What you mean to me!! (Page 112) New Poem - Page 61

Created

Last reply

Replies

889

Views

117.6k

Users

49

Likes

938

Frequent Posters

visrom thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
oh no...open it in google docs and see. if you are using google drive, you can recover the previous version. I have done it before.
Edited by visrom - 11 years ago
nsapo thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: visrom

oh no...open it in google docs and see. if you are using google drive, you can recover the previous version. I have done it before.


I should have done it yaar but unluckily I wrote it in a writer I mean an app... Shee yaar... Now I have to redo everything again...
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Extremely sorry guys for all the delay in posting the story... But After yesterdays episode I was really sad so thought to finish the story up... And here it is... Hope you all enjoy it the way I enjoyed while writing

Revenge

Scene 1

A cloudy and stormy night... A black Mercedes is driving off somewhere near Goa... However the car halts near the checkpost...

Driver: Kya baat hai sir? Kis baat ki checking chal rahi hai?

Policeman: Aaree nahi nahi koi checking nahi... Aage kuch ped gir gaye hai... Iss liye raasta band hai... Saari gaadiyon ko him yahi se wapas bhej rahe hai...

A rich and elegant lady comes out of the car... She is wearing a black saaree... And heavy jewelry

Lady: Oh No! Magar mera kal ke kal Goa pahunchna bahut zaruri hai...

Policeman: Dekhiyee ma'am abhi toh saare raaste band hai... Shayad kal subah tak khul Jaye... Tab tak aap yahan pass mei ek chotta sa Rest house hai wahan chale jayiye...

Lady: Rest house! Nahi nahi... Yahan was pass koi aur hotel nahi hai?

Policeman: Nahi ma'am agle 100 km tak kuch nahi hai...

Driver: haan ma'am raat bahut ho gayi hai humara wahin jaana sahi hoga...

Policeman: aur haan yeh saare zevar utaar dijiyee... Jungle ka ilaka hai...

She nods sits in her car removes her jewelry and keeps it in her suit case full of money... The car heads towards the rest house...

Scene 2

The car reaches the rest house. The lady gets down... A young couple is standing in the lobby... The lady looks tensed...

Lady: yahan aas pass koi aur hotel nahi Hain? Yeh jagah mujhe sahi nahi lag rahi...

Driver: ek raat ki baat hai madam fikar naa Kare...

Manager: yes madam aayiyee yahan bus ek hi kumra baccha hai...

Lady: Aur mera driver...

Driver: Main gaadi me so jaunga madam...

Lady takes the keys keeps her baggage in the room waiter informs her if she wishes to eat anything she has to come down she looks a little stunned looking at the room... Later she comes down to the lobby...

There are few people sitting in the lobby... A young couple relaxing. A middle aged man with his face half covered with black and white beard and moustaches he is eating something... And two friends one little dark and fiery eyes... Other is fair with a masculine body... Both sharing a drink..

Lady is lost in her thoughts when waiter comes...

Waiter: kya khana pasand karengi aap?

Lady: aahh.. Khana nahi peene me kya hai? I mean soft drinks wagaira?

Waiter: ma'am Pepsi, Coca Cola, Fanta, Mazza, Mirinda...

Lady: Sprite?

Waiter: Sprite humare pass ek hi tha jo hum serve kar chuke hai...

The dark man with fiery eyes comes towards the lady with a glass...

Dark Man: Agar aap bura naa mane toh share kar sakti hai...

Lady: No Thank you (smiles)

Dark Man: oh come on ma'am aap ke rehte agar hum dono hi yeh sprite pee Jaye toh yeh mujhe bahut bura lagega... Aur Daya ko bhi... Oh By the way yeh mera dost mera yaar Daya hain... (Daya just smiles)

Lady: (taking the glass from dark man's hand) Aur aap?

Dark Man: Main Abhijeet... Jaa toh hum Goa rahe the picnic manane... Magar kismat me aap se milna tha... (Smiles) waise aap ki taarif?

Lady: Main Swati Sharma...

Abhijeet: haan toh Miss Swati Sharma

Swati: Mrs... Mrs. Swati Sharma..

Abhijeet: ohh Sorry... Toh Mrs. Swati Sharma aap ke pati nahi aaye aap ke saath?

Swati: (becomes sad) nahi woh... Woh mar chuke hai pichle hi saal...

And moves out in the garden in this mishap her purse falls down...

Daya: kya yaar? Bechari ka dil dukha diya...

Abhijeet: Aree yaar main toh bas aise hi, baat se baat nikli aur...

Daya: khair main dekhta hoon...

Abhijeet tries to pick up her purse when a revolver toggles down from it... Surprised Abhijeet puts it back in her purse but using his handkerchief carefully so that he doesn't leaves his fingerprints on it...

Scene 3

The lady comes out in the garden... She looks really disturbed... She looks back to her room.. And walks absentmindedly. She stumbles accross a ladder... Meanwhile the manager comes out and so does the rest of the guests

Manager: ma'am please andar chaliyee toofani raat hai aur jungle ka ilaka hai...

Waiter: haan ma'am aur maine toh suna hai yahan bhoot bhi ghoomta hai...

The young girl goes closer to her husband saying"bhoot"

Daya: Kya baat kar rahe ho yaar bhoot voot kuch nahi hota...

Waiter: Hota hai sir! Log kehte hai pichle saal ek bhuddhe aadmi ka khoon huva tha yahan uski ka bhoot ghumta hai...

Manger: ma'am please andar chaliyee... Jungle ka ilaka hai yahan der tak rukna sahi nahi hoga...

Scene 4

Everyone comes in and settles down... Meanwhile a two villagers enter.. one man and one lady... the talk something to the waiter... Waiter reaches the manager

Waiter: sir woh (pointing to the villagers) pass ke goan ke lakadhare hai.. raasta bhatak gaye hain... Toofani raat hai iss liye aasra chahate hai...

Manager: theek hai unhe kahi kone me baith jaane ko kaho par unn pe nazar rakho... Aaj kal kisi ka bharosa nahi hai...

Waiter nods and takes them to one corner and tells them to sit

Scene 5

Girl: Vishal I am scared...

Beard Man: haan bhai Darr toh sabhi ko laga rahega... Aisa karte hai... Yahi koi khel khel kar subah tak Time pass karte hai...

Vishal: okay... Par kya?

Beard Man: umm Aantakshari ya Dumsharas...

Vishal: Yeh kya ladkiyon wale khel bata rahe ho? Kuch interesting ho toh bolo!

Abhijeet: Interesting! (thinking) ek interesting game hai humare pass agar tum logon ko interest ho?

Girl: kaisa khel?

Daya: Main batata hoon... Hum iss Khel ko Court Room kaha karte the... College ke dino me yeh humara favorite game huva karta tha... Kyun Abhijeet?

Abhijeet: bilkul and I am sure aap logon ko bhi bahut pasand aayega... (Swati gets up) Aarre Swati ji kahan jaa rahi hai aap?

Swati: Mujhe badi neend aa rahi hai... toh main sone jaa rahi hoon...

Abhijeet: Aaree baithiyee naa Swati ji... bahut interesting game hain... Aap ek minute bhi bor nai hongi (pinching his throat) kasam se...

Daya: Baith bhi jayee Swati ji Abhijeet ne itni iltejaa kar di hai... Ab toh hum aapko ek second bhi bor nahi hone denge... (pinching his throat) By God...

Swati settles down and nods approvingly...

Vishal: So lets start then...

Daya: aap ka naam?

Vishal: Main Vishal Gupta aur yeh meri patni Sadhna Gupta...

Daya: okay...

Sadhna: Accha yeh game ke koi rules regulations bhi hai kya? Sunne me toh interesting lag raha hai...

Abhijeet: Bada hi interesting game hai... Iss game me hum me se har koi kuch naa kuch banega... Jaise ke main banunga prosecution lawyer... Aur Swati ji Aaap Judge...

Swati: (smiling) Thank You...

Beard Man: Mujrim kaun banega?

Daya: Aap?

Beard Man: ahh? kyun Main kyun?

Daya: Kyunki aapki shakal mujrimo se milti hai...

Beard man: Kya? Aap ne mujhe mujrim kaha? Yeh toh meri insult hai!

Abhijeet: Aaree Daya toh mazak kar raha tha... Daya Sorry kaho uncle se...

Beard Man: Kya tumne mujhe uncle kaha? Main tumhe uncle nazar aata hoon?

Daya: Aaree Arree aap toh naraz ho gaye! hum dono bas yunhi mazak kar rahe the... Really Sorry... Mere aur Abhijeet ki or se bhi...

Sadhana: Accha aap mujrim mat baniyee, Main hi ban jaata hoon theek hai...

Abhijeet: Daya tum Defence lawyer...

Beard Man: aur main?

Abhijeet: Tum witness ban ke aaoge magar thodi der baad...

Beard Man nods

Sadhana: haan toh bataiyee... kyun bulaya hai mujhe yahan? Kya gunah kiya hai maine?

Daya: Arree wah tum toh badi jaldi samaj gayi...

Sadhna holds her collar as being proud of herself...

Abhijeet: (smiles) Haan toh Sadhana ji Court ko aap ka poora naam bataiyee...

Sadhana: Mera naam hai Sadhna Gupta hai...

Abhijeet: Aur aap ke pati Mr. Vishal Gupta kya woh yahi hai?

Sadhana:ji haan yahi hai? Ye rahe! (pointing finger towards Vishal)

Abhijeet: Aur agar main kahu ke Yeh jo aap pati hai woh aap ke pati hi nahi hai toh?

Vishal: What do you mean? How dare you? (gets up from the seat and runs towards Abhijeet to grab his collar)

Daya: (holds Vishal before he reaches Abhijeet) Arree yaar yeh toh game hai... Mazak chal raha hai tum naraz kyun ho rahe ho? Baitho... Baith jao..(makes Vishal sit down) Aur Your Honour... Mera matlab hai Swatiji... Aap toh judge hai Zara Court room ka decorum banaye rahiyee... Order Order kijiyee...

Everyone shares a nice laugh...

Manager: (comes up with tool hammer) yeh lijiyee aap ka hatoda... magar table par zara dheere se mariyee... warna humari table tooth jayegi... (laughs)

Every laugh together once again...

Swati: (hits hammer on the table softly) Order Order... Haan toh Mr. Public Prosecutor aap jo in pe inta bada ilzaam laga rahe hai... Kya aap ke pass iska koi saboot hai?

Abhijeet: Saboot hai your honour... Saboot hai inke asli pati... Mr Verma... (pointing towards the beard man)

Beard Man: Main? Iss pyaari si bacchi ka pati? Par main thoda bada nahi hoon iss ke liye?

Abhijeet: haan Bada hi chahiyee... Toh koi please shapath dilayee

Waiter: (comes with Menu Card) Abb humare pass toh yahi hai... Iss hi par haath rakh kar kasam kha lijiyee

Everyone laughs...

Beard Man: Main jo khaunga... Ohh sorry Kahunga Sach kahunga sach ke siva kuch nahi khaunga... (Eveveryone laughs) haan kahiyee

Abhijeet: Kya yeh Ladki aapki patni hai?

Beard man: Ji haan...

Abhijeet: Aur woh aadmi jo uske saath baitha (pointing towards Vishal) hai woh?

Beard man: woh ahh... ahh..

Abhijeet: kya woh aap ka lawyer hai?

Beard Man: ji.. Ji bilkul woh mera lawyer hi hai...

Abhijeet: Aapki biwi ne iss court me aap ke lawyer ko aapna pata bataya kya aap bata sakte hai kyun?

Beard man: Kyunki main bhooda hoon aur yeh jawan hai...

Abhijeet: Mrs. Verma... Ek baar aap ka jhooth pakda jaa chuka hai.. agli baar jhooth bolengi toh aap ko sazza bhi ho sakti hai... Samjhi aap?

Sadhana: ji...

Abhijeet: Yeh batayee kya aap apne pati ki pehli patni hain?

Sadhana: ji nahi doosri... pehli patni ko inhone bahut pehle aapne ghar se nikal diya tha!

Abhijeet: kyun?

Sadhana: Kyunki ki inhe Shaq tha ki uske coke me kisi aur ka baccha tha...

Abhijeet: aur yeh baat aapko kaise pata?

Sadhana: unn dino mei inki secretary huva karti thi...

Abhijeet: Sirf secretary ya usse kuch zyada?

Sadhana: Excuse me? Defense lawyer aap kuch nahi kahenge?

Daya: ahh haan I object your owner...

Abhijeet: Mera dawa hai your honour yeh baat inhone Mr. Varma ko batayi

Sadhana: haan batayi... Maine afwa suni thi toh maine aapne boss ko yeh batana zaruri samjha...

Abhijeet: Point to be noted you honour... Inhone Afwa suni thi... aur yeh afwa aapne Mr. Verma ke dimag me tab tak daalti rahi jab tak unhe iss baat ka yakin nahi ho gaya.

Sadhana: Par main aisa karungi kyun?

Abhijeet: Kyunki aap uss waqt khud Mrs. Verma Banana chahati thi... Jo ki aap bani bhi... Aap ki Mr. Verma ki daulat pe nazar aur uske liye aap ne aapni khoobsurti aur jawani ka bakhoobi fayda uthaya...

Sadhana: Yeh Jhooth hai!

Abhijeet: Jhooth nahi yeh sach hai... saufisadi sach hai..

Sadhana: Haan Haan yeh sach hai... Yeh sach hai... (starts sobbing)

Daya: Your owner mera client ki tabiyat kharab ho rahi hai iss liye kya hume ek break mil sakta hai?

Swati: Okay Okay... Court is adjourned... (bangs the hammer on the table) (Everyone claps)... Accha mujhe ek phone karna hai aur yahan network bhi nahi hai... Main bas abhi aayi...

Swati moves towards the hotel phone and dials a number in some time waiter picks the phone from the parallel line... A person on the other side says... "Tum darti kyun ho Swati? Main abhi aata hoon... Main kisi se nahi darta aur zyada hoshiyaari ki naa toh main usse Goli maar doonga... I will kill him" Waiter is stunned to hear this but says nothing and disconnects the phone.

Scene 6

Swati: Mujhe lagta hai... Bahut raat ho gayi hai... Ab hume so jana chahiye...

Daya: kya baat kar rahi hai Swatiji... Raat toh abhi jawan hai kyun Abhijeet?

Abhijeet: Bilkul... Aur Daya hum bhi kahan kuch kam hai? (winks and Daya winks back) Baithiyee naa Swatiji please...

Beard Man: waiter kuch khane ko milega?

Waiter: ji bilkul sir...

Abhijeet: aaree yaar jab zarurat thi yeh aadmi tabhi bhaag gaya...

Daya: Koi baat nahi Abhijeet, Main ban jata hoon Mr. Verma... Kyun theek hain naa Your Honour?

Swati only smiles... But by now she is looking worried Daya moves inside his room and come back with shawl... Swati is stunned to look him like that...

Swati: Yeh kya? Aap ne Shawl kyun odh liya?

Daya: Bas character ka feel aane ke liye.. Woh kya kehte hain haan Method Acting (laughs) Chalo shuru kare? (sits on the chair which is supposed to be a witness box)

Abhijeet: Haan toh Mr. Verma aapki dosri shaadi ko kitna arsa beet chuka hai?

Daya: 19 saal

Abhijeet: aur aapki pehli patni?

Daya: Woh toh marr chuki hai! (gives a sad expression)

Abhijeet: Aur unki coke me jo baccha tha?

Daya: Baccha nahi Bacchi thi... Woh London me hi pali badhi wahi ek ladke se ussne shaadi bhi kar li...

Abhijeet: Tajoob hai aap ko sab kuch pata hai jab ki woh bacchi toh aapki hai bhi nahi...

Daya: woh bacchi meri hi hai... Meri patni yeh daag aapne character par le kar marna nahi chahati thi iss liye uss ki aakhri khwaish thi ki mera aur uss bacchi ka DNA test karvya jaye.. Meri patni ka bhai London se uss bacchi ke baal DNA test ke liye lekar aaya tha.. Jub humara DNA test huva toh mujhe pata chala ki woh bacchi meri hi thi. Maine apne biwi pe khamokha shaq kiya... main apni secretary ke pyar me pagal ho gaya tha... Uski har baat manne laga... Bhool meri hi thi... Prayachit bhi mujhe hi karna tha...

Abhijeet: Kya kiya aapne?

Daya: Maine aapni saari Jaydaad apni beti ke naam karni chahi Magar...

Abhijeet: Magar kya Verma saab?

Daya: Meri doosri patni ko yeh manzoor naa tha... Uss ka kehna tha woh ladki meri hai hi nahi... Aur meri Jaydaad pe sirf uss hi ka haq hai... Par maine uss ki ek naa suni aur aapni poori Jaydaad apni beti ke naam karne ke liye apne wakil se keh diya hai

Abhijeet: (to Vishal) Kya yeh sach hai Wakil saab?

Vishal: Ji haan magar yeh baat confidential hai...

Abhijeet: Kyun?

Vishal: Kyunki yeh nahi chahate ki inki patni ko pata chale

Abhijeet: Kyun Mr. Verma

Daya: Maine aapni beti ko ek mail bheja hai.. jis maine aapni galti maani hai... Baar Baar usse aur uss ki Maa se Maafi Maangi hai aur kaha hai ki tum jaldi wapas aa jao... Iss Paschyaat taap ke aag me main zyada ji nahi paaunga...

Abhijeet: kyun aisa kya huva hai aap ko?

Daya: Mujhe High Blood Pressure hai... Diabetes hai aur heart problem bhi... Zinda rehne ke liye har roz mujhe insulin ke injections lene padte hai...

Abhijeet: Tab toh aap ke family doctor rozana aap ko yeh injections dete honge?

Daya: Nahi Pehle Mujhe yeh injection doctor deta tha par ab meri patni deti hai...

Abhijeet: Toh Mrs. Verma jab aap ko pata hai ki aap ke pati ne saari daulat aapne beti ke naam kar di hai... Ab aap kya karenge?

Sadhana: Main uss Buddhe ka Khoon kar dongi...

Suddenly Swati starts clapping

Swati: Fabulous... Aap dono toh Kamal ke actor hai Daya saab aur Abhijeet saab...

Abhijeet and Daya (bows together) Thank You

Abhijeet: Main zara abhi aaya... Uff Kitni thand hai

Daya: Boss jaldi aana...

Everyone hear a horn blow three times...

Swati: Main bas abhi apne kamre me hokar aati hoon...

Swati moves towards her room while we see a shadow in garden... It is really dark the shadow creeps towards Swati's room... Swati enters her room... The shadow takes a nearby ladder puts it across Swati's room and climbs...the shadow has a gun in one hand...

Everyone is relaxing down when suddenly a gunshot is heard... Everyone runs towards Swati's room... They bang the door and in sometime Swati opens it with one gun in hand and suddenly goes unconscious... Daya queitly takes gun from her hand using handkerchief... There is a dead body of a man with long black coat and black cap who is lying knelt down... His face is not seen...

Beard Man: Ohh No! Yeh toh koi laash hai...

Waiter: Chor lagta hai...

Daya: Chaliye Chaliye Bahar chaliyee Police ke aane tak yahan koi nahi ayega... Waiter Police ko call Karo... Aur yeh room lock kar do...

Downstairs Swati is unconscious... Water is sprinkled over her face...

Swati: kya huva? Maine kuch galat toh nahi

Abhijeet: Kuch nahi Swati ji... Woh chor aaya tha... Uske ek haath me chori ka bag tha aur doosre haath me revolver Kyun Daya?

Daya: Uski laash toh aapne khilaf khud ek saboot hai.. Aur hum sab toh hai hi gavahi dene e liye...

Sadhana: (irritated) Can we please move ahead with the game... (Smiles) woh thoda relax ho jayenge police ke aane tak...

Daya: Swatiji... Aap relax kijiyee Judge Main ban jaata hoon... (Bangs the hammer on the table) Order Order... Abhijeet... I mean Mr. Public Prosecutor please proceed...

Abhijeet: haan toh Wakil Saab Kya Mr. Verma abhi bhi zinda hai?

Vishal: Ji nahi... Unki maut ho chuki hai...

Abhijeet: toh fir unki Daulat jo unke beti ke naam hone wali this woh unki patni ke naam par kaise ho gayi?

Vishal: Marne se pehle unhone ek aur wasihat banwayi thi...

Abhijeet: Apni Marzi se ya kisi ke dabav me?

Vishal: unke signature hai uss par...

Abhijeet: Aur pehli wasihat kahan hai?

Vishal: Mujhe nahi pata...

Abhijeet: Kya aap Mrs. Verma se Shaadi karne wale the?

Vishal: Ji nahi!

Abhijeet: ji haan kal Goa court me aapki shaddi hone wali thi... Aur Iss ki Aapne poori tayyari kar rakhi thi... Iss liye aap Mrs. Verma ka wait bhi kar rahe the magar achank unka phone as gaya ki woh Toofaan me phaas gayi hai... Aap ne kaha ki aap yahan aa rahe hai aur aap aaye bhi magar unhone aapko goli maar di...

Listening to all this conversation Swati gets very restless when suddenly Waiter arrives...

Waiter: Sir Police aa gayi...

A lady cop enters

Cop: Ji... Laash kahan hai?

Manager: aaiyee...

Manager followed by everyone reach Swati's room.. They open the door but there is no dead body...

Cop: Yeh kya Mazak hai? Laash kahan hai?

Daya: ek minute officer...

Everyone hear horn blow three times once again..

Abhijeet: Manager iss room ke light off kijiyee foran.. (To Cop) Ma'am inka (pointing towards Swati) mooh band kijiyee... Pin drop silence... Koi zara si bhi awaaz nahi karega...

Again we see a shadow in a gardern.. It is really dark the shadow creeps towards Swati's room... The shadow takes a nearby ladder puts it across Swati's room and climbs...

Man: Swati kya huva? sab theek hai? Tum theek ho? Mujhe bulaya hai aur khud so rahi ho?

Moves near the bed and pulls the blanket off... But to his surprise its Abhijeet under the blanket who is pointing gun towards him... Daya comes ahead and searches him as expected Daya finds a gun in his pocket...

Scene 7

Everyone is sits downstairs...

Sadhana: Order Order... Abhijeet ji... Please proceed...

Abhijeet: haan toh Sir aap kaun hai?

Man: Tum se matlab...

Daya: Aare naraz kyun ho rahe ho bhai... Relax... Swatiji inhe samjaiyee... Iss tarah court ki tauhin naa kare...

Swati: Enough is Enough... Bahut ho gayi tum dono ki nautanki... Driver Gaadi nikalo hum Mumbai wapas jaa rahe hai...

Abhijeet: Ek min ek min itni jaldi kya hai? Pehle yahan sab se miliye toh... Inspector Fredericks

Beard Man: (removes his wig and fake moustaches and Beard) Sir...

Abhijeet: Inspector Sachin...

Waiter: Sir..

Abhijeet: Yeh Inspector Purvi hai...

Swati: Aur tum dono?

Daya: Aaree Kamal hai hume bhi nahi pehchana... Aap papper wapper nahi padti kya? (Pointing towards Abhijeet) Aap hai Serior Inspector Abhijeet...

Abhijeet: aur yeh Senior Inspector Daya... Hum sab hai officers from Mumbai CID... Ab aap baithne ki zehmat uthayengi? Waise bhi filhaal aapne ek khoon kiya hai... Gun par aapke finger prints hai aur gawah toh hum sabhi hai... Swati quietly sits...

Man: Kya behoodgi hai? Aap Iss tarah court nahi Bertha sakte yeh Kanoon ka apmaan hai?

Abhijeet: Kanoon ke aapmaan ki baat aap jaise mujrim naa hi Karen toh behtaar hoga... Wakil saab...

Sadhana: Abhijeet ji please court ka samay barbaad ho raha hai...

Abhijeet: Sorry your honour... Haan toh Mrs Verma... Sorry I mean Mrs. Sharma... Pichle saal 10 March ki raat aap yahan aayi thi?

Swati: ji haan Main apne Pati k saath aayi thi... Raasta aaj hi ki tarah band tha... Iss liye hum yahan ruke the...

Abhijeet: Aaj raat toh raasta band nahi tha... Humne karvaya tha (Swati is shocked) Khair uss raat kya aapne raasta band karvaya tha?

Swati: Main kaise karva sakti hoon?

Abhijeet: (to the village lady) Vasanti... Yahan aana

Vasanti: ji sir...

Abhijeet: kya aap isse jaanti hai?

Swati: ji nahi...

Abhijeet: Vasanti kya tum inhe jaanti ho?

Vasanti: bilkul sir... Pichle saal 1 March ki raat yeh mere chai ke tapri par ruki thi... Wahi inhone mujhse kahan ke kya main kisi ped katvane wale ko jaanti hoon... Inhe kuch ped katva kar raasta band karvana tha... Jub maine haan kaha toh inhone mujhe 3 dino baad yeh kaam karvane ko kaha.. Aur uske mujhe poore 5000 rupayee diyee... Aur kaha ki kaam hone ke baad aur 5000 rupayee lene ke liye yahin par bulaya...

Abhijeet: Fir...

Vasanti: jab main baki ke paise lene gayi toh inke pati ki tabiyat bahut kharab thi... Aur wahan ek safed gaadi me ek doctor saab aaye...

Abhijeet: Kya tum unhe pehchaan sakti ho?

Vasanti: Ji bilkul... Agar yeh safed Baal aur daadhi mooch laga le toh...

Man: kya bakwaas hai? Main lawyer hoon Doctor nahi aur main kyun lagaunga... Nakli Baal aur Daadhi Mooch?

Daya: Mr. Maheshwari... Zara shaant bathenge? (Puts his hand on his shoulder) haan Vasanti aage bolo...

Vasanti: inhone mujhe woh Nurse ke kapde diye aur ek mariz ki seva karne ke liye poore 10000 rupayee diyee.. Jub main inke kamre me gayi toh inke pati dard se karha rahe the... Woh keh rahe the ki Swati tum mera insulin injection kaise bhool gayi? Fir Madam ne mujhe doodh lane neeche bheja... Jub main neeche jaa rahi thi toh yeh aapne beemar pati se keh rahi this ke injection chahiyee toh sign Karo... Inke pati toh bechare inse aur doctor se injection ke bheek maang rahe the...

Maheshwari: Kya jhoothi kahani booni hai Iss aurat ne main toh Mr. Sharma ke saath unki gaadi me aaya aur unke saath hi Goa chala gaya jahan unki maut ho gayi...

Swati: He sach bol rahe hai... Chahe toh mere driver Dindayal se pooch lijiyee... (Yells) Driver

Driver: ji memsaab... (Listen to what his master said) haan Saab yeh sach bol rahe hai...

Abhijeet: Accha tum inke driver ho (driver nods) tabhi bhi the?

Driver: ji Saab...

Abhijeet: Mallik.. Batao kaun ho tum?

The village man comes forward removes his turban...

Mallik: uss waqt main inka driver tha... Saab ke saath 20 saal tak kaam kiya hai... Uss raat main hi laya tha saab aur memsaab ko yahan aur wakil humare saath bilkul nahi tha...yeh toh baad me aaya Apni gaadi me... Woh bhi safed kapde pehne tha... Safed Baal daadi aur mooch laga kar... Doctoron wala ala bhi tha isle pass... Fir beech raat woh baag me kuch khodne laga... Jab woh khod kar chala gaya toh maine waha jaake dekha toh mujhe kuch jaale huve kagaz mile... Mujhe toh pehle se hi Shaq tha.. Iss liye maine unhe nikal kar aapne pass rakh liya..

Abhijeet: Vasanti... Kya tum harm doodh le kar wapas aayi...

Vasanti: Ji sir... Bade saab ki saas ukhdi hui thi... Main job laut rahi thi toh yeh doctor mujhe apni gaadi le pass me gaya oxygen cylinder laane... Saab ko oxygen laga kar gaad me lejaya gaya...

Abhijeet: tab unki saas kaise chal rahi thi?

Vasanti: Chal bhi rahi thi ki nahi kya pata... Unhe gaadi me daal kar le gaye aur hum yahi reh gaye...

Abhijeet: Yeh woh papers hai jo Mallik ne aapne pass rakhe... Fir usne police ke pass jaane ki koshish ki par uss dhamkaya gaya aisi koi complaint ussne ki toh use aur uske bachon ko maar diya jayega...

Daya: Tabhi ek Naujawan humare ACP saab ke pass aaya ussne woh khat jo ek Baap ne aapne beti ko likha tha hume dikhaya gaya... Woh ladki uski patni thi... Aam taur par CID aise cases nahi leti fir bhi zaati taur par humne tehkikaat shuru ki... Aur natija aap ke saamne hai...

Daya: sab kuch bahut hi planning aur safayi se kiya tumne.. Magar yeh wasiyat ke papers (takes the papers out of his pocket) apni kahani key gaye... Iss par likha Sadhna ka naam abhi mit nahi paaya aur nahi Mr. Sharma ka naam... (Sadhna sobs uncontrollably Vishal consoles her)

Abhijeet: Mr. Maheshwari bade shatir samajte hai naa aap apne aap ko? Kya saath diya hai... Jurm ka saathi, daulat ka saathi, pyaar ka saathi bhi banana chahata tha... Par bharosa kiya bhi toh kis par? Iss aurat par jo aapne aap ki bhi naa ho Saki? Aap ko maarne ki poori planning ki this issne..

Maheshwari: What the hell? Jhooth bol rahe hai aap... Mujhe bhadka rahe hai...

Daya: Accha? Agar Abhijeet naa hota naa toh tumhara toh upar ka ticket Kat jaata... Sachin... Jub he phone pe baat kar rahi thi... Tumne parallel line se suna tha naa? Kya yeh rahi thi yeh?

Sachin: Yeh aap hi se baat kar rahi thi Maheshwari ji... Keh rahi thi do dost hai Abhijeet aur Daya... Shayad jasoos hai aur unhe mujhpe Shaq ho gaya hai jaldi aaa jao... Toh aapne kaha ki main aate hi in dono ko goli maar dunga.. Toh inhone kaha hoshiyaari se picche ki taraf se aana... Garden me sidi padi hai uske balcony se laga kar aa jaana... Toh aap ne kaha... Main aate hi 3 baar horn bajaunga tum samaj jana...

Abhijeet: Maine Swatiji ki gun pehle hi dekh li thi Kismat se.. Gun ki bullets toh maine change kar di, Nakli bullets daal do uss me... Ab hume pata karna tha ki inka ka plan kya hai... Iss liye bahar jaa kar maine 3 baar horn bajaya... Aur piche ke raaste se balcony ke through aap ke kamre me ghussa baaye haath me gun lekar... Inhone aav dekha naa taav mere seene pe goli chala di main mooh chupa kar aundha gira aur aapni saas rok li... Jub aap log darwaza khatkhata rahi yeh mere haath me paison ka bag rakh rahi thi... Fir behosh ho gayi...

Fredricks: How original sir...

Everyone laughs...

Daya: tumhari kismat acchi hai Maheshwari Abhijeet ke karan tumhari jaan bach gayi...

Maheshawari: Maine tumhare liye itna kuch kiya aur tum? I will kill you...

Swati: Tum bikau hoo tumhare saath yahi hona tha...

Maheshwari: how dare you?

He holds her neck... But Sachin and Freddy take him away...

Sadhana: jo garb me thi tab se tum jiski gunhegaar ho... Jis ke Maa ki maut tumhare karan hui... Jiske Pita ko tumne sisak sisak ke maara... Jiski daulat pyaar sub tumne cheena woh Mr. Sharma ki beti main Sadhna Sharma kehti hai ki Swati Sharma ko Apni sauteli Maa ko Maut ki sazza milni chahiyee maut ki sazza

She breaks down and hugs Vishal... Abhijeet lovingly moves his hand over her head Daya signals to take the criminals away... Sachin, Freddy and Poorvi take them away... Vishal takes Sadhana to her room

Daya: Yeh case toh solve ho gaya boss ab chutti mana le?

Abhijeet: Theek hai... Woh raha phone...

Daya: (confused) Phone kyun?

Abhijeet: ACP sir se baat tum hi karoge naa?

Daya: (disappointed) hmm chalo bhai Mumbai wapas...

Abhijeet laughs and Daya joins in...

Edited by Sonali. - 11 years ago
pappais thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
looks like i m the first one to comment
will read sooon di
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: pappais

looks like i m the first one to comment

will read sooon di


Thanks Ranju... Will be waiting..

nsapo thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
The starting is just beautiful,thrilling with the right shots of humour👏
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: nsapo

The starting is just beautiful,thrilling with the right shots of humour👏


Thanks Appu... Waiting for when you complete reading this...😃
Jurassic_Shark thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Looks wonderful, Sonali. Will try to read soon. 👍🏼
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: DemonStar

Looks wonderful, Sonali. Will try to read soon. 👍🏼


Thanks bro... Waiting for your detailed feedback once you finish reading...

Related Topics

CID thumbnail

Posted by: ADreamyDeepz28 · 14 years ago

H E L L O E V R Y 1 TO MY PAGE [FLASH WIDTH=5 HEIGHT=5]http://fsh.99ss9.com/albums/HI/LvsR02.swf[/FLASH]

Expand ▼
CID thumbnail

Posted by: Ranjha2.O · 14 days ago

Guys!!!guys!!! Guys!!! Sony Announced new time slot for show as it's showing in recent promo on instagram It's like "4th Oct se Sat-sun 7pm"...

Expand ▼
CID thumbnail

Posted by: Ranjha2.O · 13 days ago

First look is here

Expand ▼
CID thumbnail

Posted by: Ranjha2.O · 17 days ago

Let's seee the response...?!

Expand ▼
CID thumbnail

Posted by: Minionite · 2 months ago

https://www.youtube.com/watch?v=LyLSYuj4_fE

https://www.youtube.com/watch?v=LyLSYuj4_fE
Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".