Phoolon ke Sheher mein ArMan-1
Assumption:
1. ArMan decide to leave Mumbai and settle somewhere far away from Mumbai and Shravani
2. Damodar and Manohar support them
2. However, they have maintained their inherent character i.e. Pavitrata
4. The writer does not intend to make you laugh
After travelling a lot (by 2 trains, 3 trucks and 4 bullock carts), ArMan finally find a destination "Mohabbat Nagar". It's a small town, kind of a hill station. Weather is amazingly sweet and refreshing. Firstly, they need to find a shelter for them. They don't have enough money to stay in hotels.
Archana- Manav main thak gayi
Manav-main bhi
Archana- ab pata nahi kitne din aur ghar khojna padega
Manav-ghar to mil raha hai
Archana- par wo ek room wala hai
Manav- ab do room wala ghar na mile to kya karein?
Archana-main aap ke sath ek room mein nahi so sakti..samjhe?
Manav- kyun bhala
Archana- Kyun ki aap bade wo ho. Kal hotel ke room mein kaise neend mein chalne ki acting kar ke do baar mere upar aake gire wo jaise aap ko yaad nahi
Manav- wake hi yaad nahi
Archana- do chante lagaye the maine wo to yaad honge
Manav-(gaal mein haath rakh ke) hmm kaun se chante
Archana- achha ji. Mujhe nahin rehna single room mein aap ke sath. Samjhe?
Manav-par ab do room wala ghar mil nahi raha to kya road side mein puri zindegi bitayenge? Upar se hotel keliye paise nahi hain. Main kuch nahi janta aaj dhaniram ka wo wala ghar main book kar leta hun
Archana- hey bhagwan mujhe kitna dant rahe ho..koi bhala aisa dantata hai kya?
Manav- maine kab danta
Archana-( ro ro ke) mujhe pata tha aap mere sath aisa hi karoge
Manav- ab rone kyun lagi..maine aisa kya kar diya
Archana-jao main aap se baat nahi karti
Manav-ab man bhi jao na archana..jab tak mujhe koi kaam na mil jaye tab tak adjust karna padega na!
Archana- par promise karo mere sath koi harkat nahi karoge..warna main wapas Mumbai chali jaungi
Manav-tum jaogi to mujhe bhi jana padega. Aur finally tum mujhe fir se Shravani ke hawale karnewali ho kya? Isse behtar hoga tum mujhe is unchi si ghai se dhakka deke jaan se mar do
Archana- (feels sorry aur Manav ke honthon pe apna haath rakhti hai) do baara aisa mat kehna..main aap ke sath kahin bhi chalne ko tayaar hun..
Manav-sach?
Archana- haan 'are maine aap ko bataya nahi..maine kal ek sapna dekha
Manav-kab? mujhe chante lagane se pehle ya baad mein
Archana- chal hat. Wo ekdum subah subah'hamara ek ghar hai..chhota sa pyara sa..pahadi ke upar..aas paas koi nahi'charo taraf bas phool hi phool
( Ekta madam chillati hai BT ke staffs ke upar..are heroine sab kuch muh se bolegi kya..jaldi gaana play karo. Song plays..
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phholon ke sheher mein ho ghar apna
Kya sama hai tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi aa ja..)
Manav-ghar mein ek kamra tha ya do
Archana- ek
Manav- wow.
Archana- wow kyun bol rahe ho gande
Manav- Bathroom ka darwaja andar se band ho pa raha tha ya nahi
Archana- chup karo. Ab sapne mein wo sab dikhta hai kya
Manav-par haqiqat mein aisa ek ghar hai..wo chhoti si pahadi ke upar..aur uske charo taraf phhol hi phool hai
Archana- mujhe le chalo na udhar. Hum wohi rahenge
Manav-par jaisa maine kaha bathroom ke darwaje mein problem hai
Archana- wo hum theek kara lenge
Manav-wo baad mein dekhenge. Pehle ghar to dekh le
Archana- haan chalo na'.par bathrrom ka darwaja aaj hi thik karna
Manav- thik karwa dunga..ab chalo to
(both carry their luggage and make a move towards their new house)