AR FF Second Chance
EPISODE18
(Armaan cabin me betha kaam kar rha hota hai ki tabhi...ek ladka cabin me aata hai...armaan use dekhkar Khush ho jaata hai..aur kehta hai)
Armaan- Arjun...tu yha...
Arjun- bas tujhe ek good news dene aaya tha...
Armaan- acha..beth na..vaise good news kya hai..
Arjun- me shaadi kar rha hu...
Armaan- really wow...
Arjun- ha..aur tujhe zarur aana hai...vo bhi bhabhi ke saath...
Armaan- are ha..ofcourse...
Arjun- vese bhabhi se milwaya nhi tumne...
Armaan- tu shaadi me jo nhi aaya...
Arjun- are vo me india me nhi tha varna zarur aata...teri shaadi thodi miss karta..ab tujhe meri shaadi me zarur aana hai..aur bhabhi ko zarur laana unse bhi millenge...
(yeh baat kar rhe hote hai...ki tabhi riddhima armaan ke cabin ne enter hoti hai..)
Riddhima- armaan yeh designs...
(riddhima armaan ke saath kisi ko dekhkar chup ho jaati hai..)
Armaan- tujhe teri bhabhi se milna tha na..le aa gyi...yeh hai riddhima...riddhima yeh mera dost hai..arjun..
Riddhima- oh hi...
Arjun- hi...vaise armaan you are a lucky..guy...bhabhi boht khoobsurat hai...
Riddhima- thanx..
Arjun- acha bhabi ab me chalta hu par aap dono ko meri shaadi me zarur aana hai...
Riddhima- hum zarur ayenge..
Arjun- chliye to me chalta hu...bye
Armaan- chal bye..
(arjun chala jaata hai...armaan use jaata dekh smile karta rehta aur hasta hai..)
Riddhima(confuse) -has kyu rhe ho?
Armaan- nhi vo..usne tumhe khoobsurat kha na..
Riddhima- ha to... Hawww Tumhe lagta hai me khoobsurat nhi hu..
Armaan- kya baat hai mere saath reh ke boht smart ho gyi ho...itni jaldi samajh gyi..
(armaan teasing smile deta hai..)
Riddhima- not funny(armaan ko hasta dekh riddhima bhi smile karti hai..aur kehti hai..)..aur me khoobsurat hu..samjhe...
Armaan- chlo tum itna keh rhi ho to maan leta hu..
Riddhima- kya matlab hai maan leta hu...tum nhi jaante pta hai.college me mujhe miss beautifull ka crown mil chuka hai...
Armaan- really.. Lagta hai..andhe the tumhare college waale..
Riddhima- hawww...andhe vo nhi andhe tum ho...me boht beautifull hu..kisi se bhi puch lo sab yhi khenge ki me khoobsurat hu...
Armaan-ek dikhado jo khe tum khoobsurat ho maan lunga...
Riddhima- acha to thik hai. Abhi tumhari galatfemi door karti hu..mm...ha...Gautam se puchte hai..vo to college se mujhe sab se khoobsurat hi maanta hai...
(gautam ka naam sunkar armaan ki smile fade ho jaati hai...vo thode gusse me kehta hai..)
Armaan- koi zarurat nhi hai me maan gya...ki tum khoobsurat ho...
Riddhima- kya hua...tumhe achanak se moond kyu badal gya... abhi to boht ache moond me the...
Armaan- vo to tum mujhse better jaanti ho..
(yeh kehkar armaan chala jaata.hai...aur riddhima vha khade sochti rehhti hai..achanak uske mind me kuch aata hai..aur vo unbelievable tone me kehti hai..)
Riddhima- what..? Really...armaan gautam se jealous ho rha hai..vo bhi mujhe lekar...kya baat hai..matlab armaan ke dil me bhi kuch kuch ho rha hai..mere liye..wow...agar yeh sach hai na...to thoda aur jalana hoga mr malik ko..tabhi to unke dil ki baat.zabaan par ayegi...yipeee..
(khush hokar riddhima cabin se bahar chali jaati hai...)
IN AFTERNOON
(riddhima armaan ke cabin me aati hai...aur man me sochti hai..)
Riddhima- ab shuru hoga plan. No 1..agar armaan hetalous hua to kuch na kuch to hai..uske man me bhi mere liye..
(riddhima smile karkar man me yeh soch rhi hoti hai..ki armaan use vha khada dekh kehta hai...)
Armaan- riddhima..tum yha...
Riddhima- mm ha...vo tumse puchne ayi thi...lunch par khi bahar chale...?
Armaan- abhi...me boht busy hu
...
Riddhima(drama karti hai..)- ohhh...its ok...me gautam ke saath chali jaati hu...tum kaam kro..
(yeh kehkar riddhima mudkar dheere dheere jaane lagti hai..aur piche se armaan ke use rokna ka wait karti hai...armaan use jaate huye dekhta rehta hai..par phir vo kuch sochta hai..aur kehta hai...)
Armaan- riddhima...mm mene kab kha me nhi chalunga. Me to bas keh rha tha me busy tha ab nhi hu..
(riddhima smile karti hai...phir vo apni sniele chupakar piche nudkar kehti hai..)
Riddhima- ohh acha..mujhe laga tum mana kar rhe the..to chale...
Armaan- ha chalo na(armaan apni file band karkar uth jaata hai...aur riddhima uske piche piche yeh sochti guyi cabin se bahar nikal jaati hai..)
Riddhima- pyaar to tumhe bhi hai mr malik...bas ab tumhare dil se tumhari zabaan par laani hai yeh mohabbat...
(yeh kehte huye riddhima aur armaan cabin se bahar nikal jaate hai...armaan riddhima car me bethkar nikal jaate hai..aur ek restaurant ke bahar pohchte hai..aur andar jaakar beth jaate hai..armaan waiter ko bulakar order de deta hai...waiter ke jaane ke baad armaan riddhima se kehta hai..)
Armaan- vese achanak se lunch Ka plan kaise bana.. .
Riddhima- vo kya hai na...gautam ne mujhse lunch ke liye pucha to mene socha ki me tumse puchlu...ki hum dono chalte hai..
Armaan- ohh..gautam ne..vese tum to college me aksar jaati rehti hogi na us gautam ke saath.
(riddhima man me sochti hai. )
Riddhima- ohh..to mr malik ko phir jelaousy ho rhi hai..(Riddhima armaan ko dekhkar usse kehti hai. )ha...aksar nhi roz...me aur gautam har roz breakfast lunch dinner saath kiya karte the...
(yeh sunkar armaan ke face par gussa aa jaata hai..vo kehta hai..)
Armaan- ha to tum yha kya kar rhi ho...jao usi ke saath lunch kro...
(armaaan uthkar jaane lagta has..par riddhima uska haath pakadkar use bithakar kehti hai..)
Riddhima- armaan... Me sirf mazaak kar rhi thi...aisa kuch nhi hai..aur ha..me yha isliye tumhare saath lunch kar rhi hu..kyuki mere husband tum ho...
(armaan aur riddhima ek dosre ki ankhon me dekhne lagte hai..aur kho jaate hai..ki thodi der me waiter akar jab unke table par khana rakhta to dono dream world se bahar aate hai...aur armaan kehta hai..)
Armaan- chlo ab jaldi khana khao...office bhi vapas jaana hai...
Riddhima- mujhe koi tension nhi hai...
Armaan- kyu..?
Riddhima- kyuki pura office mere husband ka hai..mr to mujhe vha koi kuch nhi keh sakta...
Armaan- ohhh...par mere liye to jaldi khalo...varna Meri job khatre me pad sakti hai...kyuki aapke husband shayad mujhe naukri se nikalde...
Riddhima- ya..right mere husband aur aapke boss ka gussa boht danger hai...jaldi khana khana chahiye...
(armaan riddhima apni hi baato par hasne lagte hai...aur khana khane lagte hai...Idhar office me...gautam cabin me enter hota hai..aur riddhima ko vha na dekhkar...peon se puchta hai..)
Gautam- riddhima kha hai...?
Peon- Sir vo armaan sir ke saath lunch par gyi hai...
(yeh kehkar peon chala jaata hai...aur gautam kehta hai..)
Gautam- what the hell...jab mene ridzi se lunch ke liye pucha to usne mana kar diya aur ab us armaan ke saath gyi hai...kya ridzi is shaadi se khush hai...kaise ho sakta hai..vo sirf mujhse pyaar karti thi aur aaj bhi mujhse hi pyaar karti hai...(gautam andar jaakar aapne bag se riddhima aur uski ek college pic nikalkar kehta hai...)tumhe kya lagta hai..riddhima me itni door sirf job ke liye aya hu..nhi mujhe job karne ki zarurat nhi hai..me yha aaya to sirf tumhare liye...tumhari khushi ke liye..and I know tumhari khushi sirf mere saath hai...me tumhe is armaan se azaadi dilakar rahunga...vo kabhi tumhare liye bana hi nhi hai...sirf hum dono hi ek dusre ke liye bane hai...
(gautam yeh bol hi raha hota hai ko vo dekhta hai...armaan aur riddhima saath office me enter hote hai...ek dusre se haste huye baate karte huye...gautam photo bag me rakh deta hai...aur riddhima jaise hi cabin me enter hoti hai.. Uske face par smile aa jaata hai..)
gautam- aa gyi ridzi...kaisa tha lunch...
riddhima- lunch boht accha tha...
gautam- good.. To ab thoda kaam ho jaaye..
riddhima- why not...
(riddhima glass ke cabin se armaan ko dekhti hai jo use hi dekh rha hota hai..dono ek dusre ko dekhkar smile karte hai...gautam yeh notice karta hai...vo jaanbhoojkar riddhima ke dupaatte ko apni taraf khichta hai...jise sambhalte huye riddhima piche girne lagti hai...aur gautam use sambhal leta hai...armaan riddhima ko smabhalne jaa rha hota hai..ki vo dkrehta hai..gautam ne use smabhal liya vo vhi ruk jaata hai...riddhima gautam ko thanx bolkar uncomfartably uthti hai aur armaan ko dekhti hai jo bina expression ke use dekhta rehta hai...aur phir piche mud jaata hai..yeh dkehtkar gautam smile karta hau..par riddhima ke dekhne par uski smile fade ho jaati hai...riddhima bhi apna kaam karne lagti hai..)
IN EVENING
(peon akar riddhima se kehta hai..ki armaan uska bahar wait kar rha hai...vo gautam ko bye bolkar yeh sochte sochte car ki taraf chalti hai..)
Riddhima-bulaya to hai usne...par aaj jo hua gautam ne mujhe sambhala..khi is wajah se gussa na ho..aur us din ki tarha phir mujhe chodkar na chala jaaye...
(yeh sochte sochte riddhima car tak pohchti hai..aur car ka gate open karkar uske andar beth jaati hai...aur surprisingly man me sochti hai..)
riddhima- yeh gussa nhi hai..? Par kyu...? Mujhe gautam ke saath dekhkar ise jealousy nhi hoti kya.. ? Yeh to puchna padega..
armaan- kya.soch rhi ho..? Chale..
riddhima- ha chalo na...(armaan car start katkar ghar ki.taraf nikal jaata hai..riddhima usse kehti hai...)acha armaan aaj gautam ne mujhe gurne se bachaya tumhe...i mean tumhe bura to nhi laga na...
armaan- bura nhi..to..
riddhima- kyu nhi tumhe bura lagna chahiye...
armaan- kya..? Tumhari tabiyat thik hai...mujhe bura kyu lagega..usne tumhe girne se bachaya...agar tum girti to tumhe chot lag jaati phir tumhe dard hota aur me.vo dekh nhi sakta..
riddhima(emotionally)- kyu nhi dekh sakte tum mera dard...
( yeh sawaal sunkar armaan car rok deta hai..aur riddhima ki ankhon me dkrehta hai..jo is sawaal ka jawaab maang rhi hoti hai..vo ankhon me khoye huye hi kehta hai..)
armaan- pta nhi kyu...bas nhi dekh sakta...
(dono emotionally ek dusre ki ankhon me kho jaate hai..)
EPISODE 19
(armaan riddhima ek doosre ki ankhon me khoye hi hote hai...ki armaan dream world se bahar aata hai...aur apni baat par nervous hokar idhar udhar dekhne lagta hai..riddhima yeh dekhkar smile karti hai...ki armaan usse kehta hai...)
Armaan- ghar chale...
Riddhima- ha...mene kab mana kiya..chalo..
(armaan car start karkar ghar ki taraf chala jaata hai...armaan riddhima apne room me jate hai...armaan hamesha ki tarah pillow lekar couch par jaakar so jaata hai...aur riddhima bed par so jaati hai...)
NEXT MORNING
(armaan sokar uthta hai...to dekhta hai riddhima ab tak so rhi hoti hai...vo towel lene hi wala hota hai ki vo riddhima ko dekhta hai...jo sote huye bilkul ek masoom bacche ki tarah lag rhi hoti hai...aur use dekhta hi reh jaata hai...armaan use dekhta hi rehta hai ki tabhi riddhima ki ankh khul jaati hai...yeh dekhkar armaan jaldi se towel lekar bathroom me bhaag jaata hai...aur riddhima smile karti rehti hai..aur kehti hai...)
Riddhima- armaan mujhe admire kar rha tha? Like really...?soo cute armaan..par pta nhi vo din kab ayega...jab tum mujhse khud akar yeh khoge..that you love me now...tumhari ankhon me to saaf dikhta hai...par yhi baat tumhaari hoto par kab ayegi...
(armaan bathroom se nikal aata hai..Riddhima towel lekar baathroom me jaane lagti hai ki armaan usse kehta hai..)
Armaan- riddhima...vo yaad haina aaj shaam arjun ki shaadi me jaana hai...
Riddhima- ha mujhe yaad hai...
Armaan- par usse pehle Hume office jaana hai...
Riddhima- yaad hai mujhe... tum kya mujhe pagal samajhte ho...
Armaan- koi shaq..?
Riddhima- what..
Armaan- nhi kuch nhi vo me keh rha tha...office ke liye der ho jayenge jaldi tayyar ho jao...
Riddhima- ho rhi hu...par ek baat btadu.. Mujhe sab sunai deta hai...
(yeh kehkar riddhima chali jaati hai...aur armaan bahar khada smile karta rehta hai...)
OFFICE
(armaan aur riddhima office me enter hote hai...armaan apne cabin me chala jaata hai...aur riddhima apne cabin me...thodi der baad riddhima armaan ke cabin ne akar usse kehti hai..)
Riddhima- armaan yeh gautam kha Hai...ab tak aaya nhi office...
Armaan- aaya nhi...par ab tak to aa jaana chahiye tha...
Riddhima- me use phone karti hu...
Armaan- koi zarurat nhi hai...i mean me phone kar deta hu...
(riddhima apni smile chupati hai..armaan gautam ka no. Dial karne hi wala hota hai ki...riddhima dekhti hai...gautam haath me ek suitcase liye office me enter hota hai...)
Riddhima- armaan gautam aa gya...ab me jaakar kaam start karti hu...
(riddhima chali jaati hai...gautam cabin me enter ho rha hota hai ki riddhima vha Aa jaati hai..)
Riddhima- gautam yeh kya hai..office me hi shift hone ka iraada hai kya...aur aaj late ho gye..?
Gautam- andar to chalo sab btata hu...
(riddhima aur gautam andar cabin me jaakar bethte hai...gautam riddhima se kehta hai..)
Gautam- yaar meri landlord ne mujhe ghar se nikal diya hai...
Riddhima - what..?
Gautam- ha yaar...kuch smajh nhi aa rha kya karu...khi rehne ki jagah nhi hai..mene socha bhi nhi tha ki India akar aisa hoga...aur yha to koi dost bhi nhi hai...
Riddhima- are...kyu nhi hai dost Me hu na tumhari dost...
Gautam- ha par... Chodo yaar...
Riddhima- gautam tum problem me ho me tumhari dost hu...me armaan se baat kar sakti hu...i am sure tumhari problem sunkar vo tumhe hamare ghar me invite zarur karega...ab tum pareshaan mat ho...
Gautam- thank you soo much yaar meri problem hi solve ho gyi...(gautam riddhima ko hug karte huye kehta hai...armaan glass wall se yeh dekhkar apni fist tight kar leta hai...par riddhima jaldi hi gautam se door ho jaati hai..aur utkar kehti hai..)
Riddhima- dont worry me armaan se baat karti hu..
(yeh kehkar riddhima armaan ke cabin ki taraf chali jaati hai..aur armaan ke cabin me enter hoti hai..armaan use dekhkar gussa ho jaata hai...aur apni chair se khada hokar vo riddhima ko us chair par bitha deta hai..aur khud uske face ke bilkul kareeb akar kehta hai...)
Armaan- kya chal rha tha vha...
Riddhima- kha..?
Armaan- us cabin me...
Riddhima- vhi to me tumhe btaane ayi thi...par tumne mujhe achanak yha...chlo chodo tum bhi bethona mujhe tumse kuch baat karni hai...
(armaan khud ko control karkar dusri chair par beth jaata hai..aur riddhima usse kehti hai..)
Riddhima- armaan vo gautam hai na..uski land lord ne use ghar se nikal diya hai...
Armaan- ha to...
Riddhima- to me soch rhi thi...agar hamre ghar me I mean vha to boht room khaali hai...
.bechaare ke paas rehne ke liye koi ghar nhi hai...
Armaan- what the hell...tum pagal ho gyi ho... bilkul nhi..
Riddhima- par armaan vo bechara kha jayega...
Armaan- khi bhi jaaye..mujhe koi farq nhi padta... Aur tumhe bhi nhi padna chahiye...kyuki tum ab meri biwi ho...
Riddhima- par armaan vo mera dost hai...
Armaan- ha to dosto ko ghar nhi uthakr laate hai..riddhima...
Riddhima- armaan please man jaona... Mene usse keh diya hai..ab me mana karungi to accha nhi lagega...bas kuch din ki baat hai..uske baad vo chala jayega..please..
Armaan- kitne din...
Riddhima- ek hafta bas...
Armaan- ek hafta matlab ek hafta usse zurada me use us ghar me bardaasht nhi karunga...
Riddhima- ha pakka thank you soo much...
(riddhima khush hokar armaan ko hug kar leti hai...aur armaan shock reh jaata hai...arman dheere dheere riddhima ko bhi hug karne hi wala hota hai...ki riddhima ko realise hota hai ki vo armaan ko hug kare huye hai...vo piche ho jaati hai aur nervously kehti hai..)
Riddhima- vo I am sorry...me gautam ko bta deti hu...
(riddhima ke jaane ke baad armaan sochta hai...)
Armaan- kya ho rha hai..yeh mujhe Kyu khicha chala jaa rha hu..riddhima ki taraf...uski har baat jisse pehle chidta tha...ab achi lag rhi hai...ho kya rha hai mujhe...
IN EVENING
(armaan aur riddhima gautam office se saath ghar aate hai...gautam ghar khaali dekhkar riddhima se kehta hai..)
Gautam- tum dono akele rehte ho...
Riddhima- nhi..to vo hamare saath muskaan armaan ki behen uska husband rishabh jo ki armaan ka bestfriend hai..aur mom meri mother I law rehti hai..but muskaan aur rishabh abhi apne honeymoon par gye hai..aur mom banglore gyi hai..kisi relative ke paas...
Gautam- oohhhkkk...
Armaan- riddhima chale ready bhi hona hai arjun wait kar rha hoga..
Gautam- aap logo ko khi jaana hai...
Riddhima- ha hum armaan ke dost ki wedding me jaa rhe the...tum bhi chalo na hamre saath yha akele rhoge..isse acha hai hamare saath chalo..
(riddhima ke gautam se yeh puchne par armaan riddhima ko confusingly dekhta hai..par gautam ke saamne chup rehta hai..)
Gautam- why not...
Riddhima- great...to tum bhi tayyar ho jao..hum bhi tayyar hokar aye...
(riddhima aur armaan apne room me jaate hai..room me enter hote hi armaan riddhima se kehta hai...)
Armaan- kya zarurat thi use invite karne ki...
Riddhima- vo akela rehta to acha hai na hamare saath shaadi enjoy kar lega.. Not a big deal armaan..chalo ab tum ready ho jaao..
(armaan change karne chala harata hai..jab vo change karkar vapas aata hai..to dekhta hai..riddhima blue aur white lehenge me tayyar hokar apne hair comb kar rhi hoti hai.. (BG me yeh song hota hai-
Kahin Din se lagrha
Dill chupsa hogya
par wo reh na ska bin kahey
(armaan uski taraf badta hai...riddhima use mirror se aate huye dkheleti hai..)
Kayi din se lagrha
dill chupsa hogya
par wo reh na saka bin kahey
Minate dil ne mere kayu baar ki hai
tab jaake maine uska maana hai kaha
(armaan paas akar riddhima ke hair side shoulder par karkar uske neck par kiss karne lagta hai..aur riddhima sharmaane lagti hai...)
tera hua wohooo...
Dill jo mera tha wo tera ho gya
Tera huaa wohoo ...
Dill jo mera tha wo tera ho gya
tera hua wohoo..
yeh dill mera abse tera ho gya
(riddhima sharmakar piche mudkar armaan ko hug kar leti hai...armaan uska face apne hatho se apni taraf karta hai..aur uske dono cheeks par ek ek karkar kiss karta hai...)
Tu mere hoton pai ,tu mere alfaz mai
Tu mere nagmo mai , tu mere awaaz mai
Dharkano mai bhi maine tuhjko suna hai
tanhayio mai aqsar tuhjko hi jiya
Tera hua wohoo ..
(aur armaan phir uske lips ki taraf badta hai...)
Dill jo mera tah wo tera ho gya
tera huaaa wohoo
yeh dill mera abse tera ho gya
(armaan riddhima ek dusre ko lip kiss dene hi waale hote hai ki tabhi unhe gautam ki awaaz sunai deti hai..dono apne dream world se bahar aa jaate hai...aur ek dusre ko shockingly dekhte rehte hai..phir armaan piche hokar vha se chala jaata hai...riddhima.vhi vo moments sochkar smile karti rehti hai..phir vo apna dupatta lekar niche aa jaati hai..car me gautam aur armaan pehle se riddhima ka wait kar rhe hote hai..riddhima akar armaan ke saath aage beth jaati hai..aur gautam piche...beth jaata hai..teeno wedding me pohch jaate hai.. Arjun aur uski wife ko congratulate karte hai..tabhi kuch log arjun aur usko wife ko dance karne ke liye le jaane aate hai...arjun arman se kehta hai..)
Arjun- chal yaar..tu aur bhabhi bhi chalna...
Armaan- nhi..tum jao..shaadi tumhari hai...
(arjun uski wife ke saath chala jaata hai...)
Riddhima- armaan chalona..dance karte hai..dekhone sab kitna enjoy kar rhe hai..us gautam ko to dekho..kisi ke saath bhi dance karna start kar diya..chalona hum bhi chalte hai..
Armaan- mera mood nhi hai phir kabhi..
Riddhima- tum na..boht boring ho me jaa rhi hu...gautam ke saath dance karne..
(riddhima jaa hi rhi hoti hai..ki armaan use piche se awaaz deta hai..)
Armaan- Riddhima...Dance Karogi...? Mere.saath...?
(yeh sunkar riddhima bina piche mude hi smile karti hai...phir vo piche mudkar armaan se kehti hai..)
Riddhima- Chale... Dance karne..
(armaan akar riddhima ka haath pakadkar use dance floor par le jaata hai...aur dono ek dusre ki ankhon me khoye dance karne lagte hai...aur gautam door khade unhe dekhkar gussa hone lagta hai..)
Episode20
(armaan riddhima ek dusre ki ankhon me khakar dance karte rehte hai..music bhi band ho jaata hai..sab log dance karna band kar dete hai...par armaan riddhima ko kuch nhi pta hota hai...vo dono ek dusre ki ankhon me khoye rehte hai...arjun akar armaan ko haste huye kehta hai..)
Arjun- armaan bhabhi...music khatam ho gya...
(arjun ki baat sunkar dono dream world se bahar aa jaate hai...sab log unhe dekhkar smile kar rhe hote hai...aur dono nervous hote hai...par gautam gusse me khada hota hai...vo akar riddhima se kehta hai..)
Gautam- riddhima I think ab chalna chahiye...kaafi late ho gya hai..
Riddhima- ha..i think chalna chahiye..
Armaan- chal arjun ab chalte hai..
Arjun- itni jaldi...thodi der aur ruk na..
Armaan- nhi yaar kaafi late ho gya...phir kabhi milte hai...chal abhi bye...
Arjun- chal thik hai..bye..
(armaan riddhima aur gautam ghar chale jaate hai...)
NEXT MORNING
(armaan couch par sokar uthta hai...to dekhta hai..riddhima red saree me uske liye tea laati hai..aur use deti hai riddhima chai dekar jaa rhi hoti hai ki armaan piche se uska haath pakad leta hai..riddhima mudkar smile karti hai... Aur kehti hai..)
Riddhima- kya hua..??
Armaan- I LOVE YOU RIDDHIMA...
(tabhi armaan ki ankh khul jaati hai...aur vo couch par sokar uth jaata hai...(ya guyzz its a dream)armaan uthkar kehta hai..)
Armaan- sapna...??yeh kaisa ajeeb sapna tha...i love...what..really? Me riddhima se..no.. no..yaar...Noo...par sapna...yaar kya ho gya mujhe aajkal... kal raat ko bhi riddhima se aur abhi bhi...aisa to sirf sneha ke liye feel karta tha me..to phir aisa kaise ho sakta hai..me riddhima ke liye yeh sab kaise feel kar sakta hu...pyaar to sirf ek baar hota hai na...to phir ab jo hi rha hai..vo kya hai...pyaar ya kuch aur...(tabhi armaan bed ki taraf dekhta hai..)yeh riddhima kha hai..subha subha...
(armaan tayyar hokar niche aata hain...to dekhta hai...riddhima aur gautam saath bethkar breakfast kar rhe hote hai...aur kisi baat par hans rhe hote hai..armaan gusse me akar beth jaata hai..Riddhima aur gautam phir bhi hans hans kar baate karte rehte hai..)
Gautam- acha tumhe lprofessor sharma yaad hai..
Riddhima- ha...unhe akrise bhool sakti hu me...kitna pareshaan kiya tha unhe humne...
Gautam- humne..? Tumne...unke liye tum akele hi kaafi thi..pareshaan kar diya tha tumne unhe..tumhari vajah se vo college chodkar jaane waale the...
Riddhima- par gye nhi na...mene unhe rok liya tha...saara ilzaam tumpar lagakar...
(gautam armaan ko betha dekhta hai..aur evily smile karkar kehta hai..)
Gautam- ha..vo us time tum girlfriend thi na meri isliye mene ilzaam apne uppar le liya tha...tumhare liye to kuch bhi yaar...
Riddhima- ohh...how sweet yaar...
(tabhi armaAn palte zor.se utahkar phir niche rakhta hai..riddhima use dekhkar kehti hai..)
Riddhima- armaan tum kab aye..
Armaan- jab tum apne college ke din gautam ke saath milkar yaad kar rhi thi...
Riddhima- ohh..u know na..purani yadein...
Gautam- ya...kitne khush the na tab hum saath..me..
(is baat par armaan gautam ko dekhta hai..Riddhima kuch bolne hi waali hoti hai ki...riddhima ka lhorne ring hota hai...aur vo phone lekar side me chali jaati hai..armaan gautam ke word yaad karta hai.." kitne khush the na tab hum saath..me.." aur sochta hai.)
Armaan- kya riddhima mere saath khush hai...??
(gautam armaan ko sochta dekhkar khush hota hai...phir vo armaan se kehta hai...)
Gautam- kya hua sir kha kho gye..
Armaan- kuch nhi..riddhima se kehna me...zyada Der wait nhi karunga...office chalna hai to niche aa jaaye...me car me hu...
Gautam- ok sir me use bol dunga...
(armaan chala jaata hai..thodi der baad gautam dekhta hai riddhima abhi bhi phone par kisi se baat kar rhi hoti hai...gautam niche jakar dekhta hai...armaan riddhima ka wait kar rha hota hai...vo armaan se akar kehta hai..)
Gautam- sir riddhima ne kaha hai..aap jaye..vo mere saath office aa jayegi...
(yeh sunkar armaan ko boht gussa aa jaata hai...vo bina gautam ko jawaab diye...car start karkar chala jaata hai...aur car chalate huye sochta hai...)
Armaan- sab natak tha koi pyaar nhi karti vo mujhse..exboyfriend ke aate hi...sab pyaar bhool gyi...
MALIK HOUSE
(gautam akar dining table parr beth jaata hai...riddhima phone call attend karkar akar kehti hai..)
Riddhima- are armaan kha gya...
Gautam- vo to gya...vo use late.ho rha tha...
Riddhima- gya..? Bina mujhe btaye...
Gautam- koi baat nhi..chalo aaj armaan ki car nhi meri bike par hi chalte hai..
Riddhima- ok..chalo..
(Riddhima gautam ke saath bike par bethkar office pohchti hai armaan window par khada kuch official call kar rha hota hai...ki vo dekhta hai...ki riddhima gautam ke saath uski bike par se utar rhi hoti hai...aur dono saath office me enter hote hai..vo bas unhe dekhta rehta hai...aur man me kehta hai..)
Armaan- yeh me kya soch rha hu...riddhima aisi nhi hai...vo to boht achi ladki hai...vo aisi nhi hai..me hi gusse me kuch bhi soch leta hu...dost hai sirf uska...aur sab ke hote hai..past bhi sabke hote hai..mera bhi tha...riddhima ka bhi tha...(armaan phir kuch sochkar kehta hai) mene sach me apna past kha use...kal tak to mene sirf sneha ka apna aaj hi samjha tha..par ab mene use apna past keh diya..kya sach me ..me riddhima ko apna aaj aur kal maan chuka hu...kya mujhe sach me dobara pyaar ho gya hai...mujhe kuch smajh nhi aa rha hai..
(armaan piche mudta hi hai ki piche riddhima smile ke saath khadi hoti hai..vo Smile ke saath kehti hai..)
Riddhima- kha khoye huye ho...
Armaan- bas kuch soch rha tha...
Riddhima- acha chodo...tumhe kuch btaana hai..
Armaan- kya..?
Riddhima- kal karwachauth hai...to kal me vrath rakhungi...tumhare liye..
Armaan- ha to rakho mene kab mana kiya...
Riddhima- tum mujhe mana kar bhi nhi sakte ho..importamt baat yeh hai ki mera vrath tumhe todna hai...kal chaand dikhte hi..
Armaan- what..? Par aaj raat to mujhe buisness ki wajah se dubai jaana hai...
Riddhima- armaan please cancel kardo...mera vrath sirf tum hi todoge...
Armaan- but its important me cancel nhi kar sakta...
Riddhima- arman karwachauth is also imprtant...please...na..ghar me koi nhi hai..ab tum bhi aise...
Armaan- acha..thik hai itni emotional hone ko zarurat nhi hai.. Me subha tak aa jaunge...
Riddhima- pakka...
Armaan- haa...pakka...ab jao..kaam karlo..
Riddhima- ha..agar mene kaam nhi kiya to tumhara business to doob hi jayega..
Armaan- ohh hello..itni bhi important nhi ho tum...
Riddhima- kho na kaHo Me jaanti hu..important to me hu...
(yeh kehkar riddhima chali jaati hai..aur armaan pehle to use jaate huye dekhta rehta hai..par phir smile karkar kehta hai..)
Armaan- yeh nhi sudhregi..
(gautam apne cabin se unhe hanste huye baate karkar sochta hai..)
Gautam- lagta hai armaan par us baat ka kuch asar nhi hua...koi baat nhi...is baar kuch aur bada karunga...par riddhima ko apna banakar rahunga...
IN NIGHT
(armaan aur riddhima apne bed me enter hote hai..riddhima cupboard se apne night suit le hi rhi hoti hai ki armaan Piche se kar ise kehta hai..)
Armaan- riddhima...
(riddhima piche mudti hai..)
Riddhima- ha..
(armaan apni pocket se ek ring nikalkar kehta hai..)
Armaan- yeh ring...vo mene...
Riddhima- tumne..
Armaan(nervously) - nhi mene nhi..vo mom ne mom ne kaha ki mujhe tumhe wedding gift dena chahiye tha..aur muskaan usne bhi kha tha aur rishabh usne bhi kaha tha..to mene socha..
Riddhima- ohhh...sabne kaha isiliye..vese wedding gift kuch zyada late nhi ho gya..i mean hamari shaadi ko 1 mahine to ho gye hoge na..chlo its ok..ab sabke kehne par laaye hoti khud hi pehna do..
(riddhima apna haath aage kar deti hai...armaan ring uski finger me pehna deta hai..)
Riddhima- thanks...
(armaan smile karkar nervously vha se chala jaata hai..aur riddhima armaan ko nervous dekhkar hasti hai aur kehti hai..)
Riddhima- he is nervous...but soo cute...(ring ko dekhte huye) I love you 2 armaan...
EPISODE 21
(riddhima ring dekhkar Bed par jakar beth jaati hai...aur ek book padne lagti hai...thodi der baad armaan vapas aata hai...aur riddhima se kehta hai..)
Armaan- me abhi 2 ghante me nikal raha hu...
Riddhima- abhi..? Ok..but please kal chand nikalne se pehle aa jaana...
Armaan- kha na aa jaunga...dont worry...
Riddhima- thik hai..me tumhare bag pack kar deti hu aur phir me bhi tumhe airport chodne chalungi...
armaan- thik hai...
(armaan chala jaata hai..riddhima armaan ka bag pack kar leti hai...vo bag lekar room se bahar aati hai...ki tabhi vo gautam ko apne room me bhaagta hua dekhti hai...vo bag bahar chodkar uske piche jaati hai..to dekhti hai gautam bathroom ko taraf bhaagta hai...riddhima bahar pareshaan hokar wait karti hai...thodi hi der me gautam apna head pakadta hua bahar aata hai...riddhima use bithakar kehti hai..)
Riddhima- kya hua hai gautam tum thik ho na...?
Gautam- nhi ridzi..pta nhi kya hua hai mere sar me boht dard ho rha hai...aur vomit bhi ho rhi hai...boht thand bhi lag rhi hai...
(riddhima uspar bedsheet uda deti hai aur kehti hai..)
Riddhima- me abhi tumhare liye coffee banakar laati hu...aur doctor ko bhi bulati hu tum hilna mat yhi araam karo...
(riddhima kitchen ki taraf jaa rhi hoti hai..ki use armaan ka bag dikhta hai..vo bag lekar bahar jaati hai..to dekhti hai...armaan uske liye car ka door khole khada hota hai..use dekhkar vo kehta hai...)
Armaan- to chale...
Riddhima- armaan vo...
Armaan- kya hua...?
Riddhima- armaan vo..armaan me tumhe chodne nhi aa paungi...
Armaan- what?? Par kyu...??
Riddhima- vo gautam...
(riddhima ke kucha ur bolne se pehle hi gautam ka naam sunkar armaan gusse me kehta hai..)
Armaan- phir gautam...me kaise bhool sakta hu..its ok..me chala jaunga..
(armaan vo door zor se band karkar car me bethkar chala jaata hai...riddhima use awaaz deti reh jaati hai..aur kehti hai..)
Riddhima- armaan puri baat to sun lete..tum bhi na...
(riddhima andar chali jaati hai...aur kitchen me coffee banane lagti hai..idhar room me gautam evily smile karkar kehta hai..)
Gautam- ab hua hai asli khel shuru armaan malik...mujhe pta hai ueeh shaadi zyada din nhi rhegi...kyuki yeh sirf samjhote ki shaadi hai..aur ab me is samjhote ko khatam karunga...yeh shaadi to toot kar rhegi...aur ridzi ko uski khushi milegi...
NEXT MORNING
(riddhima bed par sokar uthti hai..aur sabse pehle couch ko dekhti hai...aur armaan ko yaad karkar kehti hai..)
Riddhima- I am already missing you mr. husband pta nhi yeh pura din tumhare bina kaisa jayega...
(tabhi riddhima ka phone ring hota hai...vo dekhti hai ki armaan ka phone hota hai vo excitedly utha leti hai aur kehti hai..)
Riddhima- armaan...tum kab aoge..
Armaan- itna miss kar rhi ho mujhe...
Riddhima- nhi...vo to..me I mean..nhi..vo..me to bas isliye puch rhi thi kyuki.. kyuki..ha..kyuki aaj mera vrat haina to bas isliye..
Armaan- bas isliye...
Riddhima- kyu tum chahte ho me tumhe miss karu...
Armaan- kyu nhi..husband hu tumhara..
Riddhima- vo to tum ho... Par kya tum mujhe miss kar rhe ho...
Armaan- kyu..TUM chahti ho me tumhe miss karu...?
Riddhima- kyu Nhi me bhi wife hu tumhari...vaise armaan tumhara mood ab thik hai..kya?
Armaan- ha mere mood ko kya hua..?
Riddhima- tum jis tarha se yha se gye...mene socha..
Armaan- ha but ab thik hu I understand ghar me mehmaan hai use akela chodkar aana...its ok... Vese ek aire baat hai jisne mera mood thik kar diya..
Riddhima- accha vo kya..?
Armaan- yha ki ladkiya...ek se badkar ek hai..
Riddhima(gusse me)- armaan...shayad tum bhool rhe ho ki tum shaadi shuda ho..Aur tum apni wife se baat kar rahe ho...
Armaan(naughty smile karte huye)- kyu tum jealous ho rhi ho...
Riddhima- jealous aur me...?no way me kyu jealous hogi jealous hone wali koi baat hi nhi hai..
Armaan-acha agar kisi ladki ne mujhe yha phasa liya to..
Riddhima- to mr armaan malik me vha akar pehle to us ladki ki ankhen phod dungi...jin ankhon se usne tumhari taraf dekha bhi..aur phir tumhara sar phod dungi jisse tumne uske baare me socha bhi...
Armaan- wooohh...itna gussa...
Riddhima- akhir tumhari wife hu..
Armaan- haha...vo to hai..chalo thik hai..ab tumne mujhe warning di hai to ab me ladkiyo se door hi rahunga...
Riddhima- tumhare liye acha hai..
Armaan- acha chlo thik hai ab meri meeting start hone wali hai...meeting khatam hote hi me yha se nikal jaunga and dont worry me chand nikalne se pehle pohch jaunga...
Riddhima- okk...me intezaar karungi...
Armaan- bye...
(armaan cut karne hi wala hota hai ki riddhima phir bolti hai..)
Riddhima- acha suno...I LOVE YOU..
(yeh kehkar riddhima phone cut kar deti hai...aur armaan pehle to surprise reh jaata hai..phir vo phone ko dekhte hai..uske face par ek smile aa jaati hai..aur vo thoda blush karte huye kehta hai)
Armaan- I...L..O..VE...YO..U.. I love you 2 riddhima gup...naah...i love you 2 Mrs. Armaan Malik...tumne mujhe apna bana hi liya riddhima...aaj me sneha ki yaado se bahar hu...kal tak me sirf sneha ki yaado me Zindagi jeeta tha...par aaj... aaj dil chahta hai...ki ab apni zindagi jeeyu...tumhare saath har pal ko mehsoos karu tumhare saath...aur ab apni zindagi ki har aane wala lamha har pal ab sirf tumhare saath guzarna chahta hu...i know thodi pagal ho tum...par jaisi bhi ho..ab sirf meri ho...
(armaan smile karkar riddhima ke baare me sochta rehta hai..)
In evening
(riddhima mirror ke saamne tayyar hote huye kehti hai..)
Riddhima- mujhse to kha tha shaam tak aa jaunga...chaand nikalne waala hai...aur ab tak nhi aaya...use kya pta mujhe kitni bhook lagi hai...subha se paani bhi nhi piya...
(tabhi piche se gautam ki awaaz aati hai..)
Gautam- me paani pilau...
(riddhima piche mudti hai to gautam jeans aur black vest pehne khada hota hai...riddhima kehti hai..)
Riddhima- nhi yr...tum nhi jaante but paani hamesha husband pilata hai...
Gautam- really...tum in sab ko kabse manne lagi...?
Riddhima- jabse armaan se mili hu..i mean ha mujhe in sab baato par believe nhi hai...par kehte hai yeh vrat rakhne se pati ki umar lambi hoti hai...agar aisa hai to me chance nhi le sakti na...
Gautam- ridzi tu kya armaan se pyaar..?
Riddhima- ha gautam I love him...
Gautam- par yeh shaadi to ek samjhota tha na..?
Riddhima- shuru yeh ek smajhote se zarur hua tha...par ab yeh ek rishta hai...pyaar ka rishta me armaan se boht pyaar karti hu ab gautam...khud se bhi zyada sabse zyada...
Gautam- sach?
Riddhima- ha yaar...
Gautam- good (kuch sicgta hai lhir kehta hai..)acha riddhima me kal vapas jaa rha hu...london jaa rha hu...
Riddhima- really par kyu..?
Gautam- yha kisi maksad se aaya tha kisi ki khushi lautaane par ab lagta hai use meri zarurat nhi hai..vo boht khush hai use meri zarurat nhi hai..
Riddhima- acha tum to boht bade mission ke liye aye the...but kuch aur din ruko na...
Gautam- nhi yr..ab nhi ruk paunga...vese yha tere saath rha boht acha laga puraane din yaad aa gye...
(gautam aur riddhima ek dusre ko hug kar lete hai...ek formal si goodbye hug par jaise hi vo door hote hai..to armaan hatho me bag liye unhe dekh rha hota hai...gautam ki nazar uspar jaati hai...)
Gautam- lo armaan bhi aa gya...
(riddhima armaan ko dekhkar khush ho jaati hai...)
Riddhima- thank god tum aa gye..me tumhara kabse wait kar rhi thi
Armaan(gautam ko dekhte huye)-aisa laga to nhi...
Riddhima- ha?? Par aisa hi hai...ab chalo chaand nikalne waala hai..me chat par wait kar rhi hu...kapde bed par pade hai ready hokar aa jao...
(riddhima chali jaati hai aur gautam bhi iske piche chala jaata hai...armaan vha khada unka hug yaad karta hai..)
Armaan- yeh tu kya soch rha hai armaan...kuch bhi..riddhima loves me...only me..and now I also...aaj uska vrat todte hi me bhi use bta dunga ki how much I love her...
IN TERRACE
(armaan chat par aata hai white kurta pehenkar to dekhta hai..ki riddhima aasmaan me chand dhoondh rhi hoti hai..aur kehti hai)
Riddhima- yeh chaand bhi na...vese to apne shi time par aata hai..aur aaj jab mujhe itni bhook lagi hai to iska kuch pta hi nhi hai...
(armaan riddhima ki baat sunkar smile karta hai..aur uske piche jaakar uske ears me kehta hai..)
Armaan- chaand nikal aaya hai..
Riddhima(excited hokar)- sach kha hai..
(riddhima sky me dhoondne lagti hai..par jab use ni dikhta vo question look se armaan ko dekhti hai..armaan apni finger se pehke aasmaan ki taraf ungli karta hai..phir vhi ungli dheere dheere vo riddhima ki taraf karkar kehta hai...)
Armaan- hai to yha chaand...
(riddhima uski baat samjhkar blush karne lagti hai aur dono ek doosre ki ankhon me kho jaate hai...tabhi chaamd nikla aata hai par riddhima armaan ki ankho me khoyi hi rehti hai..armaan chaand dekhkar usse kehta hai..)
Armaan- chaand nikal aaya..
(riddhima blush karkar kehti hai..)
riddhima- armaan tum phir..?
Armaan- hello madam itna khush mat ho me ek hi romance do baar nhi karta hu..sach me chaand nikal aaya hai..
( riddhima embarrass hokar chaand ko dekhti hai..aur armaan use dekhkar naughty smile karta hai..riddhima usse kehti hai..)
Riddhima- zyada haso mat...chlo vrat kholo mera..
Armaan- start tumhe karna hai...
Riddhima- ha kar rhi hu...
(armaan riddhima ko dekhkar smile karta hai..riddhima bhi thaal uthakar use smile karte huye dekhti hai...par armaan kuch aur hi soch rha hota hai)
Armaan- jo mene abhi dekha kya vo...? Nhi...riddhima sirf mujhse pyaar karti hai..vo kabhi aisa nhi karegi..i trust you riddhima and I know tum mera trust kabhi nhi tootne dogi...
(armaan yeh baat sochkar riddhima ko dekhta hai... Ki tabhi riddhima ki smile fade ho jaati hai...aur uske haath se thaali gir jaati hai..aur vo chakar khakar niche girne... Hi wali hoti hai ki armaan use pakadleta hai...par riddhima behosh hoti hai..armaan riddhima ko behosh dekhkar shock ho jaata hai...aur usse kehta hai..)
Armaan- riddhima utho..riddhima..riddhima kya hua hai tumhe...riddhima..
(armaan phir paani dekhta hai..air paani riddhima ko pila deta hai...gautam bhi vha aata hai...armaan thoda paani riddhima ke munh par daalta hai..uar riddhima ki ankhen khulne lagti hai..)
Gautam- ridzi r u fine..?
Riddhima- mm ha..thik hu me...lagta hai vrat ki wajah se behosh ho gyi thi...
Armaan- is vrat ki kya zarurat thi riddhima...tabiyat kharab ho jaati to...
Riddhima- to koi baat nhi armaan...
Gautam- I think ab tumhe khana kha lena chahiye..
Armaan- ha chalo..
(armaan riddhima ko god me uthakar le iaane lagta hai..aur riddhima armaan ki care dekhkar use dekhti rehti hai..)
EPISODE 22
(armaan riddhima ko bed par lita deta hai...aur kehta hai..)
Armaan- tum yhi betho..me tumhare liye khana laata hu...
(armaan yeh kehkar room se bahar nikalta hi hai ko tabhi gautam use milta hai haath me khaane ki plate lekar..)
Gautam- vo ridzi ke liye...
Armaan(not so good tone me)- mujhe do me khila dunga...
(armaan plate lekar andar chala jaata hai...aur riddhima ko bithakar apne hatho.se use khilaane lagta hai...riddhima ise dkehti rehti hai aur background me yeh song playe hota hai..)
Mila hoon ab jo tum se
Hai dil ko mere kasam se
Sukoon mila, sukoon mila..
Tujhe hai paaya Rab se,
Hai dil ko mere kasam se
Sukoon mila, sukoon mila..
Har pal haseen sa huaa hai
Saanson ko tune chhuaa hai
Badhi tujhse nazdeekiyaan
Sukoon mila, sukoon mila.. mm..
Mila hoon ab jo tum se
Hai dil ko mere kasam se
Sukoon mila, sukoon mila.. mm..
Jab se juda tujhse jiya
Chain o qaraar dil ko mila (x2)
Jab bhi rahoon sang tere
Bhoolun har gham shiqwa gila
Tere ishq ka hi nasha hai
Meri rooh tak mein basaa hai
Tune aankhon se jo chhuaa
Sukoon mila, sukoon mila.. mm..
Mila hoon ab jo tum se
Hai dil ko mere kasam se
Sukoon mila, sukoon mila..
(armaan aur riddhima ek dusre ki ankhon me khoye rehte hai...ki tabhi riddhima ki khaane ki plate khaali ho jaati hai...armaan kehta hai..)
Armaan- me yeh rekh kar aaya..?
Riddhima- me rakh aati hu...
Armaam- bilkul nhi tum araam karo..me rakh dunga..aur subha hote hi huk doctor ke paas jayenge...ok...
Riddhima- but iski kya zarurat hai me thik hu...ab..
Armaan- zarurat hai...ab tum so jaao...me.yeh rakhkar aaya...
(armaan plate rakhne chala jaata hai...ki tabhi vo dekhta hai..ki gautam apne bag ke saath apni car me bethkar khi chala jaata hai..vo confuse ho jaata hai..aur sochta hai..)
Armaan- gautam gya...?? Achanak kyu..? Khair acha hi hai gya to...
(armaan apne room me jaata hai to dekhta hai riddhima so rhi hoti hai...vo jaakar uske forehead par kiss karta hai...phir bed par uska haath paoadkar use dekhta rehta hai...aur phir vhi bed par soo jaata hai...)
NEXT MORNING
(riddhima ki ankh khulti hai to vo dekhti hai...armaan uska haath pakadkar vhi so rha hota hai...riddhima use sota huye dekhti rehti hai...)
Riddhima- itni care karte ho meri...Ki raat bhar aise sote rhe...pta nhi armaan tum apne dil ki baat mujhse kab khoge...
(Riddhima yeh soch rhi hoti hai ki tabhi armaanckivankh khul jaati hai vo riddhima ko utha dekhkar apna haath uske haath se chuda leta hai...riddhima kehti hai..)
Riddhima- tum poori raat aise hi..
Armaan- nhi..vo me abhi.. I mean me couch par hi soya tha..vo to bas abhi thodi der pehpe ankh khuli aur aur mene aocha tunhe.check karlu...phirbmujhe neend ayi me so gya..aur ab me..abhi aaya...acha suno tayyar ho jao doctor ke paas jaana h...
(armaan chala jaata hai riddhima.smile karkar kehti hai..)
Riddhima- jhoot bolne bhi nhi aata...
(Riddhima bhi uthkar tayyar hone lagti hai..)
AFTER 2Hours
(armaan car me bethkar horn bajaa rha hota hai...)
Armaan- kha reh gyi hai yeh... Kitna time lagayegi...riddhimaaa...
(armaan riddhima ko awaaz lagata hai tiddhima bhaagte huye aati hai aur car me bethkar kehti hai..)
Riddhima- sorry sorry sorry...actually vo mera purse nhi mil rha tha..
Armaan- ab chale...
Riddhima- ha..ha..chalo...
(armaan car start karkar chala jaata hai )
Dr.BATRA'S CLINIC
(armaan cabin me chair par betha hota hai..ki riddhima aur lady doctor bahar aate hai armaan dr se kehta hai..)
Armaan- everything is fine na dr.
Dr- reports aane ke baad hi pta chalega...but aisa nhi lagta kuch serious hai...i think yeh na khaane ki wajah se hi behosh hui thi...but agar aur kuch bhi hai..to vo kap reports aane ke baad pta chal hi jayega..
Armaan- thank you doctor...aapne itni jaldi appointment di..
Dr- its ok...me riddhima ko acche se jaanti hu...puri gupta family ko hi actually...so its ok...but apna dhyaan rakho riddhima..
Riddhima- ji doctor...
(armaan aur riddhima chale jaate hai...dr vhi khade huye jaate dekhkar kehti hai..)
Dr- hope jo me soch rhi hu vo sach ho...kal reports ke baad hi me surely keh paungi...
(armaan riddhima clinic ke bahar nikalkar car me bethte hai tabhi riddhima armaan se kehti hai..)
Riddhima- armaan mujhe bhook lagi hai...
Armaan- thik hai to kuch kha lete..kya khaogi..?
Riddhima- aloo ke parathe...
Armaan- what..?
Riddhima- mujhe yhi khaana hai..
Armaan- par itni subha aloo ke parathe kha milenge..aisa karte hai ghar chalte hai..vha maid se kehkar banwa dunya phir kha lena..
Riddhima- no.way armaan me ghar tak jaane ka wait nhi kar sakti mujue abhi yhi khaane hai..khi se bhi laao mujhe nhi pta...
Armaan-tum pagal ho gyi ho jya aaj riddhima...aloo ke parathe subua subha koun banayega..ghar chalkar kha lena...
Riddhima- par...
Armaan- finger on your lips...
Riddhima- arma...
Armaan- munh pe ungli rakhkar chup chaap beth jaao...agar ab boli na to karele ka juice pilaunga...
(riddhima apne munh par ungli rakhkar beth jaati hai..armaan yeh dekhkar unbelievable look me man me kehta hai..)
Armaan- pta nhi is ladki ka bachapana kab jayega...
(armaan car start karkar bikal jaata hai..aur dono malik mansion pohch jaate hai...riddhima abhi bhi munh par ungli rakhkar bethi hoti hai... )
Armaan- ghar aa gya...ab put your finger down...chalo..
(riddhima gusse me armaan ke utarne se pehle...utarkar zor se gate bankar chali jaati hai..aur armaan shock me use jaata dekhkar kehta hai..)
Armaan- Gusssaaa!!! Ise gussa bhi aata hai...vo bhi ek aaloo ke parathe ke liye...kya cheez hai yeh ladki..ise koi nhi samjh sakta...
(armaan yeh kehkar andar chala jaata hai..to dekhta hai...ki riddhima andar lawn me sofe par bethi newspaper pad rhi hoti hai vo maid ko bulakar kehta hai...)
Armaan- madam ke liye aloo ke parantye banado..
(yeh sunkar riddhima boht calm tone me kehti hai..)
Riddhima- nhi armaan nera aloo ke paranthe khaane ka bilkuo bhi ab mood nhi hai..
Armaan- jya..? Par abhi thodi der pehle tak to tum...
Riddhima- vo thodi der pehle tha ab aisa karo tum mere liye brownies mangado..with ice cream...
Armaan- abhi hum bahar se aye hai..tum tab keh deti to..
Riddhima- par tab mera dil nhi kar rha tha ab kar rha hai...ab please mangava dona..me uppar room me hu...
Armaan- ok fine..tum aur tunhara mood...jaao..brownies liyao with ice cream
(servant chala jaata hai aur armaan bhi aone room me jaata hai..aur riddhima se kehta hai..)
Armaan- riddhima me office jaa rha hu...
Riddhima- aur me..?
Armaan- tum 2 din araam karlo...reports aa jaaye..phir chalna..
Riddhima- par armaan...
Armaan- no more arguments riddhima your health is more importamt so please...rest karo...me chalta hu...
(armaan paas akar riddhima ke forehead par kiss karkar chala jaata hai..aur riddhima armaan ke aisa karne se shock hokar khadi rehti hai...armaan chala jaata hai..riddhima apne forehead par haath lagakar smile karti hai...aur blush bhi karti hai..)
IN EVENING
(riddhima apne room se abhar nikalkar aati hai ke tabhi vo dekhti hai ki ananya apne bag ke saath enter hoti hai vo khish hokar jaati hai aur annaya ko hug kar leti hai...)
Riddhima- walcome back mom...to kaisi thi conference...
Ananya- it was good..tum btao..tum kaisi ho..armaan ne khyaal rakha na tumhara meri absence me..
Riddhima- ha mom..boht khyaal rakha...aap bta deti aap aa rhi hai to hum aapko airport lene aa jaate.
Ananya- agar me tunhe bta deti to surprise khraab nhi ho jaata... Vese armaan kha hai..
Riddhima- vo office me...
Ananya- ab tak nhi aaya...?
(tabhi piche se awaaz aati hai..)
MOM??
(ananya piche mudti hai to dekhti hai armaan vha khada hota hai..vo aakar ananya ko hug kar leta hai...)
Armaan- aap kab ayi mom..?
Ananya- bas abhi thodi der pehle..ab chalo khana khaate hai mujhe boht bhook lagi hai...
Riddhima- mujhe bhi...
Armaan- chalo phir khaana khaate hai.
(teeno jaakar dinning table par bethkar haste baate karte khana start kar dete hai..)
TO BE CONTINUED...
Sorry for late updates