1)Original story mein Jassi gulmahor chhod kar chali jaati hain par makeover nahin karti hain haan us mein thoda sa change tha wahan use naya dost milta hain jo apne yahan bahot jaldi bata diya tha Armaan or Mall ki Ring cer hoti hain.
2)Woh Purab tha yaane original ka 2 nd hero Aldo.Woh dono dost bantein par Aldo yaane Purab Leti yaane Jassi ko Pyaar karne lagta hain woh log bhi enge kartein hain par jassi change nahi hoti hain
3)Woh wapas aane ke baad ek din nandini ke saath kahin party mein jaati wahan uska 1st timemakeover hota hain or uski photo news mein aati hain.
4)Armaan yane Farnando use yaane woh model jassi ko gulmahor mein lata hai or jassi Raj or viru sabko model banke nachati hain
5)Ek din Uski photo copy mein arnaan jassi jaise glasis banata hain tab use maloom ho jata hain ki woh model or koi nahin par jassi hain or woh yeh bhi samajh jaata hain ki jassi ne aisa kyun kiya yaa phir yeh kahe ki kyun karna pada woh jassi ko uske kaam mein saath deta hain or baad mein waqt ke saath saath woh jassi ko samjane mein kamyaab ho jata hain ki woh jassi se kitna pyaar karta hain or Aldo yaane Purab ko bhi realize ho jaata hain ki jassi mann hi mann mein Armaan pyaar karti hain isi liye woh use free kardeta or chala jaata hain .par original story was bahot hi achhi thi i watched allmost 3 to 4 times par aaj bhi mujhe woh dekhna achha lagta hain kyunki original crime se pare thi or usmein mall,Armaan,Raj,woh sabke charector bhi bahot storng bataye the
6)...or hamare yahan mall ko bura bana diya or iron to waisa hi tha.or Purab ko to maar dala tha...i thinkright?Hamare yahan ka 1 st part bahot hi achha tha par 2nd part was realy borring tha.