Karanjkars and Deshmukhs decide to unite Arman by hook or crook. They got to know that Dr Gajodhar is a specialist in uniting couple by some special techniques, where the couple will forget who they are and mutual understandings if any and will be locked inside a room for 12 hrs. The medicinal effect will be for 12 hrs and by that time they will have done everything with each other and hopefully will reunite even after the medicine effect is over.
Finally Dr Gajodhar applies the medicines on Archu and Manav, while they are sleeping. Dr applies some extra naughtiness dosage to Manav. They are locked inside a room and after few minutes both wake up.
Manav- main kahan hun? (Archana ko paas mein sote hue dekh ke) aai la..kya raapchik piece hai yaar
Archana-(neend se uth ke) oh God…main kahan hun..aur paas mein yeh aadmi
Manav- are ghabrao mat mujhe bhi nahi pata main kahan se aaya idhar
Archana- ( door kholene ki koshish karti hai) hey bhagwan darwaja bahar se band hai
Manav- to achhi baat hai na
Archana- chup karo
( achanak ek recorded voice aati hai- agar room se bahar jane ki koshish ki to already plant kiya hua bomb phat jayega. Chup chap enjoy karo)
Manav-dekha… chalo enjoy karte hain
Archana- ek thappad lagaungi tumhare hosh thikane aa jayenge
Manav- ( darr jata hai) chalo main kuch nahin kehta
Archana- muh udhar karke baitho
(1 hr ke baad Manav idhar udhar ghumne lagta hai . uski shirt pocket mein ek photo rakhi hui hai. Wo anyhow aake archu ke peiron ke paas gir jati hai)
Manav- thoda saree uthana
Archana- chhi..kitne gande aadmi ho
Manav- are koi ganda kaam nahin kar raha hun mujhe bas photo leni hai
Archana- chhi gande aadmi..u idiot..ab tumhe meri maar se koi nahin bacha sakta..
Manav- are meri photo niche padi hai usse leni hai
Archana- to wo bolo na..( photo zameen se uthake Manav ko deti hai)
Manav-to maine bhi to wohi kaha..maine kaun sa kaha tumhari sexy legs ki photo khinchni hai mujhe?
Archana- badtamiz..muh band karo apna
Manav- ab kisi ki khoobsurti ki taarif bhi na karun? Tum ek maal ho..aur main bas wohi keh raha tha
Archana- (haath uthati hai thappad marne keliye)
Manav-(haath pakad leta hai) kisi ke haath bhala itne nazook ho sakte hain..yeh haath hai ya phool ki daali
Archana- kyun mere pichhe pade ho (ab wo bi manav ki harkaton ko pasand karne lagi hai)
Manav- tumhare honth hai ya gulabi kawal hain
Archana- (nakhre shuru) gulab mein kaante bhi ho sakte hain..zara bach ke
Manava- tumhare yeh gaal..kahin mausam ki nazar na lag jaye inhe..
( song plays..teri pyari pyari surat ko kisi ki nazar na lage..chasme badoor..mukhde ko chhupa lo aanchal mein kahin meri nazar na lage..chasmebadoor)
Archana-( sharma ke) thoda door baitho na
Manav- nahin pata nahi mujhe kyun lag raha hai aaj hamen hadd se gujar jana chahiye
Archana- baat gaane tak hi thi theek thi..samjhe..mann kar raha hai to aur do gaane gaa lo par hadd se gujarne ki baat mat karo
Manav- (haath pakad leta hai Archu ke) I love you
Archana- jhooth keh rahe ho
Manav- nahin meri aankhon mein aankhen dal ke dekho main sach keh raha hun
Archana- (Manav ki aankhon mein dekhti hai) mujhe to kuch nazar nahi aaya
Manav- chalo ab hontho mein hontho ko lagake dekhte hain
Archana- chhi gande..usse koi sach pata nahin lagega
Manav- are maza to aayega
Archana- tum hato ji..mujhe maza nahin lena
Manav- thik hai..main le leta hun maze tum bas cooperate karo
Arcahan- dekho aur pareshan kiya to main ro padungi
Manav- are rona mat..tumhare aansoo bahut kimti hain
Archana- lagta hai bahut movies dekhi hai tumne
Manav- ab movies ki baat chhodo meri baahon mein aa jao
Archana- chalo ji main nahin aati..
Manav-seedhe seedhe nahin manogi to mere andar ka janwar jag jayega
Archana- (chilla ke roti hai) tum bahut gande ho
Manav- are rona band karo main kuch nahi karta (pareshan hoke sone ki koshish karta hai)
Archana- aye ji
Manav-kya
Archana- mujhe bhi tum se pyar hone laga hai
Manav- to?
Archana- itne naraz ho kya?
Manav- nahin main bhala kyun naraz rahun tum se
Archana-nahin na..tum naraz ho
Manav- ab yeh nakhre band karo
Archana- danto mat warna main fir ro padungi
Manav-rone ke alawa kuch aur aata hai tumhe?
Archana- haan..aata hai…
Manav-(archu ko gale laga leta hai) yeh wada raha aaj se tum aur main do jism ek jaan hue
Archana- wada raha..par mujhe itna kas ke kyun pakda hai
Manav-kyun ki do jimson ko ek karne ke baad hi hum dono ek jaan ho payenge… Archana- hato ji
(dono intimate hone lagte hain. Achanak manav ka phone baj uthta hai. By mistake uska phone uske sath reh gaya tha. Its sharavani calling. ab bahut der ho chuki hai dono ki memory dheere dheere wapas aane lagi hai)
Archana- sharavani..yeh naam maine kahin suna hai..OMG…ab mujhe yaad aaya..main archana aur aap Manav..yeh hum dono kya kar rahe the..hey bhagwan
Manav-nahiii..thodi der baad yaad dilati na.
Archana- yeh main kya karne ja rahi thi .nahiiiiiiiiiii
Manav- ( sab yaad aa jata hai) mujhe kuch nahi yaad hai
Archana- chhi jhhothe..shravani kya sochegi..chalo mujhe chhodo..
( 12 hrs ho jate hain isliye darwaja khul jata hai aur Archana wahan se bhagne lagti hai.)
Manav udaas chehra leke bahar aata hai aur Dr Gajodhar aur baki sab ko pata chalta hai kuch nahin hua)
Damodar- Dr Saab..kya dawai pilayi thi inhe..koi kaam nahi aaya
Dr Gajodhar- hum bhala kya karte inko inki achhayi maar gayi.
The End..