Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Sep 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 23, 2025 Episode Discussion Thread
ENTRY INTO RESORT 22.9
MOOH KHUL GAYA 23.9
Why is Deepika ALWAYS the victim?
Mardaani 3 Rani Mukherjee 27 Feb 2026
Screening - Mera Desh Pehle - The Untold Story Of Shri Narendra Modi
Katrina and Vicky officially announce her pregnancy!!!
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 23rd Sept 2025
Anurag Kashyap disliked Chhaava
Anupama bags some Star Pariwaar Awards
Complaint Against The Ba***ds Of Bollywood
New timslot of Show
🏏Pakistan vs Sri Lanka, Super Four,15th Match (A2 v B1) Abu Dhabi🏏
Sonam Kapoor Announces Bollywood Comeback
Abhira is most pathetic character in gen4
OSO was based on Divya Bharti death?
Shah Rukh Khan, Rani & Vikrant at the National Film awards ceremony
Originally posted by: hasiniangel
atlast mayank saw nupur.. waiting for reactions 😉
Originally posted by: -Paulomi-
Nice😳
Originally posted by: mayuloveu
Mayank met nupur. Hope mayur ek ho jaye
Want to see Mayur together
Chapter 7
Jiyana bahot kush hokar Nupur ke pass aati hain..
Jiyana : Yippieee..ab mumma humesha Jiyana aur Papa ke pass rahegi. I love you Mumma..
Mayank : Jiya beta Mumma bimar hain na. Unko sone do chalo neeche chalo beta.
Tabhi waha doctor aate hain. Doctor Nupur ko check karte hain aur Mayank ko bahar le jate hain.
Doctor : Mr. Sharma, lagta hain Mrs. Sharma ko bahot pareshani hain. Unko bahot bada shock laga hain aur uski wajah se ye bukhar aaya hain unko. Waise maine jo medicines di hain wo unko dete rahiyega. Aur unko 2 din ke liye puri rest lene dijiyega.
Mayank : Thik hain Doctor me khayal rakhunga.
Doctor jane ke bad Mayank kamre me aata hain.
Jiyana: (Bhag ke Mayank ke pass aati hain) Papa..Mumma ko kya hua hain? Wo thik toh ho jayengi na jaldi?
Mayank : Haa beta. Mumma ko kuch nahi hua hain. Jaise aapko kabhi kabhi bukhar aata hain na waise unko bhi aaya hain. Chalo ab mumma ko aaram karne do. Chalo neeche.
Jiyana neeche jati hain.
Gayatri : Mayank doctor ne kya kaha?
Mayank : Unhone kaha hain ki Nupur ko 2 din ki puri rest lene dijiye aur kuch bhi kam nahi karne dijiye. Aur kuch medicins di hain.
Tabhi Nupur ko hosh aate hain. Nupur apne sar pe hath rakhti hain. Aur uthne lagti hain. Gayatri turant uske pass aati hain. Nupur Gayatri ko dekh kar shock hoti hain. Aur Mayank ko bhi dekhti hain.
Nupur : Maa aap yaha? Aur wo idhar udhar dekhti hain. Me..Me yaha kaise aayi Maa? Me toh woh..
Gayatri : Jyada bat mat karo beta. Kal rat tum Mayank ke gadi ke sath takra gayi aur behosh ho gayi thi. Toh Mayank tumhe yaha lekar aaya. Ab tum yaha pe aaram karo. Me abhi aati hu.
Gayatri jane ke bad Nupur Mayank ki taraf ek bar dekhti hain lekin wo turant muh fer leta hain. Nupur room me idhar udhar dekhne lagti hain. Usse Mayank aur Jiyana ki bahot badi tasveer dikhti hain. Wo ussi tasveer ki taraf dekhne lagti hain. Mayank ye sab dekhta hain. Kuch time bad wo room se jane lagta hain.
Nupur : Mayank...
Mayank : (Rudely) Kya hain?
Nupur : mujhe tumse bahot jaruri bat karni hain..
Mayank : Mujhe tumse koi bat nahi karni hain. Aur kal tumhara mere gadi se takrana aur fir mera tumhara yaha lekar aana ye sab ek iktifak tha aur tumhe yaha lekar aana wo bas ek sympathy thi. Isse aur kuch mat samajna.
Nupur : Me sab manti hu Mayank..Lekin please mujhe tumse bahot jaruri bat karni hain. Suno to please..
Mayank : Dekho Nupur, Na mujhe tumse koi bat karni hain aur nahi tumhari kuch bat sunani hain. Please mujhe majboor mat karo bolne ko. Tum yaha sirf mehman ban kar aayi ho aur mehman hi rahogi..
Tabhi waha Gayatri chai lekar aati hain.
Gayatri : Nupur beta tumhe doctor ne 2 din ko strictly aaram karne ko kaha hain isiliye tum yahi rahogi..
Mayank : Maa..
Gayatri : Ye meri order hain..
Mayank : Thik hain maa lekin sirf 2 din tak. Maine yaha koi dharmshala nahi kholi hain ki koi bhi aaye aur yaha reh jaye.. Aur wo waha se chala jata hain..
Nupur rone lagti hain..: Kya mujhe Mayank kabhi maf nahi karega maa?
Gayatri : Nahi beta aisa kyun keh rahi hain? Mayank ko bhi sab ka shock laga hain na. Tum yon achanak se aise uske samne aayi itne sal bad toh uski bhi halat ke bare me socho beta..aur dekhna wo tumhe ek na ek din jarur maf karega. Tum jyada socho mat abhi..aaram karo..chalo ab jaldi se chai peelo..
Thori der bad Mayank taiyar ho kar Jiyana ko school chalne ko kehta hain..
Mayank : Yeh kya? Tum abhi tak school ke liye ready nahi hui?
Jiyana : Papa me school nahi janewali hu aaj.
Mayank : Kyun?
Jiyana : Papa aap bhul gaye kya? Mumma ko bukhar hain na. Toh fir me school kaise jau?
Mayank : Are beta yaha pe dadi hain na aapko mumma ka khayal rakhne ke liye. Chalo jaldi ready ho jao school ke liye.
Jiyana : Nahi papa. Jab me bimar hoti hu toh aap bhi office kaha jate hain? Me nahi janewali school aur aap bhi office nahi jayenge papa.
Mayank : Are par..
Jiyana : Plz papa plz..
Gayatri : Bilkul sahi keh rahi hain meri poti. Aaj koi kidhar bhi nahi jayega. Chalo Mayank jao jake change karo.
Mayank : Maa aap bhi na..
Gayatri : Jao Mayank..
Mayank waha se change karne jata hain.
Jiyana : Dadi ye kya hain?
Gayatri : Ye soup hain beta tumhari mummy ke liye.
Jiyana : Loa dadi me mumma ko pilati hu.
Gayatri : Haa chalo..
Nupur soup dekh kar muh banati hain.
Jiyana : Mumma itna soup toh aapko pina hi padega. Pata hain jab bhi me bimar hoti hu na toh papa mujhe aisehi soup pilate hain aur kahani bhi sunate hain. Ab me aapko bhi kahani sunau?
Nupur : Ok. Lekin pehle tum mere pass toh aa. Aur wo Jiyana ko gale lagati hain aur rone lagti hain.
Jiyana : Wo Nupur ke aasu puchti hain. Mumma aap royiye mat..kya hua? bahot dard ho raha hain kya aapko?
Nupur : Nahi mera bachha..aap jo ho mere pass..Mumma ko kuch bhi nahi hua hain..aur wo Jiyana ke hathko kiss karti hain.
Mayank ye sab bahar se dekhta hain.
Gayatri : Dekha Mayank Jiyana kitni khush hain. Ab tum bhi apne gusse ko thuk do. Jo hua usse bhul jao aur Nupur ko maf kar do.
Mayank kuch nahi bolta aur waha se chala jata hain.
Originally posted by: varsh-mayur
Awesome story 😊😊😊