Yaa, sure. actually Nivi Kumkum ki dost thi magar uska pati chala gaya kyonki us admi ko uske papa ne majboor kiya tha tab Nivi ko lagta hai ki Kumkum ki wajah se woh sab huva isliye woh uski dushman ban jaati hai aur usse Katara naam ke shaks ke khoon ke ilzaam me fasaati hai jabki Katar uska hi admi tha aur woh zinda hota hai, baad me Kumkum ko jail ki sazaa se bachne ke liye Nivi Sumit ko Kumkum se bewafai karne ke liye kehti hai, Sumit bewafai ka natak karta hai aur Katra tak pahonch jaata hai tab Nivi ko pata chalta hai aur woh Sumit par rape case karti hai aur fasati hai, Kumkum vakil ki exam paas kar Sumit ko aur apne aap ko bachati hai aur phir dono honeymoon ke liye jaata hai magar tabhi wahan Sumit ko atankwadi uthakar le jaate hai aur Kumkum use bachane jaati hai, woh dono ekdoosre se milte hai magar usi dauran Sumit ko goli lagti hai aur woh Kumkum par girta hai usime Kumkum ka panv fisalta hai aur Kumkum lake me gir jaati hai, woh lapata hoti hai aur sab mante hai ki woh mar gayi hai, ye baat sunkar Sumit comma me chala jaata hai, 1 saal baad Kumkum ki barsi ke din hosh aata hai aur doosri aur Krishna aati hai aur Sumit Kumkum ko dhoondhne nikalta hai. Yahi hai ab tak ki dastan.
Most welcome. Aap yahan aayiaccha laga. Kya aap meri dost banegi? Muje pm karke javab dena.