Yeh Rishta Kya Kehlata Hai August 5, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 04 Aug 2025 EDT
UPMA&ICECREAM 4.8
SATYAMEV JAYATE 5.8
BALH Naya Season EDT Week # 8: Aug 4 - Aug 8
Abhira’s infertility issue
Anupamaa 04 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Dhanush And Mrunal Thakur Reportedly Dating
The Ultimate PotterHead Challenge
Anupamaa 05 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Ibrahim Ali Khan new interview Elle
25 years of Har Dil Jo Pyar Karega
AI reimagines Titanic with Bollywood stars
Rate episode 66: "Ekk Insaan Do Maut"
Originally posted by: tetuty66
pari waitin 4 update..............................
Pari just read your FF...its wonderful dear👏👏...loved those romantic convos between RK😳...Do continue soon😳
once again tussi cha gaye dear .pls hurry up with the next update ,eagerly waiting for it
Part 4
Aakhir who andehri kaali raat katam huyi aur roshni ne dastak de hi di
Subha ki pahli kiran parte hi raj ki aankhe kulgayi aur us ne dekha ki KRANTI us ke bauth kareeb ghari need main soo rahi hain.us ka Sar raj ki peeth par tha. Aur who bistar par beathi thi raj ne kranti ko bare hi aaram se bistar per leeta diya aur wahi kranti ke paas takiye (pilow) ki madaad se bistar par hi beath kar kranti ke chahre ko bare hi pyaar se dekhta raha, soote waqt kranti itni pyaari lagrahi thi jase ki koi pari soo rahi hoo. Achana se tandhi tandhi hawa chane lagi aur hawa ke johke se kranti ke chare par ek lat aagi raj ne bare hi pyaar se us ke chahre se lat hati aur us khoobsoorat pal main kahi kho saa gaya.
Tabhi kranti ki need khol gayi aur us ne dekha ki raj us ke paas (just next to her) beatha tha apne aap ko is taha bistar par dekh kar kranti bhi ut kar barth gayi??.
K: Pata hi nahi chalaa raat ko kab aankh lag gayi?
R: Par maine to tunhe kuch kaha hi nahi!
K: Who mujhe laga ki !!
R: Tumhe kya laga?
Asa lag rah ta ki manu Kranti ke paas lafaz hi nahi ho kuch bolne ke liye who soch main pargayi ? raj ne fir pucha ?
R: Tumhe kya laga KRANTI?
K: Who ahem ahem!!! Who mujhe Jana hain, CHAHIYI JI mujhe doonrahi hogi. Bhaut sare kaam hain!!
Aur kranti waha se chali gayi freash hone ke liye aur raj ke hontho par ek baar phir se halki se muskurahat aagayi. Aur man hi man khud se kahne lag ki?.
R: mujhe pata hain kranti ki tum bhi mujh se pyaar karti hu, bus apne dil aur dimag ki is jado jhad main ho lekin bauth jaldi who bhi katam ho jaye gi aur tum mujhse apne dil ki baat jaroor kaho gi aur main kahlwake rahu ga warna mera naam bhi??. RAJVEER LAL nahi
Thori deer badh kranti bathroom se baahar aagayi? us ke baal gele the pure kamre main ek khusboo se ghul gayi thi? raj ne us khusboo ko mahsoos kiya. Kranti dress in table ke paas jaa kar beath gayi us ne apne baal ek taraf kiye, maathe pe bindi, aur sindoor lagaya, kaano main apne wohi choti choti baaliya pahne, gale main magalsutra dala, aur apne hatho se gele baalo ko sawarne lagi ki tabhi us ki gerdan par pani ki kuch bonde gir, aur raj ki nazare jo kranti ko taiyaar hote dekh rahi thi achanak se uski gerdan pe tikgayi.
Aur jese hi kranti palat kar ueti raj ankhe band kar ke sone ki acting kare laga. Kranti ne dekha ki raaj beathe beathe so raha hain to who us ke paas gayi us ki tarf thora sa juki raj ke chare ko dekha, ek halki se muskurahat di aur us ke sar ke niche takiya rak diya taki who teek se soo sake, aur phir room se bahar chali gayi, kranti ke room se bahr jate hi raj ne aankhe kholi who muskuraya. Aur phir fresh hone ke liye chala gaya.
Thori der badh kranti puja ki tali le kar apne room main aayi. To usne dekha ki raaj apna kurta pahan ne ki kosish kar raha hain, lekin kandhe par goli lagne ki waja se pahan, nahi paa raha, kafi dikat ho rahi thi use, usne thali ko table par rakha aur raj ke nazdeek gayi aur kaha..
K: Main pahna doo?
Fir raaj ko kurta pahna diya aur table par raki tali utayi aur raj ko arti di, jab raj arti lehrha tha tab kranti-raj ko dekha rahi thi, raj ki nazare bhi kranti par teki aur kranti ne nazare hata li. Aur kuch sochne lagi Raj ne kranti se kaha ?
R: Kya huya? Kya soch rahi hoo?
K: yehi ki tum pichle do dino se kaha the , kis ke saat the, kya kar rahe the yeh goli, yeh chote tumhe kase lagi? Bolo kaha the tum? Bolte kyu nahi, chup kyu ho, kal raat bhi tum ne kuch nahi kaha, tum kar kya rahe ho rajveer,, kisi ko kuch nahi pata hain, Jawab do rajveer main kuch puch rahi ho? Yu buth ban kar kyu kahre ho?
R: Are baba!!! Ab tum chup karo gi tabhi to main kuch bolo ga na , kudh hi bole chli jaarahi ho mujhe to bolne hi nahi de rahi.
Kranti ne moo banaaya (puppy face) aur pir pucha!!!
K: Lekin tum ab tak the kaha?
R: Amritsar main!!! Main Amritsar main tha, mujhe pata chla tha ki London se kuch gore anewale hain aur LT. govern. Ka beta waha jane wala hain unse milne ke likye taki unse mil kar KRANTIKARI anur AAjzadi ke is andolan ko kese roka jaye is bare main kuch kar sake aur saath hi waha hatiyaar bhi anewali the jo humare liye zarori hain Aur RAHIM CHACHA ne hi mujhe beja tha!!!!
K: Rahim Chacha!!!!!!!!!!!!! Ne who tumhe kese bejh sakte hain!!!!!!
R: Haa rahim chacha ne, mujhe pata tha ki tum meri bath pe wishwaas nahi karo gi!! Is liye maine RAHIM CHAHA se bath ki unhe puri bath baatayi jab unohne is bath ka pata lagaya aur who bath sach linkle tab unhone mujhe ek muka diya apne aap ko sabhit kare ka, aur mujhe amritsar bejha, aur waha Amritsar main SHUBAKAr to pahle se hi tha isliye.
K: SHUBHANKAR!!!!!!!!!!! Tum shubankar ko kese jante ho
R: RAHIM CHACHA ne bataya tha, jab unhe is baat ka pura wiswaas ho gay ki main bhi ab is ladayi main ho , to un hone shubankar ko sari bath batayi , aur waha shubhakar ne meri kafi madad ki, infact hum dono ne mil kar hatoyaaro ke track ko to apne kabze main karlikya bus hum Lt. governer ke bete ko apne kabze main karne jaa hi the ki pata nahi police ko kaha se pata chal gaya , aur bas hum pe humla kardiya isi bich main mujh par goli chaladi jo mere kande par lag gayi kisi tarha bach bacha kar ek track wale ki madad se main lohar phaucha.
Raj ki baatye sunne ke bath Kranti guse main aa gayi u, aaj pahle bar use raj par is baat par gusaa tha ki agar use kuch ho jata to kya ho ta, ki pahle baar usne itna bara kadam utaaya aur use is bare main pata bhi nahi chla,
K: Rahim chacha, shubhakar sab jante the,,, SAB jante the!! Ki tum kaha ho, kay kar rahe ho aur ek mujhe! , mujhe hi kisi ne bata na jaroori nahi samjha aur yaha!! YAHA main paglo ki tara pareshaan ho rahi thi, ki najane tum keyse hoge, kaha hoge, kis haal main hoge? Kahi kuch ho na gaya ho? Tum samjte kya ho apne aap ko HA,,, (kranti ne raj ko halka sa dacha diya ) jo akele chale gaye HERO bane!!!!! Ek baar baar bhi mere bare main nahi soch , agar tumhe kuch ho jata to????
Yeh bath sunte hi raj chok gaya aur pure kamre main thori dheer ke liye kahmoshi si cha gayi. Raj ne kranti ki taraf dekha laur pfir kranti ki aankhoo main ankhe daal kar bare hi payaar se pucha...
R: Agar mujhe kuch ho jata to tumhe kya???????????? Tumhe kya?????
Kranti hosh main aayi aur soch ne lagi ki aaj josh main aake shayed apne jasbato par kaaboo nahi kar payi who palti us ke traf dekha par kuch kaha nahi phir woh nazare pher kar Jane lagi to raj ne kaha
R: Kranti!!!!!!! Kab tak mujse nazare churati raho gii nazare to gune gaar churte hain, Jo bath tumhar dil mahsoos karrah hain use kha kyu nahi deti?
K: Baat khon c baat, tum kya kha rahe ho mujhe kuch samjh nahi arha, mujhe jaan hain?
Aur muu per liyaa fir woh darwaje ki taraf gayi to raj ne uska haat pakar liya aur darwaja band kar diya. Raj ne kranti ko apni tarf palta aur use bazooyo se kas kar pakar kar apni tarf keecha is baar raj kafi gusae main lag raha tha, mano jase us ka sar sabar katam ho chukka tha, aur ab us main bardasht karne ki himaat nahi rahi thi
R: OHhhh REALLY!!!!!!!!!!!!!!!!!!! Tumhe kuch samjh main nahi aarah ki main kya kharha hoo HA!!!
K: yeh kya kar rahe ho DARWAZA kholo Rajveer mujhe jaana hain aur mera haath choro, Maine kaha Mera haath choro!!!! Mujhe darad ho raha hain!
RAJ ne kranti ki aankho main dekh kar kha
R: Nahi aaj nahi, aaj jab tak tum meri baat kaa jawab nahi dhe deeti naa tab tak yeh darwaja nahi kule ga, Na hi koyi is karma main ayega aur naa hi baahar jaye ga. Bas ho gaya kranti mere ab aur imtehaan mat ho mujh main ab aur bardasht kare ki himat nahi hain. Tumhe samjh main nahi aarha hain kya. I LOVE U DAMIT!!!!!!!!???? baut pyar karta ho tumse aur pyar to tum bhi karti ho (Raj ne kranti ke chahare ko apne haatho main leya aur kaha?)
R: to kyu apne aap se aur mujh se bagh rahi ho, kyu mere paas ane de daar ti ho, jo baat tumahra dil kharha hain kam se kam use to suno.
KRANTI ne raj ka haath hataya
K: Main tumse pyar nahi karti.
RAJ ne ek baar fir kranti ko pakra us ko gumaya aur deewaar ke saat lagadiya mano jase us ka sabar (patience) jawaab de chukka ho us ke ghari kaali aankhe sida kranti ki aankhoo main dekh rahi thi
K: AHHHHHh!!!! (kranti tilmilayi)
Kranti apne aap ko raj ki pakar se churane ko koshish karti hain magr jitna hi woh us se chotane ki kosish karti utna hi raj ki pakar us par kasti jati , aur who utna hi us ke kareeb ata jata, Ab raj aur kranti ke beech inch bar ka bhi fasala nahi tha, raj ki nazare kranti ki nazaro main jaa ke tiki ti,
R: Pyar nahi karti, jooth bolti ho, jab main nahi hota mere aane ka intazar karti ho, mujhe zakhme halat main dekh kar gabra jahi ho, roone lagti hain, mujh se nazare nahi mila pati aur tum kahti ho kit um mujhse pyar nahi karti,.
Yeh sun te hi kranti ne muu dosari tarf guma liya aur ankhe bandh karli? raj ne kranti ke chin ko apani do ugliyo se pakra aur aur us ka chahra apne taraf guma ya ?..
R: anakhe kholo kranti!! Ankhe bandh karle ne se sach nahi badal jata.. Aur sach yehi hain ki tum mujh se baut pyar kar ta ho. Apne puri zindagi main Maine itna pyar kabhi kisi se nahi kiya jitna tum se krata huu. Aanhke kholo aur dekho meri taraf?
KRANTI ne apne aankhe kholi aur raj ti tarf dekha.
R: main tumse bahut pyar karta hu, aur pyar to tum bhi mujh se karti ho.
K: Main tum se pyar nahi karti.
R: Nahi!
K: Nahi (kranti ki awaz dhimi (slow) huyi)
R: Nahi!!! (Raj ne fir kaha) tumhara kya hoga kranti mere saath tum rahna nahi chahti, mere bina tum rah nahi sakti.
Aur is bar kranti kuch nahi kah payi, us ne apni ankhe banth ki us ki aakho se aansoo nikla aur raj ne us ke ansoo par kiss kiya kranti ne apni aankhe kholi raj ki taf dekha kranti ke haath raj ki kandhe ki tarf barhe, kranti ne apna chara raj ke gaal ki tarf laya????.. Haatho ko gale main dala, us ke kaan ki taf bahri aur kaha ?.
K: Main ?? Main tum se bauth pyar krati ho???. Bauth pyaarr.
Raj ke chaahre pe muskurahat aagayi manoo ki koi jung jeet li ho usne. Aur kranti ko kas ke gale se laga liya. Dono ki aankho main aansoo thi?. Raj ne kranti ke mahte par kiss kiya.
R: mujhe pata tha!! Ki tum bhi mujh se bauth pyaar karti ho.
Us ek pal jis ka rajveer ne najane kab se intazaar kiya tha,, jo itne dino ke baaad aaya tha.. us apne aap par yakeeen hi nahi ho raha tha ki , ki yeh sach ho gaya hain... ki karnti ab us ki ho gayi thi. Aur un dono ke beech main ab koi thisara nahi hain, agar kuch ta to who bas pyaar tha, besumaar pyaar jo raj aur kranti ek dosare se karte hain. Raj ne kranti ki chahar ek baar fir apne haatho main le leyi kranti ki aanko se aansoo rukne kaa naam hi nahi le rahe thi. Raj ne kranti ke ansoo paunche aur halka sa kiss kiya uske lips pe? kranti sharma ke rak ke baaho main simat gayi??
wow read both parts pari i wish to see this scen in serial its in my wish list friends for makers along with roof top scene of raj watching girl(skepys version of MRD) and rachnas scene of kranti raj issue written for namita ..
i loved ur special treatment apoorva style...2 fingers on chin is apus favourite style i think gavie can take training for sure hehe... is it soo honestly speking i was not aware of datthere wa sot of emotion in story do write it in english too makes it a bit easier to read but i loved the expressions........keep up the good work