Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.
Jab makaan kachche or log sachay hoa krty thy...
Kitna Khobsurat Jhoot Bolta Tha.
🏏T20 Asia Cup 2025: India vs Oman, 12th Match, Group A at Abu Dhabi🏏
VICTIM KAUN 🤧 19.9
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 28
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 20th Sep 2025 - WKV
Armaan has always been the victim
Deepika starts shooting for King
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 20, 2025 Episode Discussion Thread
Appreciation Post for Ruheen
Anupamaa 19 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Happy birthday Namik Paul❤️🔥🩷
🏏 Asia Cup 2025: Sri Lanka vs Bangladesh, Super Four, Match 1 Dubai🏏
Now Nag Ashwin takes a dig at Deepika for the Kalki mess
Anupamaa 20 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Veer Hanuman - Chat Club #4
Singer Zubeen Garg Passes Away
Aneet replaces Kiara in Shakti Salini
Book Talk Reading Challenge & Book Bingo ~ Oct 2025 Sign up open!
Homebound - OSCARS 2026 Official Indian Entry
These were Deepika's demands for Kalki
“Why aren’t Bollywood actresses supporting Deepika? - Upala KBR
Mere is virane me, kaisi ye halchal he,
Ghane sannatme, sunai deti kisiki aahat he;
Saalo se band darvaze pe, aaj ek dastak he,
Sawal utha he dil me, kya use koi chahat he?
Woh aye apni mahefil mi kuch is kadaar
Ki dekhar bhi na dekha hume usne
Chahakar bhi na kuch kaha hume usne
Woh ankahe ansune labzo ka vasta diya is kadaar
Ki bina khanjar katl hua hamara bhi kishto main
Unse ki har ek mulakat, mujhe yaad he,
Unki kahi har ek baat, mere dil ke pas he;
Unke aankhon ki khamoshi, bahat khas he,
Unki ek hasi me, hay kya baat he;
Apne aap me hi kuch aur, unka saath he,
Unke chune me, ek alag ehsaas he;
Fir kab milenge, ab yahi fariyaad he,
Kambakht subah kab hogi, ye intazaar he.
Aaj dil me utha, kaisa yeh sawal he?
Haath failaye samane, koi yoon khada he;
Narm nighahon me daba, koi ehsaas he,
Dabi dabi si aahante, kehti kya baat he;
Apna sa lagta, unka saath he,
Kab mile unse, har dum yahi aah he;
Masum chehra unka, kabhi dikhaye bachpan to kabhi darpan,
Baate unki, kabhi laaye hasi ya mann ko tattol jaye;
Me na reh paoo dur, aur wo bhi karib aana chahe,
Is kasmokash me, sare jahan ko samil hum paye;
Hichkichate jub pucha unse, kaun ho tum?
Muskurate vo kahe, mein hoon zindagi, aao tham lo mujhe''.
Kya kahenge hum, kya sunoge tum,
hum to mehfil se kabki alvida le chuke;
ab to har waqt tanhai ka hi aalam he,
na kuch sunai deta he, na hi kuch bol pate he hum.
Apni kya sunaye, hum khud nahi jaante,
Duniya ki kya bataye, duniya se hum dur he rehte;
Ab sirf tanahi me hi sukoon mitla he,
dard e gum ki mehfil me hum kya kare;
ab tak zinda hoon bas yahi ek sach he,
ab zindagi kya hoti, ye na puchna mujse,
zindagi agar bewafa na hoti, to sayad hum bhi ji lete,
bewafai is taraf katil na hoti, to sayad hum use pee hi lete;
Is kasmkas me ek tanhai hi apni lagti he,
zindagi to kab ki ruswa huyi hamse;
bas maut hi he jo gale lagani aayi he.
Unke intazaar me kab se aah lagaye bedhe the hum,
par ab to intazaar ki har ek ghadiya bhi khatam ho gayi;
zindagi to kabse bewaffa thi hamse,
aaj maut ne bhi ruswa kar diya?