Originally posted by: BossLady
Jo log buffaloes ya cow paalte hai
To jab unko bachcha hota hai tab barosi banai jati hai
Jo kachci zameen hoti hai na gaon mai...gobar se lipi hui..usko khoda jata hai thodi inches tak
Fir uske andar lakdi aur uple rakh ke aag jalai jati hai
Fir usme badi si patili mai doodh rakha jata hai ubalne
Dheere dheere ubalta hai na wo...to gaada hota jata hai...laal bilkul
Natural sweetness k sath
Bada swad hota hai 😋😋😋
Apke yaha bhi hota hoga..par kuch aur bolte honge😆
Hamare yaha
Jab cow baccha deti hai tab kuch din tak ghar wale ( jisne gai pala hai) us gai ka doodh nhi peete. Aur baccha bahut chota hota hai to wo kitna doodh piyega.
Isliye bacche ke pine ke baad doodh nikalkar mohalle me baant dete the.
Us doodh ko FENUS bolte hai hamare yaha. Aur usse chena banta hai