Mujhe lagaa thaa ke jab Saras aur Laxminandan aamne-saamne aayenge... Tab Kumud Saras ko kuchh naa keh kar bas apne haath par banaayi wo smiley dikhaayegi aur humeshaa ki tarah wo dono ek-dusre ko himmat denge!!?
Yaa phir...
Kumud Saras se kehti ke "Ladho mujhse, naaraaz ho jaao, daanto mujhe yaa mujhse baat naa karo... Tumhaari harr naaraazgi manzoor! Par iss waqt nahi... Iss waqt yahaa koi nahi hai... Bas "tum" ho aur "main" hu... Aur tumhaaraa aur meraa adhooraapan hai... Jo raah dekh rahaa hai ke kab... "Tum" aur "Main"... "Hum" honge!!!!"
Do-do writers hokar bhi unhone wo scene thik se nahi likhaa aisaa nahi lagtaa??? Matlab, jahaa Dukhba ne sahaaraa diyaa wahaa Kumud ne diyaa hotaa toh aur acchaa lagtaa naa?
Yaa phir wo smiley waalaa scene aane waalaa hai?
Hmm... Dekhte hai...