seedhi si kabhi,kabhi shaitan si
Meri hothon ki muskaan si
jaane baar baar kaha kho jaati hai
Kabhi paas aati hai phir door chali jaati hai
Uski makhmali si hasi
goonje kaano me mishri si
Uske aansun sui si dil me chubhti hai
kyun wo paas aakar door chali jaati hai
Uske gaalon ki laali suraj ki garmi si
Uske gusse waali aankhon me chupi wo narmi si
Uski baahon me guzri ghadiyan yaad aati hain
Lekin wo paas aakar door chali jaati hai
Uske wo nakhre,shahzaadiyon aur maharaaniyon se
uske wo sunahre khwaab hassen kahaaniyon se
Uski wo mujhe palat ke dekhne ki adaa bahut sataati hai
Par wo jaane kyun paas aake door chali jaati hai
Baarish me naachna ya phir hawaaon me chai banaana
har ek yaad chapi hai dil me tasveer si
Uska wo pyaar se khaana banaana bhi ab dil ko rulati hai
kyu wo paas aakar itni door chali jaati hai
Aankhon se ojhal ho ke bhi
wo base in aankhon me khwaabon si
Kabhi yaad bankar aankhon me theher jaati hai
To kabhi aansoon ban kar beh jaati hai
Kyun wo itna paas aakar door chali jaati hai...
Wo door chali jaati hai...
2