Jaldi aaiyye Arnavji! Thread Six - Page 54

Created

Last reply

Replies

752

Views

177.6k

Users

84

Likes

2.3k

Frequent Posters

BARUNODAYA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Well..no prblm..njoy ur time..we wil wait 😃
Shikhayugal thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
No prblm dear...take ur time.
deepika45 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
take care and take your time
yoga123 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Nice part...thanks for the PM
suwin thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
no worries, take your time...

Gayuraj thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
wonderful update dear!!!
Arnav is really very possessive for
khushi.the way he takes care of her is
so sweet.khushi is so lucky that she
has such a loving and protective
husband.they are perfect for each
other.
truly loved the updates.
thanks for the pms.
raki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
No problem dear...take ur time.
vaishuu thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Loved it ..
Specially anjali,arnav,and khushi moments ..
pakpearl thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Part 110...
Arhi don't wanna leave Paris..
Awww...
Their honeymoon was awesome..
They not only romance nonstop but learn more about each other...
Part 111...
Arnav made her wear bangles...😊😊
He was already planning to spend some time with Khushi before leaving for office..
Anjale prepared food for her chotte n khushiji n feed them...
Wow...
Anjali is a gem !!!!!
Waiting for Raizada family's surprise...
Uff ff...
He's warning her not to stay back downstairs..
And her upcoming bday...

Smita...how will I survive till then??
..Smita.. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago

Thanks to all those who wished me for Diwali! Belated Happy Diwali to all those who celebrated the festival of lights! I hope you had a gala time with your loved ones! Thanks to all the readers for the likes & comments! Over to..

Part 112
*Later that evening*
Khushi & Anjali waited anxiously as the doctor checked Arnav's sugar level.
Dr: Aapka sugar level high hai,Mr. Raizada.
Khushi: Hey Devi Maiyya!
Arnav(turns to her): Jus' relax!
Anjali: Arnav ka sugar borderline high hai ya.. uss se zyaada?
Dr: Borderline high hai.
Anjali(relieved): Shukar hai!
Dr: Ghabraane wali koi baat nahi hai. Inhe kuch dinon tak khaane-peene par control rakhna hoga. Main 2-3 din baad aakar ek baar phir inki reading lekar jaaunga.
Arnav: Sure! BTW,I'm sorry doctor! Mamaji ne aapko subha bulvaaya tha par.. humlog rest kar rahe the toh..
Dr: Thats okay. Aap jetlagged rahe honge.. Aur waisi haalat me agar main aapka B.P. check kartaa toh woh high aata. Ab,chunki aap aaraam kar chuke hain,aapka B.P. normal aaya hai. Balki main toh yeh kahunga ki ek lambe arse k baad aapka B.P. normal aaya hai!
Anjali(agrees): Aap sahi keh rahe hain,dr sa'ab. Varna inka B.P. toh hamesha high hi rehta hai!
Arnav(glares): Di..
Dr: She's right,Mr. Raizada! Barhaal, aapka B.P. normal hai aur aap stress free nazar aa rahe hain isiliye main aapko stress test k liye appointment nahi de raha hoon. Aap ek-do hafton baad mujhe call kar k appointment le lijiyega.
Arnav: Okay.
Dr(stands up): Main chaltaa hoon. Take care of yourself.
Arnav: Thanks,I will!
Mamaji: Aaiyye dr sa'ab.. Hum aapko baahar tak chhodkar aate hain.
Anjali waits till they leave before speaking.
Anjali: Chaliye sab log jaldi se taiyyaar ho jaiyye!
Mamiji: Oo ko hoi ki padi kaahe se ki 7 baje humra isspecial pirogram suru hoye wala hai!
Khushi: Mamiji,di ab toh bataa dijiye ki aaplog kya karnewale hain?
"Bait and bhaatch!" (wait & watch!) said mamiji before going towards her bedroom..
Khushi was disappointed when even Anjali left without revealing anything.
Arnav tapped her shoulder from behind.
Arnav: Sabar ka phal meetha hota hai,remember?
Khushi nodded.
Arnav: Toh sabar rakho aur chalo!
Khushi: Kahaan?
Arnav: Paris!
Khushi: Kya?!
Arnav(smiles): Taiyyaar hone k liye,silly!
Khushi(offended): Hum silly nahi hain! Aur aap.. Paris ka naam mat lijiye!
Arnav: Kyun?
Khushi(sighs): Ek toh waise hi hum.. Paris ko miss kar rahe hain. Oopar se har koi humse Paris k baare me poochhe ja raha hai. Yeh kam tha ki ab aapne bhi Paris ka naam lena shuru kar diya!
Arnav: Okay,fine! Ab main PARIS ka naam nahi lunga!
Khushi: Aap bhi na, ho.. (checks herself) Arnavji!
Arnav(arm around her shoulder): Kitne time k baad tumhare moonh se Arnavji sun raha hoon! Sunkar achchha lagaa!
Mamaji clears his throat loudly from behind.
Khushi(embarassed): Hum.. aate hain..
She leaves for the kitchen while Arnav leaves for their bedroom.
Mamaji smiles as he closes the main door.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
*Later that evening,ArShi's bedroom*
Khushi: Suniye..
Arnav(from the bathroom): Boliye?
Khushi: Nahi.. pehle aap baahar aaiyye phir hum bolenge!
Arnav: Whatever!
When he came out of the bathroom,Arnav found Khushi standing in front of the vanity table in her
blouse & saree skirt.
Khushi: Jab se humare haath me chot aayi hai tab se lekar aaj tak aap hi ne humein saree pehnaayi hai toh..
aaj bhi aap hi pehna dijiye.
Arnav: My pleasure!
Khushi: Bas.. 1 baat ka dhyaan rakhiyega..
Arnav(frowns): Kaunsi baat?
Khushi: Wahaan aap.. saree pehnaate waqt.. chhed-khaani karte the tab.. hum aapse kuch nahi kehte the. Par aaj humare haath me waqt bahut kam hai toh.. please aaj kuch aisaa-waisaa mat kariyega!
Arnav: Don' worry!
Khushi stood where she was as he draped the saree effortlessly.
Her breath hitched everytime his hand touched her bare back,stomach or waist.
She felt as if a current passed through her body when he kissed her back.
Khushi: Aap.. humne kaha tha chhed-khaani..
Arnav(interrupts): Yeh chhed-khaani nahi thi,yeh sirf 1 kiss tha! (turns her to himself)Jaise yeh 1 kiss hai.
And just like that he kissed her on the lips.
The kiss was short & sweet yet it reminded Khushi of all those times when he had kissed her senseless.
When their tongues had mated for endless periods of time.
The color of her cheeks grew darker as her thoughts turned bolder.
Arnav(snaps his fingers): Back to Delhi,Mrs. Raizada!
Khushi: Kya?
Arnav: Kuch nahi. Tumne mandir se sindoor liya?
Khushi: a.. nahi.. zaroorat nahi padi. Jiji k paas 2 dibbe the toh 1 dibba unhone humein de diya.
Arnav: Mujhe woh dabba de do,main sindoor lagaa deta hoon.
Khushi: aur.. mangalsutra aur gehne..?
Arnav: Woh bhi main pehna dunga but..
Khushi(interrupts): pehle sindoor,yeh hi na?
Arnav nods.
Khushi(smiles): Aap bahut kuch seekh gaye hain,Mr. Raizada!
Arnav: Thank you! Ab sindoor do..
Khushi: Ji,1 minute rukiye..
Khushi turned to the mirror to do her makeup once he applied the sindoor.
Arnav: Hurry up,baby!
Khushi: Aap tab tak apna bandhgala kyun nahi pehen lete?
Arnav: Mujhe usse pehenne me sirf 5 minute lagenge!
Khushi: Haan toh humein bhi make up karne me utna hi samay lagega.
Arnav: Okay,fine!
She was shocked when he started undressing in front of her.
Khushi: Aap.. yahaan kyun.. yeh.. matlab aap yahaan taiyyaar honge?
Arnav: Obviously! Bandhgala suit bathroom me thode hi na pehnunga main! Aur kyunki yeh Paris ka penthouse nahi hai ki main apne kapdein lekar kisi aur room me nahi ja saktaa!
Khushi(groans): oh ho! Aapne phir Paris ka naam liya?!
Arnav: Okay,I'm sorry! But the point is ki mujhe yaheen taiyyaar hona padega.
Khushi: Toh.. aisaa kijiye ki aap pehle taiyyaar ho jaiyye phir hum apnaa make up kar lenge.
Arnav: Kyun?
Khushi: Ab.. aap aise taiyyaar honge toh.. aap humein sheeshe me nazar aayenge. Aur.. phir humara haath hil jaayega! Aur.. make up me galtiyaan ho jaayengi.
Arnav(smirks): What!?
Khushi: Jaldi taiyyaar hoiyye na!
Arnav: Hang on.. Main uss taraf chalaa jata hoon. That way,tumhe mera reflection nahi dikhega aur hum simultaneously kaam kar paayenge.
Khushi(agrees): Yeh theek rahega!
Once he was dressed,Arnav helped Khushi with her jewellery.
Their eyes met in the mirror while he was fastening the hook of her mangalsutra.
Arnav: Tum..
Khushi: Kuch mat kahiye! Aapki aankhein saaf-saaf bataa rahi hain ki hum bahut achchhe lag rahe hain!
Arnav: Right! Yeh saree waise toh bahut achchhi hai par.. tum par yeh aur bhi zyaada achchhi lag rahi hai!
http://lh4.ggpht.com/-TG8B1Kubm_w/T07p7pyTr7I/AAAHLE/MDol7MtCP0M/s1600-h/Dia_Mirza_Gold_Saree%25255B3%25255D.jpg
Khushi: Theek waise hi jaise aap par yeh bandhgala bahut achchha lag raha hai!
http://www.askmeonweddings.com/mandiraa/tanchoi-brocade-gold-and-beige-bandhgala-set/
Arnav: Woh toh lag raha hai but.. mujhe 1 baat samajh nahi aa rahi hai.
Khushi(turns to him): Kaunsi baat?
Arnav: Di ko ghar k function k liye itne heavy kapdein dene ki kya zaroorat thi?
Khushi: Hon.. Arn..
Arnav(interrupts): Bedroom me toh honey keh hi sakti ho na?
Khushi: hmm. Aapko toh khush hona chahiye,honey! Di ne kitne achchhe kapdein chune hain humare liye! Woh bhi ek-doosre se milte-julte rang k! Aur.. Chaahe woh gharwaalon k beechh hi kyun na ho raha ho,par kaaryakram toh humari shaadi ki saalgiraah ka hai na? Saalgirah par aise kapdein nahi pehnenge toh kab pehnenge?
Arnav: Woh hi toh! Saalgiraah ki party hai par kapdein shaadi waale hain! Ghar ki sajaavat bhi waise hi ki hai jaise koi shaadi ho! Kaheen.. inlogon ka plan humari teesri baar shaadi karvaane ka toh nahi hai na?
Khushi: Agar aisaa hua bhi toh kya?! Humein aapse teesri baar shaadi karne me koi aitraaz nahi hai!
Arnav: Tumhe aitraaz kyun hoga? Tum toh khushi-khushi mujhse ek aur baar shaadi kar logi! In fact,tumhara bas chale toh tum har saal me 1 baar mujhse shaadi karnaa chahogi!
Khushi(smacks his chest): Chup rahiye!
Arnav: I think ab humein neeche chalnaa chahiye.
Khushi: Ji,chaliye..
They had barely stepped out of the room when they met Lavanya.
Lavanya: Main tumhare paas hi aa rahi thi,Chamkeeli.
Khushi: Kya baat hai Lavanyaji?
Lavanya: Mujhe tumhari 1 chamkeeli bindi chahiye,waisi jo meri dress k saath match karti ho.
Khushi: Aap humare saath chaliye,hum aapko bindi nikaalkar dete hain. Aur.. Arnavji aap neeche chale jaiyye. Hum Lavanyaji k saath aa jayenge.
Arnav gave her a look of disappointment before leaving.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
When he reached the topmost stair,Arnav saw a lady standing downstairs with her back towards him.
She was wearing a lavender anarkali with white and silver detailing.
Her waist length hair was half tied & she was fidgeting with one end of her dupatta.
Arnav(wonders): Di toh keh rahi thi ki party me sirf ghar k hi log honge. Phir.. yeh kaun hai?
He decided to voice his question.
Arnav: Excuse me..
When the lady did not respond,Arnav called out a little louder.
Arnav: Main aapse baat kar raha hoon,ma'm..
He got the shock of his life when the lady turned towards him.
Arnav: Am.. ma?!
Amma gave an embarassed cum shy smile as Arnav continued to stare at her,shell shocked.
Amma(folds her shaky hands): Na.. maste.. bitwa! Kaise hain aap?
Arnav was about to answer when he got yet another shock.
Babuji came & stood right next to amma.
He was wearing a grey colored three piece suit.
"Baa.. boo.. jii!"
That was Khushi.
She nearly fainted upon seeing her parents in that avatar.
Babuji: oo.. ka kahte hain.. Garimaji?
Amma: Namaste?
Babuji: Namaste naahi! Kauno chauk jaaye phir Angreji ma kaa kahte hain?
Buaji(coming from behind him): Oo ko surprise kahte hain,babua!
Arnav nearly fell off the stairs when buaji appeared before them wearing a beige anarkali having a pale gold border.
He was so shocked that he even forgot to say "unbelievable man!"
Khushi: Boo... aa.. jii?! Aa.. aap bhi?
Buaji: Sirf humai naahi hai,Nandkisore! Abhai tau aur bhi hai! Tum tau bas moonh khol k dekhti jao,Sanka devi!
And she was right!
One by the one,the entire Raizada clan stepped before the awestruck couple.
The gentlemen were smartly dressed in three piece suits while the ladies looked graceful in anarkalis.
Buaji: Ab batiyaao,Sanka devi! Kaa kahi hau?
Khushi: Hum kya kahein,buaji? Aaplogone woh surprise de diya jiski humne kabhi kalpana bhi nahi ki thi!
Anjali: Aise surprises me hi toh sabse zyaada mazaa aata hai,Khushiji!
Mamaji: Sahi kahat hau,bitiya! Surprise denewalon aur surprise milnewalon,dono ko majaa aana chahiye!
Buaji: Aur humka tau bahutai majaa aavat raha,Nandkisore!
Arnav: Yeh idea kiska tha?
Mamaji: Ee tumhri mami ka idea tha,bitwa!
Arnav: Mamiji.. aapka?
Mamiji: Aur naahi tau ka! Tumhre sangeet ma hum phati saree k jaisan anarkali pahnat rahe tau ee baar hum soche ki humre ilaava,sab hi laideej ka kaahe naahi anarkali pahnaayein? Aisa karne se ee bhi pataa chal jaayega ki.. kaun anarkali ma sundar laagat hain aur.. (turns partially towards buaji) aur kaun(supressing a grin) bandar!
Nani: Kaa kaha,Manorama?
Mamiji: a.. matbal.. sab hai sundar lagenge! Aur a.. hum ee bhi soche ki gaintlemain kaahe peechhhe rahenge? Oo kauno se kam thode hi na hai! Tau ae hi liye humne tay kiya ki NK babua k jaisan, baaki saare gaints bhi suit hi pahinenge!
Anjali(teases): Sach-sach bataaiyye na mamiji! Aap mamaji ko 3 piece suit me dekhna chahti thi isiliye aapne yeh idea sujhaaya!
Mamiji(blushes): Come aan,Anjali bitiya! Aisan kauno batwaa naahi hai!
Khushi: Aap suit me bahut hi achchhe lag rahe hain,mamaji!
Mamiji: Hum bhi shame to shame kahat rahe ki ab safari suit pahinna chhodo aur 3 piece suit pahinna suru kar diyo! Par ee hai ki..(makes a face)huh!
Anjali: Mamiji ka sujhaav bura nahi hai,mamaji. Aap suit me waaqayi bahut achchhe lag rahe hain! Agar aapne rozana suit pehenna shuru kar diya toh..
Mamaji(interrupts): Naahi bitiya! Hum aur humri safari,dunno bhale hain! Ab kal ko jaun Arnav bitwa ne suit k badle safari pahinna suru kar diya taun..
Khushi(interrupts): Toh woh achchhe hi lagenge mamaji! Jab yeh Paris me kurta pyjama pehente the toh kya khoob lagte the! Jo kurta pyjama me, sherwani me, suit me itne achchhe lagte hain woh saf.. aari me.. bhi..
She stopped abruptly when she realized that everyone was staring at her.
When she turned to look at Arnav,she found that even he was staring at her with an eyebrow cocked & an amused expression.
Khushi(embarassed): a.. woh..(lowers her gaze)aap.. achchhe.. lag rahe.. hain,mamaji!
Mamaji(smiles): Sukriya,bitiya! Humka viswas hai ki Arnav bitwa kurta pyjama ma humse bhi jyaada achchhe lagte honge! Kaahe?
Khushi's cheeks turned red as Lavanya knudged her.
Nani: Bas Mahendra! Aur aap sab bhi sun lijiye-aaj bitiya aur Chhotey ko kauno naahi chhedega! Hum chahte hain ki oo dunno ee kaaryakram aaraam se dekh paayein!
Anjali: Kaaryakram toh tab shuru hoga,nani,jab yeh dono neeche aayenge!
Nani(nods): Aaiyye..
Arnav linked his arm to Khushi's as they descended the stairs together.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Arnav & Khushi were seated in front of the stage in special,ornate chairs while the family sat behind them on regular chairs.
Arnav(whispers): Chairs dekhein tumne? Hum apne reception par aise hi chairs par baithe the. I'm sure aaj humari teesri shaadi hone wali hai!
Khushi(whispers): Shaadi ki chinta chhodiye aur aaraam se baithkar kaaryakram dekhiye!
Arnav was about to say something when the curtains of the makeshift stage parted.
He shifted his gaze to the centre of the stage where Anjali was standing with a cordless mike in her hand.
Anjali: Jaisa ki aap sab jaante hain,aaj humlog Chhotey aur Khushiji ki shaadi ki pehli saalgiraah manaa rahe hain! Iss 1 saal me unki zindagi me kuch utaar,kuch chadhaav,kuch achchhe pal toh kuch bure pal bhi aayein. Achchhe palon ki baat karein toh sabse pehla aur sabse sunehra pal tha woh pal jab woh ek huye!
ArShi turned towards each other simultaneously.
Anjali: Unki shaadi ka din na toh woh dono bhula paayenge aur na humlog bhula paayenge! Yeh shaayad pehli aisi jodi hai jisne 1 hi saal me do-do shaadiyaan ki! Varnaa,aam taur par,1 jode ki doosri shaadi ya toh unki shaadi ki pachchisvi saalgiraah par hoti hai ya phir pachaasvi saalgiraah par! Humein koi andaaza nahi hai ki jab tak in dono ki pachchisvi saalgiraah aayegi tab tak inhone kitni baar shaadi kar li hogi! Khair,filhaal hum aapko dikhaane jaa rahe hain inki shaadi aur pehli saalgiraah k beechh k kuch haseen lamhein,jo humare NKbhai ne apne camera me qaid kar liye the! a.. (loudly)Mr & Mrs Raizada..
Khushi breaks the eyelock & ArShi turn towards the stage while the rest of the family turn to gaze at the couple.
Anjali(teasing smile): Hum keh rahe the ki.. agar aap dono tasveeron k bajaaye ek-doosre ko dekhna chahte hain,toh koi baat nahi! Baaki sablog tasveerein dekh lenge!
Arnav: Aisi koi baat nahi hai,di! Aap dikhaaiyye.. Hum dekh rahe hain..
Anjali: Over to NKbhai!
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
While the Raizadas' were viewing the photos,the Guptas' were getting ready backstage.
Amma: Ji,aap Anjali bitiya se kahiye na. Humara kaaryakram sabse pahle kaahe rakha hai?
Babuji: Aap taiyyar tau hui jaiyye. Hum kosis kar k dekhte hain..
Amma nodded before he left to have a word with Anjali.
Buaji: Itna kaahe ghabraaye rahi hau,Garima?
Amma: Ghabraaye naahi tau aur kaa karein,jiji? Pahile oo anarkali aur ab ee.. ghagra-choli.. Aur phir aapne humein sir dhakne se rok diya!
Buaji: Humne roka kaahe se ki Sanka devi aapan sir naahi dhaakat hain. Aaj hum sab Sanka devi k jaisan saje hain tau humka oo hai kare ki padi jaun oo karti hai. Ae hi liye tau hum khud bhi sar naahi dhaakat rahe.
Amma: Par jiji samdhiji,Arnav bitwa aur Aakas bitwa k saamne aisan.. achchha thode hi na laagat hai?
Buaji: Ee ma achchhe-bure ki kauno batwaa hi naahi hai! Batwaa hai Sanka devi jaisan dikhne ki,jaun tum dikh rahi thi! Aur ab batwaa hai sab kuch bhulaayi k gaane k hisaab se naachne ki,jaun tum kar logi! Tum bahut abhyaas(practice) kiye rahi ho. Ekdum ae chinta naahi karo! Sab theek-thaak hui jaayega! Bas apne haav-bhaav(expresssions) par dhyaan dena..
Amma: Aap k haav-bhaav humse laakh guna behtar hain,jiji. Aap hi ne humko ee nritya sikhaya hai. Phir aap humri jagah kaahe naahi le leti? Ghabraahat k maare humse kauno bhool hui gayi tau?
Buaji: Kauno bhool naahi hogi! Aur hum tumhri jagah naahi lenge, Kaahe se ki tum humse zyaada achchha naachti hau! Aur bahutai sundar lagti hau!
She paused when she saw Anjali approaching them.
Anjali: Kya hua,ammaji?
Amma: Bitiya,humein bahut ghabraahat hui rahi hai! Aisan lag raha hai jaisan hum sab kuch bhool jaa rahe hain. Tau.. tum humri jagah apni mamiji ka ya kauno aur karyakram rakh deti tau.. hum tab tak abhyaas kar lenge..
Anjali: Par.. problem yeh hai ki aaplogon ka ek hi kaaryakram hai jab ki humlogon k kaafi saare kaaryakram hain toh.. isiliye humne socha ki pehle aapka kaaryakram khatm kar k phir hum Raizada parivaar ka karyakraam shuru karenge.
Buaji: Tumhri baat bilkul theek hai,bitiya! Ae Garima,ghabraane se kauno faayda naahi hoga! Tumko sab kuch yaad hai! Aur jaun bhulaaye gayi hau oo gaana sunte hi yaad aa jaayega! Chinta naahi karo aur jaao!
Babuji: Kaa kahti hain,Garimaji?
Amma: Ji.. ab hum ka kahein? Theek hai. Hum.. chale jaayenge.
Buaji(slaps her back): Ee hui na baat!
Anjali: All the best ammaji,babuji!
Babuji(smiles): Shukriya bitiya!
Anjali(holds her hand): Aap Devi Maiyya ka naam lijiye,ammaji. Unk aashirwaad se aapka kaaryakram bahut achchha hoga!
Amma nods.
Anjali: Aur buaji,aap humare saath chaliye. Gaane k baad aapko bolna hai na?
Buaji: Haan bitya. Chalo..
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Anjali smiled as she came back on the stage.
Anjali: Thank you so much,NKbhai! Humein poori ummeed hain ki inn tasveeron ko dekhkar aap sab ki kayeen yaadein taaza ho gayi hongi! Ab aage badhte hain aur manch(stage) par aamantrit(invite) karte hain Gupta parivaar ko,jo apne daamaadji ko kuch bataana chahte hain!
Before leaving the stage,Anjali spotted Arnav cocking an eyebrow.
Arnav(turns to Khushi): Mujhe kya bataana chahte hain?
Khushi: Humein kya pataa?(makes a face) Humse toh kisine kuch kaha hi nahi! Aane dijiye buaji ko! Phir hum bataayenge unhe!
Arnav: Tum aise kyun keh rahi ho?
Khushi: Toh aur kaise kahein? Humari koi ehmiyat(importance) hi nahi hai unki nazar me! Saalgiraah hum dono ki hai,toh kaaryakram bhi hum dono k liye karnaa chahiye tha na?
Arnav(smirks): Oh..! so somebody is jealous,hmm?
Khushi does not respond.
Arnav knudges her when the curtains part.
Arnav: Dekho na,Khushi! Mere liye especially prepare kiya hai yeh program! Have a look!
Khushi was about to retort when she spotted Amma entering the stage,clad in a ghagra choli,holding an earthen pot.
The stage background changed to that of a village.
Amma walked till that part where an artificial tree was taped and sat down beside it.
She lipsynced perfectly to the song which blared through the speakers.
Amma: Peepal chhaiyyaan
Baithi pal bhar,ho...
Dhar k gagariya
Haay re!
Amma knocked off the earthen pot while the chorus sang "Haay re!Haay re!Haay re!"

Amma(shocked expression): Oy,oy,oy,oy,oy!
Daiyya re,daiyya re
Chadh gayo paapi bichchhua!

She got up while the chorus sang the same lines.

Amma: Oh,haay,haay re mar gayi!
Koi utaro bichchhua
!

Arnav(shell shocked): Amma mujhse.. yeh.. kehna chahti thi?
Khushi: Ssshh! Chup-chap dekhiye!

She started dancing in her seat while the male chorus sang: Kaiso re paapi bichchhua,bichchhua!
Kaiso re paapi bichchhua,bichchhua!

ArShi got into an argument while the first stanza was repeated.
Arnav: Khushi,kya kar rahi ho tum?
Khushi(annoyed): Oh ho! Hum jaise bhi kar rahe hain,humein karne dijiye na! Na khud mazaa le rahe hain,na humein mazaa lene de rahe hain!
Arnav: Mazaa?! Yeh toh..
He stopped when the stage became totally dark.
When the stage lights were switched on,they saw a bearded man standing next to amma.
Dressed like a tantrik,he had a wand in his hand which he was rotating around amma's head.

Tantrik(sings): Ho... mantar pheroon,
(points to amma)
Komal kaaya..
Chhod k jaa re
,(shakes the wand) chhooo!

Arnav(confused): Yeh kya ho raha hai? Aur yeh aadmi kaun hai?
Khushi: Happyji..
Arnav(shocked): What the..!?

Meanwhile the stage lights were switched off yet again as the chorus chanted: Ja re,ja re,ja re!
When the lights were switched on,Arnav could see amma running after Happyji with his wand.

Amma: Aur bhi chadh gayo,
Na gayo paapi bichchhua!

She chased him off the stage and threw the wand aside.
Looking absolutely dejected,she came back to the centre of the stage.

Amma: Ho...
Mantar jhootha...
Aur vaid bhi jhootha.. ho
...
(looks towards the right side of the stage)
Piya ghar aa re...! Aa re..!

Chorus: Aa re,aa re,aa re!

Amma's expressions change drastically while a musical instrument plays in the background.
Arnav(wonders aloud): Amma suddenly itni khush kyun lag rahi hain?
Khushi: Kyunki babuji,matlab.. unk piya aa rahe hain!

Sure enough,babuji enters the stage dressed in a dhoti kurta.

Amma(smiles): Oh.. dekho re,dekho re,
Dekho,utar gayo bichchhua
!
Babuji: Toot k reh gayo,
Dankh utar gayo bichchhua!
Amma(blushes): Saiyyaan ko dekh k
Jaane kidhar gayo,bichchhua?

Male chorus: Kaiso re paapi bichchhua,bichchhua!
Kaiso re paapi bichchhua,bichchhua!

As the first stanza is repeated,Khushi drags Arnav by the hand towards the stage.
Arnav: Khushi,kya.. what the..!?
Khushi: Jiji,jijaji aaplog bhi aaiyye! (yells)Buaji,gana rewind karvaiyye na! Humein bhi nachna hai!
Buaji: Haay re Nandakisore!
Khushi: Aur aap bhi aa jaiyye. Hum sab saath me naachenge!
Amma: Khusi!
Khushi(holds her hand): Amma,chaliye na!

Holding hands,the entire Gupta family including their sons-in-law,dance to the last part of the song.
The Raizadas',with the exception of mamiji, applaud them.
Mamaji(clapping): Taali kaahe naahi bajaaye rahi hau,Mannu?
Mamiji: Taali bajaaye jaisan kaa hai? Old phaisoned saang aur old phaisoned dance! huh!

Buaji(holds her head): Haay re Nandkisore! Sanka devi,ab neeche chalo aur humko kaaryakram pura karne do! Chalo!

Once the Guptas' were seated,buaji took the mike from Anjali. Buaji: Arnav babua soch rahe honge ki.. batiyaane ki jagah ee sab,naach-gana kaahe hui raha hai? (smiles)Par babua,hum..
ee naach-gaane k jariye tumko kuchcho bataana chahe rahe the. Jaisan abhi tumne manch par dekha ki baid,mantar kauno kaam naahi aaya! Par jaise hi ladki ne apne unn ko dekha,waisan hi oo pe chadha bichchhu utar k bhag liya! Waisan hi haalat humri Khusi ki hui gayi thi jab tum bides gaye the.

Arnav turns to Khushi to find a sombre expression on her face.

Buaji: Oo ka hasna,batiyaana,jilebiyaan banaana sab kuch band hui gaya tha! Hum sabne oo ka man bahlaane ki bahutai kosis ki,par kauno tarqeeb kaam naahi aayi. Phir hum soche ki thode din oo ko humre ghar lai jaaye. Mahaul badalne se saayad.. man bhi badal jaayega. Par oo huaan aane ki khaatir raaji naahi hui, kaahe se ki tumhri saadi k baad oo kabhi bhi humre huaan akele naahi aaye rahi. Humne haar maani aur oo k jaisan tumhre lautne ka besabri se intejaar karne lage. (smiles) Jis din tum laut aaye oo hai din humri Titaliya bhi laut aayi! Tumhre aane se oo ki muskaan bhi laut aayi aur oo ki sanak bhi laut aayi! Hum tau ee kahenge,babua,ki Sanka devi k har marj ki dawaa tumhai hau! Kaahe Sanka devi,sahi kahe rahe hain na hum?
Khushi(admits): Haan buaji. Aur yeh baat.. Arnavji ko bhi pataa hai.
Buaji: Oo tau hogi hi,Nandkisore! Ee k ilaava,hum ek aur baat kahna chaahe rahe the,babua.
Arnav(turns to the stage): Ji buaji?
Buaji: Sanka devi ko humre huaan thahre huye mahinon hui gaye hain. Ab tumhre bagair tau oo humre ghar ma pair bhi naahi rakhegi! Tau kabhi, samay nikaalkar, humre huaan aai k kuch din gujaaro,babua. Hum sabko bahutai khusi hogi aur humre padosiyon ko bhi bahutai khusi hogi! Oo log bhi daamaadji k darsan paane ko taras rahe hain!
Arnav was about to say that he would fulfill her wish soon when Khushi spoke loudly.
Khushi: Aap sablog ek jaise hain,buaji-Pakshpaati!(partial)
Buaji: Kaa kaha Sanka devi?
Khushi: Toh aur kya kahein,buaji? Jo bhi kehna tha inse kaha,humse kisine kuch kaha hi nahi! Padosiyon ne bhi inke baare me poochha,humari kisi ko padi hi nahi hai!
Buaji: Aisan kauno baat naahi hai,Titaliya! Tumhri wajah se hi tau humko Arnav babua jaisan daamaad mila hai!
Khushi: Achchha,toh bas itni hi ehmiyat hai humari!
Amma: Aisa naahi hai,Khusi! Tu aur bitwa ek-doosre se alag thode hi na ho?
Khushi: Woh jo bhi ho,amma! Humein bahut thes pahuchi hai yeh dekhkar ki aaplogone sirf ink liye kaaryakram kiya,humare liye kuch nahi?
Nani(from behind her): Udaas naahi hoiyye,Khushi bitiya! Jaisan ee log aapan daamaad ki khaatir kaaryakram kiye rahe,waisan hum bhi sirf aapan bahuriya ki khaatir kaaryakram karnewale hain!
Khushi(turns around): Sach naniji?
Nani: Bilkul!
Mamiji: Aur naahi tau kaa? Tumhre maiternity home..
Nani(interrupts): Manorama! Aap tanik tameej se batiyaaiyye!
Mamiji: Saary sasuma! Tumhre maayike wale tau bas ek ahi pirogram karat rahe par hum tumhri khaatir 3-3 pirogram karewale hain,haan! Tiripal doj! (triple dose)
Khushi(turns to Arnav): Suna aapne?
Arnav: Haan,suna. But I'm not jealous like you!
Khushi: Woh toh kaaryakram shuru hone k baad hi pataa chalega! Buaji,ab aap utar jaiyye aur di ko Raizada parivaar ka kaaryakram shuru karvaane dijiye!
Buaji makes a face while exiting the stage.
Anjali: Aglaa kaaryakram shuru karne se pehle hum Happyji ko dhanyavaad kehna chahenge!
A shy Happy Singh joins her on the stage.
Anjali: Inhone Gupta parivaar ka bahut achchhe se saath diya! (to the audience)Aaiyye,hum taaliyon se inka sammaan karein!
Khushi(claps): Bilkul sahi kaha di ne! (loudly)Bahut khoob,Happyji!
Happy Singh folds his hands in gratitude before climbing down the stage.
Anjali: Ab aayi baari Raizada parivaar ki!
Aakash: Yayyy!
NK: Yippee!
Buaji places her hands on her ears when mamiji whistles twice.
Anjali: Paayalji ko mike saunpkar hum chalein apne kaaryakram ki taiyyariyaan karne k liye! Khushiji,Chhotey hum ummeed karte hain ki aapko yeh kaaryakram pasand aayega!
Khushi smiles when Aakash helps Paayal onto the stage.
Khushi: Jijaji jiji ka kitna khayaal rakhte hain na?
Arnav: Rakhna bhi chahiye. She deserves it!
Khushi(whispers): Hum ummeed se nahi hain,phir bhi aap humara itna khayaal rakhte hain. Kabhi-kabhi sochte hain ki abhi aap aise hain toh jab.. hum ummeed se honge tab aap kya karenge?
Arnav(whispers): Tumhe kya lagta hai ki main kya karunga?
Khushi(whispers): Aap toh poore ghar ko sir par utha lenge! Hari Prakashji ya Om Prakashji,jo bhi honge, unki toh shaamat aa jaayegi!
Arnav(whispers): Right! Aur agar tumne koi laaparwaahi ki na,toh tumhari bhi shaamat aa jaayegi!
Khushi(whispers): Achchha?
Arnav nods in response.
Khushi(whispers): Aur agar aapse koi laaparwaahi ho gayi toh?
She realizes her folly when Arnav's expression changes.
Arnav(holds her hand): Mujhse koi laaparwaahi nahi hogi,trust me!
Khushi(places her hand on his): Haan,humein poora bharosa hai aap par! Yeh baat toh bas.. aise hi,baaton-baaton me, humare moonh se nikal gayi.
Arnav(nods): I understand.
He turns towards the stage.
Khushi(mutters to herself): Kitni baar kaha hai tujhse-soch,samajhkar bola kar Khushi! Soch,samajhkar bola kar Khushi! Par nahi!
Arnav(holds her hand): Relax!
Khushi: I'm sorry!
Arnav(turns to her): Its okay! Yeh sab bhool jao aur program ko enjoy karo,hmm?
Khushi nods.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
While ArShi were engaged in their conversation,the Raizadas' were dealing with a major problem backstage.
Anjali(shocked): Par.. CD toot kaise gayi,NK bhai?
NK: I dunno,di. Maine jab cover khola toh CD tooti hui mili.
Akash: Di,aapne CD k oopar koi bhaari cheez toh nahi rakhi thi na?
Anjali: Nahi Akash. Humne toh CD ko alag se rakha tha,speaker k paas. Aur jab humne usse cover me dala tha tab toh woh bilkul theek thi.
NK: Maine CD waheen se li par tab tak woh toot chuki thi. Phir CD todi kisne?
Anjali(tensed): Ain waqt par yeh sab ho gaya! Ab hum kya karenge?
Akash: Its okay,di. Humare paas koi backup toh hoga na?
NK: Haan,hai. (turns to Anjali)Di,maine aapko woh black aur green pendrive di thi na? Uss me woh song hai.
Anjali: Woh toh.. theek hai,NKbhai par.. humein yaad nahi aa raha hai ki humne woh pendrive kahaan rakhi thi?
NK: Maybe aapne usse apne room me rakha ho?
Akash: Ya ma aur papa k room me hogi,kyunki aaplog waheen practice kar rahe the na?
Anjali: Par humne toh pendrive istemaal hi nahi ki. Hum toh CD ka istemaal kar rahe the.
Akash: Phir bhi.. aap 1 baar apne room me aur ma k room me check kar lijiye,di.
Anjali: Par.. performance?
Akash: a.. aisaa karte hain ki performances ka order change kar dete hain. Doosri wali CD toh theek hai na?
Anjali: Haan.
Akash: Theek hai toh.. Paayal aur main apnaa performance pehle kar dete hain.Tab tak aap pendrive dhoond lijiye. NKbhai,aap bhi di k saath jaiyye.
NK: Okay. But agar pendrive nahi mila toh?
Akash: Toh aap apnaa laptop le aaiyye. Hum youtube par uss gaane ka video lagaa denge aur laptop ko speaker se connect kar denge!
Anjali: Par Aakash,tumhare performance ki announcement toh humein hi karne hai na? Phir.. hum chale jaayenge toh..?
Akash: Toh aap rehne dijiye,di. NKbhai,aap laptop hi lekar aaiyye.
NK(nods): Okay!
Akash: Di,aap jaakar humare program ki announcement kar dijiye. Par uss se pehle Paayal ko yahaan bhej dijiye.
Anjali: Theek hai. Aur tum Lavanya ko bula lo. Unn ki bhi zaroorat padegi na?
Akash: Haan,main unhe bulaakar lata hoon.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Paayal,who was impatiently waiting for a signal to start the compering,was shocked when Anjali came out on the stage.
Paayal: Di?..
Anjali switched off the mike before speaking to her.
Anjali(softly): Aap peechhe jaiyye,Paayalji. Aakash aapka intezaar kar rahe hain.
Paayal: Par di..
Anjali(interrupts): Jaldi jaiyye!
Paayal: Theek hai.
Anjali switched on the mike once Paayal left.
Anjali: Maafi chahte hain! Aaplogon se intezaar karvaane ka humara koi irada nahi tha. Par 1 taqniki kharaabi ki wajah se der ho gayi. Aur humein apne kaaryakramon ka kram(order) badalna padaa. Naye kram k hisaab se,sabse pehle aa rahe hain Paayalji aur Akash, jo Khushiji aur Chhotey ki bhoomika(role) nibhaayenge.
Khushi(smiles): Areh waah!
Anjali thought of chatting with Khushi to buy time for PaaYash.
Anjali: Khushiji,aapne toh abhi kuch dekha hi nahi! Uss se pehle hi aap waah-waahi kar rahi hain!?
Khushi: Woh toh isiliye di kyunki humein taajjub ho raha hai. Humein nahi lagaa tha ki jiji kisi cheez me hissa le paayengi.
Anjali: Kyun nahi le paayengi? Woh dance nahi kar sakti hain par acting ko kar hi sakti hain na?
Khushi: Ji,bilkul!
Anjali: Waise,hum aap sabko bataa dein ki Paayalji aur Akash ka saath de rahi hain Lavanya,jo Paayalji ki bhoomika nibhaayengi. Iss medley k zariye hum aap sabko aur khaas taur par Khushiji ko yeh bataana chahte hain ki Chhotey k man me unn k liye kya hai? Alag-alag situations me woh kehte kya hain aur man hi man me sochte kya hain yeh hi bataane ki koshish ki hai humne.
She slowly turned to her right to find Lavanya standing beside Paayal.
Then she turned to her left to find Aakash showing her a thumbs up.
Anjali(turns towards ArShi): Sabse pehle toh hum aaplogon ko yeh bataana chaahenge ki jab Chhotey ko yeh ehsaas hota hai ki Khushiji unhe bahut achchhi tarah se jaanti hain,unki har aadat se waaqib hai, tab unhe bahut khushi hoti hai! Misaal k taur par yeh dekhiye..
The lights went off and Anjali limped towards the right side of the stage as fast as she could.
When the lights came back,the background changed to that of the Shantivan kitchen.
Lavanya(acts as though she's rolling the dough): Khushi,hum rotiyaan banaa lenge. Tum bas dal ko tadkaa lagaa do.
Paayal: Par sabzi ka kya,jiji?
Lavanya: Di kehkar gayi hain ki woh mandir se aane k baad gobhi aaloo ki sabzi banaa dengi. Hari Prakashji ne taiyyaari bhi kar di hai. Tumhe bas tadkaa lagaana hai,baaki sab ho hi gaya hai.
Paayal: Theek hai. Hum abhi lagaa dete hain.(acts like she's switching on the stove)Jiji,tumne mirchi..
She stops abruptly and glances towards the left side of the stage.
Lavanya: Haan,bolo. Mirchi ka kya?
Paayal: woh.. Arn.. av.. ji..
Lavanya: Arnavji mirchi thode hi na khaate hain.
Paayal: Woh nahi jiji! Hum yeh keh rahe the ki.. (smiles)Arnavji aa gaye!
Lavanya: Par gaadi ki aawaaz toh aayi hi nahi.
Paayal: Haan,par woh aa gaye hain.(acts like she's switching off the gas)Hum abhi aaye,jiji..
Lavanya: Khushi,suno. Khushi..! Tumne toh..
At that moment she hears the sound of the SUV.
Lavanya shakes her head & smiles.
The lights go out & when they come back the scene changes to that of the living room.
Paayal(smiles): Aapka din kaisa raha?
Aakash(loosens his tie): Quite hectic! Mere liye 1,strong black coffee banaa do. (massages his temples) I need it badly!
Paayal: Zaroor banaayenge! Par uss se pehle aapko kisi aur cheez ki zaroorat hai!
Aakash(leans closer): You're right!
Paayal(pushes him away): Hum paani ki baat kar rahe the!
Aakash: What the..!?
Paayal: Dopeher me dawaai lene k baad aapne 1 bhi baar paani nahi piya hoga,hai na?
Aakash nods in reply.
Paayal: Pyaas toh lagi hi hogi. Isiliye pehle hum aapk liye paani laate hain aur phir jab tak aap kapde badlenge tab tak hum aapki strong coffee banaa denge. (imitates him)Okay?
Aakash(smiles): Okay.
Paayal: Hum abhi aayein..
Anjali(from the corner of the stage): Jab kuch aisaa hota hai tab Chhotey ko kuch yoon lagtaa hai..
A song plays in the background as Aakash continues to smile.
You know me better than
I know myself!
You know me the best!
You know me better than
I know myself!
You know what to expect!
Anjali resumes speaking once the stage lights go off.
Anjali: Dekha aaplogone? Ek aahat bhi nahi huyi lekin phir bhi Khushiji ko pataa chal gayaa ki Chhotey ghar aa gaye hain! Waise,iss maamle me Chhotey bhi kuch kam nahi hain! Jaise hi Khushiji ki paayal ki jhankaar hoti hain waise hi Chhotey k kaan khade ho jaate hain! Aur woh chaahe jo kuch bhi kyun na kar rahe ho,unka dhyaan uss cheez se hatkar Khushiji aur unki paayal par chalaa jataa hai! Khud hi dekh lijiye..

When the lights come back,the background scene changes to that of ArShi's bedroom.
Aakash(pretends to switch on the handsfree): Haan Aman. (pause)Mr. Das ne kya kaha?
He places the tie round his neck while listening to him.
Aakash(knotting the tie): Not possible! Unse kaho 25th se pehle ki date fix karein. (pause)What do you mean by "woh nahi maan rahe hain?!" Listen Aman,unhe convince karnaa tumhara kaam hai. Agar tum aisaa nahi kar paaye toh you're..
He stops when he hears the sound of her anklets.
His eyes automatically go towards the door.
Paayal enters the scene,blushing slightly.
Paayal: Suniye..
Aakash: Boliye?
Paayal frowns when his expression changes.
Aakash (thru gritted teeth): Maine tumse nahi kaha,Aman! Tum mujhe 5 minute baad call karo!
The lights go out after he disconnects the call & throws the handsfree.
Anjali(speaks from the corner): Amanji toh Khushiji ko laakhon duaayein dete honge! Na jaane kitni baar Khushiji ki wajah se unki naukri jaate-jaate bach gayi!
When Arnav turns to Khushi,he finds her blushing crimson.
Arnav(whispers): Jab tum embarassed bhi hoti ho aur shy bhi hoti ho toh aur zyaada cute lagti ho!
Khushi smacks his thigh while turning her face away from him.
Arnav grabs her hand and entwines his fingers with hers.
In the meantime the scene changes on the stage.
Mamaji(smiles): Good morning,Mr. Raizada!
Aakash(shakes his hand): Mornin,Mr. Anand! Please have a seat..
Mamaji nods before sitting down on the chair.
Aakash: I'm sorry for the trouble! Agar meri tabiyat kharaab nahi hoti toh mujhe aapko ghar par meetin k liye nahi bulaana padhta!
Mamaji: Kauno.. (corrects himself)Koi baat nahi! Aapki tabiyat theek nahi hai phir bhi aapne meeting cancel nahi ki,yeh hi badi baat hai!
Aakash: Speakin' of the meeting,yeh rahe humare..
He hears the chiming of her anklets the moment he lifts the file off the table.
His hand stops midway as his mind directs its focus towards the source of the sound.
In walks Paayal with a glass of water.
Paayal(smiles): Namaste!
Mamaji nods while picking the glass from the tray.
She waits till he empties the glass.
When Aakash tries to make eye contact with her,she deliberately avoids his gaze.
Paayal: Kya lenge aap-chay ya coffee?
Mamaji: Chay.
Paayal: Hum bhijvaate hain..
She turns around & walks away,without meeting his eyes.
Mamaji: Aap kuch keh rahe the,Mr. Raizada?
Aakash: Huh? a.. main yeh keh raha tha ki.. (loudly)Khushi..
Paayal stops in her tracks when she hears that.
She is forced to turn towards him when he doesnt say anything beyond that.
Paayal: Ji,kahiye?
Aakash(smirks): Pakodein nahi banaaogi? (to the client) I'm sure aapko chay k saath pakodein khaane me koi problem nahi hogi?
Mamaji: Nahi,par.. Mrs. Raizada ko khaa-ma-khaa taqleef uthaani hogi.
Paayal: Aisi koi baat nahi hai! Hum.. abhi pakodein banaa kar laate hain.
Aakash turns around when she leaves.
Mamaji: Aap kuch keh rahe the,Mr. Raizada?
Aakash: Pako..
Mamaji(interrupts): Project k baare me?
Aakash: oh.. ya! Main yeh keh raha tha ki.. (hands the file) yeh rahe humare quotations!
The stage blacks out as soon as mamaji holds the file.
Anjali: Dekha Khushiji? Chaahe aap Chhotey ki nazron se bachne ki kitni koshishein kyun na karein,woh kuch na kuch toh aisaa kar hi dete hain jis ki wajah se aapko unki or dekhna hi padhta hai!
Khushi turns to Arnav to find a lopsided grin on his face.
Anjali: Chhotey aur Khushiji,1 baat toh maanni padegi. Devi Maiyya ne aap dono k sar me invisible antenna lagaane k baad aapko neeche bheja hai! Halka sa signal mila nahi ki aapk antennae alert ho jaate hain! Waise,kabhi aaplogone socha hai ki jab Khushiji ki paayal bajti hongi,tab Chhotey k man me kya aata hoga? Abhi pataa chal jaayega!
The stage lights reveal Paayal sitting on a chair and Aakash sitting on his knees on the floor.
Aakash(lipsyncs): Paayaliyaan ho,ho,ho,ho!
Paayal blushes as he lifts her leg & puts it on his thigh.
Aakash: Teri paayaliyaan ho,ho,ho,ho!
He slightly lifts her saree to reveal her anklet.
Aakash(caressing the anklet): Teri paayaliyaan shor machaaye,
Neend churaaye,hosh udaaye,
Mujhko paas bulaaye,
Ho Rabba ho!

Paayal(lipsyncs): Paayaliyaan ho,ho,ho,ho!
Paayaliyaan geet sunaaye,
Sargam gaaye,Preet jagaaye,
(blushes)Tujhko paas bulaaye,
Ho Rabba ho!

Aakash gets up once the stage lights go out.
Paayal(whispers): Jaldi chair hataiyye..
Akash kisses her cheek before taking the chair towards Anjali.
Akash: Di,background change kar dijiye. Aur OP se kahiye lights on karne k liye.
Anjali(teases): Abhi kahein ya.. 2-4 minute baad?
Akash(looks away): Abhi.
Anjali laughs as a shy Akash walks towards the stage.

When the lights are switched on,half of the background shows the London eye while the other half shows a picture of India Gate.
Akash appears before the London eye & pretends to speak on his cellphone.
Akash(lipsyncs): Aankhon me tere sapne,
Hothon pe teri baat.
Yeh din toh kat jaata hai,
Guzarti nahi raat.

Paayal appears before the India Gate background with the cordless pressed to her ear.
Paayal(lipsyncs): Haay,kaise main sunaau
Jiya ka tujhko haal?
K yaad nahi mujhko
Mahina,din,saal!

Akash: Saanson se bandha hai
Saanson ka bandhan.
Teri paayal,gori,
(places a hand on his heart)
Mere dil ki dhadkan!

As Paayal lipsyncs the first verse,ArShi turn towards each other.
Arnav: Song selection toh perfect hai! I'm glad di ne yeh song choose kiya!
Khushi: Sirf gana hi nahi,har cheez perfect hai. Humare har chhote-bade raaz ko bhaanp liya hai inhone! Aapne dekha kaise jiji jijaji se nazrein chura rahi thi?
Arnav(nods): Dekha. Now that everybody knows about it,ab tumhe mujhse nazrein churaane ki ya sharmaane ki zaroorat nahi hai. Okay?
Khushi(turns to the stage): Kaaryakram dekhiye!

Anjali: Kabhi-kabhi aisa bhi hota hai ki Khushiji Chhotey ki koi baat maanne se inkaar karti hain. Iss baat ko lekar dono me behes ho jaati hai. Tab Chhotey k man me kya aata hai? Gussa? Haan,gussa toh aata hai par uss me bhi pyaar mila hua hota hai!

The stage lights up to PaYash arguing amongst themselves.
The male voice in the background sings: Haan,woh na,na karti hai.
Haan,badaa akadti hai.
Haan,thodi si ziddi hai,
Haan,akkal se piddi hai!
Jaate hain sab baaye,
Daaye woh jaati hai.
Tedhi inn baaton se
Mujhko sataati hai.
Har waqt se pehle aana,
Sunna na koi bahaana.
The song stops at the same time as the lights go out.

The lights come back to a scene of Paayal helping Akash with his coat.
Akash: Bye..
Paayal: Bye.
He turns around & takes a few steps towards the door when she calls him.
Paayal: Suniye..
Akash turns around with a sigh.
Akash: Boliye?
Paayal: Jaldi aaiyyega. Hum aapka intezaar karenge..

The song resumes in the background as Akash smiles at Paayal.

Par dekhna mera rastaa rozana..
My dil goes umm.. mmm.. mmm.
My dil goes ummm.. mmm.. mmm.
Akash walks up to Paayal,kisses her parting and then smiles at her before leaving.

Anjali: Jab Khushiji Chhotey k favorite rang yaani laal raang k kapdein pehenti hain tab Chhotey k man me kya chalta hai? Aaiyye dekhte hain..

Khushi(mutters): Hey Devi Maiyya! (thoroughly embarassed)Yeh hi dekhna baaki reh gaya tha!

The stage opens to a scene of PaaYash in a theatre.
Paayal(grins): Dekhiye na,Salmanji kitne achchhe lag rahe hain!
When he does not respond with the usual "whatever" Paayal turns to him.
Paayal: Ar.. nav.. ji..
Akash: hmm?
Paayal: Ai.. aise mat dekhiye! Itne saare log baithe hain aas paas. unka kuch toh lihaaz kijiye!
Akash(shrugs): I cant help it!
Paayal: Kya matlab?
Akash(lipsyncs): Tere chehre se,
Tere chehre se nazar nahi hat-ti
Nazaare hum kya dekhein?
Nazaare hum kya dekhein?
Paayal(smacks her head): Hey Devi Maiyya!

Anjali: Hum aa pahunche hain iss medley k aakhri bhaag me jahaan hum aapko bataayenge ki jab Khushiji dukhi hoti hain, jab woh roti hain, tab Chhotey ki kya haalat hoti hai?

The stage background changes to that of a hospital.
Akash runs towards Paayal as soon as he spots her.
Akash(holds her arm): Kya hua Khushi? Babuji theek hain?
Paayal(shakes her head): Operation kaamiyaab nahi hua.
She buries her face in his chest & cries.
Akash wraps his arms around her while a male voice sings in the background.

Dekha phoolon ko kaanton pe sote huye,
Dekha toofaan ko kashti dubote huye.
Dekh saktaa hoon main
Kuch bhi hote huye!
Nahi,main nahi dekh saktaa
Tujhe rote huye!

Akash: Khushi.. Khushi,look at me.
When Paayal lifts her head,he cups her face.
Akash: Calm down..
Paayal: Kaise calm down karein? Pataa nahi babuji phir kabhi.. chal bhi paayenge ya nahi?
Akash: Dont worry! Hum kisi aur surgeon k paas jaayenge. I assure you-I'll find the best doctor for him! But please,tum rona band karo. Tum aise ro-ogi toh.. babuji,amma,buaji.. sab ko taqleef hogi. (wipes her tears)Please stop cryin,okay?
Paayal nods before the curtains are drawn.

Anjali: Aap toh jaanti hi hain Khushiji ki 'Sab' me Chhotey bhi shaamil hain. Apne moonh se chaahe woh aapse kahe ya na kahe par jab aapki aankhon me aansu aate hain toh sabse zyaada taqleef unhe hi hoti hai.
Khushi: Jaante hain..
Anjali: Aglaa karyakram shuru karne se pehle Paayalji, Akash, Lavanya aur mamaji k liye zordaar taliyaan!

Once the applause dies down,Anjali speaks from behind the curtain.

Anjali: Hum aap logon se thoda sa samay chahenge. Aaplog kala khatta pijiye aur hara bhara kabaab khaiyye jab tak hum agle kaaryakram ki taiyyari karte hain!
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
PaYash were greeted by ArShi the moment they stepped down the stage.
Khushi: Aap dono toh chhaa gaye!
Akash: Thank you so much,Khushiji!
Arnav: You should thank me,Akash..
Khushi: Aapne toh ab tak unki taareef bhi nahi ki. Phir aapko thank you kyun sunna hai?
Arnav: Kyunki meri wajah se Akash ko openly Paayal k saath romance karne ka chance mil gaya!
Khushi: Aapki wajah se?
Arnav: Obviously! Agar woh mera role nahi kartaa toh usse yeh chance kaise milta?
Khushi: Galat! Agar di ne unhe aapk paatra k liye chuna nahi hota toh unhe yeh maukaa nahi milta!
Akash: Relax guys! Aap dono ki baat sahi hai. Di ko main baad me keh dunga par filhaal,thank you so much bhai!
Arnav: You're welcome! And thank you so much for the wonderful performance!
He turns to Paayal after giving Akash a hug.
Arnav: Thanks to you too,Paayal! Main Khushi ko copycat kehta tha par mujhe yeh nahi pataa tha ki humari family me do aur copycats bhi hain!
Akash: Aaj toh sab hi aap dono k copycats lag rahe hain!
Arnav: Ya,right! That was the real surprise!
Khushi: 1 baat toh bataaiyye,jijaji. Woh.. (sings)paayaliyaan ho,ho,ho,ho.. wala gana humari paayal k liye tha ya.. (knudges Paayal) aapki Paayalji k liye tha?
Paayal glares at Khushi for teasing her in front of Arnav.
Akash: Aapki paayal k liye tha,Khushiji. Bhai ki taraf se ga raha tha.
Khushi: Haan,woh toh gaa rahe the par humein na jaane kyun aisaa lagaa ki woh aapki Paayal k liye tha! Khair,jisk liye raha ho,bahut achchha tha!
Akash: Abhi toh aadha program baaki hai. Aaplog baithiye aur enjoy kijiye.
Khushi: Enjoy toh aap kar hi rahe the,par ab baithkar enjoy kijiye!
Akash(embarassed): Khushiji!
She giggles as they walk towards their seats,as shy as always.
Khushi: Aur suniye..
Arnav: Aur boliye?
Khushi: Ab aap bhi baith jaiyye aur enjoy kijiye (looks behind him)kalakhatta!
Arnav turns around to find Rahim chacha with glasses full of Khushi's favorite drink.
He takes a glass & gives it to Khushi.
Arnav: Aap enjoy kijiye! (whispers)Mere enjoyment ka intezaam maine kar k rakha hai!
Khushi(frowns): Kaisa enjoyment?
Arnav: Program khatm hone do,phir pataa chal jayega! Filhaal,baith jao..
Khushi: Pataa nahi hum aapse poochhte hi kyun hain?! Aap aur aapki surprises dene ki aadat! huh!
Arnav smiles to himself as he sits down beside her.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
No precap.

Kindly ignore typos & mistakes. Translation will be up tomorrow. Next update on Sunday,16th November.

Credit for the outfits goes to respective designers.
Credit for the pics goes to Google & respective uploaders.
Song credits:
Bichchhua.. song from Madhumati.
You know me.. song by Murphy.
Paayaliyaan.. song from Deewana.
My dil goes.. song from Salaam Namaste.
Tere chehre se.. song from Kabhi Kabhi.
Dekh sakta hoon.. song from Majboor.

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".