Scene - 4
Dhara comes to Raavi and asks her to talk to Rishita about not leaving as she will listen to her (Yeah Right, Rishita never listens to anyone)
Raavi turns her face and doesn't say anything.
Dhara asks her. "tu ne bhi muh phaer liya Raavi, tu toh mujhe bachpan se jaanti hai na, tujhe bhi lagta hai mein Rishita se jalti hoon?"
Raavi says, "Nahi, aap Rishita se nahi jalti, lekin agar woh apne dil ke tasali ke liye apne maayke jaana chahthi hai, toh problem kya hai? itna bada issue kyun bana rahi hai iss baat ko, woh Maa hai decision uska hona chahiye naa?👏👏
Shiva says, "Aye chipkali, iss bhasad me naa apne dimaag mat laga"
Raavi says, "kyun na laga hoon, yeh mera bhi parivar hai, mujhe bhi bolne ke haq hai, saare mere apne log hai, agar kissi baat se yahan sabko farak pad raha hai kyun na boloon beech mei? meine khud apni marzi se nahi bola thaa, Dhara di ne poocha thaa, tab meine bola" 👏
Shiva says, 'agar iss ghar me tujhe bolne ka haq hai na, toh iss ghar ki izzat rakhne ka bhi haq hai, tujhe kya laga woh Tamatar Seth chup baitegaa, poore mohalle me, poore Somnath me dindora peettha rahegaa ki Pandya parivar ne meri beti ka dhyaan nahi rakha mere ghar me aake baiti hai woh, tujhe zara bhi parvah nahi hamari izzat ki, beizzati karana chahthi hai hamari"
Raavi says, "izzat koi mitti ka matka nahi hai ki choti choti baaton pe toot jaayegaa, itni si baat kyun nahi samaj me aa rahi hai tum logon ko Maa, Maa hoti hai, Saas, Saas hoti hai" 👏
Raavi continues, "agar usko apne Maa ke saat zyaada comfortable feel hoti hai, toh usse jaane do naa"
Suman says, "accha tujhe bada farak patha hai Maa aur Saas me, kisne tujhe paal-poske bada kiya woh Khagdi ne"