Seventh part
…dekha kay wo koi aur nahin Danial sahab kay rishtay dar thay aur wheel chair par…
"Aa gai tu?" Amma ki awaz par main aik hi dum haal main aii aur haan main sar hila diya
"acha chal theek hai aab aa he gai hai to yeh salan bana"
meray phir say sir hilanay par amm ko gussa aa gya aur mujhe gussay say ghornay lagi
"Amma main abhi ati hoon" main wahan say jaldi say apni jaan choda kay uth khari hoi
under aa kar abhi baithi he thi kay Amma nay bataya
"Aaj larkay walay aa rahay hain"
"Haan to?"
"To?"
main tu bhol he gai thi kay jis kay liye larkay walay aa rahay hain wo to yahan hai he nahin.
"Abb kya karna hai?" Amma nay meri taraf dekha
"hmmm…"
"Kya hmmm kar rahi hai? Kuch soch"
"theek hai Amma"
Amma chali gai lakin 2 minute baad phir aa gai aur meri taraf dekhnay lagi jaisay kuch soch rahi ho
"Amma aisay kya dekh rahi hai?"
"Main soch rahi thi kay agar…"
"Agar kya Amma?"
"Agar hum choti ko…"
"Amma pagal to nahin ho gai? Wo kabhi nahin manay ge"
"lakin kya karain paison ki bhi to zaroorat hai"
"Amma pehlay bhi tu nay aik ko bech diya sirf paisay kay liye aur abb choti ko bhi. Aba kabhi nahin manay ga"
"Ussay main mana loon ge aur main nay ussay becha nahin shadi ki thi us ki"
"Haan jhainz denay kay bajaye paisay liye thay uss kay"
"Dekh tu ab mujh say behass na kar sun lay ge kuch meray say"
Amma uth kar janay lagi tu peechay mur kar boli
"Acha sun, choti ko keh rakh aur ussay samjha bhi day kay wo tyar rahay"
"Lakin Amma…" main bus itna he kah saki iss say agay kahnay ki na mujh main himat thi na Amma main sunay ki
******************************
Eighth part
Dhusman-e-jaan kuch aisay sanwary
Kay dil kay zakham kuch aur bah gaye
Aankhon main Ansoo lay kay
Main jab ghar say nikli
Saath na tha koi aur
Bus aik saya aur main…
Pyaar tha ya dhoka
Kuch samajh nahin aya
Ab sochti hoon kya wo bhi
Aik dagha tha…
Pyaar ussay kiya
Chaha bhi ussay
Nafrat ki itni kay bojuh gay
Dil kay diye…
Aaj jab dekha to kuch laga aisay
Jaisay main bhi wohi hoon aur wo bhi waisa he
Kuch anjanay sapnay aknhon mian reh gaye
Kuch dil kay zakham Ansoo main beh gaye…
Kya zindagi thi wo bhi jab sapne sajaye aur kuch dhokay bhi khaye. Aaj jab apni diary kay safoon par nazar pari to yaadein taaza ho gain…larakpan ki yaadain…
**********
wo aa gaye jin ka intzaar tha aur shaadi ki tareekh bhi paki ho gai. Choti na mani to Amma nay zabardasti ussay maar kar "seedha" kya to wo shadi kay liye maan gai lakin un kay samne na gai aur mujhe hamesha ki tarhan ijazat na mili. Milti bhi kasay, huh, agar saamnay chali jati to logon kay sawalat ka Amma kay pass koi jawab na hota hamesha ki tarhan.
Log Amma say pochtay "Arre app nay apni bari beti ki shaadi kyoun na ki?"
"Bari beti ka to pehla haq hai na phir choti ko pehlay kyoun byiah rahi ho?"
"Mana kay choti beti zada pyari hai lakin bari kya sochti ho gi?"
aisay sawalon ka Amma koi jawab to kabhi na deti lakin main janti thi, Amma meri shaadi pehlay kyoun na kar rahi thi, paisay jo mil rahay thay, meri naukri jo thi…
**********
shaadi ka din bhi aa gya aur rukhsati ka bhi lakin dulhan kahan thi. Har kisi kay mon par yahi sawal tha aur Amma meri taraf dekh rahi thi. Un ankhon main kuch to tha jo mujhe khatak raha tha, kuch ghalat honay ka ehsas dila raha tha aur jub Amma nay mujhe choti kay kamray main bolaya to waja bhi pata chal gai un nazroon ki.
Amma nay mujhe kaha,
"dekh hum nay tera kitna khyal kiya tujhe pala posa bara kiya lakin ab choti nahin maan rahi aur abb wo apnay kamray main bhi nahin hai. Un logon nay choti ko kabhi nahin dekha agar to dulhan ban ja tu…"
"lakin Amma aisa kaisay ho sakta hai? Choti ko main abhi uss kay kamray main chor kar aii thi"
"lakin wo yeh chithi chor kar chali gai hai aur iss main likh gai hai kay wo apnay uss aashiq kay saath ja rahi hai hamesha kay liye. Tu to janti hai na humain paisay ki kitni zaroorat hai, tu shadi kyoun nahin kar lati"
aur lakh inkaar kay baad bhi Amma par koi asar na howa aur…
"Qabool hai, Qabool hai, Qabool hai"
ki awaz jub kanoon main pari to pata chala kay shadi to hogai abb uss ghar jana tha jahan aik nai duniya thi jo meri rah dekh rahi thi
**********
"Mummy, Mummy yeh kya hai?"
Eruj ki awaz nay mujhe meri sochon say bahar nikala to andaza howa kay main kitnay saal pehlay ki sooch rahi thi aur aaj haal main mujhe meri beti Eruj ki awaz nay un sochon say nikala
"Yeh? Beta yeh lotion hai, bhai ko laganay kay liye"
"hmmmm…" Eruj hamesha aisa he karti thi jub bhi kuch soch rahi hoti tub "hmmmm…" karti thi
"Mummy main abhi aati hoon"
"Acha beta"
**********
Ajj itnay saal baad kya kuch nahin badla, main bhi badal gai aur Meri Kismat bhi. Ajj main Mrs Ahsan hoon, un kay do bachon ki maan, wo do bachay jinhon nay unhain shadi karnay par majboor kiya tha. Eruj sirf 2-saal ki thi aur uss ka bhai sirf 6 months ka jab accident main Eruj ki mother ki death ho gai aur Ahsan mazoor ho gay.
Aaj itnay saal baad wo bohut koshish kay baad bhi sirf 1 hour chal saktay hain uss kay baad thak jatay hain lakin doctor nay kaha hai kay jald he wo pehlay ki tarhan chalnay phirnay lagain gay aur mujhe bhi poor yakeen hai.
*********
Aaj yeh meri kahani ka akhari din hai aab aaj kay baad iss diary ko kabhi nahin kholon gi kyoun kay ab tak to "Apni Kismat" ko main kaghaz par utarti aii hoon aab dekhna chahti hoon "Meri Kismat" kya hai… "Meri Kismat" mujhe kahan lay kar jaati hai…
******************************
sorry for the delay😳
140