The Real Love/CID story/Final Part Pg#2

Kousar-Aditya thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#1
1st scene:
"ACP sir , Dr. Patel hamarey desh ka bohot bara sarmaya hein, unhein kisi qeemat pe bhi kuch nahi hona chahiye,chahey aap ko poori force kiun na lagana parey, aap ko inhein save rakhna he"Kernel ordered to ACP Perduman in Hq.
"Yes sir, me or meri team jaan lara degi magar Dr. Patel pe aanch nahi aaney degi, aap chinta mat karein, sir" ACP Perduman answered,
"OK, You may go now" Kernel said and ACP saluted him
...*********...
2nd Scene:
Daya Operates computer, Abhijeet reads a file , Purvi and Sherya discussed a case, while ACP Perduman entered in Beaurue , all are attention
"Good morning Sir, Good morning Sir" every cop said One by one, but ACP sir not replied and go to his office
Daya stood and came to near Abhijeet: "Boss aaj to ACP sir ka mood kuch kharaab lag raha he"
Abhijeet is also noticed it , he replied,"Haan, Daya , Mujhey bhi kuch gadbad lag rahi he, magar abhi kal hi to wo serial killer ka case solve hua he, ACP sir to bohot khush they kal tak Prime minister ne phone pe unko badhai bhi di thi, ek din me achanak kia ho gaya?"
"Daya , Abhijeet yahaan aao"ACP sir calling DUO, they looked to each other and then go to the office
ACP sir sitting on his chair, he is looking in tension. he told them "Sit down"
"Kia baat he sir, aap bohot pareshaan lag rahey hein" Abhijeet asked
"Kesey pareshaan na hoon Abhijeet , baat hi aisi hey, abhi me Hq se aa raha hoon, pata he Kernel bhatnagar ne mujhey kiun bulaya tha?" ACP asked them and then told" Dr. Patel ki raksha karney ke liye"
"Dr. Patel , ye wohi doctor Patel hein na jo Biological bomb pe research kar rahey they"Abhijeet asked
"Haan wohi Dr. Patel, ab unki research final stage me dakhil ho chuki hey" ACP sir replied
"Magar sir Dr.Patel ka to 2 saal pehley dehant ho chuka he" Daya asked confusely
"Ye Govt. Plan tha tum to jantey ho ke UNO ki taraf se biological weapons pe rok lagai gai he, magar Har desh me yahan tak ke khood America me bhi chori chupey ye weapons banaye ja rahey hein ta ke agar koi desh Biological weapon se hamla kar de to is ka jawaab dia ja sakey, magar officially koi desh ye nahi maanta ke wo ye weapons bana raha he, CIA walo ko is baat ki bhanak lag gai thi ke Dr.Patel aisa hathyaar bana raha he, is liye sarkaar ko unki accidental death show karni padi" ACP sir told detail and DUO understood that this situation is so serious
"Aur ab jab unka paper work complete ho chuka he or weapon bananey ka kaam start ho gaya he, un ko dhamkiyaan mil rahi hein, jab ke wo ek khufia laboratory me bhes badal ke kaam kar rahey hein, magar phir bhi najaney kesey kisi ko unke barey me jaankari mil gai"ACP sir Said, he was in so much tension
"Un ke pareewaar waley ya doston se kisi ko khabar mil gai ho gi" Abhijeet guessed
"Nahi Abhijeet, un ke pareewaar me koi nahi he, parents to kab ke mar chukey, or shaadi unhoon ne ki nahi, koi bhai, behen bhi nahi, aur un ke kisi dost ko unke is roop ke barey me nahi pata"
Acp answered
"Ye to waqai bari chinta ki baat he sir"Daya said
"Haan, aur is se ziyada chintaa ki baat ye he ke us lab me ziyada log reh nahi saktey, aur sirf scientist hi wahan reh saktey hein, kiunke wahan itni nazuk cheezein aur Viruses hein ke ghalti se bhi insaan us ko choo ley to uski death ho jaye"ACP replied
"To Sir Dr. Salunkhey ko bhej dein wahaan" Abhijeet gave suggestion
" me ne bhi yehi socha tha magar Dr. Salunkhey ko sab hi jantey hein, agar wo ziyada dino ke liye ghayab hua to underworld se le kar doosrey desh ke logo tak ko khoj lag jayegi"ACP sir replied
"To Dr. Tarika ko wahan bhej detey hein, wo to wesey bhi Ahmedabaad jati rehti he apney pareewaar walo se milney, kiun Abhijeet?"Daya Said to ACP and then Abhijeet
"h..haan kiun nahi, Dr. Tarika wesey bhi bohot genius hein wo sambhaal sakti hein sab."Abhijeet replied
"Haan ye theek rahega, me abhi Tarika ko call karta hoon" Acp dialed the number.
...********...

3rd Scene:

"Arey yaar Daya kia zaroorat thi Tarika ji ko bhejney ke liye kehney ki" Abhijeet says annoyingly

"Kiun boss kia hua" Daya surprised

"Kitna khatra he wahan, aur Tarika ji akeli"Abhijeet looking in tension

"Arey yaar Tumhein koi shak he Dr. Tarika ki salahiyaton per" Daya asked

"Arey nahi yaar shak to nahi he, bas chinta he"Abhijeet said

"Tum kaho to Tumhein bhijwa doon saath" Daya said and winked the eye

"Haan Tum ne kaha aur ACP sir or Dr. Salunkhey ne bhej diya"

They were going to the Forensic lab and talk with eachother

Finally they entered in lab

"Hello Dr. Tarika" Abhieet says with romantic cute voice,"Salunkhey sahib kahaan hein, nazar nahi aa rahey, kahin sara kaam aap pe chor ke chutti pe to nahi nikal gaye"

Tarika smiled

"Aap ki nazrein ek chehrey pe se hateingi to aapko kuch or nazar ayega na bhai sahib, aur hum dono me phoot dalwaney ki koshishein mat kia karo"Dr. Salunkhey came outside from D.N.A test room

"mmm.mein ne kab photo dalwai, me to ye pooch raha tha ke Salunkhey sahib nazar nahi aa rahey , kahin tabiyat to kharaab nahi unki"Abhijeet said with innocent face, Daya and Tarika smiled

"haan pata he mujhey sab, kia keh rahey they tum, aur ye kia naya chakkar chalaya he tum logo ne Tarika ko kahan bhej rahey ho"Salunkhey asked angrily

"Acp sir ne bataya nahi Aapko"Daya asked

"Nahi bas keh diya confidential he, mujhey pata he ye Abhijeet sahib ka kaarnaama hoga apney saath le janey ke liye"Salunkhey said and Dr. Tarika blushed

"Arey Dr. Sahib hamarey aisey naseeb kahaan, Aap ke aur ACP sahib ke hotey huey aisa mouqa kahan mil sakta he mujhey" Abhijeet said with cold breath

"Dr. Tarika ham waqai aap ko le janey hi aye hein abhi, Aap abhi ACP sir ke saath ja ke Minister of Science se mil lein wo aap ko sab samjha dein gey"Daya said

"Jaoon Sir"Tarika asked to Dr. Salunkhey

"Dekho le ke to ja rahey ho isey lekin mujey ye sahi salamat wapis chahiye"Salunkhey said

"Aap chinta mat karein in ki salamti ki parwah hamein apni jaan se bhi ziyada he sir" Abhijeet said and Tarika again blushed



To Be Continue...


Edited by Kousar-Aditya - 9 years ago

Created

Last reply

Replies

10

Views

1.3k

Users

3

Likes

9

Frequent Posters

sherdilali thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#2
Sorry dear I don't read AT flirting stuff
Kousar-Aditya thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#3

Originally posted by: sherdilali

Sorry dear I don't read AT flirting stuff

hehe😆
why do u think I do work as FW😉
it is not flirting story
plz wait to next part😳
sherdilali thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#4
If you dont work like FW then what is this

"Hello Dr. Tarika" Abhieet says with romantic cute voice,"Salunkhey sahib kahaan hein, nazar nahi aa rahey, kahin sara kaam aap pe chor ke chutti pe to nahi nikal gaye"
Tarika smiled
"Aap ki nazrein ek chehrey pe se hateingi to aapko kuch or nazar ayega na bhai sahib, aur hum dono me photo dalwaney ki koshishein mat kia karo"Dr. Salunkhey came outside from D.N.A test room


Acp sir ne bataya nahi Aapko"Daya asked
"Nahi bas keh diya confidential he, mujhey pata he ye Abhijeet sahib ka kaarnaama hoga apney saath le janey ke liye"Salunkhey said and Dr. Tarika blushed
"Arey Dr. Sahib hamarey aisey naseeb kahaan, Aap ke aur ACP sahib ke hotey huey aisa mouqa kahan mil sakta he mujhey" Abhijeet said with cold breath

Kousar-Aditya thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#5

Originally posted by: sherdilali

If you dont work like FW then what is this

"Hello Dr. Tarika" Abhieet says with romantic cute voice,"Salunkhey sahib kahaan hein, nazar nahi aa rahey, kahin sara kaam aap pe chor ke chutti pe to nahi nikal gaye"
Tarika smiled
"Aap ki nazrein ek chehrey pe se hateingi to aapko kuch or nazar ayega na bhai sahib, aur hum dono me photo dalwaney ki koshishein mat kia karo"Dr. Salunkhey came outside from D.N.A test room


Acp sir ne bataya nahi Aapko"Daya asked
"Nahi bas keh diya confidential he, mujhey pata he ye Abhijeet sahib ka kaarnaama hoga apney saath le janey ke liye"Salunkhey said and Dr. Tarika blushed
"Arey Dr. Sahib hamarey aisey naseeb kahaan, Aap ke aur ACP sahib ke hotey huey aisa mouqa kahan mil sakta he mujhey" Abhijeet said with cold breath

in sab ka matlab he
Bari khushi k liye
thori si deir bardasht😉😉
Kousar-Aditya thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#6
(Part 2)
1st Scene:
The minister of health came to the office and ACP sir and Dr. Tarika stood for his respect.
"Sit down Plz" Said Health minister Manohar laal.
They all sat
"Sir, ye hamari forensic ki expert Doctor hein, Doctor Tarika" ACP sir said
"Aap ko kia lagta he, itney important kaam ke liye ye munasib raheingi, means itna khatarnaak kaam he or ek larki...aap samajh gaye hongey ke me kia kehna chah raha hoon" Manohar laal said
"Sir, aap chinta mat karein, meri team ka har member khood ek team jesa he, ye na sirf ek achi scientist he, balke ek trainy cop bhi he" ACP sir replied
"Sir aap chinta mat karein, me Dr. sahib ki hifazat ke liye jaan lara doongi magar un pe aanch nahi aaney doongi"Dr.Tarika also said
"Theek he, agar ACP sir aap satisfy hein to theek hi hoga, me shekhar ko bulaata hoon wo us secret lab ka security incharge he, wo hi in ko wahaan le jaye ga"Manohar laal said and called the shakher.
...
2nd Scene:
"Or kitna samey lagega formula haasil karney ke liye, ek ek pal bhaari par raha he hamarey liye, aur ab to CID bhi is case me involve ho gai he" A Cruel man with covered black mask said
"Sir hum poori koshish kar rahey hein sir" An other man said
"Koshish, koshish, koshish, ek mahina ho gaya he mujhey ye sab suntey huey, itni mushkilo se tumhein us secret lab me is liye adjust karwaya tha ke tum bas yehi kaho" Mask man Shouted
"Sir aap to jantey hein wahan security kitni sakht he, chappe chappe pe cctv cameras fix hein, wahan ke workers ke ek ek baal ki cheking hoti he magar in sab ke bawjood hum apney maqsad ke bohot qareeb pohonch chukey hein, formuley ka paper work complete ho chuka he uska pehla test experiment kal he usi test ke doraan me wo formula ura loonga sir , believe me"Other man said
"Ok , kal aakhri din he tumharey paas, mujhey har haal me wo formula kal hi chahiye, and that's all" Mask man warned to other man
...
3rd scene:
All scientist weared special dresses with masks, A box put on the table which is in the center of room
the box full with the live rats, frogs and snakes in different parts of Box
all scientists are silent
a Scientist standing in a centere he hold a pencil type machine
he ups his hand in slow motion and press the tip of pencil machine
blue rays spread toward the box
all people looking it excitedly
oh, all animals are died at a time
"Hurrah me kaamyaab ho gaya, mera ye formula khuski, tari, me rehney waley sab logo ko hilaak kar sakta he, is se hum dushmano pe bhaari raheingey" Dr. Patel jumped as like dancing
Suddenly they all are shocked
A loud sound heared every person
"Ye ye to alarm ki awaaz he, safe room ke alarm ki"a doctor said afraidly
"Oh hamara formula safe room me hi he," Dr. Patel say loudly and all ran toward Safe room, when they arrived there, also shocked, a girl who wearing scientist dress lying on the floor, she holded a file
"Oh. ye ye to Dr. Tarika he, ye yahan safe room me kia kar rahi thi, or formuley ki file is ke paas kesey, isey to protection ke liye rakha tha, acha hua ke super computer ne alarm ki waja se yahan rays fire kar din or ye behosh ho gai, warna formula to gaya tha"Dr.Patel Shouted
"Me baat karta hoon Minister sahib se, kis ko bheja he yahan or is ne kia kia he"


to be continued...
Edited by Kousar-Aditya - 9 years ago
sherdilali thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#7
Agar story mein bhi yeh sab bardash karna hai tou kiya faida story padhne ka banda episodes hi dekh le aur bardasht kar le
Kousar-Aditya thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#8

Originally posted by: sherdilali

Agar story mein bhi yeh sab bardash karna hai tou kiya faida story padhne ka banda episodes hi dekh le aur bardasht kar le

hehe😆
episode ka end apni marzi ka nahi hota😉
Kousar-Aditya thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#9
Part 3
1st scene:
"Ye kesey ho sakta hey , Tarika aisa nahi kar sakti boss, un logo ko kuch ghalat fehmi hui hey"Dr. Salunkhey said to ACP Perdyuman
both person sat in a car which go to the Dr. Patel's lab
"To me kab keh raha hoon salunkhey ke Tarika ne ye sab kia he, me ne to tumhein wohi baat batai he jo Dr.Patel ne mujhey batai, mera to khood dimagh ghoom gaya he, maamla itna seedha nahi he, salunkhey kuch to gadbad he lab me kuch to gadbad he"
"Sir lab aa gai he, aap dono ko pehley is checking room se guzarna he jo samney he, jab clear ka kaution mil jaega tab aap logo ko ek computer card milega jis pe aap ka code ho ga aap wo le k wapis ayein ge phir hum lab ke main gate ki taraf jaein gey, bina card ke koi wahan nahi ja sakta" Shekhar said
ACP and Salunkhey looked eachother,
then they get rid off and go to the checking room, "Barey sakht intizaam hein checking ke"Salunkhey said , he looked all checking machinery
"Haan sab se ziyada secret lab he ye, check to hoga hi"Perdyuman said,
when they cross the room a computer card got from the exit door box
they returned and again travelled in the car , after 5 minutes they reached to the lab
they entered their cards in the hole of main gate and gate is opened
a long coredor was there when they crossed it the colourful lights of the roof twinkled
"Oh laser checking" Salunkhey said
after the coredor a guard stood up he saluted them and arrived them in a room
where Dr. Tarika sat on a chair and 3 scientist stood there
The colour of Dr. Tarika was very pal and seems to be she starts crying after few seconds
"Tarika bachi kia hogaya he, are you alright" Dr. salunkhey asked worriedly
"Bohot Khoob Aap Mujrim se hi us ki khairiat pooch rahey hein"A scientist said
"Mujrim nahi he ye " Salunkhey shouted
Tarika start crying to see them
"Sir..Sir ye log pata nahi kia kia keh rahey hein, ye keh rahey hein me ne formula churaya he, sir me to uski protection ke liye aai thi to me usko kiun churaoongi sir"Tarika cried
"To hum jhoot bol rahey hein, ye cctv photage jhoot bol rahi he" Scientist also shouted
"Ek minute, Tarika tum shant ho jao, aap kon?"ACP said to tarika and tahn scientist
"I'm Dr.Patel" Scientist said
"Oh to aap hein Dr. Patel, Dr. Sahib zara mujhey detail se bataein ke hua kia tha"ACP asked
"Hum sab conference hall me test experiment kar rahey they ke achanak safe room se Alarm ki awaaz aai, jab hum wahan pohnchey to safe khula hua tha jab ke iska password bhi merey ilawa kisi ko maloom nahi tha, or Ye larki Tarika wahan Automatic protection rays ki waja se behosh pari thi, kiunke jesey hi safe ke door pe merey ilawa kisi ke haath lagtey hein wahan ka super computer apna kaam start kar deta he, Aap se me ne apni protection ke liye help aangi thi mujhey nahi pata tha ke aap ki team me criminals bhi mojood hein" Dr. Patel said angrily
"Hamari team ka koi member criminal nahi he, mujhey apni team ke her member pe khood se ziyada wishwaas he"ACP said
"To aap ke khayal se me India ka sab se bara scientist jhoot bol raha hoon, ok to ye Dr. bhatnagar, dr. Swathi, Dr. Narayan sab jhoot bol rahey hein ye log bhi us waqt merey saath they, aur sab se bari baat ye CCtv photage bhi fake he" Dr. Patel was annoying
"aap hamein wo cctv photage dikhaein" ACp said
Dr. Patel said them to go to security room with him. In CCTv photage they saw that Dr. Tarika entered the room and press some button of safe,when the safe opened an alarm sound appeared and Dr. Tarika fell on the floor
"Sir ye ye jhoot he mujhey to is safe ka code bhi maloom nahi he me isey khol kesey sakti hoon"Tarika watched the recording unbelievely
"Magar Photage me to tum hi safe kholti hui nazar aa rahi ho"ACP said
"Mujhey to khood is baat pe hairat he ke is larki ko code pata kesey chala, agar isey aap logo ne nahi bheja hota to me isey intelligent walo ke haath giriftaar karwa chuka hota" Dr.Patel said
"Dekhein Dr. Patel me mujrimo ko bilkul bhi riayat nahi deta chahey wo mera beta hi kiun na ho, hum is cse ki poori chaan been kareingey aur pata lagaeingey ke ye sab maamla kia he, jab tak aap ke saath hamara ek janbaaz officer rahega"ACP sir said
"Wo officer bhi aisey hi mera formula churaey to? nahi ab mujhey aap logo pe wishwaas nahi" Dr. Patel said. ACp controlled his temperament
"Aisa nahi he wo officer koi aam officer nahi he, hamarey department ki naak he, Senior inspector Abhijeet jis ka naam sun ke hi achey achey Mujrimo ki sitti bitti gum ho jati he, or agar phir bhi kuch masla hota he, to aap mujhey phaansi pe charhwadena" ACP said wth confident
"Ok aap ki Tareef mujh se prime minister sahib ne ki thi is liye me aap ki baat pe wishwaas kar ke ek or risk leney ke liye tayyar hoon"Dr. Patel breathed longly
"Salunkhey safe room se sarey finger prints utha lo" ACP said to Dr. Salunkhey
"Yess boss" Salunkhey said
and ACP was thinking deeply
...
2nd scene:
In CID beaurue all officers was shocked when they listen about Dr. Tarika
Abhijeet has gone to the Dr. Patel's lab,
"Mujhey to wishwaas nahi ho raha ke Dr. Tarika aisa kuch kar sakti hein"Sherya said o Purvi
"Tumhein kia kisi ko bhi wishwaas nahi ho raha, aakhir wo aisa karegi hi kiun"Purvi replied
"Magar wo CCtv photage..." Sherya did not complete his sentence by interrupting the phone bell
"Yes inspector Purvi here" Purvi picked the receiver and said
"Perdyuman kahan he us ka phone bhi band ja raha he"Salunkhey said from other side
"ACP sir to apney office me hein ek minute me abhi connect karti hoon " she said and pressed extension "sir Dr. Salunkhey here"
"Haan salunkhey bol kia hua" Acp asked him
"Kahaan ho yaar kab se tumhara phone try kar raha hoon"Salunkhey said
"Haan wo phone ki battery khatam ho gai thi charge pe lagaya he, kia koi surragh haath laga he is paheli ka"
"Haan boss, bohot bara surragh haath laga he, dekho gey to hosh ur jaeingey"Salunkhey replied
"To bata na suspense kiun create kar raha he" Acp said
"Aisey nahi lab me aao, phir batata bhi hoon aur dikhata bhi hoon" Salunkhey said and put off reciever
...
3rd Scene:
ACP perdyuman, Daya, Purvi and Sherya entered in forensic lab. Dr. Salunkhey sat on a chair with very disappointed mood
"Kia hua salunkhey hamein dor lagwa di aur khud yahan aaraam se betha he, bata kia pata chala" ACP asked
"Boss"Salunkhey raised his hand and looked in ACP eyes "Chori Tarika ne hi ki he"
"Kia , ye kia keh rahey hein Dr. Sahib, Tarika aisa kesey kar sakti he" Daya asked
all cops were sshocked
"Safe pe mojood finger prints Tarika ke hi hein" Salunkhey replied
"Magar sir agar Tarika ko aisa kuch karna bhi hota to wo gloves pehen ke karti aakhir wo ek cop he koi common irl to he nahi, wo aisa kiun karegi" Purvi asked
"Kiunke us ne jis waqt ye sab kuchkia wo apney hosh me nahi thi"Salunkhey replied
"Ye tu kia keh raha he Salunkhey hum sab ne wo photage dekhi he, wo hosh me hi thi"ACP hesitated
"Nahi boss us waqt wo apney hosh me nahi thi balke kisi ke control me thi"
Salunkhey replied
"Aap ka matlab Hypnotism Dr. Sahib" Daya asked
"Nahi Daya Pirthivi raaj waley case ke baad hum ne sarey cops ke brain ko Hypnotoize proof bana diya tha ye to tum jantey hi ho"Salunkhey replied
"Jabhi to me hairaan hoon sir"Daya said
"Sir aap hi to abhi keh rahey they ke wo kisi ke control me theen" Sherya took side of Daya
"Haan to me to abhi bhi yehi keh raha hoon" Salunkhey replied
"Kia salunkhey itney serious masley pe bhi tujhey mazaq soojh raha he, hum sab bohot pareshaan hein, baat hamarey department pe aa gai he HQ se order aa gaye hein Tariko ko suspend karney ke or tu paheliyaan bujhwa raha he, seedhi seedhi baat bata"ACP said angrily
"Tum sab se ziyada me pareshaan hoon boss, magar soch raha hoon bataoon kesey" Salunkhey replied "Tum Telepathy ke barey me jantey ho"
"Telepathy , ye kia hota he sir" Sherya asked
"Ye ek technique he Hypnotism ki tarha magar us se ziyada powerful, is ki madad se insaan ek desh me beth ke doosrey desh ke insaan ke brain ko control kar sakta he sirf apni soch ki lehron ki madad se"Salunkhey said
"oh itni khatarnaak technique" Daya said
"Suna to he me ne bhi is ke barey me, to tumharey kehney ka matlab he ke Tarika pe telepathy ka waar kia gaya he"ACP said
"Magar sir aap ne to hamarey brains ko lock kar dia tha phir tarika kesey un ke control me aa gai" Purvi asked
"Good Question Purvi" Salunkhey replied" Tumhein wo case yaad he jis me green chemical se Sherya aur Tarika ke dimaagh ko control kia gaya tha" he asked
"Haan sir jis me in dono ne humein maarney ki koshish bhi ki thi" Daya looked Sherya
and Sherya seems to be shamed
" Haan daya wo chemicla bohot shakti shaali tha uski waja se in dono ke brain hum logo se weak hein in pe Hypnotoize to nahi magar us se ziyada powerful Telepathy ka amal ho sakta he boss"Salunkhey replied
"Kuch pata chal sakta he ke kis ne control kia hoga usey"ACP asked
"Ye dhoondna bohot mushkil he boss, magar is subject ke ek maahir hein Dr. Bhaanupartaab me ne Tarika ko un ke paas admit karwa diya he, ab dekho wo kia batatey hein" Salunkhey replied
Suddenly his cell rang
"Arey bhanupartaab lambi umr he tumhari abhi me tumhari hi baat kar raha tha"
Salunkhey laughed, but he surprised i second moment
"Kia Tarika wahan se bhaag gai he???" he shouted
...

To be continue...
Edited by Kousar-Aditya - 9 years ago
Kousar-Aditya thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 9 years ago
#10
Part4 (Last Part)
1st scene:
"How dare you tumhari himmat kesey hui is tarha moo utha ke merey paas aaney ki, apni nakaami ki khabar sunaney aye ho, tumhein kia lagta he shabashi doonga is pe"Mask man Shouted loudly
"Bbb...boss hum ne to poori koshish ki thi. Dr. Simon ne Tarika pe Telepathy ka amal kar diya tha jis ki waja se wo us ke wash me ho gai thi pehley us ne Dr. Patel ki diary chura ke code maloom kia or phir safe se formula nikalney hi lagi thi ke ain moqey pe super computer ki rays ka shikaar ho gai"Other man said
"To Tumhein pehley se kiun nahi maloom tha ye system, tumhein wahan me ne kiun lagwaya tha ghaas khodney ke liye" mask man press his jaws
"B..b..boss, plz rehem karein" Abhi hamarey paas samey he
"hsssh ,samey he, formula complete ho gaya, test successful ho gaya aur kis cheez ka intizaar he tumhein??"Boss Shouted
"Boss, Dr. Simon chahey to abhi bhi bohot kuch kar sakta he" Other man begging
"Hmm, bulao simon ko"Boss left his mouth
after few moments Dr. Simon came to there
"Yess boss, Aap ne mujhey bulaya"Dr.Simon asked
"Haan Dr. Simon ye batao ke kia Tarika abhi bhi tumharey control me he"Boss asked
"Yes boss, me ne us ke brain pe triple lock lagadia he, barey se bara surgeon bhi 2 locks khol sakta he, teesra kholney ki koshish ki to Tarika ki death ho jaegi"Simon said
"Very good, Very good" Boss laughed"To Tarika ko order do ke lab me jaey or wahan ke sarey bio bombs ek saath fire kar dey is se hamarey sarey maqsad poorey ho jaeingey, Dr.Patel bhi mar jaega, scientists bhi or ye city bhi barbaad ho jaegi magar pehley hum sabko wo antidot laga lena chahiye, tum usey order do me anti dot ka bandobast karta hoon"Boss said happily
"Yess boss" Simon said
2nd Scene:
Dr. Tarika lying on the bed of a hospital. suddenly she looked disturbed, she pressed herforhead by both hands"Ufff...Ye mujhey kia ho raha he...mera sir kiun itna dukh raha he"She cried
"Tarika Tum mujhey feel kar rahi ho"A sound echoing in her brain
"Haan ..k..k..kon ho tum,or merey dimagh me kesey"Tarika said afraidly
"Tarika me jo kahoonga tumheinwo karna padega, kiya tum tayyar ho"Sound louded again and again
"Haan... me... tayyar... hoon"She said finally
"To phir Dr.Patel ki lab me jao or wahan mojood sarey bio weapons fire kar do jao"Sound orderd her
"Me...ja ..rahi...hoon,...Me...Ja...rahi...hoon"Tarika stood from the bed and go to outside and then she go out from the hospital , many cars parked in the Parking, she thought something, than she used her Hairpin and unlocked a car and drove it she going toward lab
3rd Scene:
"Dr.Tarika wahan se bhaag gai kesey"Daya asked
"Pata nahi magar shayad ye usi telepathy ka chamatkaar ho, Oh shayad wo lab ki taraf hi gai ho us ka body data wahan computer me feed he wo wahan aaraam se ja sakti he"Salunkhey told him
"Hameinusey har haal me rokna hoga, Daya tum sarey police departments ko inform kar do, Purvi Abhijeet ko call karo ke lab me alert rahey, hamein khud bhi wahaan jaana hoga"ACP ordered to every cop.
4th Scene:
"Ye ye alarms kesey baj rahey hein" Loud sounds rang continuously and Dr. Patel afraid
" oh lagta he kuch gadbad ho gai he" Abhijeet is ready to face every danger
"Ye ye awaaz operational store se aa rahi he, wahan to sarey bio weapons rakhey huey hein wahan kuch hua to hum sab balke poori city barbaad ho jaegi" Dr. Patel said and ran toward Operational store, Other scientists also came out by hearing this sound
"Ek minute Dr. Sahib aap peechey rahein me aagey jaata hoon"Abhijeet said and revolved his gun
They reched to the door of the store, Abhijeet opened the door by his kick
"Ta...Tarika Tum,Tum yahan kia kar rahi ho"Abhijeet shocked
"Ye larki phir aa gai kesey aai ye andar"Patel shouted to the guards
"Aagey mat aana koi ye ye dekh rahey ho,"She pointed toward a beaker" Me ne abhi sirf 2 bio guns ki rays mix ki hein is me or 3 minute ke baad ye is lab me mojood har shakhs ko ooper pohncha deingi"Tarika laughed widely
"Ta..Tarika Tum Tum aisa nahi kar saktin ,dekho lab me to Tum bhi ho me bhi hoon, hum sab marey jaeingey"Abhijeet said his eyes filled with tears to watch the condition of Tarika
"Ye larki sahi keh rahi he ye dekho guns ke siringe maazines, ye khaali hein"Dr.Patel shouted
"To..to ab ab kia karein" Abhijeet bited his lips. he totally confused in this dangerous situation
"Ek hi tareeqa he in rays ko mixup honey se pehley destroy karna hoga, 2 minute ke andar beaker pe fire karna hoga" Patel said all are weted by sweats
"Is se Tarika ko to koi nuqsaan nahi ho ga na" Abhijeet asked
"Sirf is room me virus phelega poori city bach jaegi , dekh kia rahey ho officer jaldi fire karo or bhaago yahan se" Dr. Patel said and ran toward out side
Abhijeet closed their eyes every moment of Tarika's love arounded in his mind
then he opened his red eyes" Sorry Tarika ji, Merey liye merey desh wasiyon ki jaan meri mohabbat se ziyada qeemti he, Mera real love meri dharti maa he" he shooted to beaker
"Jaldi aao or darwaza band kar do warna virus poori lab me pheil jaeingey"Dr. Patel shouted from outside
"Me Tarika ko aisi haalat me chor ke nahi ja sakta,Tarika chalo merey saath" Abhijeet go toward Tarika , But Tarika is not in sense she tried to bound the pieces of beaker and then she attaked to Abhijeet with her nails
"Tum ne mera mission nakaam kar dia me tumhara khoon pee jaoongi"Tarika said loudly
suddenly he felt burning on his skin and then he go down on the floor.
Last Scene:
"Sir, Sir Abhijeet sir ko hosh aa raha hey sir" The voice of freddy enterd in the ear of Abhijeet and he tryin to open his eyes he saw he is on ahospital bed, and cid teamstood around the bed with doctor
"T..Tarika , Tarika kahaan he, wo theek to he na" He asked to all
Purvi start crying
"Tarika ab hum me nahi rahi" ACP sir said with patience
"Ye ye kia keh rahey hein aap sir aisa kesey ho sakta he me bhi to us room me tha, me bhi to theek hoon" Abhijeet shouted
"Tumhein ek haftey baad hosh aaya he abhijeet Tarika pata nahi kitni deir se un bio weapons ke paas bina gloves aur special dress ke khadi thi is liye wo nahi bachi"Salunkhey said and cried
"Ye..ye sab meri waja se hua he me ne maar daala tarika ko"Abhijeet tried to rid off the bed
"Nahi Abhijeet me ne bataya na agar Tum nahi fire kartey tab bhi usey to marna hi tha na janey kab se wo un khatarnak viruses ke saath thi or wo us ke shareer me poori tarha pheil chukey they, humein garv he tum pe ke tumharey faisley ne poorey sheher ke laakho logo ki jaan bacha li or tarika mari nahi he shaheed hui he" ACP sir said
"Aur agar wo bach bhi jati to sari zindagi apni marzi se kuch nahi kar sakti thi usey baqi jeewan mental hospital me guzaarni padti" Daya told him" Ye hamein Dr. Simon ne bataya
hum jis waqt lab me pohnchey wahan zor zor se siron baj rahey they aawaaz do taraf se aa rahi thi, Aadhi team us taraf gai jahan crowd tha or jahan pe tum bhi they yaani store ki taraf
or me or ACP sir safe room ki taraf gaye, wahan ek aadmi moqey ka faida utha ke formuley ki file nikaal raha tha sab store ki taraf lagey they kisi ka dheyaan wahan tha hi nahi, hum ne usey rangey haathon pakad lia, jantey ho wo kon tha Shekhar wahan ka security incharge jis ki waja se Tarika aaraam se lab me daakhil ho gai thi , us ne bataya ke jab usey pehli baar Dr. Tarika ko lab le janey ke liye kaha gaya to wo usey lab ke bajaye Dr. Simon ke paas le gaya tha Dr. Simon, aur un ka black boss Russia ke bohot barey Terrorist they Interpole un ke peechey thi
magar Tarika ki shahadat ki waja se wo hamarey hathey charh gaye, Tum ne sabit kar dia ke des se bari mohabbat koi bhi nahi, I'm proud of u merey yaar" Daya hugged him, the tears are flowing from every eye
...The End...



Edited by Kousar-Aditya - 9 years ago

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: jasminerahul · 5 months ago

I am planning to write a friendship story. I will choose the love interest of Paras Kalnawat and Karan Kundra according to the choice of the...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Chapter 1 (Late-Night Confessions) Munni sat cross-legged on her small bed in the staff quarters, staring at the cracked screen of her...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42 · 8 years ago

Here are Characters of the Story Ritik : elder brother of Shivaay , Ranveer , Sanskar and love interest of Shivanya Shivanya : elder sister of

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".