kya bane baat jahan baat banaye na bane
main bulata to hun usko magar aye jazbaa-e-dil
uspe ban aaye kuch aaisi ke bin aaye na bane
bojh woh sar pe gira hai ke uthaye na uthe
kaam woh aan padha hai ke banaye na bane
ishq par zor nahin hai yeh woh aatish ghalib
ke lagaye na lage aur bujhaye na bane