Maa Ki Tarap
Diloon Mein Ek Dard Ka Hai Samandar,
Pal Bhar Mein Badal Gaye Saare Manzar,
Aasmaan Toot Para Sabhi Par, Aur
Khadmoon Se Zameen Nikal Gayi,
Kahin Pe Malbe Bane Ghar,
To Kahin Pe Zinda Bani Khabar.
Charoon Taraf Aah-Zaari Hai,
Lag Raha Hai Jaise Maidaan-E-Hashar
Beqarar Maaoon Ki Nazar, Dhoond Rahi Hai Idhar Udhar,
Ankhein Jhapkaaye Dekhti Hain, Kahin Koi Sapna To Nahi?
Kabhi Koi Awaaz Pe Soonchti, Kahin Koi Apna To Nahi?
Kahin Nazar Aatay Hain Nanne Nanne Haath,
To Kahin Parey Hain Bejaan Khadam.
Khali Zehan Hai, Botth Bana Jism,
Hasrat Se Aankhein Uththi Aasmaan Ki Taraf,
Jaise Keh Rahi Ho, "Ya Rab Wapis Lauta De Mere Laqte-Jigar"
Masoom Ki Sada
Jahan Maaoon Ki Ankhoon Se Beh Gaye Kajal,
Wahan Bachoon Ke Haath Se Choot Gaye Anchal,
Kauf Se Chehre Sahem Gaye,
Ankhoon Mei Ansoo Jam Gaye,
Dhoonti Ankhein Thak Gayi,
Bhook Se Antein Sookh Gayi,
Kitne Pyaar Se Roti Khilati Thi,
Kitne Laar Se Lori Gaati Thi,
Dil Chaha Maa Ko Batadein Saare Gham,
Kitne Khayal Se Lagati Thi Marham,
Phir Kab Aaogi Nazar Maa...
Tera Anchal Bana Hai Kafan,
Mera Bachpan Hua Hai Dafan
Sar Se Chaoon Chali Gayi,
Zindagi Sehra Mei Badal Gayi,
Tareeq Roti Huyi Kitaboon Mei Chup Gayi,
Hasrat Yaadein Bani, Diloon Mei Chap Gayi.
================
Amreen