please Durga tum Dev aur Payal ko lekar U.S. chali jaao aur saath me Dr.Dayal ko bhi lekar jaao sach me Sakshi se jeetana tumhare bas ki baat nahi hai
Shaurya ki jabaan me kahoo to Sakshi se takkar lene ki Durga ki aukaad nahi hai
Durga ko kya laga tha ki Shaurya ke paralyze ho jaane ke baad bhi vo usse shaadi karegi to sab uski mahanata se impress ho jaayenge ,😡
kisiko uspe shak nahi hoga
kya lagta hai Dr.Dayal aur Durga ko
saare log bewkoof hai ,jo unke is mahanata ke drame me phas jaayenge
ye shaadi ka plan banakar Durga ne sabkuch barbaad kar diya 😡
kal ka episode dekhke aisa lag raha tha ki koi 60s ki movie dekh rahi hu
agar ye shaadi nahi hui to meri beti ki jindagi barbaad ho jaayegi 😡 my foot
so Durga please tum Payal ko lekar chali jaao
kyunki Durga ke in bakwaas plans se abtak Payal ka sirf nuksaan hi hua hai
Dev par jo attack hua tha uske peeche ka reason bhi Durga hi thi
Durga agar apna dimaag tej karti ,secret room me jaake rone ke badale Sakshi ki moves ke baare sochati to shayad apne plan me success ho jaati
yaa phir ye sabkuch chod do
Edited by dailysoap..fan - 11 years ago