Os Pyaar ki intehaan [chap 30 page 137 - Page 68

Created

Last reply

Replies

1k

Views

115.4k

Users

25

Likes

2k

Frequent Posters

parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago


Nidhi apne kamareme pahuchi aur apna suitcase kholke soch hi rahi thi ki kaunsi saree pahenu?Tabhi uska cell phone baja.

Ashutosh ka naam ka display dekhkar Nidhi chauk gai.

Nidhi:Hello,aap abhi jiju hai na saath me?

Ashutosh: Main bathroom se bol raha hoo.Bus yahi kehena tha ki Red wali saree with black glitter border pahenna.Jaise sare valentine pe pahente hai.

Nidhi:Aapne yeh kahene ke liye phone kiya hai?

Ashutosh:ha toh fir?

Nidhi:nahi nahi maine toh socha tha ki main aaj Mini skirt pahenu.Saree ki kya jaroorat hai.Achha hai aapne keh diya warna toh main saree nahi pahenti.

Ashutosh itni jor se hansa ki Armaan ne use bahar se puchh,"Kya hua Ashu?hans kyon raha hai?

Ashutosh ne wohi se jawab diya,"Kuchh nahi bhai.Sab theek hai."

Nidhi bhi apni hansi rok nahi payee.

Thodi der baad Nidhi ke kamre pe knock hua.Armaan tha

Armaan:Nidhi,are you ready?

Nidhi:ji jijaji.Bus aa rahi hoo.

Jaise hi Nidhi bahar aayeee Ashutosh use ek najar se dekhta raha.Pure red colur ki saree me thi.Halka sa make up aur saath me red colour ki bindi.

Ashutosh soch raha tha,"Kaash bhai nahi hote yahaa aur main mere is tamatar ko kha sakta.

Aur use apne ho soch pe sharam aayee.

Armaan dono ko lekar marriage hall pahucha.Aaj Deepak ki Haldi thi.Dulhan Disha aur Deepak ki halci sath me hi lag rahi thi.

Jab Nidhi wahaa pahuchi aur usne dekha toh Mallika Deepak ki ma ko help kar rahi thi.Sare uske saath aise baat kar rahe the jaise kitne salo se janate ho.Nidhi wahaa pahuchi aur Mallika ne Nidhi ka sabse parichay karwaya.Rasm bade hi masti ke saath ho gai.

Kisine Mallika aur Nidhi ko haldi nahi lagai.kyonki Deepak ki ma ka yahi Elaan tha ki Nidhi aur mallika ne kapade achhe pahene the koi kharab na kare.

Ashutosh aur Armaan ek taraf khade dekh rahe the.

Tabhi Deepak unke pas aaya aur bola,"Aaj mere hotel me dosto ke liye party rakhi hai.Tum dono aana.Masti karenge."

Ashutosh:Is mamle me muze maaf kar de bhai.Main toh aaoonga nahi aur Nidhi ko lekar toh bilkul nahi.Bhai ko aana hai toh woh aa sakta hai.Lekin main toh bhabhi ko bhi nahi aane dunga.Tum sare sharab peekar apne hosh kho doge aur woh ladies hairan ho jayegi.Aur saath me hum bhi.Alcohol se muze nafrat hai.

Armaan ne bhi kahaa,"Ashutohs sahi hai boss."

Deepak:tum bhi kya aurato ke chakkar me party miss kar rahe ho.

Ashutosh:woh humari life partner bananewali hai.Aur unki ijjat aur Hifajat karna toh humara farz hai.Aur main toh nidhi se pyaar karta hoo.Tumhare saath sharab pine se achha hai main uske saath kuchh lamhe gujaroo.

Aur woh dono Mallika aur Nidhi ko lekar chale gaye.

Armaan Ashutosh Nidhi aur Mallika hall ke bahar aa gaye.

Ashutosh:Chalo bhai hum log Strawberries ke Garden dekhne chalte hai.Agar inhe apne kapade change nahi karne ho toh.

Armaan: Dekh Ashutosh.Main aur Mallika Panchgini ja rahe hai.Tum wahaa kal jana.

Ashutosh:Lekin saath me chalte hai na?

Armaan:Ashutosh,hum log baar bar yahaa nahi aayenge toh hume yeh pal enjoy karne chahiye.Aur shayad hume thoda waqt akele bitane ki jaroorat hai.Toh tum yahaa enjoy karo.Enjoy yourself buddy.

Ashutosh:Theek hai bhai.Jaisee aapki marji.Nidhi,tumhe koi problem nahi hai na?

Nidhi ne Malika ki aur dekha aur boli,Nahi,di ki khushi me meri khushi."

Aur Mallika aur Armaan chale gaye panchgini ki aur [Panchigini is another beautiful hill station near Mahabaleshwar]

Ashutosh Nidhi ke pas aaya aur bola,"Nidhi,tumhe change karna hai kya>

Nidhi:Aapko kya pasnad hai?

Ashutosh:Nidhi,tum aaj bilkul strawberry lag rahi ho.Bilkul meri cherry ki tarah.But i want to know that are you confortable with this attire.Kyonki hum boating karenge.Toh tumhe isme unconfortable feel hoga.Chalo hotel chalte hai aur tum change kar lo.

Nidhi:Aap muzse bahut pyaar karte hai na?

Ashutosh:koi shaq.Bahut my Barbie doll.

Aur Ashutosh ne apne mobile se Nidhi ki kuchh tasveere nikali.

Dono hotel pahuche.Nidhi ko uske kamareke pas chhodkar ashutohs apne kamareki taraf muda hi tha ki Nidhi ne uska haath pakad liya.Kaske

Ashutosh:KYa hua Nidhi?

Nidhi:Kuchh nahi.Bus aapke saath waqt bitna chahti hoo.Aap andar aaiye na?

Nidhi ne itne pyaar se kahaa ki Ashutohs uske peechhe kamareme chala aaya.

Nidhi ne darwaja paav se hi band kar diya aur khud door ke sahare khadi ho gai.

Usne Abhi tak ashu ka haath pakada hua tha.Ab Nidhi ko is tarah se dekhkar uski bhi sase tej ho gai.

Nidhi ne apni dono bahe Ashutosh ke gale me dali,"I love you Ashutosh.Bus muze apni baho me thame rahiye.Muze kuchh nahi dekhana.Muze kahi nahi ghumna.Bus mere liye aapki bahen hill station hai aur aapki aankhe strawberry ke garden.Bus muze apni bahome sama lijiye."

Uska itna kehena tha ki Ashutosh ne use kaske apni bahome le liya.

Ashutosh:OH my cutie Barbie?main tumhe doll yuhi nahi kaheta.you are my fantasy.Aur aaj toh aap kitni khubsurat lag rahi hai.Chahta hu tumhe dekhata rahu.I love you,i love you.

Aur Ashutosh ne apni bahoki pakad aur majboot ki.Nidhi ne bhi Ashutosh ko kaske pakad liya.Dono ki sase ek dusreme ghulne lagi.Nidhi ne halke se apne gulabi kapkapate hoth Ashutosh ki taraf badhaye.Ashutosh ne usi disha me apne hoth badha diye.Ab shayad unko hosh nahi tha.Bilkul madhoshi me kho gaye woh.

Tabhi kuchh yaad karke ashutosh ne nidhi ki pakad dhili ki.

Nidhi fir bhi aise hi khadi rahi.Ashutosh ki aankhome pyaar se dekhkar.Ashutosh ko us aankhopar itna pyaar aa raha tha lekin usne apne aap ko sambhal liya aur Nidhi ko bola,"Bus Nidhi.Main apne kamare me chalta hoo.Ab tumhe dekhkar shayad me apne aap pe kabu na rakh paoo."

Nidhi ne bhi ab tak apne aap ko sambhal liya tha.

Nidhi:Is baar chhod rahi hoo aapko.Ek baar shadi ho jaye toh dekh lena.

Ashutosh:Shadi ho jane ke baad [Aahhh] meri jaan us din ke bareme toh sochta hoo na toh lagta hai us din main pure satve aasman me rahoonga.Bus tum meri bahome,Balcony se andar aati chandni ki roshni aur tum safedi colur ke gown.

Aur achanak uske dimag me ghanti baji.

Ashutosh:Waise madam ji.Aap Haldi function me kya pahenke aanewali thi?Mini skirt?

Nidhi :ha toh,aap nahi kahete toh main Mini skirt hi pahenkar aati.

Ashutosh:Ha toh ab paheniye na?main yahi baitha hoo tab tak.Jaiye...

Nidhi:Toh aapko pasand aayega mere miniskirt pahenana?

Ab Ashutosh thoda sa serious ho gaya.Usne Nidhi ka haath apne hathome liya aur use sofa ki taraf le gaya.

Lekin woh khud chair par baitha.Aur usne Nidhi ko apne lap pe bithaya.

Ashutosh:Nidhi,ek baat kahoo?shayad tum muze narrow minded insaan samazne lagogi

Nidhi:kahiye.

Ashutosh:Main chahta hoo ki tum mini skirt,fancy gown paheno.Lekin sirf mere liye mere samne.Main nahi chahunga ki mere alawa koi aur tumhe dekhe.Tumhe us pyaar se dekhneka haq sirf mera hai aur kisika nahi.Tum muze possessive keh sakti hoo.Lekin itna toh main possessive hoo.

Aur Ashutohs ne apni najare zuka di.

Nidhi ne baithe baithe hi Ashutosh ka chehera apne hatho se uthaya.

Nidhi<Jee,main bhi toh yahi chahti hoo.Sirf aap muze dekha.Har roop me har rang me.Har andaaj me.Main aaj bhi aapke liye aur aap jaisa chahte hai waisee hi saji hu na?Toh fir.Meri duniya aap hai aur main chahti hooo ki aapki duniya bhi main hi rahu.Aapki aankhome aur dil me basne ke jyada muze na kuchh chahiye tha na kuchh chahiye hoga.

Aur dono ne ek dusre ko fir se gale lagaya.Pyaar se adhikar se haq se.

Lekin is bandhane me aur bhi jyada majbooti thi pyaar ki vishwas ki.

Ashutosh aur Nidhi Lush flora point aaye.Yeh sabse uncha point hai mahabaleshwar ka.Lekin bahut Slippery tha.Ashutosh ne kaske Nidhi ka pakada hua tha.

Dono us point ke pas aye toh Nidhi darne lagi.Kyonki khayee bahut deep thi.

Ashutosh ne Nidhi ko apne majboot bahome pakad liya

Ashutosh:Nidhi,dar lag raha hai?toh pas nahi jate.Yahi se laut jate hai.

Nidhi ne apne aap me bahaduri lane ki koshish ki lekin fir bhi use dar lag raha tha.

Ashutosh ne use Bioscope se sare points dikhaye aur bola,"Hey doll,chalo kahi aur chalte hai.

Aur Ashutosh use lekar Venna lake aaya.

Ashutosh:Doll,boating karenge?agar tum chaho to?

Nidhi:ha ha isme muze dar nahi lagega.

Yeh pure 12 ilometre ka boating area tha.Ashutosh ne un dono ke liye ek shade wali naav hire ki.

Aur woh Nidhi ko lekar baith gaya.

Naav dheere dheere aage badh rahi thi.Aur Nidhi Ashutohs ki bahome apne mukaddar aur apne aanewale sapne sanjo rahi thi.

Nidhi ne Ashutosh ki bahe apne gale me dali.Ashutosh use samaz gaya aur uske aur kareeb aa gaya.Usne halke se Nidhi ke galo par kiss kiya.

Ashutohs aur Nidhi ne ekdusre ke hathoko thame hue tha.Ashutosh use har jagah ki jankari deta.Aur Nidhi har jankari ko dhyaan se sunati.

Lekin is kahani me twist tha.Pyaara sa twist.

Ashutosh ne us jagah ke bareme bataya aur Ashutosh ka andaaz Nidhi ko pasand aaya toh Nidhi Ashutosh ko kiss karegi aur agar andaaj pasand nahi aaya toh Ashutosh Nidhi ko kiss karega.

Yeh silsila unhone is pure trip ke liye tay kiya tha.

Lekin Ashutosh har baar kuchh aisa karta ki Nidhi ko hansi aa jati aur woh Ashutosh ko Bonus kiss bhi de deti.Yahi toh thi unke pyaar ki intehaa

Woh safar unki zindagi ka yaadgaar safar tha.

Boating ke baad Ashutosh Nidhi ko Botonical garden le gaya.Aur strawberry garden bhi.Garden ke bahar unhone Horse riding bhi ki.

Horse riding ke waqt bhi Ashutosh ne Nidhi ko pakadke rakha.Aur ghoda thoda tej ho gaya aur aage khai thi.Nidhi ne dar ke mare Ashutosh ke sine par apna chehera chhipa liya aur Ashutosh yeh dekhkar muskurane laga.

Ashutosh:Yeh toh main apne kamere me kaid kar leta hoo.

Aur usne Nidhi ki aisee hi tasveere nikal li.

Ashutosh:Nidhi,tumhare saath har safar suhana hai.Aur zindagi bhi.

Nidhi:Meri bhi.

Aur unhone Lunch bhi bahar kiya Gujarati aur Punjabi fusion khana.

Ashutosh:Aaj toh bahut majaaa aaya Nidhi.Chalo ab fresh ho jao aur hum sham ki aarati shivaji ke mandir me hoti hai usme shamil ho jate hai.Yeh shivji ka sabse purana mandir hai.Aur behad khubsurat bhi.

Aur Nidhi fresh ho gai aur firse dono.Mahabaleshwar temple aa pahuche.Sach me bahut hi sundar mandir tha woh.

Dono ne man se aarti ki aur ekdusreka saath yuhi bana rahe yahi dua ki.

Aur fir aayee shopping ki bari.Nidhi ko Ashutosh ne apni pasand ki saree cheeje dilwayee.Aur Nidhi ne Anji ke liye,Baba ke liye matlab dono baba ke liye.DB,Shyama anty,Kapil Uncle aur Mr and Mrs Kulkarni aur Abhi ke liye gift kharidi.

Jab woh thak kar hotel pahuche toh receptnist ka phone aaya,"Sir Panchgini se Mr Armaan ka call hai aapke liye."

Armaan:Ashutosh,yahaa baut tej toofan hai.bahut tej hawa bhi chal rahi hai toh agar hum aaj nikal nahi paye toh kal subah jaldi nikal jayege.Tu Nidhi ka khayal rakhana.

Ashutosh:Jee bhaiya,aap fikar mat kijiye.Toofaan thumne ke baad aayiyega.Bhabhi ka khayal rakhana.

Nidhi ko bhi sab pata chal gaya.Use Mallika ki fikar ho rahi thi.Lekin is baat se woh khush thi ki Armaan toh hai uske saath.

Ashutosh:Ab tum akeli so jaogi na Nidhi?

Nidhi:ha main darti nahi kisi se.Lekin aap muze akele chhodke jayenge toh aapko neend aayegi?

Ashutosh:point noted doll.Muze toh andhere se aur akele pan se bada dar lagta hai.Toh kya main aaaj aapkio bahome se sakta hoo?

Nidhi:ha,leking tax dena padega.

Ashutosh:Kya tax chahiye aapko?

Nidhi:Dher sara pyaar aapka.

Ashutosh:woh toh aap aajmake dekh lijiye.

Aur dono hans pade aur ek dusreke bahome sama gaye.

Nidhi:Main change karke aati hoo.Aap bhi fresh ho jaiye.

Ashutosh:Nidhi,tum thak gai hogi aaram karo.

Nidhi:Aap samne ho aur aaram karoo?Chaliye aap fresh ho jaiye fir yahaa aaiye.Dinner yahi pe mangwa lenge aur fir koi achhi si movie dekhenge

Ashutosh:Theek hai doll.Bus main abhi aata hoo.

Aur Nidhi ne apna blue night dress pahen liya.Aur Ashutohs apne white kurte pajame me aaya tha.

Dono Balcony me chandni ki roshni ke neeche khade rahe.

Tabhi Ashutosh ne apni violin nikali aur Nidhi ko apni bahome lekar dhun bajani shuru ki.Nidhi

Nidhi aur Ashutosh us chandni raat me violin ke sahare zumte rahe.Na duniya ka hosh.Na khud ki fikar.Unki duniya alag thi jaise woh kisi khubsurat pariyo ki duniya me chale gaye ho.

Bilkul duniya se bekhabar.

next update:Ashutosh aur Nidhi ki panchgini ka safar.
Will update soon


Edited by parmarA - 11 years ago
bawaswift thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Me first.. 😃
Edited by bawaswift - 11 years ago
kritika4ever thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Loved chapter-23 AlkaJi.

All siggies are fabulous! 👏👏👏

Thanks for the beautiful chapter and mesmerizing siggies.
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago
Thank you Tasha for waiting and sorry Tasha for keep you waiting
bawaswift thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Just read the full chapter... Alka di, i will review later !
The most fascinating chapter indeed ! 👏
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Tasha1994

wonderful siggy 😊

Thank you Tasha
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago
Yes suku too dreamy yaar.Thank you sweet heart
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Libra

Hi Alkaji

I love this FF of yours.Thank you Libraji i am glad you like this ff. Your Ashutosh is a very romantic character in this story. Nidhi's love make him like this. A refreshing change from the show. I also like the fact that you made him a soldier.Yes so promising job. I hope there are no troubles waiting ahead for our favorite couple. At the moments no plan for.
I love Mallika's character.(OMG!!!!!! I never thought that I would ever say that.😆)I want lot people to say this.My mallika is sweetest
The sister relationship is totally adorable. And Both Fathers are also too cute.Cute family and parents together
I wish that you had a bit more of a role for Dadi Bhua, though.I will try to include them

On the whole this FF is 👏Thank you so much

Thank you Libraji for reading this ff
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Diksha_1991

Hello Alkaji, 🤗

How are you?

Hi Diksha me fine what about you?
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: aardhan

Chapter 16 review

Alka, very smooth. So parents have accepted the first couple 👍🏼 and arrangements have started to have an engagement. Very nice. Ashni convo very nice. They want to be together yet they have to keep it a secret because they want Armaan and Mallika to have their special days. 😃

But highlight is definitely the shopping. The sisters love for each other and then Ashu pampering Nidhi with all those new clothes was very sweet. Ashni love each other so much.

Sorry Alka, as usual I am very late.

Thank you Aardhan,take your time.Yes the full family attachment here.And perfect couple make this love story more interesting.Ashu and Nidhi are madly love in each other.
No sorry business dear

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".