Pata hai…kabhi kabhi aap ki zindagi mein kuch aisa hojata hai jiski na to aapne dua maangi hoti hai na hi uske baarey mein kabhi socha hota hai. Ek aisi cheez..ek aisa pal jo sab kuch badal ke rakh deta hai…kayi galat fehmiyan dur hojati hain..kayi sawalon ke jawab bina maange mil jate hain.
Log samajhte hain woh pal sirf wohi hai jab aapko pyar hota hai..ya aapki shaadi hoti hai..ya to kaamyabi aapke kadam choom rahi hoti hai..per ussey bhi barh kar hota hai ek pal…jab koi aapko aapke honay ka ehsaas dilata hai.. aapka hona uske liye kya mayine rakhta hai..aap woh jaan jaate ho.. mehsus kar lete ho jab bina kahe..bina maange…bina kisi alfaaz ke..ek ajnabee aapko apki ehmiyat batata hai..us pal se barh kar kuch nahi kyunke tab aapko yakeen hojata hai ke aapka is duniya mein hona bewaja nahi hai..uske peeche ek maqsad hai…aap kisi ke liye ehem ho, khaas ho, bahut khaas.
Asher ne mujhse shaadi apne papa ke dabao mein aa ker zarur ki thi, magar aaj main jaan gayi hoon..ke unki zindagi mein meri ehmiyat kya hai. Khuda ka diya hua sab kuch hai unke pass lekin aaj jab woh har duniyawi cheez ko chor ker mere saath rehna chahte hain, mere sath waqt guzarna chahte hain…har thori dayr mein mujhe phone kar ke meri awaz sunna chahte hain…ghar aate hi sabse pehle mujhe dekhna chahte hain..to mere pass siwaye khuda ke liye shukar aur Asher ke liye mohabbat ke kuch bhi nahi hota…mohabbat to apni jaga, unke liye main itni khaas ho chuki hoon ke mere bagher unki koi baat, koi kaam, pura nahi hota…woh adhure hain mere bagher, aur main unke bagher. Shayad aise hi Allah do dilon ko milata hai..jinki taqdeerein pehle se hi ek dusre se juri hoti hain…
25