Shivi TS: Sab kuch khatam Ho gaya? - Second Part.
Shiva opened his eyes as he realized what he had done.
What he had done to their relationship...
What he had done in his anger and hatred...
What he had done to Raavi...
He felt guilt seep into his soul as he remembered each and every single word that he had uttered to ridicule Raavi and her love for him.
Didn't he finally realize that he had fallen in love with Raavi? Why was it so hard for him to just let go of the circumstances and embrace her with open arms? Did he really had given his ego so much priority that he had ignored the fact that Raavi had finally taken a step towards him and reciprocated his feelings?
Even though circumstances were hard, how could he doubt her innocent and pure soul? The girl who left her anger and pride just so she could take care of her Dhara Dii, even though that meant she had to be in the same house as him?
Had he been so arrogant to blame her for things which Prafulla did? Agreed that he felt bad the moment he heard the reason for the divorce being granted, it felt Raavi had just removed his heart from his chest, scrunched his heart in her palms, and threw at his face, ridiculing his love for her. But why didn't he believe her when she said that she was innocent? Did he ever see her lying? Did he ever witness anything or anyone complaining to him that Raavi was a liar?
Then why did he have to be so harsh on her and say all those harsh things?
He regretted every single word, every single allegation that he had thrown Raavi's way, but he knew this was for the better. At least it was bearable for his poor heart to catch some glimpses of her from time to time, even though he had to sneak into Mami's house. And he also knew she will get someone worthy of her and her love.
But he realized he was still in the dumb head's embrace, so he did the only thing he knew will be appropriate. He grabbed her arms and jerked her body away from his with a hard push. God only knows her cheap perfume was already giving him a headache.
"Hum dono saath mein khush rahenge? Itna confidence hai tujhe apne aap pe ki tu mujhe khush rakhegi? Chal yeh accha hai. Tere saamne ab mujhe natak nahi karna padega. Tujhe lagta hai na ki mein tujhse shaadi karne ke liye taiyaar ho jaunga to ye teri galat fehmi hai. Tune USS Shiva see pyaar karne ki sochi hai jo yeh Shiva Pandya hai hi nahi. Mein Junglee hun, Gawar hun, Tel masale ki dukaan hun. Mere haath mein see tujhe humesha masale ki khushboo aayegi. Mujhe filmo ki tarah romantic baatein karna nahi aata. Aur sabse badi baat, mujhe tujh jaise lomdi se shaadi karke apne ghar ka sukh chain nahi cheenna. Tujhe laga ki meri Maa bahut bholi hai? 'Maa-Maa' Karkee bewakoof banayegi? Are do minute teri meri Bhabhiyon se nahi jamti, Tere haath mein ratti bhar bhi swaad nahi hai. Uss din halwa banake khilaya that, aisa lag raha that kya zeher kha liya ho Maine. To apni yeh said hui shakal utha aur nikal yahaan se."
He jerked her away, hating to having her in his personal space, where only a certain Chipkali is allowed. Not this girgit.
By the time Shiva had jerked her away, she was shivering like a crumpled paper. She had never witnessed this angry side of his and now she was shivering like a leaf.
"Tujh jaisi sau Disha ko thukra sakta hun Raavi ke liye. Woh mere dil mein basti hai. Aur tujhe kya hi pata mere ghar ke baare mein jo apni is kadwi zabaan se meri Raavi ke baare mein bakwas bake jaa rahi hai? Jaanti hi kitna hai tu uske baare mein? Tu uske nakhun ke barabar bhi nahi hai. Somnath ki sabse sundar ladki hai who. Aur tujhse usse compare karna na uski beijzaati hai. Pura Pandya Pariwaar jaan chidakta hai meri Raavi pe. Usne kisika nuksaan jaan bujh kar kabhi nahi kiya hai. Sab log usse bahut pyaar karte hain. Gaumbi aur Dhara Bhabhi ki jaan hai woh. Krish ke liye badi behen, Rishita Bhabhi ke liye ek dost aur Maa ke liye beti. Uske haaton ka khaana chakha hai kabhi? Are amrit hota hai uske khaane mein. Humare beech mein bolna ka haq tujhe bilkul bhi nahi dunga, toh kisne mujhe neecha dikhaya kisne nahi yeh mujhe tujhse jaan ne ki zaroorat nahi hai."
Disha gulped as she tried to come close to him, trying to use her sweet voice to convince him. "But Shiva mein to bas yahi keh rahi thi ki Raavi ne kabhi tumhari kadar nahi ki aur woh tumhare laayak nahi hai.."
He jerked her hand which was about to touch his wrist. "Tu hoti kaun hai yeh sab bakwas karne wali? Raavi ne humesha meri kadar ki hai, woh toh mein hi hun jo apni bail buddhi ki wajah se uss ek mauke ko thokar maar di, jiss mauke ki talaash mein bachpan se kar raha tha. Aur tu bol rahi thi ki Raavi mere layak nahi hai? Raavi nahi, tu mere layaak nahi hai. Shiva ki Gauri sirf Raavi hi ho sakti hai, Koi Disha Visha nahi. Samji? Ab isse pehle mera dimaag ghume, vantas ki goli le aur nikal yahaan se. Aayi badi apni nautanki karne. Agar mera aur Raavi ka divorce ho bhi gaya hai na toh kunwara baitha rahunga par kabhi tujhse shaadi nahi karunga. Ayyi samjah baat yaa danda utha ke samjhaun?"
The last line was enough to have Disha run for her dear life.
He knew he would never raise a finger at any girl, but the thought itself did scare the pathetic girl.
He walked out of the store and his vision caught a shining article. Upon walking in the direction, he found out that it was Raavi's purse which was lying on the ground, along with a Bag, which had a beautiful peach and red colored lehenga in it.
He felt puzzled at why these things were here and a dreadful thought entered his mind. As he saw Kaka walking inside the store, he quickly dashed towards his home, dreading what might have happened.
----
Dhara wiped her tears as she tried to call Raavi for the umpteenth time. But her phone was switched off.
As she was about to call Gaumbi and tell him what had happened, in came Shiva, stumbling on his steps. He quickly reached towards Dhara, but she just wiped her eyes and turned away from him.
Suman and Krish were witnessing the situation with sad eyes.
"Bhabhi, Chipkali kahaan hai? Yeh uska purse Store ke bahaar pada tha, aur yeh lehenga bhi..." he trailed on his words as he realized the disappointed look in Dhara's eyes.
"Jala de iss lehenge ko. Waise bhi ab iska koi fayda nahi hai. Tujhse shaadi karne ke liye who lehenga laayi this par iski koi zaroorat nahi hai. Tujhe finally teri bala se chutkara mil gaya hai. Jaa Dhol nagade peet, khushiyan mana. RAAVI GHAR CHOD KE JAA CHUKI HAI...."
Shiva felt the earth slip from beneath his feet as he tried to register the words in his brain. Raavi left the house?
But why?
Why would she do it? Did she see him and Disha together? Did she reach her own conclusion without even knowing what happened next?
"Par Bhabhi...Aise kaise...?" he fumbled with his words, unsure how to digest the fact that she had left him. Yet again.
But this time it was different.
Dhara felt her blood boil at the lost look in his eyes and cupped his cheeks with a strong hold. "Kyun, tujhe khushi nahi ho rahi ki Raavi naam ki bala tere upar se hat gayi? Tu khud use ghar ke bahar fekna chahta tha na? Jaise ki woh insaan nahi koi kaanch ki gudiya hai, jise tu todke chutkara paa lega? Haan? Agar aisa hai na Shiva to mubarak ho, Tu Raavi naam ki kaanch i gudiya ko todne mein kamyaab ho gaya hai..."
Shiva's eyes widened at the harsh words as she jerked his face away from her hold. "Na..hi.. Nah..i Bh..abh...i W...oh ai..se k..ai..se j..aa sa..kt..i h..ai..?"
She huffed in annoyance at his state as she held his arm and made him turn towards her, "Ab yeh natak mat kar Shiva. Tu toh bahut strong hai na. Tujhe kyun farak pad raha hai ab. Jab woh tere saamne thi tab to teri aankhon mein chubti thi. Ab chali gayi hai to tujhe dukh ho raha hai? Tu Dev se itna nafrat karne laga gaya tha ki Dev ki wajah se tujhe Raavi se zabardasti shaadi karne padi, par khaa meri kasam aur bol ki uske saath rehte rehte tu Raavi ko chahne nahi laga tha? Tujhe Raavi pasand nahi aane lagi thi? Tu Raavi se pyaar nahi karta? Are kya nahi kiya uss ladki ne tujhe wapas paane ke liye, Apni Maasi se ladi, Anita se ladi tere liye. Maa ke saamne datkar khadi rahi, tere aur uske rishte ke liye. Aisa rishte jo tujhe na to chahiye tha, nahi tu uski kadar kar paya. Tujhe sirf tere saath hue galat ki parwah thi, par tune itne din Raavi ke saath kitna bhi galat bartav kiya ho, woh sahi tha, haina? Kyunki tujhe sirf apna dukh dikhta hai. Aaj tere wajah se Raavi ka dil firse toot gaya. Usne tujhe aur Disha ko saath dekh liya tha. Are tujhe uska dil itni buri tarah se kuchalna hi tha to itne din tune intezaar kyun kiya? Pehle hi uss Disha ko bulake Raavi ke saamne rakh deta na.
Suman was about to stop her from spewing so much nonsense to her son, but Krish stopped her and pleaded with his eyes to not intervene. She just gritted her teeth but stayed quiet nonetheless.
Dhara continued with her cold voice, "Har mod pe jab tum dono ne ek dusre ki taraf kadam badhaya hai, kuch na kuch wajah se rukawatein aayi hain. Aur tune Raavi pe aise ilzaam lagaye hain, jinke baare mein main apne bure se bure sapne mein bhi nahi soch sakti. Are woh ladki jisne tujhse ladayi hone ke bawajood bhi mera khayaal rakhne ke liye ghar mein wapas aayi thi, woh mere bacche ko marne mein Anita ka saath degi? Tune socha bhi kaise? Itna galat samjta hai Raavi ko? Bachpan se jaanta hai na tu use? Bachpan se aaj tak mujhe zara si kharoch bhi aayi hai to woh daud ke mere paas aayi hai, mujhe bachane ke liye...Aur Tune usi pe itne gande ilzaam lagaye?"
Shiva felt ashamed of his actions as he realized that whatever Dhara was saying was true.
"Tune yeh sab karke uss ladki ka dil itni buri tarah tod diya hai na Shiva ki mujhe nahi lagta ki woh ab kabhi jud bhi payega. Kya fark raha tujhme aur Dev mein? Are Dev ne kam se kam sach bolke Raavi ke pyaar ko gaali hi di. Tune to uske pyaar ko baar baar thukra ke uske pyaar ka mazaak udaya hai. Itna galat bola hai usko ki agar uski jagah koi aur ladki hoti na to kabka tujhe chod ke chali gayi hoti. Par Raavi tere badtameeziyon ko isiliye seh rahi thi, kyunki use apne pyaar pe vishwaas tha, ki uska pyaar tujhe jeet hi lega. Par nahi, Tune firse saabit kar diye use ki woh pyaar ke kaabil nahi hai. Woh tere peeche isiliye padi thi kyunki woh tujhe khona nahi chahti. Iss kadar pyaar karti hai woh tujhse, par tu usse pyaar nahi karta, yeh aaj tune saabit kar diya. Pyaar kabhi zabardasti nahi kiya jaata ye maine hi usse kaha tha, lekin uske liye datkar ladna maine Raavi se aaj seekha hai. Woh bachkani harkatein karti hai, kyunki woh pyaar ke liye tarasti hai. Bachpan se apne Maa-Baap ke pyaar ke liye tarsi, Jab usne Dev se thode pyaar ke ummed kiya to usne uska haath jhatak diya. Ab jaake woh tere pyaar ki ummed karne lagi thi, par tune to uska dil itni buri dil kuchla hai na Shiva, ab mein khud nahi chathi ki Raavi aur tu kabhi kisi rishte mein firse bandhe. Tu sahi tha. Iss zabardasti ke rishte ka koi bhavishya nahi hai. To kya hua ki tum dono pyaar ki dori mein bandhne lage the? Tune uss dor ko apne nafrat se jala diya hai, aur ab woh dor kabhi bhi nahi judegi. Tu jeet gaya Shiva. Tu Raavi ko khud se alag karne mein kamyaab ho gaya. Khush ho jaa...
Jeet gaya tu.." With her final words, she walked to her room, wiping her tears.
Tears surfaced Shiva's eyes as he processed all the words Dhara had said.
What had he done? He had been so bad to the Girl who he cared for, whom he truly loved. The Girl who always had a special place in his heart. The Girl who had stolen his heart and he wanted to confess his feelings for her. He did, but she didn't hear his confession. And she mistook today's events as the last blow to her feelings, which made her think that he didn't love her?
Really, He had to question himself now. Did he really love her? Can he let go of his insecurities and embrace the woman, If she forgives him for all his miseries that he had casted upon her?
Will she ever forgive him?
Will she let him in her heart?
Will she still love him?
----
Krish, who had sneaked away in between to check upon whether Raavi reached Prafulla's house or not came running towards Suman with tears in his eyes.
"Maa, Raavi Bhabhi Mami ke ghar pe nahi hai!!!!"
Initially, this was supposed to be an OS, but all you guys supported this so much, I had to write this further🤗
Last part will be interesting as you can anticipate.😵
This part was emotional, and this reality check is much required for Shiva.😡
Where did Raavi go? Is it too late for Shiva?😔
Let me know your thoughts😛