Originally posted by: poshah
Kunal's diary - Hamare khwabon ko churakar inhe muskurate hua dekhe
Hum logon ki kadar tab karte hai jab woh hamari zindagi se door chale jate hai
Tujhe paa kar kho hi diya tha
Ab kho kar fir paya hai to fir khona nahi hai
Yeh raat kafi lambi lag rahe thi, jaise iski subah hi nahi hogi Agar pehle se pata hota ki itne ache khwab se subah shuru hogi to shayad jald hi so jata
aahista aahista koi hume inka hota hua dekha
aur hamari neendein udakar inhe chain se sota hua dekhe
aahista aahista koi hume inke rang mein dhalta hua dekhe
aur hamare khwabon ko churakar inhe muskurate hua dekhe
Jab se Siddhi ko shayari kehte suna tha
mein ek khwahish thi, ki woh mujhse aise hi shayarana andaz mein baat kare,
apne man ki baat to har koi kehta hai, aur waise dekha jaye to shabd to shabd hi hai
Magar ek shayar ka andaaze bayan kuch aur hi hota hai
Ek hi lafz ke kai mayane hote hai
Kai baar baat kuch nahi hoti aur kai baar kuch na keh kar bhi sab kuch bayan kar dete hai
Aahista aahista jaise dabe paon bina ke kisi ke jaane,
kisi ne man mein ghar kar liya tha aur
aankhon mein naye khwab saja diye the
jin aankhon mein khwab ho unmein neend kaha !
Bachpan mein suna tha, ki subah subah ke dekhe sapne sach hote hai
Shayad mera sapna bhi sach ho jaye
Aur koi bahut bada khwab bhi to nahi dekha tha
Ek mamooli se insaan ka ek aam sa khwab tha
Khushi ke kuch lamhe
Kisi ki muskaan se subah ki shuruaat
Thats the snippet of my diary today..I wish I could write better..its getting tough !!!
PS: Did I say, I just loved the jor ka jhatka that Rohit got , yeh to sirf peshgi (Advance jhapad) tha aage aage dekhiye kya hoga