Originally posted by: Archi21
Kuch doubt
Tara ne kabhi ye kyu nahi socha ki MJ usse kyu nahi dhund raha, jis tarah wo usse dhund rahi hai?
tara delhi mein hai MJ ko pata nahin hoga na...toh soch liya hoga ki bhopal ki galiyon mein mujhe dhoondh raha hoga..😕
Tara ko kabhi aisa kyu nahi laga ki mj ka memory loss hua hoga?
koi aisa kyun soche ki mere pati ki M L ho gaya😆
Warna MJ kya apni Tara ko 5yrs tak search nahi karta?
search kiya hoga na..main toh coma mein thi...agar delhi search kiya toh bhi nahin milnewaali thi na😆
Aur ye kyu nahi sochi ki MJ Delhi mein kaise aaya??aur uska new look?
bhopal mein nahin mili toh delhi tak aagaya, dhoodh dhoodhkar
MJ ko dekhkar hosh uth gaya ki aur kuch soch nahin paayi...
new look - look par concentrate karne ka time nahin mili..face bhi theek se dekh nahin paayi😔😆
I know tara ke pass time nahi tha analysis karna ka
wahi toh..
Ya ye kyu nahi sochi Tara ki sayad MJ ne usse dead samjh liya hai?
😕
soch liya hoga ...😕
Aur pari kaha hai ?
umeed hai ki wo MJ ke saath hai😃
Sirf ek baar mention kiya hai Tara ne Pari ko, baki time sirf MJ
wo isliye - jahan MJ wahan pari..aisa believe kar liya..
i know logic is not applicable in EBI , phir bhi doubt tha soo puch liya 😊
ab ye raha saare sawalon ka correct jawab