saman phela ke rakhe hai, tere paint se mere shoes red ho chuke hai"
"Om Rudra kaha ho tum dono, kamre mein ho ya chalegaye, mein bohot jald tum dono ko pakad lunga"
"Rudra kya haal bana ke rakha hai mere kamre ka...bhai mujhe apki ghadi chaiye thi mil nahi rahi... aaa bhai kaan mat khicho dard ho raha hai...pagal agar watch mere hath mein hai toh room mein kaise hogi, room ke yeh halat karne se phele pooch toh leta, ab watch phen and party ke liye nikal, already late ho"
"Kya hai...what kya hai shivaay...tu itna ready ho ke kaha ja raha hai... tu itna old ho chuka hai ab se bholne laga, aaj competition hai painting ki...old mein nahi tu hogaya hai jo tum bhol chuke ho ke tumhe kal high fever tha...fever kal tha aaj nahi hai... ho ya na ho tum aaj aram karoge... shivaay ruk darwazze band karke kahan ja rahe ho...room band karke, sabhi ko door na kholne ke orders de kar half an hour ke baad call kyun kar raha hai...gussa chod aur bata tere aaj ke painting mein kaunse colours use karenge...what????...mein tere competition mein hoon,judge se baath hui hai, unho ne kaha tere jagha mein paint kar sakta hoon Lekin instruction tu de ga...Lekin shivaay aaj meeting thi...wo postponed karwa li, competition postponed karwata toh tujhe acha nahi lagta janta hoon."
------------
Om (monologue): kya kar raha he tu pagal, tere chote bhai ko teri zarurat hai, usse support karne ke bajaye tu ro raha hai, aaj tak shivaay ko tootthe dekha hai...main nahi kar paunga, mein unke jagha nahi le sakta, unke tarha strong nahi ho...ho ya na ho tujhe banna hoga, wo bhi banna tu bhi banega aur aaj tak toh kiya tha tu ne Rudra ko protect...tab shivaay saath tha...shivaay tujh se naraz nahi hoga jab hosh aane baad usse pata chalega ke tu ne family ko support nahi kiya...nahi mein humari family ko tootne nahi dunga, I will stand by them, mein disappoint nahi karunga usse.
Om went to Rudra who had drifted to sleep catching shivaay's hand and ruffled his baby brother's hair.
Om: uth ja Rudra, Der ho chuki hai, canteen ja kar kuch kha le, bhook bardasht nahi hoti tujh se.
Rudra: mmmuujjjhe bhhaaai ke saaath rrreheennnaa haai.
Om: shivaay jab uthe ga aur usse pata chalega ke tu bhoka raha uski wajhe se toh usse acha lage ga kya.
Rudra (innocently): agar meri khaunga bhai khush honge
Om: hmm
Rudra: okay
Rudra (monologue): janta hoon aap andar se toote ho phir bhi mere liye strong hone ki acting kar rahe hai, mein bhi strong banunga. Shivaay bhaiya hum dono par proud honge.