YKS#12 Sajal&Ahad AT !! 'Vote for Asfi and Zobia'124p - Page 84

Created

Last reply

Replies

1k

Views

92.8k

Users

67

Likes

1.9k

Frequent Posters

Jiyagulabi_26 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago

Originally posted by: AuntyDepressant

any idea, who is that guy? I have seen him for the first time.

tabish khoji .hes pr n senior head of nabila gents😆
Posted: 7 years ago
Hina make a sig with those ahad pics
--HiNa-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 7 years ago

Originally posted by: HeavenlyBliss.

Hina make a sig with those ahad pics

ok yessi am going to make on this right now
PNA88 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago
BTW's i have found something new about ARM. Should i post here or not?

Maybe you guys know this by now though. So let me know. <3
farahs_6 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: PNA88

BTW's i have found something new about ARM. Should i post here or not?

Maybe you guys know this by now though. So let me know. <3


What new thing u found out abt Ahad...pooja?
smssr84 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago
Can we also use this thread to ask SAHAD fans to please control their emotions and NOT tag everyone related to Ahad and Sajal in every damn post and picture on social media. and also NOT attack people related to them or their friends, just coz you dont like them. Its messed up... yes they are celebs but they have personal lives too... the crazy fandom affects their personal space and friendship.

Going through Ahad's instagram pictures... I noticed how he has become all reserved in posting his pictures and interacting with friends and co-actors coz poor guy's every move is judged and inspected as if he is a mujrim or something. Be his fan, follow him, admire him but don't harass him that it takes away the "human" aspect from him.

If you wanna see Sajal and Ahad work together in future projects... then its best that the fans control their emotions and give them space and privacy that they deserve and also not ask every possible person associated with them for their pictures and insight about them. Its pagalpan and its embarrassing... even if its done by one person.

(I am glad that there are many on twitter who are voicing similar concerns, and thats why I thought that we discuss thIs matter here too as many people visit this page as contributors and guest readers.)
Edited by smssr84 - 7 years ago
PNA88 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago

Originally posted by: smssr84

Can we also use this thread to ask SAHAD fans to please control their emotions and NOT tag everyone related to Ahad and Sajal in every damn post and picture on social media. and also NOT attack people related to them or their friends, just coz you dont like them. Its messed up... yes they are celebs but they have personal lives too... the crazy fandom affects their personal space and friendship.


Going through Ahad's instagram pictures... I noticed how he has become all reserved in posting his pictures and interacting with friends and co-actors coz poor guy's every move is judged and inspected as if he is a mujrim or something. Be his fan, follow him, admire him but don't harass him that it takes away the "human" aspect from him.

If you wanna see Sajal and Ahad work together in future projects... then its best that the fans control their emotions and give them space and privacy that they deserve and also not ask every possible person associated with them for their pictures and insight about them. Its pagalpan and its embarrassing... even if its done by one person.

(I am glad that there are many on twitter who are voicing similar concerns, and thats why I thought that we discuss thIs matter here too as many people visit this page as contributors and guest readers.)


So true, exactly what i mentioned a few pages back here or i think on the aangan thread in regards to the whole 'we hate kk' thing and tagging these two in everything! Thats what my update was that that i found out he has unfollowed a lot of his OLD friends (poor guy) and all! And that he has become reserved. Thats so true like you i mentioned that no matter we like them or not or thr friends and all lets keep a lid on it!!


Today on the video which has them clicking pics with fans on the aangan thread, sajal aly happened to walk off and not smile (i am assuming its a lot for her too to always get asked to get clicked with ahad and what not, same goes for ahad too i am sure these two are sick of it by now, no matter how sweet they act on camera) like she does always- now fans are commenting on how rude she is or that she must be exhausted and all, others comparing her attitude to ahad's friendliness. This is plain stupidness.
PNA88 thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 7 years ago
BTW somebody please post tonights DELETED SCENE from YKS here. :D
Edited by PNA88 - 7 years ago
x.titli.x thumbnail
Posted: 7 years ago
^ your wish is my command😆😳

#YKS #DeletedScene

Episode number : 28
scene : 16-A maqam : hospital / Asfandyar ka office
waqt : shaam kirdaar : asfand yaar. urooj
yeh scene tab ka hai jab urooj ka beta tashweesh-naak haalat mein hospital laya jata hai. aur urooj ko pata chalta hai ke dr asfand yaar hi barrister Danyal ke bhai hain jinhon ne un ke betay ki jaan bachaai hai. woh aankhon mein nidamat' dukh' sharmindagi' tashakur' ahsaan mandi aur apne jurmon ka aitraaf liye asfand yaar ke office mein aati hai. Us ka andaaz mujrim jaissa hai. jab ke asfand yaar ki aankhon mein surkhi mazeed barh gayi hai. woh sakht gham o ghuse ka shikaar hoa hai urooj ko apne samnay dekh ke. woh jaisay iss waqt apne jazbaat ko qaboo rakhnay ke liye karre zabt se guzar raha hai .
asfand yaar aankhon mein sakhti aur gussa liye usay dekhte hi kursi par se utha hai. urooj aajzi se chalti is ke samnay aa gayi hai .
urooj : "dr asfand yaar. . ( bohat dar ke' jhijhak ke boli hai. apne gunaahon ka ehsas uss ki poori body language mein numayan hai. )
asfand yaar uss par se nazrain hata kar chehra dayen ya baen kisi doosri simt ghuma ke sakht lehjey mein bola hai. goya woh urooj ki shakal nahi dekhna chahta .
asfand yaar : "jo kehna chahti ho aik second mein kaho aur mere samnay se chali jao. . meri nazron se daur ho jao. . aisa na ho main apna sabr aur zabt kho bhethon ."
urooj : "aap mujhey pehchan gaye they. . main jaan gayi thi aap mujhe pehchan gaye hain. "( bharai aur sharmindagi se bhari aawaz mein )
asfand yaar ne be ikhtiyar aik nazar uss ko dekha hai. uss ki muthiyaan ghusse se bhinchi hui hain .
asfand yaar : "tumhen nahi pehchanon ga? mere bhai ki mout ki zimma daar' usay marnay ke baad bhi zillatein dainay wali aurat ko nahi pehchanon ga.?" ( pause )
ankhen jazbaat aur ghusse se be tahasha surkh ho gayi hain asfand yaar chalta hoa uss ke aik qadam nazdeek aaya hai sakht nafrat se bola hai .
asfand yaar : "tumhen to main so saloon ke baad bhi pehchan laita urooj Nisar . . tumhari aawaz' tumhari shakal to main karorron logon mein bhi pehchan sakta hon ."
urooj ki aankhon se ansoo girnay lagey hain. woh rotay hue sharmindagi aur nedamat mein doobe lehjey mein boli hai .
urooj : "aaj aap ke paas mauqa tha mujh se badla lainay ka. . main samjhi thi aaj main apna beta kho dun gi. . aap ne mujh se apna badla kyun nahi liya ?"
asfand yaar jawaban do tok aur saaf go andaaz mein bola hai. woh urooj ko hiqarat aur nafrat se dekh raha hai .
asfand yaar : "main ne tumahray betay ko nahi aik insani jaan ko bachaaya hai. . kash main doctor na hota. . kash tum mujhe yahan' in halaat mein na mili hoten. . khuda ki qasam tumhen bhi itni hi abrtnak mout maarta jaisay tarap tarap kar mera bhai mara tha. ."
urooj zaro qitaar ro rahi hai. woh asfand yaar say jaisay sakht sharminda hai .
urooj : "main bohat neech' bohat ghatiya aurat hoon dr asfand yaar. . mera to munh bhi nahi aap ka shukriya ada kar sakun ya aap se maffi maang sakun. ." ( pause )
"barrister Danyal bohat naik' bohat shareef aur bohat hamdard insaan they. main ne un par bad tareen tohmatain lagai theen. . meri wajah se woh maaray gay' meri wajah se un ki ruswai aur badnami hui. . ( urooj nerotay rotay asfand yaar ke samnay apne dono haath joor diye hain. ) khuda ke liye mujhe mere har jurm har gunah ke liye maaf kar den. ."
uss ke maffi mangnay par asfand yaar mazeed jazbati hoa hai jaisay bhai par hoa har zulm aur uss ki mout ka lamha usay naye suray se yaad aa gaya ho .
asfand yaar : "khabardaar mujh se maffi har gaz na maangna. . tumhe main martay dam tak maaf nahi karoon ga. . mere bhai ki qaatil' uss ka khoon laga hai tumahray hathon par. . khabardaar jo mere bhai ke khoon se rangay apne yeh haath tum ne mere agay jore. ." ( zara oonchey aawaz mein jazbati ho ke bola hai. )
urooj yak dam hi rotay rotay asfand yaar ke pairon mein gir gayi hai. woh jaisay apne gunaahon ke boojh taley dubi aik aisi aurat hai jo asfand yaar ki aaj ki iss neki ke baad sar se paon tak badal gayi hai. jaisay usay us ka zameer is ke gunaahon ka yak dam hi shiddat se ehsas dilanay laga ho .
urooj : "aap jo chahain mujhe saza den. . magar mujhe khuda ke liye maaf kar den main ne barrister Danyal ke sath bohat bara zulm kiya tha. . trigger mein ne nahi dabaya tha magar un ke qatal ki asal zimma daar aur gunahgaar main hoon. . main un ke dushmanon ki aala kaar na banti to kabhi un ki jaan na jati. "( woh rotay hue uss ke pairon mein baith kar maffi maang rahi hai. )
asfand yaar yak dam hi do qadam peechay hata hai. . woh urooj se sakht lehjey mein bola hai .
asfand yaar : "utho. . khari ho jao." ( ghusse bhara andaaz' ghaseela lehja )
tumahray maffi maang lainay se' mere samnay apne jurmon ka aitraaf kar lainay se' kisi bhi cheez se ab koi farq nahi parta. . mera mazloom bhai to na kardah gunaahon ki saza kaat'ta manon matti taley ja soya hai. ." ( pause )
asfand yaar ke sakhti se bolnay par urooj rotay hue uss ke pairon ke agay se wapas khari ho rahi hai. . woh hunooz roye ja rahi hai. woh bohat ziyada sharminda hai. asfand yaar ghusse se bol raha hai uss ki aankhon mein bhai ki mout ka gham aur dard bhara nazar aa raha hai .
asfand yaar : "aaj tumhray ronay, gargadaney' maafi mangnay kisi bhi cheez se na to mera bhai wapas aa sakta hai aur na hi uss ki khoyi izzat wapas aa sakti hai. ( pause )
tumahray maafi maang lainay se kya mere bhai ke kirdaar par lagi tohmatain aur daagh mit jayen ge? duniya ne usay marnay ke baad jo jo naam diye jo jo usay zillatein aur ruswaiyun milein woh to qabar tak uss ka aaj bhi peecha kar rahi hain." ( aankhon mein nami liye ) ( pause )
"kisi bhi cheez se ab koi farq nahi parta. " ( ghuseela taassur )
mera mazloom bhai to sachaai aur haq ka sath dete dete zillat ki mout mar gaya. . logon ne marnay ke baad bhi uss par keechar uchali. . tum aisi apne gunaaho ka ehsas karne wali hoten to uss sachey aur imandaar insaan ki be gunahi duniya ke samnay laatien. ." ( pause )
"mere samnay jo yeh khokhle maffi ke lafz bol rahi ho. . ansoo baha rahi ho un se mere bhai ke daman par laga koi daagh nahi mit sakta. ." ( pause )
"lihaza behtar yahi hai tum yahan se chali jao. . is se pehlay ke mera sabr aur bardasht jawab day jaye. ." ( asfand yaar ka do tok aur jazbati lab o lehja )
asfand yaar baat khatam kar ke ja ke kamray ki khirki par urooj se peeth mourr kar khara ho gaya hai. uss ne khirki par se blinds hata kar bahar gehri hoti shaam dekhni shuru kar di hai. goya uss ke baghair badtameezi kiye urooj ko apne office se nikal jaane ka hukum suna diya hai. urooj ne aik nazar asfand yaar ko dekha hai woh asfand yaar ki bohat ziyada mamnoon aur ahsaan mand bhi nazar aa rahi hai' aur uss se bohat sharminda bhi hai. uss ki aankhon ka taassur bata raha hai ke is waqt asfand yaar ki baton ke baad woh andar hi andar koi faisla kar chuki hai. woh khamoshi se ansoo bahati wahan se ja rahi hai. jab ke asfand yaar usay ignore kiye issi terhan uss se peeth moray khirki ke samnay khara hai .
( Dar asal yahi woh scene tha jo urooj ke press conference karne ki wajah bana. jo uss ne apne aik sahafi dost ki madad se karwai thi. asfand yaar se baton ke baad usay ehsas hoa ke jo ilzamaat aur be izzati public level par ki gayi thi uss ki maffi aur safai bhi public level par hi di jani chahiye. )
cut
Episode number : 29
yeh scene tab ka hai jab Khajistah ko goli maari hoti hai bahadur ne aur woh hospital layi jati hai. Zobia stretcher par khoonum khoon behosh pari Khajistah ko dekhatii hai. woh apna doctor hona bhool kar intehai jazbati kefiyat mein chali jati hai. uss ka reaction aisa hota hai jaisay uss ki apni sagi chhoti behan ko uss ne zakhmi haalat mein dekha hai. asfand yaar bhi Zobia ki aankhon mein khauf aur pareshani daikhta hai. Zobia haziyani andaaz mein cheekh kar khud jhuk kar Khajistah ki nabz check karti hai. woh ronay wali haalat mein Khajistah ko ankhen kholnay ka kehti hai .
Zobia ke kaanon mein Khajastah ki roti sisakti aawazian goonj rahi hoti hain. uss ki nazrain stretcher par behosh pari shadeed zakhmi Khajistah par jami hoti hain. Khajistah ko operation ke liye operation theater mein intehai emergency ki haalat mein le jaya ja raha hota hai .
Khajistah v / o mera bhi yehi anjaam ho ga. . main bhi aik din khoon thooktay maroon gi .
mera bas chalay to kisi aisi jagah chali jaoon jahan mujhe uss ki shakal bhi nazar nah aeye .
Khajistah ki yeh baat yaad anay par Zobia ro parti hai. woh rotay hue deewana waar uss ke stretcher ke sath mazeed shiddat se bhaagti hai. usay is baat ki bhi koi parwah nahi ke stretcher chalata staff usay kis terhan herani se dekh raha hai uss ne Khajistah ke stretcher ko pakar liya .
Zobia : |nahi Khajistah tumhen kahin nahi jana. main tumhen kahin nahi jaane dun gi. main tumhen marnay nahi dun gi. . tumhari Zobia baji tumhen bacha le gi Khajistah . .
abhi to mujhe itni saari baatein tumhen batani hain. . uss din ultra sound kara ke tum mujh se bazid ho ho ke pooch rahi theen naa ke larka hai ya larki. . aur main ne tumhen nahi bataya tha. . tum ankhen kholo. . main tumhen aaj bta rahi hon woh larka hai. . woh larka hai Khajistah . . tum yehi chahti theen naa ALLAH tumhen beta day. . tumhari kokh mein jo parwarish pa raha tha woh larka hai ."
Zobia haziyani andaaz mein ro rahi hai. staff Zobia ki iss haalat ko dekh kar confuse hai ke usay Khajistah ke stretcher ke paas se kaisay hataye. .
asfand yaar aur dr Shahab main operation gaon ke neechay pehan'nay wala green ya blue gown aur loose trousers pehnay operation theater ki taraf ja rahay hotay hain ke Zobia ki yeh haziyani kefiyat dekhte hain. asfand yaar staff ke nazdeek aa ke stretcher ko operation theater mein le jaane ka kehta hai. aur dr shehroz, Zobia ko sambhaalte hain. aur shafqat bharay andaaz mein Zobia ko himmat se kaam lainay ka kehte hain. Zobia jazbati haalat mein dr shehroz se kehti hai ke Khajistah ko bacha len. dr sehhroz' Zobia ki himmat bandhatay hain ke himmat karen' aap aik doctor hain naa
jis par Zobia kehti hai .
'' lekin main aik Insaan bhi to hoon. . woh jo andar mout aur zindagi ki kashmakash mein hai iss waqt woh meri choti behan hai. . usay kuch hoa to main kaisay zindah rahon gi dr shehroz. ." ( Zobia phoot phoot ke ro parti hai. )
jis par dr shehroz narmi aur shafqat se roti bilakti Zobia ke sar par haath rakh kar kehte hain .
'' hum In Sha ALLAH usay bacha len ge. . aap dua karen. ."
cut
aglay haftay hoga woh scene. . jo drama mein shaamil nahi tha. jab Zobia ' Khajistah ko le kar dukhi kefiyat mein asfand ke samnay apni mehromiyaan share karti hai .
Raat 8 bajay sirf Farhat Ishtiaq official page par. . .

x.titli.x thumbnail
Posted: 7 years ago
The intensity in Asfi's words when he talks to Urooj! POWERFUL! 😲

Related Topics

Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: minakrish

5 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #7 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: minakrish

5 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #6 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: minakrish

5 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #5 - Ahad&Dananeer | “Shaadi Mubarak Mrs.Talha”

Meem Se Mohabbat is a moving exploration of how love can bloom in the most unexpected circumstances. It revolves around a moving tale that...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

6 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #4 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen Meem Se Mohabbat (HUM) #4 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

"Meem Se Mohabbat" revolves around a moving tale that artfully intertwines coincidence and destiny, bringing together two souls who could not be...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

7 months ago

Meem Se Mohabbat (HUM) #3 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen Meem Se Mohabbat (HUM) #3 - Ahad Raza Mir, Dananeer Mobeen

" Meem Se Mohabbat " revolves around a moving tale that artfully intertwines coincidence and destiny, bringing together two souls who could not...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".