HIDDEN SIGHTS - VIDEV FF - Last Episode - Page 14

Created

Last reply

Replies

161

Views

9.6k

Users

18

Likes

165

Frequent Posters

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago

Yaar I loved your update just didn't get time to comment ... waiting for the next ❤️💯

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago

Thank you so much Thodi busy hun. Will update it later

Monkish thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago

Sahi jaa rahe ho aap. Please update when you get a chance

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago

Thank you 😊 Busy hoon . Will do it later

Sanska thumbnail
Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 2 years ago

Hey Revu dee heard u have high fever,pls do take care of yourself and have rest 🙏 Get well soon ❤️

Sanska thumbnail
Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 2 years ago

Hey If u r doing well plz update this soon 🙏

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago

Part 14

It was morning and Dev knocked at Vidhi's room .

Vidhi : Itni subah kyun knock kiye Jaa rahe hein door ?

She opened the door without noticing the fact that she was in her night wears. Her top's front zip was opened and the moment Dev looked Vidhi his naughty eyes straightly went down.

Vidhi: Aap aise mujhe ghoor kyun rahe hein ?

Dev : Woh actually mujhe knock karna nahin chahiye thaa. It's too early. Tumhari neend abhi puri nahi huyi. Tum tum tum tum ...

Vidhi : Kya tum tum tum laga rakhe ho aap ? Aur aap chehra baar baar peeche kyun mud rahe hein ?

Dev : Tum acche se so jawo phir acche se ready ho jawo.

Vidhi; Ek minute kahin raat ko aap koyi drinks toh nahi lee , jiski wajah se ...

Dev : Vidhi mein aur drinks !!!! Bilkul nahi.

Vidhi: Toh baat kya hein?

Dev : Mujhe dekhna nahin chahiye thaa wahan ?

Vidhi: Kahan ?

Dev : Woh tumhari dress

Vidhi looked down and realised.

Vidhi: Shit !! Yeh zip toh pura khula.....

She turned and put the zip . She closed her eyes out of embarrassment.

Dev : I am sorry. Mujhe bilkul dekhna nahin chahiye thaa. I am very sorry Vidhi. Mein mein ....

Vidhi: Aap bataye kyun nahi pehle ?

Dev : Woh mein kaise ?

Vidhi: Agar mein aapki wife hoti toh kya aap nahin batate ?

Dev : Wife !!

Vidhi : Haan matlab biwi. Ek naa ek din toh banungi naa ...

Dev : Please Don't tell it again. Shaadi koyi khel nahin....And achanak biwi banne ke khayal aayi kaisi tumhein?

Vidhi: Mein kaunsa abhi shaadi karne ke liye keh rahi hun ? Exams khatam hote hi meri graduation puri hogi. Pehle mein sochti thi kee uske baad post graduation karun , phir career wise kuch achieve karun uske baad dekhte hain shaadi ....

Dev : Toh abb kya huwa?

Vidhi : Aap itne desperate hoke dekh rahe the I doubt kee gyarah saal se joh brahmacharya aap sambhal rahe hein kahin woh toot naa jaaye . Isliye thoda toh reham karke mein yeh soch Rahi hoon jaldi se aapke gale mein varmaala daal dun....

Dev : Tum kya kya baatein kar rahi ho ? Yeh brahmacharya waali baat bhi tumhari woh stupid friend Ananya ne kahi hogi. Tum dosti kyun rakhti ho aise logon se ? Aur varmaala .... sochna bhi mat aisi baatein. ...... Tumhein studies puri karni hein. Job milni hein..Aur hum donon ko woh joh bhi shaadi se pehle thoda Aashiqui karte hein naa woh bhi toh karni hein ....Shaadi itna bhi zaruri hein kya?

Vidhi: Zaruri hein..Kya hein kee gyarah saal se joh amulya bachelorship aap sambhal rahe hai uss mein toh ek pagal ladki ne kabza kar lee. Aur aapke dekhne ki nazariya hi badli.

Dev : Tum phir se taunt toh nahi kar rahi ? Nazar

Vidhi: Nazar nahi Dev. Nazariya. Life ko dekhne ki nazariya ....Kab aankhein kya dekhe kisko kya pata?


Dev : Please Don't embarass me more yaar. Bol toh Raha hoon galti hein.

Vidhi : Oh !! Chehra toh dekho ekdum mooh phulaye huye bacche jaise dikh rahe hain aap .

Dev : Mein aur baccha !!

Vidhi : Aur nahin toh kya ? Kabhi kabhi aapka chehra baccha jaise ban jaata hein.

Dev : Tum sach mein paagal ho .

Vidhi: Waise aaj mein breakfast banawungi

Dev ; Koyi zarurat nahi.. Mein hi banawunga. Waise bhi tumhein cooking utni aati nahin toh rehne do.

Vidhi : Aap mujhe discourage kar rahe hein. Aisa mat keejiye Dev.


Dev : Theek hein toh Mein help karunga. ...Mmhh....kya pasand hein tumhein khaane mein ? Aaj hum milke banayenge tumhari favourite khaana.

Meanwhile Dev gets a call from Satyawati

Dev : Haan Maa

Satyawati; Dev mein ek ghante ke andar pahunch jawungi .

Dev ; Maa aap aise suddenly?

Satyawati: Arrey woh wahan sab kuch theek ho chuka hein. Phir mein kyun rukun Jiji ke yahan? Waise Vidhi kaisi hein ? Usse koyi pareshani toh nahi huyi ?

Dev : Aap khud hi baat keejiye naa Vidhi se

Vidhi: Hello Aunty

Satyawati; Hello Vidhi. Beta tum theek ho naa

Vidhi : Ji Aunty. Aunty aapko khaane mein kya pasand hein?

Satyawati: Tum kyun yeh sab pooch rahi ho ?

Vidhi : Mein expert hun cooking mein.

Satyawati: Accha. Joh tumhein pasand hein wahin bana lo beta.

Vidhi: Okay Aunty.

Satya cuts the call.

Dev : Cooking mein expert !! Sada huwa poha abhi tak bhoola nahin mein. Kyun jhoot kaha tumne?

Vidhi :Woh aap nahin samjhenge. Yeh naa sirf ladkiyan hi samajh sakti hein. Aur aapko meri help karne ki zarurat nahi hein. Mein khud banawungi sab kuch. You tube video mein bahut aasan tareeke hote hein. Mein dekhkar sab banawungi.

Dev : Dekho Vidhi tum koyi risk mat lo. Mein keh raha hun naa mein help Karunga.

Vidhi: Aap jaayiye yahan se. Mujhe fresh hona hein, ready hona hein aur khaana bhi tayyar rakhni hein. Aaj aap milenge Vidhi the super girl se. Aur kitchen mein kuch bhi ho jaaye aap aake help nahin karenge.

Dev : Fine . Dekhte hein ....

After sometime when Satyawati arrived home she and Dev heard a scream from kitchen.

Satyawati: Dev !! Kitchen mein

Dev : Vidhi!!

Dev rushed inside and saw Vidhi's palm has burnt.

Dev : Vidhi !! Yeh kaise ho gaya

He held her hand and quickly applied ice on it.

Vidhi: Aah!!! Bahut jal raha hein Dev

Dev : Mana kiya thaa Naa mein ...Kya zaroorat thi yeh sab karne ki ?

Dev blowed her hand. Satyawati watched them with a smile.

Satyawati : Dev tum kuch khaana order Karo online mein. Mein Vidhi kaa khayal rakhti hun.

Dev took his phone and went away. Satyawati caressed the burnt part and applied ointment on it .

Vidhi : Thank you Aunty.

Satyawati; Thanks kyun ? Beta tum toh meri bacchi jaisi ho. Waise joh kaam tumhein aati nahin woh karne kyun gayi ?

Vidhi : Bas aise hi

Satyawati: Aise hi !! Tumhari aankhein toh kuch aur hi keh rahe hein.... Mein maa hoon Dev ki. Joh tadap, joh ghabrahat Dev ko tumhein dekhke abhi huwa uska kya matlab hein Vidhi ? Tumhein mera beta pasand hein ?

Vidhi; Mein unse pyaar karti hun aur woh mujhse .

Satyawati: Sach mein Dev !!

Vidhi: Ji

Satyawati hugged Vidhi.

Satyawati: Bhagwan ne aakhir mere Dev ki humsafar ko laayi. Thank you so much Vidhi.

Vidhi: Apne hone waali Saasumaa ko impress karne ki koshish mein haath jal gayi..Woh maine dekha hein kuch daily soaps mein kee kaise nayi bahu ki pehli rasoyi hoti hein. Uske khaane se uski saas uski tareef karte hein. Aur mujhe laga ki mein aaj khaana banawungi toh aap sach mein bahut zyada impress ho jaayegi.

Satyawati smiled and cupped her face.

Satyawati: Kitni pyaari aur bholi ho tum Vidhi. Beta yeh sab aise jaldi jaldi mein nahi hota. Aur tumhein yeh sab karne ki zarurat bhi nahi hein. ...

Vidhi: Pata hein. Par aapke bete ne kayi baar mere liye khaana banaye hein....Aaj mein khud kisi ke help ke bina cook karna chahti thi.

Satyawati: Ek din tum woh zarur Karogi beta.

Dev : Maa woh khaana aa chuka hein. Vidhi abb haath kaisi hein ?

Vidhi: Better hein. Aunty ne Burnol laga dee.

Dev : Aise khatarnak Cheezein dubara mat karna Vidhi

Satyawati; Dev!!

Dev : Maa aapko pata nahi yeh ladki kitni crazy hein.

Satyawati: Bas. Abb isske pehle khaana thanda ho jaaye usse khaa lete hein.

After a while Satyawati held Vidhi's hand.

Satyawati: Beta tumhein waapis kab jaana hein ?

Vidhi: Bas ek din baad. Uske ek hafte baad toh mere semester exams hein.

Satyawati: Final semester hein naa

Dev : Haa maa. Phir yeh graduate ho jaayegi.

Satyawati: Uske baad kya karne waali ho ?

Vidhi: Mmhh Post-graduation karne ke baare mein soch Rahi hoon. Results aane tak mujhe acchi Universities mein try karne honge .

Satyawati: But Vidhi post-graduation puri hone mein do saal lagenge. Uske baad tum kahogi kee tumhein job dhoondni hein. Phir uss chakkar mein ek saal aur beet jaayenge. Mein uthna wait nahi kar sakti.

Dev : Maa aap kehna kya chahti hai

Satyawati: Vidhi ke exams finish hote hi tumhein shaadi karni hogi Vidhi se .

Dev and Vidhi gets shocked.

Dev : Maa !! Shaadi ! She is just 21 .

Satyawati: Toh tumhari umra 41 hein Dev. Do theen saal aur beetenge toh tumhare umra badh jaayenge. Beta iss mamle mein aur der nahin karni chahiye.

Vidhi; But Aunty meri studies, career unn sabka kya ?

Satyawati: Beta tum shaadi ke baad bhi college jaa sakti ho ..Aur jitna tumhein aage higher course padni hein woh sab karo ....Job bhi Karo mujhe koyi problem nahi hein....But shaadi jaldi honi chahiye.

Dev : Maa kya keh rahi hein aap ? Vidhi ke saath shaadi abhi kaise kar sakta hun mein ?

Satyawati: Tum donon ek dusre ko chahte ho ek saath zindagi bitana chahte ho toh phir shaadi jaldi karne mein problem kya hein ?

Vidhi: Aunty shaadi bahut maayne rakhte hein zindagi mein. But I am not prepared for it now

Satyawati; Iss Umar mein apne umra se bees saal bade aadmi ko pyaar kar sakti ho toh shaadi kyun nahi kar sakti Vidhi ?.

Dev : Maa !! Please..

Satyawati; Dev mujhe roko mat beta. Kayi saalon se tumhari zindagi hasne ke sapne dekhi hein maine. Abb aur intezar nahi kar sakti.

Dev : Maa aap Vidhi kee point of view se dekhiye ...Woh bahut choti hein...

Satyawati: Mein bhi toh bahut choti thi jab tumhare Paapa ne mujhse shaadi kee.....Meri umra 21 saal thi aur Dev Tum tab 9 saal kaa baccha thaa. Toh kya mein tumhari paal posne mein koyi Kami chodi ? Maine tumhare Paapa , mere bacche , tum sabki dekhbhaal kee Dev. .....

Dev : Maa uss waqt joh aapke saath huwa uss pe mein....

Satyawati: Tum kuch nahi kar paaya aur naa mein khud kuch kar paayi . Mein jaanti hun kee aise mein comparison karke galat kar rahi hun. Mein Vidhi ko koyi zimmedariyan Dena nahin chahti hun..Woh jitna chahe pad sakti hein, mujhe koyi aiterazz nahin....Lekin mein bas usse jaldi tumhari zindagi kaa hissa banana chahti hun. Tum chahe toh isse mera swarth hi teharo par Dev jitni der lagayenge utne mein umra beetenge tumhare ..... Aur.....

Dev : Aur kya ?? Aap kya kehna chahti hein ? Saaf saaf kahiye maa.

Satyawati: Mujhe dar hein kee tumhein kahin health issues naa aaye ......Aur aage kee..

Dev : Aapko kya yeh lagta hein kee mere shareer kamzor padenge ? Agar mere aur Vidhi ke bacche aaye toh mein bacche ko uda nahi pawunga, hein naa Maa ?

Satyawati: Dev !! I didn't mean to hurt you. Mein apni fikra bata rahi thi.

Dev : Kabhi mere fikra bhi consider keejiyega Maa. Mein maanta hun aapki aadhi umra mein hi zindagi badal gayi. Aapne mujhe bhi beta kaha iss baat se mein bahut khush hoon.....Maa 8 saal tak mein Mrs Ganga Raichand ko Maa bulata thaa. Phir unke guzarne ke baad mujh mein kya beete ek baar bhi kisi ne socha hein kya ?? Paapa ne aapko humsafar banaye unke zindagi phir se khil ude . Paapa ne kaha kee aaj se Satyawati tumhari maa hein. Kyun mein aapko Maa bulawun ? Aapne mujhe Janam nahin dee, mein aapko jaanti tak nahi. Par Paapa ne kaha toh Maine Maan Lee. Aapne hamesha mujhe bete ki tarah paala hein..Koyi fark nahi dikhayi mujh mein aur Abhi mein. ...Par mein meri sagi Maa ko bhool nahi paayi Maa aur yeh sach aap bhi jaanti hein. Aapne mujhe badalne ke liye nahi kaha aur mein khud badla bhi nahin.....Joh bhi life mein huwa unn sab se ek naa ek seekh mujhe zarur mile hein....Itna zarur kahunga kee zindagi sirf mere akele ki nahi hein.....Yeh mere saath saath meri Vidhi kee bhi zindagi hein. Usse zindagi mein kya karni hein yeh hum nahin woh khud decide karegi. Aur usse karne deejiye Maa......Kisi ko uske haq se door karne kaa haq humein nahin hein.....Shaadi hum donon ke consent pe sahi waqt pe honi chahiye. Zabardasti se nahin Maa. Please 🙏

Satyawati : Dev !!

Dev walked away from there without saying anything. Vidhi went near Satyawati who was crying bitterly.

Vidhi: Aunty

Satyawati: Mujhe thodi der akela chod do please jawo yahan se Vidhi.

Vidhi went to Dev's room.

Vidhi: Dev !!

Dev cupped Vidhi's face.

Dev ; I am sorry Vidhi... Mujhe idea bhi nahi thaa ki Maa aise achanak yeh sab...

Vidhi; Dev !! Woh maa hein aapki. Apne bete ki chinta hein unhein..... Unhone toh seedhe haath maangi apne bete ke liye, iss se humein problem ho sakte hein. But unki nazar se dekha jaaye toh unhein bete ki fikar hein.... Hum donon ready nahin hein shaadi jaise big commitment ke liye....

Dev : Maa samajh kyun nahi Rahi hein ?

Vidhi: Aap thode zyada hi bole Aunty ko ....Jaake sorry kahiyega unhein.

Dev : Maine kya Kiya ? Vidhi yeh batana zaruri thaa.... Please iss topic ko yahin khatam karo.. Tum apne things ki packing karo. Kal jaana hein naa waapis..

To be continued 😊😊😊😊😊😊











Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago

Please read and drop your views

Sanska thumbnail
Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 2 years ago

Thanks for the update nd tag,it's amazing ❤️ Loving the flow of story,Jhalli OG Vidhi can be spotted ,Dev's point of view is beautifully portrayed . Whole sequence is realistic and natural .

A humble request -These days episodes r upsetting FFs r our saviour, Aap apni story me inhe sanskari bacche nhi bnao na thoda sa romance add kr do plsss.Update soon and also take care of yourself.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago

I know dear. I am not very much good in showing romantic scenes..But joh mujhse ban pade woh mein zarur likhungi. I am trying to show the relationship of ViDev, how they handle things without much negativity. Thank you so much for your review and suggestions 🙂

Related Topics

Na Umra Ki Seema Ho Thumbnail

Posted by: Revutty

6 months ago

ViDev : Love beyond Everything (Two Shots - Shot One)

Dev folded his hands before Maa Milapini's idol. Dev's view Maa Milapini mein zyada puja paath toh nahi karta par Vidhi ke aane ke baad mein...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".