YKS#12 Sajal&Ahad AT !! 'Vote for Asfi and Zobia'124p - Page 86

Created

Last reply

Replies

1k

Views

92.9k

Users

67

Likes

1.9k

Frequent Posters

PNA88 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: Tanii-30

Did anyone read the deleted scene? It was amaaazing.I was waiting for this scene for a long time while watching yks. I think this scene was so important...zubiya telling Asfand how her mother was killed...this was related to whole khajista thing but was wasted (from zubiya's side) by deleting it.I don't know why the scene is deleted but I think it must be shown.because everytime I watch the show i was like when will zubiya tell Asfand how much pain she has gone through alone...

What do you all think...



Looks like a good intense scene sadly a lot of people including me cannot read Urdu, so waiting for roman urdu now. Hopefully somebody will translate soon.
x.titli.x thumbnail
Posted: 7 years ago
Farhat said she'll share the written roman Urdu version soon ... seems like such an important scene and I'm already mad that they didn't added it!
octaverider thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 7 years ago
I understand why Farhat Ishtiaq wanted to share these scenes. To give us something to quench our thirst for more now that YKS is over. But I think this is counterproductive. Fandom is divided into those who don't mind these scenes being deleted and those who are sad/upset that they weren't included. Some are even questioning the Director for excluding these.

Just my two cents. Haven't read the scene yet.
Posted: 7 years ago
farhat ka new show kab aayega :(
DeeS94 thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: .sweetchick.

Farhat said she'll share the written roman Urdu version soon ... seems like such an important scene and I'm already mad that they didn't added it!


Here's the roman urdu version:

#YKS #Deleted Scene.
#Asfia ke woh scene jo drama mein shaamil nahi thay.Jab Zobia Asfand se apni feelings share karti hai.

Episode number : 29
scene : 20 - maqam : Hospital/ICU
waqt : raat - kirdaar : Zobia . Khajistah . asfand yaar .
iss scene mein Khajistah ICU mein patyon mein jakri be hoshi ki haalat mein bed par laiti hui hoti hai. Zobia uss ke bed ke paas kisi kursi ya stool par gum sum baithi hoti hai. woh shadeed gham aur sadmey mein hoti hai ankhen aansoun se bhari hui hoti hain. Zobia ki jazbati haalat hai jaisay uss ki apni sagi choti behan mout aur zindagi ke darmain jhool rahi ho. . woh madham aawaz mein be hosh pari Khajistah se baat kar rahi hai. Uss ki aawaz sirf aik sargoshi jitni onchi hai .
bohat jazbati sa manzar hai. Zobia ki aawaz bharai hui hai .
Zobia : "Khajistah plzzz mout ko shikast day do. kisi aur ki khatir nahi to meri khatir. main to tum se pyar karti hon naan. tum mout ko hara do. . wapis zindagi ki taraf aa jao. . taakay tumhari Zobia baji bhi zindah reh sakay. ."
( pause )
"ankhen kholo Khajistah . . mujhe dekho. . meri baat suno. ."
Zobia ki aankhon se be aawaz ansoo gir rahay hotay hain .
Zobia : "tumhen zindah rehna hai Khajistah . . tumhen zindah rehna hai. . mere liye' meri khatir. . "( pause )
asfand yaar ICU mein enter hotay hotay wahan Zobia ko betha dekh ke thatak kar ruk jata hai. asfand yaar ke pov say Zobia ussi sargoshi numa aawaz mein Khajistah ke paas baithi uss se jazbati lab o lehjey mein bol rahi hai .
Zobia : "agar tum zindagi se yeh jung haar gayeen to main bhi haar jaoon gi Khajistah . . phir kis umeed ke saharay zindah rahon gi main ?"
Zobia itni gum hoti hai ke usay asfand yaar ki mojoodgi ka bilkul pata nahi chalta. asfand yaar aik pal darwazay hi par ruk kar usay khamoshi se daikhta rehta hai. uss ke andar jaisay yeh kashmakash chali hai ke woh Zobia ke paas jaye ya nahi? usay dilaasa aur tasalii day ya nahi? phir woh ussi khamoshi se wahan se wapis palat jata hai. Us ki aankhon mein Zobia ke liye fikar aur narmi hoti hai. . magar woh jaisay Zobia ke paas is liye nahi aa pa raha hota kyunkay usay Zobia ki woh tamam baatein yaad hain jo aaj Khajistah wala haadsa runuma honay se pehlay Zobia ne us se boli theen. . asfand yaar chehray par sanjeedgi aur afsos liye ICU se wapas chala jata hai. asfand yaar ki aankhon ke taassur ke zariye uss ki Zobia se mohabbat aur fikar ko zahir kar rahi hoti hain. . Zobia ne uss ki sachhi mohabbat ki tauheen ki thi is liye khafgi mein woh uss ke paas to nahi ja pa raha magar dil ko jaisay uss ki fikar karne se rokkk nahi pa raha. . woh wahan se bohat disturbed sa wapis chala jata hai .
ICU se nikal kar asfand yaar corridor mein aata hai to usay chand qadam ke faaslay par Geeti ' Haroon aur dr shehroz baatein karte kharray nazar atay hain. woh Zobia ko le kar fikar mand hotay hain. jis ne Khajistah ki wajah se nah kuch khaya hota hai na hi pani ka aik ghoont tak piya hota hai .
dr shehroz bta rahay hotay hain ke Zobia Khajistah se bohat pyar karti hai. aik dafaa Zobia ne dr shehroz se kaha tha ke woh Khajistah ke shohar ko sumjhaayein aur danten ke woh uss par zulm na kiya kere. par unhen andaza nahi tha ke Zobia ki Khajistah se itni ziyada jazbati wabastagi thi .
Geeti bhi fikar mand hoti hai ke Khajistah ko kuch hoa to Zobia bilkul bhi sambhal nahi paye gi .
dr shehroz aur Haroon ke jaane ke baad Geeti murti hai to usay asfand khara nazar aata hai. Geeti Asfi se kehti hai ke woh Zobia se kahe ke woh khana kha le. shayad Zobia uss ki baat maan le. asfand yaar sanjeedgi se Geeti ko fikar nah karne ka kehta hai aur ghar ja kar rest karne ka kehta hai. Geeti ko asfand yaar ka jawab zara latalluqi bhara lagta hai yani usay asfand yaar ke andaaz mein Zobia ke liye sard Mehri si feel hoti hai magar usay kuch bhi samajh mein nahi aata. asfand yaar yeh bilkul bhi nahi bola ke woh Zobia ko khana khanay ko bolay ga ya nahi. . filhaal woh jaisay Geeti ko ghar bhaij raha hota hai .
cut
Episode number : 29
aglay scene mein asfand phir ICU ke darwazay tak aata hai. raat ka aakhri pehar hota hai Zobia Khajistah ke bed ke paas kursi ya stool par baithi usay tik tiki bandhay dekhi ja rahi hoti hai. Asfamd ke chehray par yeh kashmakash nazar aati hai ke woh Zobia ke paas jaye ya nahi. yani asfand yaar ke dil aur dimagh mein jung si chhari hoti hai .
Zobia v / o : "mujhe aap achay lagtay hain. . bilkul issi terhan jaisay mujhe garden mein khilay woh phool achay lag rahay hain. . jaisay duniya ki har khobsorat cheez achi lagti hai bilkul issi terhan ."
asfand yaar ke chehray par bikhare tasuraat bta rahay hotay hain ke Zobia ki un baton ne usay hurt kiya tha. . woh unhi baton ki wajah se uss ke paas nahi jana chahta. par uss ke dil mein mojood Zobia ki shadeed mohabbat ne jaisay josh mara hai. .
Zobia v / o : "rahi baat hamari mohabbat ki. . to mohabbat iss daur mein hoti kahan hai. . jo hum ne aik dosray ke liye feel kya woh aik wqti attraction aur infatuation ke siwa kuch nahi tha. ."
woh khud ko Zobia ke qareeb anay se rokkk nahi paata. aur aahista qadmon se chalta andar aa jata hai. Zobia Khajistah mein itni gum hoti hai ke usay abhi bhi asfand yaar ke anay ka pata nahi chalta. .
asfand yaar khamoshi aur ahistagi se uss ke paas aa ke aahista se Zobia ke kandhay par haath rakhta hai. Zobia gardan halki si ghuma kar usay dekhatii hai. uss ki nazrain asfand yaar ki nazron se millti hain. Asfand Yar sanjeedah nazron se' sirf nazron ke isharay se Zobia ko apne sath bahar anay ka kehta hai. Zobia inkaar mein gardan hilati hai. asfand yaar ki aankhon mein mazeed israar hota hai. woh aahista aawaz mein sanjeedgi o narmi se kehta hai.' ' aao.' ' Zobia jaisay majboor ho ke uss ke peechay uthti hai. woh bahar jatay hue bhi murr murr kar Khajistah hi ko dekh rahi hoti hai .
Zobia ' asfand yaar ke sath ICU se bahar aa jati hai. woh jazbati tor par bilkul normal nahi hoti. asfandyaar uss se sanjeedgi aur narmi se bethnay ko boltaa hai .
woh jaisay Zobia se dil mein bohat khafa hai. Uss se baat nahi karna chahta magar usay iss haalat mein dekh ke khud ko uss ki fikar karne se rokkk bhi nahi pa raha. .
Zobia gum sum andaaz mein ICU ke bilkul bahar bench par baith jati hai. asfand yaar uss ke paas se chala jata hai. aik lamhay baad woh wapis aata hai to uss ke haath mein pani ka bhara hoa glass hota hai. Zobia ke barabar baith kar woh pani uss ki taraf barhata hai. aur ahistagi aur narmi se usay pani peenay ka kehta hai .
Zobia nafi mein sar hilati hai. asfand yaar uss ke inkaar par narmi aur parwa karne walay andaz mein jaisay usay samjhane lagta hai .
asfand yaar : "aik dr ho kar iss terhan react kar rahi ho? main to tumhen bohat bahadur samjhta tha. ."
Zobia yak dam hi jaisay phatt parti hai. woh yak dam hi rotay hue zara zor se bolti hai. jaisay uss ke andar ubalta jazbaat ka laava asfand yaar ke pyar aur narmi se phatt kar beh nikla ho .
Zobia : "nahi hon main bahadur. . main bohat kamzor hoon. . main bohat kamzor hoon." ( pause )
jaisay woh itnay ghanton se asfand yaar ke jazbati saharay hi ki muntazir thi. . woh asfand yaar ki taraf dekh ke zaro qitaar rotay hue bolti hai .
Zobia : "koi nahi samajhta Khajistah mere liye kya hai. . aap bhi nahi samajte. . aap kuch bhi nahi samajte. ." ( pause )
"agar Khajistah mar gayi' usay kuch hoa to main bhi nahi bachon gi asfand. . main bhi mar jaoon gi. ."
iss waqt chonkeh woh koi banawat nahi kar rahi' asfand yaar ke sath jaan boojh kar formal aur ajnabi nahi ban rahi issi liye uss ke mun se dr asfand yaar nahi balkay apnayet bhara sirf asfand nikla hai woh iss waqt bohat vulnerable aur unguarded hai .
Zobia : "Khajistah ke andar main kis kis ko dekhatii hon. aap ko nahi pata. . main uss mein apni maa ko dekhatii hon. . ghairat ke naam par qatal honay wali meri mazloom maan' main unhen dekhatii hon Khajistah mein. . main unhen nahi bacha saki thi' kamzor thi' be bas thi. "( pause )
Zobia apne hawason mein nahi hoti iss liye usay khud nahi pata hota ke woh kya bol rahi hai aur kya nahi bol rahi. . asfand yaar usay chonk kar daikhta hai. . uss par jaisay koi bohat herat angaiz inkishaaf ho raha hota hai. woh Zobia ki baton ke maienay samajhney ki koshish karta hai .
Zobia : "na maa ko bacha saki na khud ko. . magar main ne khud se wada kiya tha main Khajistah ko zaroor bachaun gi. . usay iss zulm ki bhaint nahi charhne doun gi jis ki bhaint meri maa charhi thi. . main charhi thi." ( pause )
Zobia rotay rotay ab madham ho jati hai woh ab gham se tooti bhikri haalat mein rotay hue halki aawaz mein bolti hai .
Zobia : "jo mere sath hoa. . meri maa ke sath hoa main chahti thi woh Khajistah ke sath kabhi na ho. . main usay zindagi se pyar karna sikha rahi thi. usay iss ki khoyi hansi phir se lautnay ki koshish kar rahi thi magar sab kuch khatam ho gaya. . " ( pause )
asfand yaar ke oopar jaisay kuch herat angaiz inkishafaat ho rahay hotay hain jaisay usay yeh idea hargiz nahi tha ke Zobia ki zaati zindagi mein kuch posheeda raaz aur gehray dukh bhi rahay they. woh herani se Zobia ko dekh raha hota hai. Zobia baghair soochey samjhay jazbaat ki ro mein behti bolay chali ja rahi hoti hai. woh musalsal shiddat se ro rahi hoti hai .
Zobia : "aaj agar Khajistah mari na to Zobia bhi khatam ho jaye gi. . sab kuch khatam ho jaye ga. . bohat dukh dekh liye main ne. . ab nahi seh sakti. . main jin se pyar karti hoon unhen marta bohat dekh chuki. . ab ki baar nahi dekh sakun gi ."
Zobia ki rotay rotay hichikiyaan bandh jati hain. asfand yaar aik tik usay khamoshi se daikhta rehta hai. usay Zobia ke iss terhan ronay se jaisay shadeed aziat hoti hai. aur woh dil mein gehra dukh mehsoos karta hai. Zobia ki yeh haalat dekh ke woh apne dil mein mojood uss ke liye sab narazgi bhool jata hai .
cut
yeh scene abhi baqi hai. Zobia ne jo asfand ki mohabbat ko reject kiya tha aur Khajistah ko lagnay wali goli ke baad jis terhan Zobia tooti bhikri asfand ke samnay. uss sab se asfand ki narazgi o khafgi kis terhan khatam hoti gayi, aur woh kis terhan Zobia ki sayid story janna chahta tha. yeh sab jaan saken ge aglay haftay .
Raat 8 bujey sirf Farhat Ishtiaq official page par. . .

--HiNa-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago
hira mani said in live that there will be a yks asfiya telefilm for this valentine 😳
*boom * *faint*
Edited by --HiNa-- - 7 years ago
--HiNa-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago

Originally posted by: HeavenlyBliss.

farhat ka new show kab aayega :(

heard shes planning a yks telefilm😳*drop* *faint*
PNA88 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: --HiNa--

hira mani said in live that there will be a yks asfiya telefilm for this valentine 😳

*boom * *faint*



What when did this happen! Her LIVE CHAT is not saved.
Posted: 7 years ago
they should just make it into a movie instead for cinema...like bin roye
--HiNa-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago

Originally posted by: PNA88



What when did this happen! Her LIVE CHAT is not saved.

unluckily yes it is not saved
but she said it in live on her insta about telefilm on yks and will have sahad in it ,
i texted farhat to confirm
lets see what she answer

Related Topics

Pakistani Serials thumbnail

Posted by: minakrish · 5 months ago

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials thumbnail

Posted by: minakrish · 5 months ago

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials thumbnail

Posted by: minakrish · 6 months ago

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials thumbnail

Posted by: anikamathur · 6 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #4 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

"Meem Se Mohabbat" revolves around a moving tale that artfully intertwines coincidence and destiny, bringing together two souls who could not be...

Expand ▼
Pakistani Serials thumbnail

Posted by: anikamathur · 7 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #3 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

" Meem Se Mohabbat " revolves around a moving tale that artfully intertwines coincidence and destiny, bringing together two souls who could not...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".