Ok fellas, Prachi's "TWISTY TWISTY' poem inspired me to pen some lines to the rhythm of HUMKO MAN KI SHAKTI DENA😆
Disclaimer: Since I have NEVER written a poem in Hindi, don't expect a blockbuster like Sareetas'😆. Midway through work, I started humming these lines involuntarily (someone save me - MICHI ka bhoot chad gaya hai mujhpar😕), and decided that it would be fun to share this with fellow MICHIans 😆. FYI, HUMKO MAN KI has only two stanzas, but I took the liberty to add one more 😳
*********************************************************
Milind Ko Thodi Si Buddhi Dena, Aur Baal Kaat De
Doosron Par Bhadakne Se Pehle Thoda Socha Kare
Shak Aur Nafrat Apne Dil Se Ye Mita Sake
Saket Ka Gehra Pyar Dekhkar, Sukruti Ko Saumpa Sake
Bhootni Se Bache Rahe, Prachi Ka Saath Diya Kare
NEECHI Ko Galat Na Samajhkar, Biwi Par Vishwas Kare
Milind Ko Thodi Si Buddhi Dena, Aur Baal Kaat De
Doosron Par Bhadakne Se Pehle Thoda Socha Kare
Apne Pyar Ka Izhaar Karke, MICHIans Ko Khush Rakh Sake
Zameen Se Patni Ko Utakar, Apne Paas Sula Sake
Aankhon Se Usko Chumkar, Honton Se Gale Laga Kare
Har Waqt Prachi Ka Khayal Man Me Aaya Kare
Milind Ko Thodi Si Buddhi Dena, Aur Baal Kaat De
Doosron Par Bhadakne Se Pehle Thoda Socha Kare
Ekta Ji – Hum Par Thoda Sa Reham Kar
MICHI Se Mushkilen Door Rahe, Aur Pyar Ko Gehra Kar
Ek Doosre Par Bharosa Rakhke, Dushmanon Ko Maat De
Haath Thamkar Saath Saath, Chalen Ye Umr Bhar