seene mein jalan aankhon mein toofaan sa kyon hai

is shahar mein har shaks pareshaan saa kyon hai

seene mein jalan
dil hai to dhadakne ka bahaanaa koi dhoondhe
dil hai to
dil hai to dhadakne ka bahaanaa koi dhoondhe
patthar ki tarah behis-o-bejaan sa kyon hai
patthar ki tarah behis-o-bejaan sa kyon hai
seene mein jalan
tanahaai ki ye kaun si manzil hai rafeeqon
tanahaai ki
tanahaai ki ye kaun si manzil hai rafeeqon
taahadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyon hai

seene me jalan
kyaa koi nai baat nazar aati hai ham mein
kyaa koi
kyaa koi nai baat nazar aati hai ham mein
aainaa hamen dekh ke hairaan sa kyon hai
aainaa hamen dekh ke hairaan sa kyon hai
seene mein jalan aankhon mein toofaan sa kyon hai
is shahar mein har shaks pareshaan saa kyon hai
seene me jalan
In this city, every person distressed, why is it like that?
If there's heart, one searches an excuse for it to beat
Lifeless like a stone, why is it like that?
Which abode of loneliness is this, friends
Why only desert as far as the eye can see?
Is something new noticed within me
(that) mirror is distressed upon seeing me?)