Gautam-Dhara scene
Gautam's monologue before Dhara comes to the room, "itne saare taale hai ghar mei, par Maa ko naye taale ki bhoot sawar hai, woh hi ek nahi, dho dho, ek time pe ek hi taale isthamal hote hai, par boloonga toh ulta sunnake mujhe bhej dhegi"
Dhara walks in and sits on the bed, "bachpan se aaj tak iss ladke ke har khwaish poori kiye humne, samaj mei nahi aa raha hai kahan humne galati ki hai"
Gautam says, 'Dhara hamari galati ye hai ki isski har khwaish humne poori ki hai. issne jo maanga, humne issko diya,lekin issko samaj mei aana chahiye ki har khwaish poori nahi ho sakta. aur Rishita usne kya galat bola ki uski behen ki shaadi isske saat nahi ho sakti, kya aukat hai isska, Dhara please tu na emotional hona bandh kar, tu jaake usko samjaa, pade likhe aur kaamyaab bane phir aage dekhte hain, kya karna"
Dhara is crying.
Gautam says, 'Dhara tu ro kyun rahi hai, galati Krish ki hai toh sudhaarega woh bhi'
Dhara says, "haan galati uski hai sudhaarni bhi hogi, par jis raaste pe woh chal pada hai na Gombi mujhe uske liye darr lag raha hai, mujhe darr lag raha hai Gombi"
Gautam asks, "Krish ne tumse kuch kaha"
Dhara is crying and says, 'iss baar tumse nahi chupaoongi, tumhe yaad hai Shiva-Raavi shaadi ke waqt meine jhumke karide te, ek toh meine Raavi ko de diya thaa, aur ek kahi ko gaya mil, nahi raha thaa. woh Krish ne churayi thi, aur churakar Kirti ko diya, Gombi woh ladka pehle se hi chori kar raha thaa, poocha thaa meine usse ek baar mere dibbe se paise tu ne churaye te, ye bahut badi baat hai Gombi ki Krish apne hi ghar mei peet peeche chori kar raha thaa par usse bhi badi baat hai pata kya hai, apni galati batate waqt naa uski aankhon mei ek percent pachtava nahi thaa Gombi, uski baaton se mujhe kahi nahi laga usse pachtava hai guilt hai usne jo kuch bhi kiya galat kiya, usne nhi lagta hai woh galat kiya hai Gombi, ulta woh keh raha thaa ye chori ke illzaam mujhe jail pahuncha dho Bhabi, chala jaao yahan se. kya kami hai mere parvarish mei hai Gombi, sahi sanskar nahi diye meine Krish ko"
Gautam says," Dhara please tere parvarish mei ka koi galati nahi hai arrey ye toh Krish ki dimaaag ki upaj hai, tu ne todi na chori karna sikhaya" 🤣
Dhara says, 'nahi sikhaya hai Gombi, par jab ye ladka ye sab seekh raha thaa uspe dhyaan dena chahiye thaa, usse rokna thaa, agar meri galati nahi hai toh MERE DEV AUR SHIVA aise nahi nikle, par Krish kyun?🤣
Gautam says, "Krish ne Dev aur Shiva ko kaam karte huey nahi dekha hai, kabhi bhi paise ki kami nahi hui isske saamne usne jo chaha woh mil gaya, mujhe samaj mei nahi aa raha hai ye hamara pyar hai ya galati"
Dhara says, 'jo bhi ho Gombi, hamara Krish line pe toh aa jaayegaa na, Krish sudhar jaayegaa naa?'
Gautam says, 'umeed toh ye hai"
Dhara is crying.
Camera pans on Krish (in his room) and GauRa's face.