ViDev SS: PUZZLE OF LOVE - Page 2

Created

Last reply

Replies

55

Views

3.6k

Users

9

Likes

104

Frequent Posters

SanchiIndu thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 2 years ago
#11

So cute story... please update soon ❤️

SanchiIndu thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 2 years ago
#12

Just saw the update it's really good 😊

Parud7 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#13

Tum mjhe tag nhi krti jbki tumhari stories pdhne k liye sbse zyada mein hi utawali hoti hoon😔

Edited by Parud7 - 2 years ago
Parud7 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#14

Beautiful❤️

Serial ko ghot k pii gyi ho tum👍🏼


Intezaar hai next update kaa

maddy124 thumbnail
Visit Streak 365 Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#15

These r some moments that we want on the show.. ❤️❤️

But we received is HP Yogesh Amba Chitra Abhi.. 🤦‍♀️🤦‍♀️

The update was awesome.. ❤️❤️

Continue soon ❤️❤️

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#16

Agli baar se dhyan rakhungi yaar. Iss utawli deewani ko sabse pehle taag kar lungi. 😐🤗😍

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#17

Part 4

Vidhi : Sir aapne kuch bataya nahi kee kheer kaisi bani ?

Dev : Vidhi mein bata Chuka hun tumhare gharwalon se kee khaana accha hein. Aur yeh office hein. Yeh kheer aur raita waali baat yahan nahi hona chahiye.

Vidhi : Sir mein toh bas pooch rahi...

Dev : Vidhi!!! Focus on work.

Vidhi ; Yes Sir.

Dev: Woh agreement ready Kiya tumne ?

Vidhi : Haan Sir. Here is it.

Dev checks it.

Dev : Fine. Toh abb mein jaa raha hun unn entrepreneurs ke higher authorities Star Communications ke owner se milne ke liye. Mere aane mein time lag sakte hein. Koyi clients aaye toh inform karna kee mein afternoon hi available rahunga. Got it?

Vidhi ; Yes Sir. Star Communications ke owner matlab woh Amba Mehra Ji hey Naa?

Dev : Yes. Tum sambhal lo sab. Mein aata hoon.

Dev leaves. He then meets Amba and finalize everything.

Amba : Mujhe Khushi hein kee aapki company ke sath mujhe aur mere staff ko work karne ki opportunity mili.

Dev : Mein bhi khush hoon.

They both shook their hands.

Amba: Official meeting is over. Can we have some off topic talks too ?

Dev : Why not? We are buddies..

Amba : We were buddies Dev. US jaane ke baad mein itni busy ho gayi ki mein waapis aane ke baare mein sochti bhi nahi thi. Lekin abb US se muje dar hein.

Dev : Yeh joh tumhari baatein, I am not getting it.

Amba: Vidhi kaisi hein Dev ?

Dev : What ?

Amba ,: Your PA Vidhi

Dev ,: She is good, bahut professional hein.

Amba: Dev agar ek din Vidhi office nahin aayi toh tumhein kaisa feel hota Hein ?

Dev became silent.

Amba: Tumhare paas isska jawab nahin hein. Par tumhari aankhon kee bechaini bata rahi hein kee kuch toh special hein. Hey Naa?

Dev faked a smile.

Amba : Dev!!!! Dekho mein nahi jaanti kee kya chal raha hein tumhare dil mein. Par jab bhi tum kuch decide nahi kar paate toh yeh bechaini hamesha dikhi hein. Dev!!! Jab koyi khaas aapke dil mein hein toh zindagi ekdum se khoobsurat lagti hein . Jab woh bhi uss ehsas ko aap ke saamne kabool karte hein aur hum bhi karte hein toh lagta hein zindagi baahein failakar khadi hein sirf khusiyan dekar humein gale lagane ke liye.....Par jab wahi apna sa aapko beech raaste mein aadhi raat ko chodkar kisi aur ke sath......

Dev ; Amba!!!! Please calm down

Amba : Apne dil kee dard ko akele mehsus kar rahi hun Dev . Parents ke guzarne ke baad jinko sahara samjha woh bhi muje chod Dee toh ekdum akeli ho chuki hun. Bahut akeli hun.

Dev : Aisa kyun sochti ho ? Tumhare acche friends bhi hein. Mein ek accha dost hun.

Amba : Pata hein. Isliye bata di....Abb tum batawo Kya Vidhi sirf P.A hee hein yaa kuch aur?

Dev : Jaankar kya karogi ?

Amba : Matlab kuch toh hein, Dev.

Dev : Yeh joh bhi hein..woh..

Amba: Bahut special hein Dev. Ek baat bolun, Dev har kisi kee life mein woh apna sa koyi aata hein. Aur Vidhi tumhari...

Dev ; Please,aage mat kaho

Amba : Dev jab tum khud uss ehsas ko dil se jaan pawoge, khud tadpoge toh dil kaa izhaar zarur karna please.

Dev : Thank you,mujhe himmat dene ke liye. Amba tumne kabhi socha nahi kee tumhein hamesha akeli hee kyun guzarni hein life ? I mean...

Amba : Dev !!! Pyaa hota hein toh dil banta hein ,par. Jab pyar dhoka ban jaata hein toh dil toot jaata hein. Par iss kambaqt pyaar kee yahi toh speciality hein kee Dhoke dene wale se chahkar bhi nafrat nahi kar paa rahi hun. Yeh ajeeb see ghutan hein, dard hein. Iss se bachne ke liye mein business kaa nakaab pehnti hun Dev

Dev : Amba, zindagi kahin rukti nahi. Mein yeh nahin kehta hun kee tumhein abb kisi aur ko chahna hein yaa shaadi karni hein. Par yeh keh raha hun kee uss business se pyaar karo. Bhula nahi sakte dhoke ko par isska yeh matlab nahi kee hamesha dard mein hi jiyo. Dard ko hathyar banawo aur business ko ek dhaal banawo. Zindagi ek naye sire se tumhein dekhegi. Iss ek dost kaa advice samajh lo, sunna naa sunna tumhari marzi.

Amba : Toh phir tum bhi meri advice maankar apni Dil kee baat sun lo Dev. Yahi toh Vidhi kaa Vidhan hein.

Dev : Amba !!!

Amba : Thodi taang toh kheechna banta hein Dev

Dev and Amba laughs.

Dev returned to office. His eyes suddenly went on Vidhi who was doing her work with full of sincerity.

Coffee pee lo Vidhi

Vidhi: Sangeeta di, mein important accounts dekh rahi hoon. Mein baad mein pee lungi. Waise aap aaj Dev sir kee mimicry kyun kar rahi hein ? Mujhe toh laga kee Dev Sir bol rahe hein.

Sangeeta: Tum bilkul sahi bol rahi ho Vidhi. Dev sir hee hein. Tumhare peeche khade hein.

Vidhi :, Kya ?

Vidhi turned back and stunned to see Dev

Vidhi : Good morning Sir

Dev : Vidhi, time dekho it's 4 pm . Coffee pee lo .....

Vidhi : Yes Sir. Sir aap keh rahe ho toh pee lungi

Dev : Accha!! Toh mein karela kaa juice banane ke liye Sangeeta ko bolungi. Kya tum woh bhi pee logi?

Vidhi: Haan.... matlab naa....

Dev ; Mein boss hoon Vidhi..

Vidhi: Sir koshish karungi....

Dev suddenly burst out his laughter. Sangeeta also smiled.

Sangeeta: Sir aap bhi naa aise mazak karte hein kee...

Vidhi ; Mazak !!!

Dev : Vidhi!! Tum har baat ko itna seriously kyun leti ho?

Vidhi : Sir woh sorry mein....woh ....woh

Dev smiled and looked Vidhi.She also smiled and looked him. Sangeeta left there with a smile.

Dev : Office hours khatm hote hee baal Ghar jaana hein. Awogi naa ?

Vidhi : Sure sir.

Dev : Good.

ViDev went to Baal Ghar.

Dev also sat among the kids on the floor as Vidhi was going to narrate story.

Vidhi thought: Mera mazak udda rahe the Naa aap ? Mein bhi kam nahi hun Dev Sir.

Vidhi: Yahan sirf chote bacche hee baith sakte hein. Kisi bahut bade bacche ke liye jagah nahi hein....

All kids laughed and pointed out their fingers towards Dev.

Dev stood up and said : Sorry Teacher Ji. Kaan pakadke maafi maang raha hun. Maaf kar do.

Vidhi : Ek shart par . Abb aap baccha ban chuka hein toh bacchon ke saath aap bhi pakdam pakkayo kelenge, hey Naa bacchon !!!

All kids shouted : Haan!!!!!

Dev : Karele ke juice ke badle itni badi punishment?

Vidhi : Yahan mein teacher aur aap baccha matalab bada baccha hein. Toh aapko teacher ker baat sunne padenge.

Dev nodded his head. Dev and kids were involved in their playful world. Vidhi captured the moments in camera.

Dev : Vidhi yeh waali punishment acchi hein.

Vidhi ; Sachi mein

Dev : Haan. Tum bhi khelo naa hamare sath

Vidhi : Par ,.

Dev suddenly held her hand

Dev : Tum khel rahi ho

Vidhi looked on the way Dev hold her hand while they were walking near kids. Vidhi also joined with them. In between rain started bursting, kids rushed inside the building.

Vidhi : Dev Sir chaliye. Aap baarish mein bheeg rahe hein.

Dev : Bheeg toh tum bhi rahi ho Vidhi. Baarish ki boondein jab padte hein toh sab bhool jaata hun mein

Vidhi : Mein bhi

Dev and Vidhi looked intensely when rain drops were bursting. Vidhi suddenly took off her eyes from Dev and turned back crossing her fingers.

Vidhi; Kya dev sir ke inn aankhon mein kuch hein kya mere liye,?

Thinking about so many things Vidhi started walking without looking down. Her leg got slipped on the muddy ground and she fell down.

Vidhi screamed : Aaah!!!

Dev : Vidhi!!!!

Dev rushed towards her and picked her in his arms. Vidhi was hell surprised with this deed. She felt like she was a Doll and Dev has lifted her with intense care .

Dev : Dhyaan Kahan hein Tumhari? Chot lagi kya tumhein ? Vidhi kuch bolo

Vidhi: Sir!!!! Mein theek hun, bas chot hein thodi see

Dev : Kya theek ho ? Tum gir gayi Vidhi !!!

Dev took Vidhi to his mom's room and made her to say on a couch. He then quickly opened the table drawer and took the first aid box.

Dev went near Vidhi and looked herm

Dev : Kahan chot lagi hein ? Dikhawo mujhe

Vidhi: Sir woh meri ... I mean knees pe...

Dev : Dawai laga lo Vidhi.

Dev turned his face from her and looked on the wall.

Suddenly when he heard the scream of Vidhi he again rushed near Vidhi.

He cupped her face and looked her

Dev: Vidhi !!! Bahut dard hein kya ?

Vidhi's eyes went teary : Dard toh dil mein lag chuki hein . Woh jaa nahi rahi hein. Jab paas hein toh woh dard aur bhi gehra hein .....Uss dard kaa naam hein Dev Sir.

Dev rolled his eyes and looked her eyes intensely.

Dev quickly took off his hands from her.

Dev : Mein gaadi nikalta hun. Aa jaana tum

Vidhi nodded her head.

Dev went outside and took a deep breath. Vidhi fell down before him and he wasn't able to save her. Dev was feeling much regret on this thing. Dev opened the car door when she entered inside the car.

Dev : Vidhi chot kaisi hein ?

Vidhi ; Abb theek hein Sir.

Vidhi was recalling the way Dev lifted her in his arms and was getting worried for her.

Vidhi ; Sir mujhe kuch ho jaayenge toh aapko kaisa mehsus hoga ?

Dev was shocked with this question.

Dev ; Vidhi!!!! Kaisi baatein kar rahi ho. Tumhein kuch nahi hoga. Aur mein....... mein aisa hone. ...nahi dunga......

Vidhi's eyes brightened when Dev said this.Dev wasn't able to look keenly at those eyes. His gol-gol eyes were went almost teary. To hide them from Vidhi he looked out side through the side window.

Vidhi: Itna kaafi hein mere liye Sir.

Dev : What ?

Vidhi; Nothing Sir.

Vidhi wiped his tears with her dupatta.

Dev wasn't able to resist when Vidhi was doing it. Her little hands were very close towards his eyes. He suddenly held her hand

Dev : I am sorry Vidhi.

Vidhi: Sir aapko sorry bolne kee zarurat nahi hai

Dev : Vidhi !!! Aaj mujhe...tum giri woh bhi ....mere .....Woh .....

Dev wasn't able to say anything. His words were breaking.

Vidhi : Sir

Dev : Aage aisa nahi hoga.....I won't let you to fell down. Yeh vaada hein.....tumse dev kaa

Dev shut his eyes and leaned on the seat.

Dev : Seat belts baandh lo Vidhi. We need to leave

Vidhi did it looking Dev .Dev started driving the car.

Geeta06 thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#18

Great Part yaar.. Loving this vidhi... Vo dev ko samaj rahi hai... They are so comfortable with each other... Sach mein hi meera ho rakhi hai

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#19


THIS IS A "MEMBERS ONLY" POST
The Author of this post have chosen to restrict the content of this Post to members only.


Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#20

Next part promo

Dev : Mein nahin dekh sakta tumhein rote huye Vidhi ?

Vidhi : Kyun ?

Dev : Vidhi isska jawab....

Vidhi : Aaj aapko jawab dene padenge , Dev Sir. Sirf jawab maang Rahi hun. Aur kuch nahi maang Rahi hun

Related Topics

Na Umra Ki Seema Ho Thumbnail

Posted by: Revutty

7 months ago

ViDev : Love beyond Everything (Two Shots - Shot One)

Dev folded his hands before Maa Milapini's idol. Dev's view Maa Milapini mein zyada puja paath toh nahi karta par Vidhi ke aane ke baad mein...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".